Chapter 35

352 55 4
                                    

Everyone danced for sometime. Guests started leaving after having dinner. Both the families sat down to have food. They all got their pics clicked.

Ram: Ab aage shaadi ka kuch socha aap logo ne? Kab tak karwade?

VD: Aap log jaise theek samjhe

Ram: Hum to tyaar hai. Jab aapko beti vida karni ho hum le jayenge

VM: Ab aesa to kbhi bhi nhi hoga. Par shaadi to karni hi ha. To aapko jaise theek lage aap bata dijiega

Vibha: Theek hai to pandit jii se baat kar lete hai thode din mein. Fir jo bhi date wo batayenge uss din kar lenge

VM: Jii theek hai

VD: Vaishu theek hai na beta?

Vaish just nodded her head and trying to hide her smile.

Vaish: Jaisa aap log theek samjho

VD: Aur Abhi beta tum?

Sid: Arre inse poochhne ki to zaroorat hi nhi hai. Inka bass chale to aaj abhi hi bhabhi ko saath le jaye

Ram glared him and he kept a finger on his lips. VD and VM chuckled.

VD: Abhi to nhi beta. Thode din aur wait karlo. Hum bhi kuch din apni beti ko apne ghar rakh hi le

Ram: Jii bilkul

Late night, they bid bye to each other and left for their homes. They reached home and changed their clothes. Sid felt on bed without changing. Abhi shooked him after coming out of washroom.

Abhi: Uth Ashu. Jaa jaakar kapde badal

Sid: Sone do na bhai

He said sleeping voice.

Abhi: Hnn so jana kaha mana kia maine? Change to karle

Sid was not ready to wake up. Abhi somehow forced him to get up and change his clothes. Then both of them slept peacefully. Next day they slept till long.

Later Abhi went to help Jai with all the arrangements. They together did all the preparations. Abhi and Avu helped him in selecting dress and ring as well. Jai went to Nigam's to give invitation. Abhi had gone to meet a client. Sid was at home working on laptop making some assignments. He didn't have important lectures today so he decided to do some work at home.

Jai took a deep breath and rang the bell. Vibha opened the door. She frowned seeing him. Jai quickly touched her feet and greeted her.

Vibha: Hnn theek hai. Khush raho

She said unhappily and unwillingly.

Vibha: Abhi ghar par nhi hai

She was about shut the door.

Jai: It's okk aunty. Mujhe aap hi se kaam tha

Vibha: Mujhse?

Jai: Jii. Mein andar aa jaoo?

Vibha: Hnn aa jaoo

Vibha shut the door and Jai went inside. Sid saw him.

Sid: Umm hey

Jai: Hii

Vibha got water for him.

Jai: Thank you aunty. Baithie na

Vibha sat down on sofa in front of him. Jai kept the invitation card and a box of sweets on table.

Jai: Wo aunty actually chaar din baad meri engagement hai. Mujhe bohot khushi hogi agar aap saari family waha aaooge to. Please zaroor aayegi

Vibha: Inko office jaana hai. Faaltu mein chhuti nhi milti inhe. Tum logo Sunday ya Saturday ka program rakhna chahie

He felt bad but covered immediately with a smile.

Jai: I understand aunty. Agar uncle busy ho to aap Sid aur Abhi ke saath to aa hi sakti hai. Par ho sake to uncle ko zaroor lekar aayiega. Thank you

He joined his hands and left.

Vibha: Ab velle thoda hai faaltu ki shaadiyo mein jaate rahe. Koi nhi jayega

Sid: Ma bhayia to jayenge hi aur Reem meri bohot achhi friend hai. Uski engagement mein to mujhe jaana hi hai na. To aap bhi chalie. Aur dad se pooch lenge. Free honge to chal padenge

Vibha: Kyu bewajah unko chhuti karwani? Aur tere bhi college se chhuti nhi hai right?

Sid: It's okk ma. Ek din college na jaakar kuch nhi hoga. Aur abhi chaar din pade hai

Vibha: Tu merese behas kar raha hai? Aur isme dekhne wali koi baat nhi hai

Vibha left the card and box there only. In evening, Ram saw the card.

Ram: Jai ki bhi ho rahi hai shaadi? Kaisi hai ladki? Mila tu usse?

Abhi: Hnji dad. Hamare hi college ki hai. Meri engagement mein bhi aayi thi ye. Achhi hai ladki to

Ram: Chalo achha hai. Kis din ki hai?

Vibha: Hume isse kya matlab?

Ram: Arre matlab kyu nhi? Jaana bhi to hai hume

Vibha: Dekhie zaroorat nhi hai. Aapko chhuti leni padegi. Hum nhi jaa rahe

Ram: Vibha ek din se kuch nhi hota. Itne izzat se koi bulaye to jaana chahie. Hum jaa rahe hai baat khatam

He ended the discussion.

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️حيث تعيش القصص. اكتشف الآن