Abhinav's Decision

704 81 13
                                    

After knowing Haseena and MPT's past he came down to the parking where KarEena were waiting for him.

Abhinav: Miss. Malik humne Commissioner sir se baat karli hai. Hum kal se duty join karenge aap abhi ke liye hume humare apartment mei chod dijiye

Haseena: Ji sir.

After dropping Abinav to his apartment the duo left for Thaana. Haseena has to handover some work to Karishma.
They entered the Thana

Pushpa: Maddam sir yeh naye DSP Sir kaise hai?

Haseena: Hum aap sabko direct dikhate hai na

Haseena opened her gallery there was a picture of Abhinav which was sended by Commissioner sir.

The all were shocked upon seeing his face.

Santosh: Ek minute, Maddam sir humbe naye DSP sir ki photo dikhana ko kaha tha aap Anubhav sir ki photo kyun dikha rahi hai?

Karishma: Kyunki yahi hai humare naye DSP Sir. DSP Abhinav Mehra.

Cheetah: Par yeh kaise ho sakta hai?

Haseena: Ho sakta hai cheetah. Duniya mei ek hi shakal ke 7 log hote hai. Shayad Abhinav Sir ka chehra Anubhav se milta ho

Karishma: Yahi hoga maddam sir

Haseena: Chaliye everyone get back to the work. Kal se hume Headquaters jana hai aur aap sabko Karishma ke orders follow karne hai

All: Yes Maddam sir

Haseena: Hum cabin mei jaa rahe hai thode files ko handover karne jaa rahe hai.

All: Ji Maddam sir (sadly)

Haseena with Karishma went in the cabin. As soon as they entered the cabin Karishma hugged her tight.
Haseena patted her back to calm her down. After sometime she broke the hug and began moving in the cabin while saying.

Karishma: Maddam sir hume aapki bohot yaad aayegi. Aur jo yeh cabin hai na yeh aise hi rahega ek cheez yaha se waha nhi hoga. Aur yeh jo aapki kursi hai na yeh bhi sirf aapki hi rahegi. Hum kisi aur ko nhi baithne denge. Kabhi bhi nhi

Haseena came near her and put her hands on her shoulder.

Haseena: Hum kahi bhi nhi jaa rahe hai Karishma humara toh bas kuch dino ke liye Headquaters mei transfer huwa hai. Jaise hi DSP sir sab seekh jaayenge hum wapas aa jayenge. Waise bhi ek panchi laut ke apne jahaz mei hi aata hai. Waise hi hai hum kuch dino ke liye jaa rahe hai jaise hi sir sab kuch jaan chuke honge Lucknow ke baare mei tab hum waapas aa jayenge

Karishma: Aur tab tak ke liye hum waada karte hai ek hum bilkul gussa nhi karenge, saare cases jazbaat se solve karenge.

Haseena: Hume aapse yahi ummed hai.

They were sharing a sweet eye lock. Tears were formed in Karishma's eyes. Karishma hugged her tight.

Voice: Yeh galat baat hai humare bina yaha aap dono hug kar rahe hai

They turned to see everyone standing there. KarEena chuckled. Haseena directed them to join the hug. One by one Santu, Cheetah and Pushpa ji joined them

Haseena's POV: Ya Allah hume shakti dijiyega ke hum sab kuch jald se jald theek kar sake. Apne pariwaar ki khusiyon ko unhe waapas lauta sake.

Here in Abhinav's room he was laying on the back in his bed drowned in Haseena's thoughts.

Abhinav's POV: Haseena ji sachme aap paas koi ma koi jaadu ki chadi hogi. Hume hi dekhiye hum pehli hi baar mei aapse pyaar kar baithe. Hum mante hai ke aisa nhi hona chahiye tha par ab ho gaya hai.
Hum waada karte hai khudse ke hum aapki saari khusiyaan lautake rahenge.
Aapki life mei Anubhav sir ki kami hum puri karke rahenge. Aapki muskaan aapko lautayenge.
Sabko khush hone ka haq hai aur aapka khush hone ka hak hum aapko dilayenge. Chahe uske liye hume kuch bhi karna pare

He slept with these thoughts.

In Thana it was night now and Haseena's last day there.

She was walking out.

Haseena: Chinta mat kariyega humara hum koshish karenge ke har roz aap sabko call kar sake. Aur weekly reports lene toh hum aayenge hi aur phir kuch hafto baad jab DSP sir pure Lucknow ko pehchaan jaayege tab hum waapas udd ke apne ghar laut aayenge.

(TO KARISHMA) Karishma hume puri umeed hai me aap iss thaane ko bohot ache se sambhal paayengi. Agar kabhi bhi kisi case mei humari madad chahiye hogi toh aap hume bejhijhak phone karenge.

Karishma nodded her head

(TO PUSHPA JI) Pushpa ji aap apni bahurani ko gussa kabu karne mei madad karengi. Jab bhi aapko aisa lage ke woh gusse mei hai tab aap unka gussa shaant karne ka koshish kariyega. Aur agar kabhi bhi Billu lauta toh use na Jail mei band karke rakhiyega hum aane ke baad uski jamm kar khabar lenge.

Pushpa ji nodded her head

(TO SANTOSH) Santosh Sharma jaise aapne itne dino se humari madad ki waise hi Karishma ki karni hai. Aap massum hai par Intelligent bhi. Apna aur pure thaane ka dhyaan rakhiyega. Agar aapne rakh liya na toh hum aapke quater ke nal almairah sab theek karne humare carpenter aur plumber ko bhejenge

Santosh begin to cry

Haseena: Rote nhi hum jald hi waapas aayenge

She said while wiping her tears.

(TO CHEETAH) Cheetah night duty theek se karna soo mat jana aur jab billu aayega tab ek zor dar Karishma wala kantaap maarna use. Aur warning dena ke agar woh waapas apne pariwaar ko chodke gaya na toh uski taange tod denge. Pure thaane ko jaise ab tak hasaya hai na waise hi hasate rehna

Cheetah too nodded.

Haseena left in the car. After going to home she first informed about her sudden transfer to Headquaters and about the DSP but didn't show his pic.
After having dinner she left for her room. She removed the curtain and started talking to Anubhav's picture.

Haseena: Anubhav aapka hum shakal humar naya DSP banke aaya hai. Uski badaulat hume har pal aapki yaad aati rahegi. Jab pehli baar use dekha na toh laga ke jaise aap hi hai. Par aap kaise laut sakte hai. Kal se hum bhi Headquaters jaayenge as the assistant of DSP.
I Love You Anubhav

She kissed that photo and hugged it tight.

HUMARI ADHURI KAHANI? Where stories live. Discover now