PART 23

2K 150 14
                                    

In hall

All were talking.

Keerti- mujhe akshu ki puri family se milna hai ab...krish manjiri ji ki itni taareef karta hai na ki pucho mat

Akshara- haa buami...manjiri maa sach me bohot acchi hai

Keerti smiles and gets an idea- ek kaam karte hai...parso teej hai na...toh kyo na ham abhimanyu ki family ko invite kare naksh...kitne saalo baad ham teej yaha india me mana rahe hai...aur fir akshu ki toh ye pehli teej hai...special honi chahiye ye teej...abhimanyu tum kya kehte ho...tumhari family me teej kaise manate hai

Abhimanyu's smile vanishes- actually buami vo...darasal hamare yaha maa ke alawa koi bhi ye vrat nahi rakhta...i mean taiji aur shefali bhabhi in sab me maante nahi hai...maa har saal vrat rakhti hai

Keerti- haa toh vo kuch karti hogi na...koi toh celebration hota hoga

Abhimanyu- nahi actually maa bas vrat rakhti hai aur raat ko sab rasme karke tod leti hai...koi celebration nahi hota

Keerti- par ham toh karte hai na celebrate...akshu tune toh dekhi hogi na teej  ki raunak apne ghar me....(stops realising what she said as akshara was in hostel always)

Akshara gets upset. There was silence.

Keerti changes the topic- pehle nahi dekha toh kya hua...is baar ham teej bohot dhoom dhaam se manayenge...itne saalo ki kami is baar puri kar denge

Naksh- keerti aap bilkul sahi keh rahi hai...par ek baar aap manjiri ji se puch toh lijiye...kahi unhone akshu ke liye pehle se kuch plan naa kara ho

Keerti- are haa...excitement me main toh bhul hi gayi

Abhimanyu- uski zaroorat nahi hai...i am sure maa ne kuch plan nahi kara hoga...aur sabse main baat (looks at akshara) akshu tum sach me ye vrat rakhna chahti ho...dekho koi tumhe force nahi kar raha hai...agar tumhari marzi ho toh hi rakhna vrat...meri ya maa ki taraf se koi pressure nahi hai

Akshara overwhelmed- abhi...main ye vrat rakhna chahti hu...vo bhi pure man se

Abhimanyu sighs and nods. All smiles seeing his love for her.

Keerti- kyo na ham manjiri ji ko bhi yahi invite kare...unhe bhi toh dikhaye asli teej ka celebration

Abhimanyu denies- uski zaroorat nahi hai...and i don't think maa aayegi....

Keerti interrupts- abhimanyu...vo tum mujh par chod do...vo apni teej bhale hi khaas nahi banana chahti ho par akshu ki teej toh khaas banayengi na...aur vaise bhi teej toh maayke me manane wala tyohaar hai...manjiri ji se main baat kar lungi

Kairav- toh ye decide ho gaya ki is baar ki teej ham yahi manayenge...buami saari preparations ham kar lenge (looks at abhira) tum dono toh bas time se aa jana

Abhira nods.

Abhimanyu- accha ab bohot late ho gaya hai...hame chalna chahiye...maa bhi wait kar rahi hogi

All nods. Akshara hugs keesh kairav and krish. Abhira leave.

In birla house

Abhira enter and see manjiri and neil waiting.

Manjiri- aa gaye tum dono...kaisa raha

Abhimanyu- bohot accha...maa aapko pata hai vaha main kisse mila

Manjiri- kaun

Abhimanyu- krish se...vo naksh mamu ka beta hai...keerti aunty se bhi mila...maine bataya tha naa aapko

Manjiri nods being surprised- matlab krish akshu ka bhai hai

Abhira nods. Manjiri laughs.

Neil- ye toh krish bhai ke sath tragedy ho gayi...kaha vo kisi ko bhabhi banane ke sapne dekh rahe the...aur dekho...bhabhi ka toh pata nahi par jija zaroor mila unhe

All laugh.

Akshara holds manjiri's hands- maa...buami keh rahi thi parso teej hai

Manjiri surprised- haa beta...hai toh sahi teej (hopefully) tu rakhegi vrat...koi zabardasti nahi hai beta

Akshara smiles- maa mujhe rakhna hai vrat

Manjiri smiles wholeheartedly.

Akshara- buami keh rahi thi ki vo log bohot acche se teej celebrate karte hai...vo puch rahi thi agar is baar ham log bhi unke sath teej manaye toh

Manjiri is shocked and looks at abhimanyu and then at akshara.

Manjiri- beta main hamesha se ghar par hi teej rakhti hu...par tu aur abhi zaroor jana...vaise bhi teej maayke ka tyohaar hota hai...aur ye toh teri pehli teej hai

Akshara acts being sad- par main apni maa ke bina kaise teej manau...aur aap nahi chahti ki aap meri pehli teej me shaamil ho...maine toh suna tha ki saas apni bahu ko teej par bohot laad karti hai...use bohot pamper karti hai...aur ek meri saas hai...vo toh mujhe ghar se hi bhej rahi hai

Abhimanyu and neil are shocked at her drama.

Manjiri concerned- beta tu galat samajh rahi hai...mera vo matlab nahi tha...kaunsi saas ye nahi chahegi ki jab uski bahu uske bete ke liye vrat rakhe toh vo apni bahu ko khoob laad pyaar kare...main toh bas isliye mana kar rahi thi kyoki...khair chod vo sab...ham na is baar teri teej tere maayke walo ke sath hi manayenge...main vaada karti hu tujhse

Akshara squeals in happiness- yayyy...thankyou maa (hugs her and kisses her cheeks)

Manjiri smiles seeing her happy.

Abhimanyu- maa aapki bahu koi udaas nahi thi...acting kar rahi thi...aapko pata nahi hai ye kitni badi nautanki hai

Manjiri shocked and looks at akshara who bit her lips.

Manjiri hits akshu lightly- akshu...badmaash

Akshara holds her ears- sorry maa...par ab aapne mujhse vaada kar diya hai...ab aap apni baat se mukar nahi sakti

Manjiri smiles. Akshara back hugs her happily. Abhimanyu admires their bond. Neil also smiles seeing his mother genuinely happy.

Manjiri holds akshara's hands as she had back hugged her- pagal

All laugh.

In abhira's room

Abhimanyu enters with a glass of juice. Akshara sees it and makes a bad face.

Akshara- abhi main ab koi juice nahi piyungi...maine vaise bhi aaj bohot kha liya hai

Abhimanyu sits beside her- koi baat nahi...juice pi lo...sab digest ho jayega

Akshara stubbornly- nahi na abhi...please...mera bilkul man nahi hai (makes a cute pout) please abhi

Abhimanyu sighs- please akshu...mere liye...please pi lo

Akshara whines- nahi na abhi

Abhimanyu holds the glass near her lips- please...thoda sa

Abhimanyu makes her drink the juice. Akshara drinks it helplessly. She tries to stop him as she had finished half glass but abhimanyu makes her drink the full glass. Abhimanyu keeps the glass back and pulls akshara in his arms. She was lying in his arms with her head on his chest.

Akshara pouts- tum bohot bure ho abhi

Abhimanyu caresses her bare arm- i know...par tumhari health ke liye accha hai ye

Akshara whines- tum doctor hi kyo ho...koi aur profession choose nahi kar sakte the

Abhimanyu makes her look at him- fir bhi mujhse itna pyaar karti

Akshara- maine tumse pyaar kiya hai...tumhare profession se thodi

Abhimanyu smiles. He makes her lie more comfortably.

Abhimanyu pats her hair- so jao

Akshara gets drowsy due to the medicine and sleeps on abhimanyu's chest. Abhimanyu switches off the lights and sleeps with her.

Next day too passed like this. Abhimanyu was busy in the hospital while akshara and manjiri did preparations for teej. Keerti also called manjiri and invited her for teej at Singhania sadan to which manjiri accepted it. Naksh also called Harshvardhan and invited him with full family. Harshvardhan didn't want to celebrate but agreed because of naksh.

Abhira ff: Dil tune chuaaWhere stories live. Discover now