ONE

1.2K 95 11
                                    

-: Karishma's POV :-

It's almost 10pm. Mai apni as usual wali park mein baithi hoon. Kalse school start hone wali hai aur mujhe pata hai ki wahan koi drama zaroor hone wali hai. Summer vacation ke pehle "the popular girl" Mishri aur main ek dusre ko date karna start Kiya hai , ab wo mat poocho kaise! It's a mess.

Mai bilkul uski type ki nahi hoon. Meri uski tarah a lot of friends nahi hai, hai par sirf do. Aur bakiyon se utni close nahi hoon. I like to stay quiet.

Phir iss saal k board exam ke baad school bhi end hone wali hai , pata nahi kya karungi mai. Amma akele kaise sab sambhalengi... Ugghhhh !!

It's so frustrating....

" Are you okay?! " I heard a voice. I lifted up my head. Ek ladki , pata nahi kaun, chehra bhi andhere ke karan dikh nahi rahi hai, par itna andaza laga sakti hoon ki wo bohot khubsurat hai.

" Haan.. Haan Mai theek hoon. I was just thinking about something. " I say and smile.

She nods and sits down on the bench beside me.

" Aapka naam? " She asked me.

" Karishma Singh. Aur aapka? "

" Haseena. Haseena Malik. "

" Nice name. " I said with a smile

" Thank you. Ab ye bataiye kya hua hai. Hume pata hai hum ek stranger hai par hum phir kabhi milenge nahi so aap agar humse share karengi toh bhi koi problem nahi hai. I guess aapko accha feel hoga. " She said with a smile. I could see she had dimples, which made my smile wider.

" Alright then. So basically Mai summer vacation shuru hone se pehle school ki 'the most popular girl' ko date karna start kiya aur uske jo dost hai wo aksar mujhe bully karte hai. Phir kalse school start hone wali hai mujhe nahi pata wahan kya drama hone wala hai. I don't know if my girlfriend will talk to me or not. We're just opposites. "

She nods at me. I could tell that she's a good listener.

" Dekhiye agar wo baat karti hai toh thik hai par agar nahi karti hai toh let it be end. I think you deserve better than that. Agar aisa hota hai toh iss rishte se bahar aa jaiyega nahi toh cheezen aur bhi kharab ho jayegi. "

" Okay and thank you. " I said with a smile.

" No problem, thik hai phir mai chalti hoon. Khayal rakhiyega apna Karishma. Good night. " She smiles and gets up walking away.

" Good night. " , I mumbled.

Who was this woman?! She's really attractive. I don't why but I really want to know her more. Sirf panch minutes ke conversation mein mujhe shant kar diya....

-----------------------------------------------------

So guys ye rahi first part. Pata nahi kya likh rahi hoon. Jo bhi ho support kijiye. Shayad jaldi update kar paungi. Let's hope for the best :)

Keep supporting. Comment your opinions. Vote and follow me :)

Take care :)

Khuda Hafiz :)

Miss Mallik Where stories live. Discover now