WILL THEY BE TOGETHER??

Start from the beginning
                                    

as-haseena ji,aaj yahi sab khatam kar dete hain,hum sharminda hain apni galtiyon ke liye,aapko dard dene ke liye,jhoote wada karne ke liye,dh..dh..oka dene ke liye(he fumbled while speaking,both were back facing each other,tears flowing down each other's eyes)sabke liye,jo shayad jaane anjane main humse huwi ho.HUm kisi se pyar karne ke na layak hain,aur na prem paane ke,hum pehle hi aapse keh chuke hain ki hum ek agent jo thehere,prem karne ki anumati nahi hain hume.Hum aapko aur dard nahi dena chahte,hum chale jayenge yaha se,umeed hain aap hume kshama karengi,jante hian ki humare galtiyan

hm-galtiyan(she taunted)

as-haan,galtiyan nahi,apradh huwa hain humse,hume kisi masoom ke jazbaaton se khelne ka koi hak nahi,phir bhi hum,hum tehe dil se kshama chahte hain,aur humesha ke liye aapse dur chale jayenge taaki humse aapko phir kabhi koi dard na ho(he started walking towards his bike,he tried alot controlling his teas,but they flew down non stop,he stopped listening)

hm-bhagne ke alawa aata hi kya hain aapko,jab koi musibat aaye bhag jate hain,lekin fark itna ki aap kabhi kisi cheez se nahi bhagte,kisi cheez se nahi darte, lekin apne dil ke mamle main darte,chup reh jate,ya phir Bhai jate,sirf humse bhagte rehte hain,woh bhi tab jab aapne hume apni aadat laga di hain(he turned back to look at her,she was now looking at the moon,tears flowing down,she was broken,he knew that,but he too was not less broken)phir chodke bhag rahe hain,arey hum itne bure hain kya,jo aap baar baar chod jate hain

as-aap nahi,hum hain bure,jo aap jaise ache insan ka saath deserve nahi karta,aap bohot achi hain,lekin shayad hum utne bhagyashali nahi ki aap jaisi life partner hume mile,haan humne aapse kahi jhoot kahe,lekin jo kuch bhi aapse prem ke bare main kahe,ya aapke baare main kahe woh sab sirf sach tha,jo hum wakai mante the,aapse acha life partner sach main hume nahi mil sakta,aapse zyada pray hum sach main kisi se nahi kar sakte,lekin hum sirf aapko dukh aur dard ke siwa kuch nahi de sakte,hum aapse dur rahe yahi uchit hain aapke liye

hm-(wiping her tears)theek hain,yahi khai se hume dhaka de dijiye,maar dijiye hume,aap par kisi ko shak bhi nahi hoga,kyunki humne apna suicide note choda hain (the letter is face to him was her suicide note)aap par koi prashn bhi nahi uthega kyunki koi nahi janta aap yaha aaye hain

as-bas kijiye haseenaji kyu baar baar apne maut ki baat karke humare hriday ko thes pohochati hain(he shouted at her fighting back his tears)

hm-aapke paas dil hain bhi(she taunted)haan hain na,jiss main sabke liye jagah hain,lekin afsos hum apne liye koi jagah nahi bana paye,lekin humare iss dil main sirf aur sirf aap hain,hume aapki adat laga di aapne,humne jo kuch aapse kaha jab humari yadasht nahi aayi,woh sab sach tha,hum sach main ab aapke bina nahi jee sakte,hum jeete jee mar jayenge,jab hume koi yaad nahi tha,humari wardi tak yaad nahi thi,humare abbu ke maut ke baare main yaad nahi,tab bhi hume aapka ehsas yaad tha,arey hum aapke alawa kabhi kisi aur ko apna dil nahi de sake,toh aapne soch bhi kaise leiya ki apka yu jhoot bolke humari zindagi se jaane par hum aage bad jayenge,aap kabhi humare taraf se nahi sochte,sirf apna faisla,apna paksh rakhna hain,aap bohot selfish,opportunist person hain,arey itne dinon se jab hum keh rahe the ki hume aapke saaht rehne ka ehsas jana pehchana lagta hain tabhi kasht karke kyu nahi batay sab kuch.jab itne dinon se aapke samaksh the,hume sach kyu nahi kaha,kyu aaye paas humare agar aapko chodkar Jana hi tha,kyu lagai apni adat hume,kyu phirse pyar hain kehke aa gaye,kyu baar baar humse dur jane ki baat keh kar humare iss dil ko yu ghanv dete hain ki woh samay ke saath bhi nahi bharta,kya galti ki humne,aapse pyar karna,kya aapse pyar karna humari galti thi,ki itni saza mil rahi hain hume(she shouted the last line,falling down on her knees.he came to her and sat down along with her and held her close  to him)

as-galti aapki nahi,humari hain,hum sirf aapna hi dekhte hain,hum hi aaye aur aapki zindagi barbad kar di(she placed her hands on his mouth,indicating to stop)

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now