KAASH TUM MERE SAATH HOTE

10 1 0
                                    

Bahut dard ho raha hai,
tumhe apne paas bulana chahti hu.
Aansu toh bahut bahe gaye hai,
fir bhi takleef kam na hui.
Ab tumhare kandhe pe sar rakh sona chahti hu.
Sab kuchh batana chahti hu tumhe, sab kuchh.
Tum jaante toh ho na, ki kyun nahi bata paa rahi hu?

Halaat aise hai ki dil bahut ghabra raha hai
tumhe batayi thi na meri zindgi ki sabse bari darr ke baare me?
Wo darr firse hone laga hai,
wajah bhi hai.

Tum abhi saamne hote na
toh tumhe gale se laga leti.

Ab mat kehna ki mai zyada soch rahi hu
dard e toh hadd se zyada mil rahi hai.
Itni uljhane hai, itni takleef hai,
thak gayi hu ab inse jujhte jujhte.
Mujhme aur shakti nahi hai
ek ek pal guzarna bahut mushkil lag raha ab toh.
Khud ko hosla dete dete ab aur hosla bhi nahi bachi.

Kaise bataun, jinke liye mai jeeti hu, unko dard mein tadapte dekhna kya hota hai,
itne koshishon ke baad bhi har din vyarth hona kya hota hai,
zindagi itni karwi kyun hai?

Tum aur tumhara saath mere liye bahut zaroori hai, behad keemti hai.
Mera dil tumhe pukar rahi hai
lekin haqiqat mein tumhe bula bhi toh nahi sakti.

Majboor hu.

Kaash mujhe tumse itna pyar na hota,
kaash mai tumhe sirf ek dost maan paati,
jaise tum mujhe maante ho.
Kaash, kaash abhi isi waqt tum mere saath hote.

Kagaz Kalam DawatWhere stories live. Discover now