33

7 1 0
                                    

" wo tab se chance dena chahta hai jab se wo tumhe pehli baar hunza mai mila tha ya shayd jab se usne tumhe jana tabse.. zubia hum samjha sakte hai magar force nahi kar sakte alhir zindagi yum dono ne sath jini hai humne nahi.. yeh faisla uska uski marzi se tha.. "

Zubab ka jawab kahi na kahi such tha wo samjha sakte hai bas force nahi kar sakte kisi cheez ke liye.. zubab ke jawab pe wo mutmain hoi thi..

" mutmain ho is sab se "

Zubab ne poucha tha..

" jii Allhamdullilah itni mutmain life mai pehle kabhi nahi hoi jitni ab ho "

Zubia ne kaha tha..

" bas phir ab naat khatam past ko choro ab Present mai jiyo.. "

Zubab ke kehne pe usne halka sa han mai sar hilaya tha..

****************

" next week mai turkey ja raha ho "

Magrib ki namaz ke bad wo dono ghar wapis arahe the jab farhan ne usse bataya..

" Business trip "

Zaigham ne poucha tha..

" han tu is baar zubab ko sath le kar jao ga sarim yaha mamma ke pas reh le ga "

Farhan ne bataya tha..

" usse humare pas chor de "

Zaigham ne kaha tha.. jispe farhan ne uske sar pe mara tha..

" tum apni new life ko time do ge ya sarim ko sambhalo ge "

Sawal kia tha..

" dono "

Maze se jawab dia tha zaigham ne..

" waise tumhara kia plan hai "

Ghar agay the chai ka bol kar wo dono garden mai baithe the..

" kia matlb "

Zaigham ne poucha tha apne phone ko table pe rakhte hoe..

" mera matlb tum dono ne kahi ghomne nahi jana "

Farhan ke pouchne pe wo awkward sa hasa tha..

" bhai jay ge magar abhi kaise office ko itne din.. "

Wo bahana bana raha tha joke wo samjha tha..

" at least bahana tu koi acha bana lete kam ka jaise mai janta nahi such bolo kia masla hai "

Farhan ne rob se kaha tha bilkul ek bare bhai ki tarha..

" bhai abhi tu hum dono ek dosre ko samjh rahe hai abhi na wo theek se comfortable hai na shayd mai aise mai usse jane ka pouchna theek nahi lage ga.. ek bar hum dono ek dosre ko jan le sahi se phir In Shaa Allah "

Zaigham ne kaha tha jiska jawab mai farhan ne bhi In Shaa Allah hi kaha tha..

Kuch hi dair mai zubia un dono ko.. wo dono apni business or idhar udhar ki baato mai magan the jab door bell hoi thi jake khola tu samne doo larkiya thi ek tu pakka tha na haya hai zubia ki doat jisse hunza mai usne madat mangi thi joke nahi mile thi dorsi shayd wo wali thi jo haya ke ghar ke bahar mili thi jiske sath zubia andhar ghar ke gai thi..

" Assalamulikum zubia hai "

Zaigham ke gate kholne pe haya ne poucha tha..

" waalaikum a salam jii hai ay "

Salam ka jawab de kar usne unhe andhar ane ka rasta dia tha..

" ay "

Kehta unhe andhar le kar gaya tha jaha zubia maham or zubab ke sath kisi baat mai magan thi...

" bia "

Zubia ko dekh kar mahnoor ne bolaya tha.. zaigham wapis bahar garden mai ja chuka tha..

" tum dono ao baitho "

Wo heran hoi thi un dono ko waha is waqt dekh kar unexpected tha unka ana agar dekh kar uska chehra khil utha tha.. un dono se gale mil kar usne un dono ko waha baithne ka kaha tha..

" yeh zubab appi hai or yeh aunty or yeh haya or mahnoor hai "

Zubia ne un sab ko introduce kar waya tha..

" bia konsa wala "

Haya ne apne bag se wedding cards nikal kar usse poucha tha..

" omg cards agay "

Zubia ne khushi se poucha tha..

" nahi abhi kal hi zeeshan ne kuch cards select kiye the un mai se hum dono ko sab se zada yeh do pasand ay soucha tumgari ray bhi le konsa zada acha hai.. "

Haya ne bataya tha..

" apki shadi hai "

Maham ne poucha tha jis pe haya ne sharmani ki bohot bori acting karte hoe han mai sar hilaya tha.. wahi wo dono bas lamba sans leti reh gai thi..

" jii In Shaa Allah next month "

Haya ne jawab dia tha..

" mai chai bana kar lati ho "

Zubab yeh kehti ithne lagi thi jab mahnoor ne usse roka tha..

" nahi nahi ap baith jay is ki koi zaroort nahi hai hum ba jane hi lage hai.. "

Mahnoor ne kaha tha..

" itni jaldi "

Zubia ne poucha tha..

" han hamzq bqhar gari mai wait kar rahe hai "

Mahnoor ne bataya tha..

" bhai ko andhar bolalo na "

Zubia ne kaha tha..

" nahi bas tum batao konsa "

Cards pe ishara karte hoe mahnoor ne kaha tha..

" yeh wala mujhe pasand aya hai "

White or cream color wale pe zubia ne kaha tha..

" hume bhi "

Haya ne has kar kaha tha.. "

" acha ab hum chalte hai bia gate tak chor ao "

Apni jaga se khare hote hoe haya ne kaha thq jispe zubia uthi thi un dono ke sath maham or zubab ko Allah hafiz keh kar wo dono gay the..

" ab batao kis baat ka dar tha kiyu dar lag raha hai "

Mahnoor ne poucha tha gate ke pas pounch ke kal wali zubia ki baat yaad ai thi..

" tension na lo "

Zubia ne usse kaha tha..

" bia "

Haya ne usse ghora tha..

" yehi ke kahi mai bojh tu nahi ban rahi ajeeb ajeeb se waswase arahe the bas "

Zubia ne apne dar ki waja batai thi..

" bia dil mutmain haina tu bas sab darne ki baat nahi hai hmmn"

Mahnoor ne usse kaha tha or gale lagi thi jiske zubia ne bhi han mai sar hilaya tha..

Kuch hi dair mai zubab or maham bhi ja chuke the..

viraanWhere stories live. Discover now