R confused: Kisme?

AS hit her head. She glared him but he ignored.
AS: Abhishek ko apne dil ki baat batane me.

R: Anu mene pehle bhi kaha tha wo bas mera dost he aur abhi hume mile huye din hi kitne huye he. Itni jaldi koi pasand nahi aata.

AS: Kasam se bhagwan ne soch samajh ke hume best friend banaya he. Bilkul meri tarah bewakoof he tu bhi.

R: Tu hoga bewakoof me nahi.

AS: Gadhi meri baat sun. Haseena ko is baat ke ehsas ho gaya tha ki wo humse prem karti he isliye unhone wireless par tak par humare samaksh prem prastav rakh diya. Hum hi gadhe the jise itna baad me jake ehsas hua ki jis ladki ko hum hamare pyaar me girane aaye the ulta hum hi unke prem me is tarah se gir gaye ki ab puri jindagi ka har ek pal keval aur keval unke sath bitana chahta hu. Roshni humne apne pyaar se dur jane ka dard bohot gehrayi se mehsoos kiya he. Hum bhi teri tarah hi taal rahe the is baat ko ki hume pyaar nahi he. Ye bas aakarshan he lekin pyaar ko roka nahi ja sakta. Wo to ho jata he. Pyaar samay nahi dekhta ki mile huye kitna samay hua. Me tujhe force nahi kar raha hu par mene teri aakhon me Abhishek ke liye kuch dekha he. Mene jo galtiya kari wo tujhe dohrane nahi de sakta kyuki dur jane par kitna dard hota he wo me janta hu.

R: Anu agar esa kuch hua bhi to mujhe nahi lagta wo mere liye kuch feel karta he. Agar kuch bhi karta to mujhe kyu nahi batata. Ye sab bas tere dimag me he.

AS: Bandariya tune bhi to nahi bataya. Shayad wo bhi darr raha ho.

Roshni looked at him. He smiled and nodded. She was lost in her thoughts.
R: Tu aaram kar me chalti hu. Mujhe kuch kaam he.

Saying this she hugged him and then left the room.

Haseena after talking with Abhishek turned to enter the room but saw Roshni coming out looking hell confused and at the same time nervous. She understood her man had done his work.

She entered the room and looked at Anubhav sitting in deep thoughts. She came and sat beside him still he was lost in his thoughts. She snapped her fingers in front of him.

HM: Kaha khoye huye the aap?

AS: Kahi nahi. Bas Roshni ko samjhate samjhate hume hamare saare pal yaad aa gaye. Soch rahe the humari yatra bhi kitni ajeeb thi. Pehle jab hume pyaar keval ek kitabi ya yu kahe mangadhant chiz lagti thi tab hume Mission jeet mila jisme aap hume mili. Mission ke chalte kab wahi kitabi baate hamare sath ho gayi. Aapke pyaar me gir gaye. Haseena ji aaj jab Roshni ko bataya na ki pyaar kitna khubsurat ehsas he tab bas bhagwan ko dhanyawad nikal raha tha man se jo hume itni khushnaseebi di. Itne khubsurat ehsas se wakif karaya hume. Bohot pyaar karte he hum aapse.

He looked at Haseena who was smiling.
HM: Pyaar to hum bhi aapse bohot karte he lekin jyada urdu nahi bolne lage janab aap. Wakif bole jabki hamesha ki tarah aap hindi ka koi bhari shabd bolte

Anubhav chuckled. He leaned towards Haseena's ears and whispered in a husky voice causing her to shiver.
AS huskily: Ab aap hume itni pasand he to urdu bhi to aayegi hi na.

He looked at her flushed face due to his closeness and smirked seeing his effect in her. Seeing this he kissed her ear making her blush hard. She knew he was teasing her but she also couldn't deny that he had this effect on her. She thought to change the topic.

HM: Wese Roshni mani?

AS: Hamari dost he hamari hi tarah jiddi aur bewakoof he. Pata nahi kya faisla legi. Abhishek ne kya bola?

HM: Hamara dost hamari tarah samajhdar he. Wo maan gaya he. Darr raha tha ki Roshni kahi aapki tarah hi to soch nahi rakhti ki pyaar vyaar me nahi padna chahiye. Par ab accept to kiya usne ki wo pasand karta he Roshni ko. Bas ab ye dono apni feelings ko pehchane aur ek dusre ko bata de.

AS: Ha. Pehli baar mene Roshni ko itna khush dekha he. Uske pass kabhi parivar nahi tha. Hum bhi kisi ladki se baat nahi karte the lekin us bandariya se pata nahi kab itni gehri dosti ho gayi ki wo mera parivar ban gayi.

HM: Abhi ke sath to me, Ammi aur Abbu hamesha hi the. Ab lagta he jo ek kami thi partner ki wo bhi puri ho jaye.

AS with a frown : Accha ab unki setting wo kar lenge. Aap humpe dhyaan dijiye na.

Haseena chuckled seeing him frowning. She pulled his cheeks and sat beside him. He wrapped his arms around her.

AS: Haseena ji aaj tak aapne apne Abbu ke baare me itna bataya lekin humne to unhe kabhi dekha hi nahi.

HM: Hum abhi dikhate he rukiye.

She opened her gallery and showed him a picture of a boy with a handsome man.

AS: Abbu to bohot handsome the.

HM smiling: Sabse handsome.

AS: Lekin ye ladka Abhishek he kya?

Haseena glared him.
HM: Hum he wo.

Anubhav looked at the picture again and then at her. He kept looking to and fro and at last bursted out laughing.

AS laughing : Ye aap he. Haseena ji aap kitni cute thi. Koi bhi ladki aap par fida ho jati.

HM: Uhh... Kyu mazak bana rahe he Anubhav. Hume bachpan me nahi pasand tha ladkiyo jesa rehna aur Abbu Ammi ne kabhi mujhe kisi society ki pre determined norms me dhalna nahi chaha. Hamesha kehte the ki me unki Noor hu aur is duniya me wo dono mujhe hamesha sabse jyada pyaar karenge.

Anubhav smiled seeing a smile that was lingering on her lips remembering her childhood.

AS: Abhishek aapko Noor bulata he lekin Ammi Haseena kyu?

HM: Abbu na hume Noor bulate the. Humne bhi bola tha ki hume koi aur is naam se nahi bulayega kabhi bhi. Lekin phir jab Abbu chale gaye hume chodd ke to me bohot chup rehne lagi. Even me Ammi se bhi baat nahi karti thi. Keval Abhi hi tha jisse me baat karti, wo hasata tha mujhe, khana khilata. Har wo kaam karta jo Abbu karte the. Ek baar jab Abbu ke jane ke baad mera pehla birthday tha tab me raat ko bohot ro rahi thi. Abhi kamre me aaya aur zor se hug karke Noor bola. Mene usko dekha aur me aur zor se rone lag gayi. Lekin us din ke baad se wo mujhe Noor bulane lag gaya.

Anubhav hugged her tightly as he sensed her getting emotional.
HM: Anubhav aapke pass Abbu jaisa sukoon he. Aapne bola na Abbu handsome he. Wo bilkul aapki tarah he. Desh unke liye har rishte se upar tha. Aapko pata he hume na aapki flirting ya aapke humare ideal ladke ki definition me fit beth rahe the. Balki hume aapse isliye pyaar hua kyuki humne jo chavvi hamesha se dhundhi thi hamare Abbu ki wo hume aapme mili.

Anubhav looked in her eyes. They didn't said anything. Their hearts conveyed their messages. He pecked her forehead. Both slept talking about their childhood.

Upcoming: Last second part

Listening To Heart 💕💕Where stories live. Discover now