Akshara- mera kanyadaan aapne kiya hai bhaiya...jo farz pita ka hota hai vo aapne nibhaya hai...toh jo aashirwaad lene ka hak mujhe mere papa se tha vo ab aap hi se lungi na

Kairav looks at both of them amazed. They both again bend and touch kairav's feet. Kairav makes them stand. He couldn't control himself and hugs both of them tightly. Akshara and abhimanyu too smile and hug kairav.

Kairav breaks the hug- always stay happy and together...god bless u both

They were interrupted by arohi's scream.

Arohi- Akshara abhimanyu

They see full family standing there with shocked expressions. The family comes near the three of them.

Swarna holds akshara's arm- ye tune kya kiya akshu...shadi kar li...vo bhi abhimanyu se jo teri behen ka hone wala pati tha

Akshara is hurt hearing her.

Arohi holds akshara's hand and turns her towards herself and gives her a tight slap. All were shocked. Abhimanyu immediately holds akshara who herself was shocked and teary eyed while kairav immediately comes in between arohi and akshara and glares arohi.

Kairav angrily- ye kya badtameezi hai arohi

Arohi angrily- aur jo isne kiya...uska kya bhaiya...meri shadi ke din mere dulhe ke sath akshara yaha phere le rahi hai...vo thik hai bhaiya

Kairav sternly- nahi...lekin is tarah akshu par haath uthana bhi galat hai

Abhimanyu angrily- akshu ko main yaha laya tha...shadi karne ke liye bhi maine akshu se kaha tha...tumhe jo kehna mujhse kaho...jo karna hai mere sath karo...akshu ki koi galti nahi hai

Manjiri holds abhimanyu's arm- abhi...beta ye sab...

Abhimanyu interrupts softly- maa aapne kaha tha na ki aap ham dono ke sath hai...hamara yahi faisla tha maa...ho sakta hai ham galat ho lekin hame koi dusra option nahi dikh raha tha...sorry

Manjiri nods in no and cups his face- main hu tum dono ke sath aur main khush hu ki tum dono ne kam se kam apne rishte ko ek naam diya hai...izzat di hai...is tarah bas bhaag nahi gaye

Abhimanyu had a smile on his face hearing manjiri's approval. Akshara was still looking at arohi.

Arohi shouts angrily- wow...toh ab tumhe apni maa se approval bhi mil gaya...congratulations...aur kiska approval chahiye...because i am sure akshara apni emotional baato se kisi ko bhi mana legi...jaise hamesha karti aayi hai (looks at akshara) tujhe khushi mil gayi...pehle meri maa ko mujhse cheena...fir papa ko...uske baad se lekar abhi tak tu mujhse mera har credit...mera har sapna...meri importance sab kuch cheenti aayi hai na...aur aaj dekh tune mujhse mera dulha bhi cheen liya...abhi bhi man nahi bhara ho toh aur kuch bhi cheen le...bol aur kya chahiye tujhe

Akshara crying- aisa nahi hai aru...please meri baat sun le....

Arohi interrupts angrily- just shut up ok...mujhe tumhare muh se kuch nahi sunna...mil gaya sukoon mujhe aaj sabke samne embarass karke

Kairav tries to calm arohi- aisa nahi hai arohi...ek baar meri baat sun please...

Arohi shouts- nahi bhaiya...aap bhi bataiye kya main galat hu...aapne mujhe galat kaha kyoki maine akshu ko thappad maara lekin bhaiya jo thappad akshara ne bina haath uthaye mere muh par maara hai uska kya...aapko yaad hai bachpan me bhi jab main first aati thi aur akshu mushkil se paas ho paati thi uske bavjood meri mumma akshu ki taareef karti thi...sab especially papa mujhe praise karne ki jagah use console karte the...papa akshara ko unki jaan kehte the aur main...main nahi thi unki jaan...sirf isliye ki akshara naira ki beti thi aur main sirat maa ki...sach toh yahi hai na ki papa naira ke jane ke baad bhi unhe kabhi nahi bhul paye...meri mumma ko vo jagah kabhi mili hi nahi jo unki thi kyoki vo toh naira ki thi na...aur naira ke marne ke baad unki beti ne mere sath vahi kiya jo naira ne kiya tha meri sirat maa ke sath...kabhi bhi papa ke dil me mujhe aur sirat maa ko aane hi nahi diya...unhe kabhi bhi hamare kareeb nahi aane diya...jab bhi papa hamare sath time spend karte the tabhi akshara ko panic attacks aate the...tabhi uski tabiyat kharab hoti thi...ye akshara kabhi mujhse jeet nahi payi na...main hamesha se number one thi...padhai me...career me...isliye ye jalti hai mujhse...bloody low class gavar

Abhira ff: Dil tune chuaaOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz