THE FULL MOON NIGHT

Start from the beginning
                                    

hm-hum jhoot nahi bol rahe,haan yeh tasveer main hum dono hi hain,par yeh hum waise kuch nahi kar rahe the jaisa ki ismein dikh raha hain

me-haan haan,main kaise bhaorsa karu tujhpar jab tune tum dono ki date karne wali baat bhi mujhe nahi bataya

hm-meri ma hum dono koi date wate nahi kar rahe,aur agar humne kisi ko bhi date kiya,toh sabse pehle tujhe hi batayenge,aur hume koi pasand bhi aaye woh bhi tujhe hi pehle batayenge promise

me-toh yeh picture,can you please explain haseena mallik

hm-yeah sure

FLASHBACK

HM-hume uss din raat ko neend nahi aa rahi thi aur ammi bhi so chuki thi,isliye hum aise hi balcony main khade the,jab dekha ki neeche garden main mast hawa chal rahi thi,aur pura chand bhi khila tha,mausam bahut ruhavna sa lag raha tha,isliye hum neeche thodi der hawa khane,aur mausam ka luft uthane garden main chale gaye,aur bench par baith gaye,yoon chand ko dekh hi rahe the ki achanak se hume laga humare bagal main koi aake baith gaya,jab dekha toh pata chala ki woh anubhav they

as-aap yaha akele iss samay kya kar rahi hain

hm-hum toh bas iss mausam ka luft uthane aagaye hain,kitna acha mausam hain(she said with a smile on her face, a smile showing satisfaction,calmness)waise yahi sawal hum aapse bhi kar sakte hain

as-hum balcony main khade the aur hume neend nahi aa rahi thi,jab neeche dekha toh aap bageeche main baithi huwi nazar aayi,aur phir hum yahi aa agaye socha akele chand ko niharne se acha hain kisi ke saath hi nihar le

hm-(just smiled back in response,they both were just enjoying the breeze,and the silence,which spoke much more than their words,it's said right that at sometimes silence is more beautiful than any words,is much better than thousands of words out there.Sometimes you have to stay silent because no words can explain what is going on in your mind and your heart.And here right down the night sky that is well lit with the moonlight,they both were enjoying the atmosphere and each other's presence.Today maybe she could feel somewhere that he too liked her presence that is why he came to accompany her,moreover he said this through his words.

as-shayad ab wapas chalna chahiye,kyunki thand bad rahi hain,aapki tabiyat kharab ho sakti hain haseena ji

hm-nahi hogi

as-ho jayegi,chaliye,aapko kal hospital nahi jana kya

hm-jana toh hain

as-toh jaldi so jayiye,nahi toh subah nahi uth payengi

hm-par kitna acha mausam hain,aur pura chand bhi hain,hume bohot acha lagta hain aisa mausam,pura chand,asman sitaron se bhara,aaj kal toh shehron main bohot kam hi milta Hain aisa nazara,toh jab mile khulke anand uthana chahiye

as-aapko chand bohot pasand hain kya

hm-haan,kyunki suraj se 

hm-aapkko chand nahi pasand?

as-hain bhi aur shayd nahi bhi

hm-aap paheli bujho toh jano khel rahe ho kya humare saath(she chuckled,he smiled back)

as-aaj kal toh zindagi khel hi lagti hain,woh chodiye aapko chand kyu pasand hain

hm-koi khas wajah nahi hain,lekin iss chand ko dekhke hume kuch khayal aate hain,lagta hain ki shayad aise hi chand ke neeche hum pehle bhi baithe the,lekin farak itna ki shayad koi aur bhi humare saath tha,aisa lagta hain ki shayd humne kahi kuch bayan kiya uss insan se,apne dil ki kahi baatein usse bayan kiya,lekin woh kaun hain hum nahi jante,yeh aise toote toote tasveerein humare dimag main chapi hain,jo lagta hain ki sach hain,wakaye humare saath aisa kuch huwa hain,lekin phir hume kuch yaad kyu nahi,bohot se sawal hain,lekin jawab humare paas nahi,aapka naam bhi kisi file pe ya kahi nahi pada,par bas pata hain,ki aapka naam ANubhav singh hain,uss din lift main jhoot kaha humne aapse,kyunki hum khud kashmakash main the ki hume aapka naam kaise pata,phir humne woh khayal hi chod diya,par aaj kal aise khayal aksar aate hain,na jane kyu aisa lagta hain ki kuch hain,bohot bada jo humse chipa hain,jo shayad hume pata hain lekin phir bhi nahi pata,sawal kahi hain,lekin shayad jawab bhi sirf humare hi paas hain,jabhi inn toote tasveeron ko achanak hi dimag main aate hain,inhe jodne ki koshish karte toh sir main bohot zyada dard hota.aur hum aagey nahi soch pate

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now