Her late night call

629 97 55
                                    

At evening with a frown face and trew her bag on the sofa

Ammi: Ya Allah!! Kya hua Haseena itne ghusse mein kyu hai ?

Haseena: apne Anubhav se jhooth kaha na ki humne apse kaha hai ki humara important lecture hai?

Ammi got scared and continued with her work pretending to be normal

Haseena: hum kuch puch rahe hai Ammi apse

Then Haseena stared at her Abbu who was hiding his face behind the news paper

Haseena: aur mere pyaare Abba Jaan ap

Abba gave a smile showing his teeths
But Haseena gave him a stren Glare

Haseena: vo sharati baacha ap he the na jisne humari scooty ka tyre Puncher kiya tha?

Abbu: y..ye..ye tu kya bol rahi hai beta?

Haseena: Baniye mat Abbu sab samjhte hai hume apke aur Ammi ke paitre...hum bohot khafa hai apse aur Ammi se

Ammi: par beta baat kya huee? Aisa kya keh diya Anu ne

Haseena: Unka kehena he toh bohot badi problem hai humare liye ...adhe se zyada baar jane apni shudh Hindi mein kya kya keh jate hai...hume toh kuch samjh nahi ata...aur tokta kitna hai vo insan...sare raste hume shudh Hindi par Bhashan sunte aye hai apke pyaare damad Anu aur uske saath saath janab ke gadi ko dhakka bhi lagao

Ammi: d..dh..dhakka?

Haseena: Raste mahashay ki gadi kharab ho gaiee so hum dhakka laga te huee aaye hai...ek no. Ka irritating shaks hai. Apne kya dekh kar unse humara nikah Kara Diya?

Abbu was about to say something but Haseena didn't let him do so

Haseena: Aainda se...hum Anubhav ke saath kahi nahi jayge aur na he ap log hume unke saath kahi bhejege

Saying that Haseena left for her room

Abbu: ye to bazi ulti pad gaiee

Ammi: jane kya hoga inn dono ka?

Both gave eachother a deafed look

__________________________________

Here Anubhav came back home

Maa : are Anu aa gaye ?

Anubhav: Ye Mohan kaha hai?

Maa: kyu kya hua?

Then entered Mohan

Anubhav held his collar

Anubhav: Ye aphi ke mastiksh ki upaj thi na?

Maa: are A..Anu bete ye kya kar Raha hai?

Anubhav left his collar

Anubhav: Priya Mateshree ...ap toh kuch na he bole...ap bhi sahayak hai na inki yojna ke?

Pitashree: Are parantu itna kyu uchal rahe ho? Aisa bhi kya hogya tumhare aur Haseena ke Madhya?

Anubhav: kya hogya? Ye aap puch rahe hai Pitashree? Are Afat ki pudiya hai vo Haseena... sampoorna raste humse ladte huee aaiee hai...kitne tane sunati hai...Tano ki devi hai...devi...are humara vahan zara kharab kya hua...Hume tane suna suna kar humare Kano se rakt nikal diya

Karishma: dikh toh nahi raha..

Anubhav glared at Karishma

Anubhav: kisi din krodhit Haseena ke samaksh baithayege tumhe...tab tumhare Kano se rakt ka pravah na hua toh kehena

Karishma kept mum

Anubhav: (sternly) Aainda se hume Haseena ke saath kahi bhi ane jane keliye may kahiye ga

Saying that Anubhav left for his room and locked himself inside

__________________________________

Hours passed and now it was mid night... Haseena Got up and assured that all were slept deep.
When she was assured she moved towards her room and locked herself.

She picked her phone and called Anubhav... lucky he too was awake

Anubhav: kya hua ab kyu durbhash kiya hai hume

Haseena: hume koi shok nahi tha apko call karne ka aur vaise bhi hum kyu aapko call karne lage? Ap he se toh lad ke aa rahe hai

Anubhav: toh abhi toh aphi be kiya na hume durbhash!

Haseena : vo toh hume ye batana tha ki (smiling) humara plan successful raha

Anubhav too smiled

Anubhav: Aise kaise safal nahi hota? Itna accha abhinay karte hai hum

Haseena: ap?

Anubhav: humara aarth hai hum dono ...sab ko lag raha tha ki humare beech ghamasan yudh chhid chuka hai

Haseena: hmm...aur isiliye kuch samay keliye toh ye hume kareeb lane ki koshishe chhod denge

Anubhav's smile faded

Anubhav: haa...voh toh hai

Haseena : par ye kab tak chalega?

Anubhav: ap prasann nahi hai na iss sambhandh se?

Haseena: vo toh aap bhi nahi hai

Anubhav smiled with pain

He remained silent for a while

Anubhav: sahi kaha

Haseena: par yehi humari zindagi hai Anubhav...hum dono ek dusre ko na pasand karte hai

Anubhav: Aur sadev karte rahenge...haina?

Haseena : haa

Anubhav: rakhte hai

Haseena: Good Night

Anubhav: shubh prabhat

The call ended

Anubhav huffed and looked at a perticular picture on the wall

It was his picture with Haseena clicked by Abbu when they both were children

He remembered her words

"hum dono ek dusre ko na pasand karte hai"

Anubhav huffed and smiled

Anubhav: kaash hum bhi aapko utna he napasand karte jitna ki ap hume karti hai

__________________________________

Haseena: kaash hum apko Bata sakte Anu ki kyu hum apko utna pasand nahi karte jitna ki aap hume karte hai...

__________________________________





𝙏𝙖𝙪𝙢𝙧𝙖- 𝙁𝙤𝙧𝙚𝙫𝙚𝙧 𝙏𝙤𝙜𝙖𝙩𝙝𝙚𝙧 Where stories live. Discover now