PART 4

3.1K 166 7
                                    

In abhira room

Abhimnayu closes the door after entering. He turns and sees akshara looking at the decorations done for him and arohi. He sees akshara getting uncomfortable.

Abhimanyu goes and back hugs akshara who gets startled first. Abhimanyu holds her chin and makes her look at him and nods in no. Akshara looks down. He kisses her hair.

Akshara almost breaking down- sab hamse bohot naaraz hai abhi...aur shayad meri family toh mujhse nafrat hi karne lagi hai

Abhimanyu- sshhh...aisa nahi kehte...koi nafrat nahi karta...bas sab naaraz hai...maan jayenge...ham mana lenge

Abhimanyu looks at akshara who was very upset.

Abhimanyu makes her sit on couch- pehle yaha baitho

Abhimanyu gets first aid box. Akshara gets confused seeing it.

Akshara- ye kis liye...ham dono ko chot kaha lagi hai

Abhimanyu- aaj nahi lagi...par tumhara accident hua tha ek din pehle...kal hi toh tum discharge huyi ho...vo bhi bina meri marzi ke...tumhe aaram karna chahiye...aur aaj itna sab kuch ho gaya...tumhe bilkul aaram nahi mila...aur naa hi tumhari chot ki dressing huyi hai

Akshara- main thik hu abhi

Abhimanyu sternly- tumhe kaise pata...doctor main hu na...mujhe pata hai tumhe kitni weakness hogi...tumne dawai bhi nahi li hogi...janta hu main tumhe acche se

Akshara upset- mujhe toh hamesha se hi dawaiya kairav bhaiya hi khilate the...mujhe kabhi dawai khana pasand nahi hota tha...toh kairav bhaiya hamesha mujhe apne paas baitha kar mujhe pyaar se dawai khilate the...mere saare nakhre mante the (looks at abhimanyu with a smiles) mujhe bohot laad karte the

Abhimanyu smiles- tumhe medicine dene ki duty ab kairav ne mujhe de di hai...vo kya hai na...itne saalo tak tumne tumhare bhaiya ko itna pareshan kiya hai ki vo tang aa gaye tumse...isliye tumhari zimmedari mujhe de di...ab chalo dawai khao

Akshara smiles- par meri dawai toh kairav bhaiya ke paas hi hai

Abhimanyu- tum shayad bhul rahi ho...ye doctors ka ghar hai...tumhe yaha kuch mile na mile dawaiya saari mil jayegi

Akshara- aur tumhe kaise pata mujhe kaunsi dawai deni hai

Abhimanyu smiles- mujhe nahi pata hoga toh kise pata hoga...maine hi tumhara operation kiya tha...tumhari dawaiyo ka prescription likha tha

Akshara looks at him- toh fir kyo mere hosh me aane ke baad mere samne nahi aaye

Abhimanyu looks at her emotionally- agar tumhare samne aa jata toh khud ko tumhare kareeb aane se nahi rok pata...tumhe us haalat me dekh kar kya haal hua tha mera...tumhe andaza bhi nahi hai...aaj tak saikdo operations kar chuka hu...isse bhi zyada critical par kabhi haath nahi kaapa...par tumhe operate nahi kar paa raha tha...itni himmat nahi thi mujh me...dar lag raha tha ki agar meri feelings ki vajah se main kamzor pad gaya aur mujhse koi galti ho gayi toh kahi tumhe kuch na...aur fir sawal tumhari aawaz ka bhi toh tha...main janta tha ki agar tumhari zindagi se music chala gaya toh tum toot jaogi

Akshara was crying hearing him. She hugs him tightly. Abhimanyu too hugs her.

Abhimanyu changes the topic- dekho..ye sab mujh par nahi chalne wala...mujhe pata hai tumhe doctors nahi pasand par dressing toh karwani padegi tumhe...dikhao mujhe

He makes her sit straight and dresses the wounds on her hand and head. He now looks at the wound at her throat where he made a cut to operate her.

Abhimanyu looks at akshara- thoda sa pain hoga akshu...just relax

Akshara closes her eyes- thoda aaram se karna please

Abhimanyu looks at her and takes a deep breath. He removes the tape from her throat and sees the stitches. They were still fresh.
He applies the ointment on it. Akshara holds his hand feeling burning sensations. Abhimanyu blows air on it. He dresses her wound.

Abhimanyu- stitches fresh hai

Akshara nods. Abhimanyu gives her the medicine and makes her gulp it despite her protesting faces.

Abhimanyu- ab tumhe aaram karna chahiye akshu

Akshara nods and then looks at the decorated room. Awkwardness again coming back. Abhimanyu removes all decorations and throws them in dustbin. He takes akshara to the bed and makes her lie on it. He pats her head to make her sleep. Akshara slowly drifts in sleep due to medicine effects.

Abhimanyu holds her hand- i know tumhe pyaar aur parivaar dono chahiye...par mujhe sirf pyaar chahiye tha jo mujhe mil gaya...aur ab main koshish karunga ki tumhe bhi dono mil jaye...tumhare har moment ko main special banaunga...tumhe kabhi tumhari family ko miss karne ka mauka nahi dunga...unhe manane ki bhi puri koshish karunga...sirf tumhare liye (kisses her hand) meri zindagi me aane ke liye thankyou...mrs akshara abhimanyu birla

He too lies beside her and sleeps taking her in a hug.

Abhira ff: Dil tune chuaaWhere stories live. Discover now