Chapter 2: Tera naam

481 48 17
                                    

Hey guys! So bare with me, I've done shaiyri for the first time and all the shaiyri used amd those whoch will be used are made by me and not a copy. I know it must be bad but I'll try and be better at it! Do share your views on both, the story and my shaiyri too!
------------------------------------------------------------------

Anuj quickly went inside his room and took his diary out. He was a person who would write his diary daily and today..today was a special day for him. He started writing ✍️

He wrote:
○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○

Dear Diary,

Aaj college ka pehela din tha. Waha jaa ke kuch naye dost bhi banaye, Vansh aur maine poora campus bhi ghoom liya, bohot acchi jagah hai woh. Par uss college ko aur khoobsoorat banane wala..wala nahi wali, ek aisi sundar si apsara hai jiske naam mai nahi jaanta par mai itna jaanta hu ki woh ladki mere hi class me hai! Maine aaj tak itni sundar ladki kabhi bhi nahi dekhi thi. Uski ada hi kuch aur hai..uski muskurahat, uski aawaz..uske baare me har ek cheez maano ki iss duniya se pare ho!

Zindagi me mujhe kabhi bhi aisa mehsoos nahi hua hai jaisa ki mujhe hua jab maine peheli baar usse stairs se neeche aate hue dekha tha..uss samay time ho raha tha 10 bajke 3 minute aur 15 seconds..10:03:15 a.m.

Jab se usse dekha hai, tab se maano aisa lag raha hai ki mai hawa me udh raha hu! Maine aaj ke ek bhi lecture pe dhyan hi nahi diya pehele lecture ke siva..jab se usse dekha hai, bas usse hi dekhta rehta hu, man hi nahi karta usse chodke kisi bhi aur cheez par dhyan dene ka!

Aaj ke liye sirf ek sher hai tumhare liye..

Tumhara naam nahi jaanta hu,
Tumhe bhi nahi jaanta hu,
Magar tumhe dekhke aisa laga jaise sadiyo se tumhe jaanta hu..

Ghar laut aaya aaj mai jaise taise,
Par tumhara naam jaana bhool gaya mai kaise?
Ghar se nikla tha dil aur dimag leke,
Par ab jaana ki lauta hu sirf dimag aur tumhari yaad leke..

Tumhara,
Anuj.

○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○

He closed his diary and kept it in his hiding spot, a spot which even his sister, Malvika AKA Mukku also didn't know about. He heard the door bell ring and went out to meet his parents and sister. They all together had their dinner and slept off. Anuj, whenever he closes his eyes, had started to see his mystery girl, standing there at a far distance, shying and looking gorgeous as usual! With the course of time, he fell asleep.
_____________________________________________

Next day morning, Anuj woke up and quickly got ready but paid special attention to his hair and his outfit. Mukku noticed it while getting ready for her school.

Mukku: Arre wah bhai! Special tayar hoya jaa raha hai! Uh-huh kisi ko impress karna hai kya mere bhai ko?!

Anuj: Mukku ki bacchi!

Mukku ran out of reach of Anuj and laughed and went to the breakfast table. Anuj once again set his hair looking in the mirror and went for his breakfast.

He came to the college and started looking around in search of his mystery girl. Vansh came from behind and tapped him on his back to catch his attention.

Vansh: Anuj! Kab se bula raha hu tujhe! Dhyan kaha hai tera?!

Anuj: Vansh..Vansh! Yeh rahe yaar tum! Mai toh tumhe hi dhoondh raha tha!

Pyar ka doosra naam intezarWhere stories live. Discover now