|| Chapter 1 :- Naira and Tushar? ||

484 27 11
                                    

•: Singhania house, Udaipur :•

The story and the first scene starts from Naitik who has closed his eyes and is praying in front of God at home.
Akshara comes in a hurry and by mistake a plate falls from her hand. Naitik instantly opens his eyes and looks at Akshara with a load of anger in his eyes.

Naitik : (in anger) kitne baje hai?

Akshara : (scared) d.. das baje rhe hai...

Naitik : naira abhi tak kyu nahi aayi? Extra lecture ka bahana deke kahi ghumne toh nahi chali gayi?

Akshara : n.. nahi aisa nahi karegi vo... Bas aati hi hogi...

Naitik gets up, joins his hands in front of God and looks at Akshara.

Naitik : maine kaha tha ye padhne likhne ki koi jarurat nahi hai... Aur Naira ki shaadi ke liye rishte dekhne ka kaam maine aap pe aur aap ki behen pe chhoda tha na? Ek kaam thik se nahi kar sakti aap?

Akshara : ji vo jiji ko koi accha rishta mila nahi hoga... Aap chinta mat kijiye mai aaj phone karke puch lungi...

Naitik : jald se jald uski shaadi karani hai... Ye saari cheeze apne apne samay mein hi honi chahiye aur Naira ki shaadi ki umar hogyi hai...

Akshara : ji vo bas ikkis(21) saal ki hai... Kaafi chhoti hai vo... Itni jaldi shaadi...

Naitik : maine aapse pucha? Pucha maine aapse? Huh? Apni faltu ki raay apne paas rakhiye... Aur jald se jald koi accha sa rishta dhundiye...

Akshara : j... ji

Naitik : apni beti pe dhyaan de rhi hai na aap?

🍃🍃🍃

On the other side,
On the beach,

Naira is sitting with a boy. The boy is busy carving something on the sand.

Naira : dhyan kaha hai tumhara Tushar? Mai kabse bak bak kiye jaa rhi hu aur tum ho ki ye rait mein khel rhe ho baccho ki tarah...

Tushar : (smile) sweetheart... Mera tumpar acchese dhyaan hai... Tumhare naak pe rait lagi hai... Abhi abhi jo ankh mein kuch chala gya tha aur tumne eyes rub ki thi... Uski vajah se pura kajal fail gya hai... And your feet... I know you absolutely hate sand sticking to your feet... Tumhare pair par puri rait lagi hui hai aur tumhara dhyaan nahi hai...

As Tushar said, Naira touched her nose and there was actually sand on her nose. She took her mobile and saw her face in it. There was actually kajal spread. She lookeds at her feet and there was sand stuck on her feet.
She looked at Tushar.

Naira : tumhara bilkul dhyaan nahi hai mujhpar...

Tushar : arey?! Abhi abhi itna detail bataya aur vo bhi tumhe bina dekhe... Fir bhi keh rhi ho ki dhyaan nahi hai? Hadd hai...

Naira : mera vo matlab nahi tha... Mera matlab tha ki tumhara dhyaan meri baaton par nahi hai...

Tushar : (looking in her eyes) mujhe tumhari baatein sunne ke liye khaas dhyaan nahi dena padta... Tumhari avaj toh mere dil mein basi hai...

Naira : bas bas... Itna romantic hone ki jarurat nahi hai...

Tushar : arey sach mein...

Naira laughs and then tears starts flowing from her eyes.

Tushar : aey meri maa... Ab isme rone wali kya baat hai?

𝓡𝓮𝓱𝓷𝓪 𝓣𝓾 𝓟𝓪𝓵 𝓟𝓪𝓵 𝓓𝓲𝓵 𝓚𝓮 𝓟𝓪𝓪𝓼... ❤ ~Kaira FF Where stories live. Discover now