AMMI TRIES TO TELL HASEENA THE TRUTH

Start from the beginning
                                    

me-rehne de jab yeh sach hoga na,tab tu ched mohe aise

hm-uff,cheesy,ched mohe kya hota hain,apne ayush ko bol chedne tujhe

me-hasi

hm-meera

ay-ho gaya ho tum dono ka toh ghar chale

hm-humara ho gaya,iss meera se puch lo uska huwa ki nahi(whispered to meera-tu kahe toh bol de ayush ko tujhe thoda chedne)

ay-lagta toh nahi hasi ki tera ho gaya

hm-ho gaya final,chalo bye good night(saying so they all retired back home)

The next day haseena was having her breakfast,cause she was having an off today from the hospital

hm-ammi abbu kab aayenge,ab toh humare accident huwe bhi ek mahina ho gaya,lekin inka mission khatam hone ka naam hi nahi le raha

am-aayenge,jald hi(she said lost,moreover sad over saying lies to her daughter again and again,giving her false hopes)

hm-nahi,aap yahi toh bol rahi hain pichle ek mahine se,yeh jald hi matlab kab

am-hasi hume kaise pata hoga

hm-toh aap phone kariye na raw headquarters,warna toh jabhi late hota tha aap toh phat se call kar leti thi,ab kya hogaya,kahi humari salma ji abbu se naraz toh nahi

am-hum unse nahi,woh humse naraz hokar chale gaye

hm-kuch bhi,woh apni salmaji se naraz,yeh toh sapnon main bhi nahi ho sakta

am-hasi,aap woh chodiye,agar sahil wapas aaye hi nahi toh

hm-mazak aachaa kar leti hain aap

am--kyu woh mission pe gaye hain,kuch bhi ho sakta hain

hm-woh mission pe pehle bhi gaye hain,kuch nahi huwa na,aaye na wapas,abhi bhi aayenge,aur yeh kya anab shanab bol rahi hain aap,thoda late ho gaya toh kuch bhi ulta pulta sochengi,kuch na kuch karte rahiye aap,warna dimag jab khali hota hain na toh shaitan ka adda ban jata hain,isliye aisi bakwas baatein kar rahi hain aap(she said a bit hyped)

am-hasi yeh bakwas nahi hain,aap ,kaise samjhaye hum aapko

hm-aap hume nahi hum aapko kaise samjhaye,aapko toh aapke sahil hi samjha sakte hain,kuch bhi bakwas kar rahi ho,aane do unhe

am-hasi,yeh ek possibility hain

hm-haan toh woh wapas aayenge,yeh possibility nahi,sachai hain,vishwas hain humara,bas

am-hasi woh mission khatarnak hain,unhe kuch bhi ho sakta hain,ho sakta hain ki woh wapas hi na aaye,hume har cheez ke liye taiyar hona chahiye

hm-ammi please(saying so she went to the door.pushed aside her plate,a little and went stormed away)

am-hasi aap humari baat toh 

hm-nahi sunni koi baat,baat nahi bakwas kar rahi hain aap

am-haseena(but of no use she had went slamming the door loudly taking her phone she went)kaise samjhaye hum aapko,ki aapke abbu kabhi wapas nahi aayenge(she sat down on the floor weeping,tears flowing down her eyes continuously,she took a photo of sahil,her husband,abbu)kyu upparwale,kya bigada tha humari bachi ne,jo usse yeh asahniya dard phir jhelna pad raha hain,kaise,abhi toh maane ko bhi taiyar nahi hain,lekin kabhi na kabhi usse sach pata chalega,tab kya beetegi uss par,kyu,sahil,aapki beti ko aapki zaroorat hain aur aap hain hi nahi apni hasi ke paas,kiya tha na unse wada ki aap har wakt apni hasi ke saath rahenge,woh sirf iss baat ki possibility par ki aap nahi rahe itni hyper ho gayi toh jab yeh sachai pata chalega tab kya hoga,itni saari takleefein,pareshaniyon se kaise ladegi humari bachi,kuch khaya bhi nahi,abhi toh theek huwi thi thodi thodi.Nahi salma tu aise har nahi man sakti,tujhe apni haseena ke liye ladna hoga,usko samjhayenge,ache se,aise haar thodi manenge,warna sahil ne jo humpar bhaorsa karke unke hasi ko choda,unnhe hum nirash thodi kar sakte hain.Sahil hum aaj bhi aapse bohot pyar karte hain,aur karte rahenge,I love you and I miss you alot.(after having a good crying session she wiped all her tears and decided to make paneer haseena's favourite to light up her mood.)

While in the garden of the society,Haseena was sitting on a swing,on which two can sit,swinging slowly,lost somehwere.

HM POV:kuch bhi kehti hain ammi,kuch nahi huwa hain aabu ko,bohot khatarnak mission hain na,bas isliye time lag raha hain,warna woh apni hasi se kiya wad thodi tod sakte hain,Abbu jaldi wapas aa jayiye bas,aur itni sari baatein karni hain aapse,humari personal diary hain aap,apni diary se baat kiye bina hum kaise reh rahe hain hum hi jante hain,acha atleast accident huwa uske liye datne ke liye hi jaldi aa jayiye,aur phir ammi ko bhi hum dono apne tareeke se samjhayenge,arey ammi bhi na,par humne bhi unpar be matlab awaz utha liya,upar se gusse main darwaza bhi band karke aa gaya,par unhe aise sab bolne ki kya zaroorat thi,chodo thode der main jake maafi mang lenge,abhi ammi gusse main huwi toh hasi lene ke dene pad jayenge(she was all lost in her thoughts when...)

CONTINUES....

PLEASE VOTE,COMMENT AND FOLLOW IF YOU FIND IT WORTHY.KEEP WATCHING Madam SIR FROM MON-SAT AT 10PM.

THANKYOU!!!!

PRECAP-HASEENA APOLOGIZES

When love lasts💞✅Where stories live. Discover now