Abir Helps Mishti.

431 18 12
                                    

Abir understood what Mishti wanted to speak. Abir looks towards Mishti, smiles and nods.

Abir- tum kaise kar leti ho yeh??

Mishti- kya??

Abir- itni achhi achhi baatein. Kaise ho tum itni understanding??

Mishti (teasing)- mujhpe na ek lambe se, handsome se ladke ki parchhai pad gayi. Woh hain aise. Toh unhone mujhe bhi aisa bana diya.

Abir- oh. Thanks for the compliment. Toh tumhe mai handsome lagta hoon.

Mishti (trying to suppress her laugh)- nahi toh. Maine kab kaha ke mai aapki baat kar rahi hoon.

Abir- firstly, tum meri wife ho, toh obvious si baat hai ke tumhare dil pe kissi ka adda hai toh woh sirf mai hoon. Secondly, agar kissi aur ki baat kar rahi ho toh woh ladka nahi bachega. Ussey pataal se bhi dhoondh ke CID ke torture chamber mein leja ke dhulaai karunga, kyunke I'm a really possessive husband. Aur Abir Rajvansh apni possession ko protect karna jaanta hai.

Mishti- hey bhagwaan!!! Itne khatarnaak hain mere pati!!!???

Abir- wanna see??

Mishti (chuckles)- no. Waise aapne kaha ke aap uss ladke ko maaroge. Tareef toh usski maine ki, toh phir aap ussey kyun maaroge??

Abir- kyunke woh tumhare dimaag mein aaya. Aise kaise aa sakta hai. Koi meri biwi ke paas galat tareeke se aaye, mujhe bilkul pasand nahi. Phir woh chaahe tumhari Rekha maa hi kyun na ho. I won't tolerate. Har woh cheez, har woh insaan mujhe zeher lagega jis se tumhe problem ho.

Mishti looks towards Abir. The first thought came to her mind was of Rocky.

Abir- Mishti yaad rakhna. Mujhse kuch matt chhupana. Agar tumhe kissi cheez se darr lagta hai ya koi cheez se problem hai toh zaroor bataana.

Mishti (in mind)- Rocky ke baare mein bata doon?? Haan. Iss se pehle usska honsla aur badh jaaye, mujhe sab bata dena chahiye inhe. Jo kaam Nisha ko bahut pehle kar dena chahiye tha, woh ab mai karoongi.

Abir- aur woh---

Mishti looks towards Abir. Abir was about to speak but....

Hero (from outside the closed door)- bhaiya!! 5 min mein paani aa jayega bathroom mein. Agar nahana hoga toh naha lena.

Abir- haan theek hai. (To Mishti) Woh mai keh raha tha ke---

Hero- bhaiya!!! Nal thoda dhyaan se kholna. Toota hua hai toh iss liye paani bahut tez aata hai. Saare bheeg jaaoge.

Abir- achha theek hai. Tu ja mai dekh loonga.

Hero leaves.

Mishti- mai aapke kapde nikaal doon??

Abir- nahi mai nikaal loonga. Mai keh raha tha ke---

Nikki- bhaiya!!! Dadi ne aap logon ko 7 baje tak neeche aane ko kaha hai.

Abir- haan aa jaaeinge.

Nikki- aur nal zara dhyaan se kholna. Toota hua hai.

Abir- haan lag gaya pata.

Nikki leaves.

Abir- pehle tum naha lo.

Mishti- arrey nahi. Aap jaaiye. Mujhe yeh saree bandhne ko time lagega. Waise aap kuch keh rahe the.

Abir- haan woh mai---

Mikki- bhaiya!!!!

Abir grits his teeth and glares the door. Mishti tries to suppress her laugh.

Abir- kya hai??

Mikki- mummy keh rahi thi ke agar kuch chahiye hoga toh awaaz laga dena.

Abir- theek hai. (To Mishti) Woh---

Mere Humsafar...Where stories live. Discover now