Aise Hi Ek December Mein

4 0 0
                                    

Aise hi ek December mein, tum mujhe achhe lagne lage the. 

Aise hi ek December mein maine apni dost se tumhara zikr pehli baar ki thi.

Tab toh tumse pyar bhi nahi hua tha

aur ab pyar itna hai ki samvala e nahi jaa raha.

Mere jazbaat bayan karne ki baat toh chhodo, 

inn sab se milo dur bhaagti thi mai.

Aur ab tumse itna pyar ho gaya

toh dil khol ke rakh diya hai tumhare saamne.

College ka pehla saal tha, aur shayad December ka hi mahina tha, 

jab hum dono ne baatein karna bas shuru hi kiya tha

Aur ab meri har baat jab tak tumhein bata naa du, 

ghutan si mehsoos hoti hai.

Baatein toh Facebook pe hi shuru huyi thi

Par wo zyada yaad nhi,  tab tumhare baare mein sochti hi kaha thi

Aur WhatsApp pe tumhara sabse pehla msg tha "Merry Christmas" 

Pata nahi kyun har saal mai iss baat ko yaad karke bahut khush ho jaati hu. 

Tum shayad yakeen nahi karoge, apne jazbaat ko 

wahi tak rok lene ki koshish ussi December se hi ki thi

Wo pasand aana pyar mein naa badal jaayein 

ye khayal satane zaroor laga tha.

Pata nahi tha ki tum itna apna lagne lagoge

aur zindagi saath bitane ka khayal toh door ki baat hai

Naa tumhein paane ki khwahish thi

naa tumhari hoke rehne ka ye junoon

Naa humare rishte uljhe the yu

naa mai bikhri thi tab yun ab ki tarah.

Wo wali December hi achhi thi yaar. 

Tum mujhe apne zindagi mein rakhho, naa rakhho 

usse mujhe itna farq toh nahi parta tha

Mera pyar aur bhi gehra hone ke saath saath, 

tumhare bagair har roz bitaana itna mushkil ho jaayega, ye nahi pata tha. 

Kitne saal beet gaye na

Saat saal kam nahi hote... 





You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Dec 30, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Kagaz Kalam DawatWhere stories live. Discover now