HASEENA

1.1K 89 21
                                    

Soon ammi came and saw karishma and pj there holding an envelope,which she assumed to be the dnareport and she was sure that the person laying on the bed was none other than her own daughter haseena.

am-abhi koi shak ki gunjayaj hain ya 

ks-nahi,koi shak nahi,hum bayan bhi nahi kar sakte ammi ki hum kitne khush hain ki hume humari maddam sir mil gayi,thane ki jaan wapas mil gayi(she said with a smile)

am-karishma,hum ek ma hain aur apne bache ko sirf uske ehsas se jaan sakte hain,ek ma ko kisi dna test ki zaroorat nahi padti uske khoon ko pehechane ke liye,aur tabhi jab woh uske shauhar ki eklauti ehsas ho,haseena ke hone se,sahil ji ke hone ka ehsas hota hain hume,lekin ab hume yeh samaj nahi aa raha ki haseena uske abbu ke maut ki khabar tak yaad nahi,kaise ustak phirse ye pohochayenge,humne dekha hai nusse kaise uski abbu ki maut ke khabar aane par,ek ansu bhi nahi bahaya isne kisi ke samne,lekin raaton raat der tak jaag kar shanti se ansu bahati rahi meri bachi,usse phirse iss dukh se guzarte huwe nahi dekh sakti main,tabhi sirf mujhe sambhalne ke liye woh ek muskurahat apne hothon pe saja ke rakhti thi,taaki hum haar na maane,par meri bachi ne kitne duk apne andar rakhe hain yeh baat main janti hoon.apne abbu ke bohot paas thi yeh,ladli,abbu ki pari,jaan sab kuch thi,yeh dono saath ho toh inhe pure duniya ki koi farak nahi,nahi humari kami inhe lagti,bas dono baap beti milke puri duniya idhar ki udhar kar dete(she chuckled with tears)unke baad haseena se jaise ki uski atma hi chin gayi ho,ab phirse dobara yun usi dukh se guzarna,itna majboot nahi hain meir bachi ka dil.Tumhari maddam sir,jazbaati sahil ji ke jaane ke baad se huwi hain,usse pehle toh woh bohot shararti,chulbuli si ladki thi,koi boring sa bhashan,ya jazbaat aisa kuch uske paas se chuke bhi nahi gaya.Sirf ek asli muskurahat rehti thi,bachon ke jaise masum thi,woh toh apne abbu ke maut ke baad duniyadari,jazbaat aur tajurba leke ghumne lagi,apni muskurahat,khushi azadi sab kuch chod di peeche,sirf desh desh ki sewa,aur main iski duniya ban gayi,tabhi uska yaha posting huwa,mahila thane main,phirse meri bachi muskurane lagi,woh jo noor iske chehre se kahi kho sa gaya tha woh wapas lautne laga,laga ki mujhe meri hasi phirse wahi pehli wali hasi mil gayi,anubhav se pyar karne lagi,arey bohot mohobaat karti thi woh apne anubhav se,lekin usne yeh silah diya meri bachi ko,kya halat ho gayi hain iski,humesha khush si rehti thi usse prem ka izhar karne ke baad,saath yeh dono wakt bitate the,hume khud inhe dekh kar kitni khushi hoti thi,lekin phir woh sagai wala incident aur phir gumsum si rehne lagi.Puri duniya ko bewakoof bana sakti hain,sabse apne dard bakhubi chipa sakti hain,lekin hum ma hain inki,humse inka dard chuppaye nahi chupega,phir bhi bohot koshish karti hain taaki hum dukhi na ho,humare ankhon se koi ansu na aaye,isliye khud humare hisse ke dukh bhi pee jati hain,apne jawani ke din,sirf farz,desh prem nibhate rahi,apne liye toh jeena mano bhul si gayi hain,ab jab yeh unhi purane dino main gayi hain jab woh khushi se rehti thi,hume unki yadasht wapas lane ki koi bhi zaroorat nahi lagti,yeh wahi khushnuma samay hain jab humari bachi asli main muskurati thi,asal mayne main khush rehti thi.(Saying so she started caressing her hairs.)

ks-lekin ammi,anu bhaiya ka case chal raha hain haseena maddam pe,encounter ka inzam hain.Aur yeh ab thane ki sho hain,in sab karanon ki wajah se unhe yadasht wapas aana bohot zaroori hain,nahi toh inhe jail bhi ho sakti hain,kyunki pura sach inke aur anubhav singh ke alawa koi nahi janta.

am-janti hoon,isliye hi hum koshish karenge ki inhe sab jald yaad aaye.(The doctor was standig there only along with a ward boy,who had hide hi face in a mask,the doctor entered into the conversation)

do-inhe woh purane cheeze yaad dilane ki koshish kijiye,jo yeh pichle chaar saal se ki ho,lekin I would suggest ki inke abbu ki maut ki khabar inhe abhi na sunaya jaye,head injury hain,aisi serious news pata nahi kaise digest kar payengi,moreover aapne jis tarah inki aur inke dad ki bonding ke baare main elaborate kiya hain,I would suggest ki filhal ke liye aap unse unke baare mian jhoot hi bole,baaki sari achi yaadein inhe yaad dilayiye,jaise inhone apka thana kaise join kiya,koi case and all,only good news and thoughts hi yaad dilaye,kyunki buri khabar ya baatein pata nahi inka brain handle kar payega ya nahi.Koi ateet ka khas admi,kuch khas kissa,jo in beete char salon main huwa ho,in sab se shuruwat kijiye.Take it slow,aur ek baar main bohot si baatein na bataye,dheere dheere,kyunki warna asar ulta bhi ho sakta hain,jo kuch unhe yaad ho woh bhi bhul jaye,so aram se.Rest she is fine,hum kal tak inhe discharge de sakte hain.

am-ji doctor

Soon haseena's sleep broke and she opened her eyes,only to find ammi caressing her hairs,she smiled looking at ammi,ammi too smiled looking at her.

hm-good morning ammi(she said in her low morning voice)

am-good morning humari jaan,ab aap kaisa mehsoos kar rahi hain

hm-ab theek lag raha hain,bas thoda sir bhari sa hain

am-aur aram kar jaldi theek ho jayengi aap phir,phir ghar chalenge

hm-aabu abhi tak nahi aaye,warna toh hume kuch bhi ho daude daude aajate hain

am-aap bhul gayi,aapke abbu mission pe hain na,unhe isliye khabar nahi pohochayo,warna mission sab chod ke yahi aajate,apni rajkumari ke paas nahi(she said caressing her cheeks)

hm-acha hi kiya ki unhe nahi bataya,nahi toh unse bhi hume dant milti,ki yeh kya haal bana diya hain tune apna hasi,dhayn hi nahi rakhti,aur phir unki evergreen dialogue,'mere bina tera kya hoga hasi'(she chuckled,ammi smiled with tears,reminiscing those moments)

am-haan

hm-arey,yeh kya,aapke ankh abhi bhi bhare hain,yaha aayenge na aapke sahil ji,toh bolenge,'salma I hate tears'(she said wiping her tears)aur phir aise poch ke phir(she tickled her ammi)aise hasate(ammi smiled due to the tickle,but inside she was crying,loud,but kept all the storm inside her,cause it's her turn now to stay strong for her daughter,she could not give up,moreover giving up is not in her blood,after all she is the mother,the sole lady behind our strong haseena mallik,she is the  sole pillar who gives theutmost strength to her daughter,how can she fall down at this crucial moment of their lives.)

do-abhi aap kaisi hain

hm-bilkul theek doctor

do-aap kal tak discharge ho jayengi,but I would suggest ki aap kaam par na jaye,waise aap job kya karti hain

hm-hum bhi ek doctor hain.Dr.Haseena Mallik,pediatrician hain,yahi lucknow city hospital main kaam karte hian pichle 2 saal se.

do-toh aap agar  zyada exhaustion nahi le,then you can join back,phir dheere dheere you'll recover soon,Take care

hm-thankyou doctor(the doctor left,the wardboy was still standing there,looking at haseena,haseena at once looked at him,she smiled at him,then he got cautious and left from there.While haseena found it strange,but she decided to leave it)

am-hasi aap aram karo,hum yahi bahar hain theek hain.

hm-ammi kabse aaram hi toh kar rahe hain,hum pak gaye hain aram karke,aise toh hum yahi baithe baithe mote ho jayenge

am-aise thodi ek do din main koi mota hota hain,hmm,so rest(hm nodded and she laid down while ammi made her cover with the quilt and kissed her forehead and all of them moved out of the room.)

CONTINUES.....

PLEASE VOTE,COMMENT AND FOLLOW IF YOU FIND IT WORTHY.YOUR SUPPORT MEANS ALOT.

THANKYOU!!!!!

DO TELL YOUR SUGGESTIONS.....

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now