Chapter 73

342 52 2
                                    

Next morning

Sid got fresh and went to Abhi's room. He was getting ready to leave for work.

Abhi: Kya chahie itni subah subah tujhe?

Sid: Aapne bola tha ki meri help karoge mom ko manane mein. Ab aap aese nhi mukar sake apni baat se. Maine to apni raat ki neend bhi sacrifice ki hai iss chakkar mein

He mumbled the last line and Abhi didn't even hear fortunately. Abhi wasn't paying much attention to him. He was bysy setting hia hair looking in mirror. Sid got irritated and made him turn towards him by holding from his shoulder.

Abhi: Kya hai?

Sid: Aap meri madad kyu nhi kar rahe?

Abhi: Mein mana kaha kar raha hu?

Sid: To aap mana loge mummy ko right?

Abhi: Nhi bilkul nhi. Maine kab kaha?

Sid: Abhi to bola and this is not fair. Aap peeche nhi hatt sakte apni baat se

Abhi: Maine teri madad ke lie hnn ki mummy ko manane ke lie nhi

Sid: To aur kya madad karenge aap? Zara mujhe bhi batane ka kasht kare aap

Abhi: Hnn to sun. Tujhe date par hi jana hai na?

Sid: Hnn

Abhi: Avneet ke saath?

Sid: Obviously. Kisi aur ladki ke saath jaakar mujhe shaheed thoda hona hai

Abhi: Hnn to theek hai na. Mummy ko ye bolne ki kya zaroorat hai?

Sid: Matlab?

Abhi: Matlab abe o gadhe. Mummy ko kyu batana ki tu date par jaa raha hai Avneet ke saath? Unko kuch bhi bolde. Keh de ki tere college friends ne bulaya hai outing ke lie. Usme itna kya sochna. Aur ab to mummy shaadi ke lie maan hi gayi to kyu dar raha hai? Ab kaha mana karengi

Sid: Mana to nhi karengi. But fir chup ho kar beth jayengi. Gussa ho jati hai. And you know I don't like it

Abhi: Fir bhi date par jaana zaroori hai

He asked keeping the comb and sitting on bed wearing socks.

Sid: Umm yee

Abhi: Chal theek hai. To yahi bolde. Zyada late matt aana. Come back on time. Aur bolde dosto ke saath jaa raha hu ghoomne. Kuch nhi bolengi. Don't worry

Sid: Pakka?

Abhi: Hnn be pakka. Tereko kya lagta hai? Jab mein aur Vaishu date kar rahe the to hum dates par nhi jaate the? Ghar pe hamare baare mein kisi ko pata bhi nhi tha tere ilawa. To aese hi jaate the. Sab aese hi jaate hai don't worry

He said standing up ready to leave. He took his laptop.

Abhi: Chill maar. Tu koi pehla aashiq nhi hai duniya ka. Aur Avneet bhi koi bahana bhi banakar aayegi. Tujhe kya lagta hai wo Sonia Aunty ko bolkar aayegi ki mein Siddharth ke saath date par jaa rahi hu. Itni himmat na tum dono mein se kisi mein nhi hai. Chal aaja breakfast karle

They both went out to have breakfast.

At Nandra's home

Sonia was setting up dining table. Aman was reading newspaper sitting on sofa.

Sonia: (shouted) Sab log aa jaoo. Nashta tyaar hai

Firstly Jaireem came out. After few minutes, Avu also came. They all settled down for breakfast. It was Avu's favorite breakfast.

Jai: Ohhh God. Mujhe to bhool hi gya tha. Aaj iss chudail ka birthday hai. Happy birthday

Avu glared him.

Reem: Kya bol rahe ho? Uska birthday October mein hota hai aur abhi May chal raha hai. Dimaag theek hai na?

Jai rolled his eyes.

Jai: Whatever!!! Uski favourite khana dekha to I thought birthday hoga. Agar nhi hai to kis khushi mein banaya?

Sonia: Mujhe laga ab iske rishte ki baat chal rahi hai. Pata nhi kab isne chale jaana. Maine to islie banaya tha

Everyone got emotional listening that. But Jai decided cheer them up.

Jai: Arre ye to sach mein bohot khushi ki baat hai. Iss chudail ke jaane ki khushi. Tab to maa aap roz hi achha achha khaana banao iske jaane tak

Avu scratched his cheek with nails. Jai screamed. Sonia glared them and asked to complete their breakfast. They finished their food and everyone was ready to leave. Aman and Reem already left.

Avu: Maa

Sonia: Hnn?

Avu: Wo actually kal office mein ek important meeting hai to islie aaj uski preparations wagera karni hai. To mujhe thoda late ho jayega. Aap tension matt lena

Sonia: Par beta abhi to tune join kia. Itni jaldi overtime

Avu: Ab maa unhe to kaam dekhna hota hai na. They liked it so

Sonia: Par tum log office hours mein hi karlo na complete

Avu: Aese nhi kar sakte. Aur bhi kaam hote hai

Jai: It's okk maa. I will go pick her up. Aap chinta nhi karo

Sonia agreed reluctantly. Jaireem also left. They went outside of home.

Avu: Jai

Jai: Hnn?

Avu: Tujhe mereko pick karne ki zaroorat nhi hai

Jai: Kyu?

Avu: Mera office mein koi overtime nhi hai

Jai: To? Tune maa se jhooth bola?

Avu: Sach batati to maa aese behave karti jaise koi marr gya hai. Date par jaana hai mujhe Sid ke saath

Jai: Ohhhhh I seeeee. Madam aap to bada safai se jhooth bolna seekh gaye

Avu: Shut up. Apna time bhool gya? Tu nhi jaata tha Reem ke saath?

Jai: Chal okk bye. Late ho raha hai

Avu: Hnn hnn baag jaa baag jaa

They both left for their work.

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now