Past Continuation

Start from the beginning
                                    

Prerna - But mujhe bura bhi lag raha hai.

Naira - Ab kyu bura lag raha hai?

Prerna - Tu chali jayegi to mera kya hoga?

Naira - Sahi baat hai, ab jiske pass dimag na ho use kisi samajhdaar ki jarurat to padti hai 😏

Prerna - Accha ji

Naira - Hanji

Prerna - Accha thik hai mai ghar ja rahi hu kal milte hain.

Next day

Basu Mansion

Mohini - (To staff) Ye sara samaan singhania villa pahucha do. Kisi chiz me koi kami nahi rehni chahiye. Mere ek laute bete ki shaadi, sab accha hona chahiye.

Maloy - Tum tention mat lo sab accha hi hoga.

Nivedita - Mom aapko nahi lagta, hame itni jaldi shaadi tay nahi karni chahiye thi.

Mohini - Nivi koi baat hai kya, tum kal bhi yahi bol rahi thi, kuch hai kya?

Nivedita - Nahi mom but fir bhi, mujhe uske iraade thik nhi lagte, I mean.... Khair chodiye hum function per focus karte hai.

Goenka villa

Suhasini - Swarna kartik ki photo bhejwa dena Malhotra's ke ghar, wo ek baar kittu ko pasand kar le fir baat aage badhayenge.

Swarna - Maa ji, aapko nhi lagta ki hame kartik se ek baar puch lena chahiye?

Surekha - Didi kartik ka jawab kya hai ye to sabko pata hai, agar hum puchege to uska jawab........

Kartik - (From behind) Naa hi hoga,
(Coming to them) Maine pehle bhi mana kiya hai, abhi bhi kar raha hu aur aage bhi karunga. Mujhe abhi shaadi nahi karni, bas baat khatam.

Suhasini - Lekin kittu, kabhi na kabhi to karni padegi? Hum bahut accha sa rishta dhund kar laayenge tumhare liye.

Mansi - (from behind) Kya pata bhai Love marriage kare?

Everyone looks behind and was happy to see mansi and Ranbir.

Note: Sorry guys I forgot to mention that kartik has a small brother name Ranbir.

Surekha - Mansi!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Surekha - Mansi!

Mansi - Kyu bhaiya sahi kaha maine?

Ranbir - Mansi tujhe lagta hai, bhai love marriage karenge,
huh! Impossible.

Suhasini - Hamare kittu ko tang mat karo, itne dino baad ghar aaye ho, hamare saath aaker baitho.

Kartik - Guys mujhe important kaam hai, shaam ko milte hai.

Kartik leaves from there.

Ranbir - Ye bhai pehle jaise hi hai, khadus type ke, itne dino baad aaye hain hum aur inhe bas kaam karna hai. Kaash inki life me koi aa jaye sudharne wali.

Singhania villa

Prerna - Naira jaldi kar, hum late ho jayenge.

Naira - Are par jaana kaha hai?

Prerna - 2 din baad engagement hai, tujhe shopping bhi to karni hogi?
To aaj hum shopping per ja rahe hai.
Maine anurag ko bhi bol diya hai wo aata hi hoga.

Naira - ye sab kab hua aur tere pass number kaise aaya?

Prerna - Wo actually kal na, anurag apna phone yahi bhul gya tha to Maine uske phone se uske ghar per phone kiya aur sab samjha diya. Kyuki tujhe batati to Tu mana kar deti.

Naira - Aur Tujhe kya lagta hai, mai abhi ha kar dungi. Mere pass faltu kaam ke liye time nahi hai tujhe jana hai to jaa.

Bua dadi and devyani comes.

Bua dadi - Byah thara hai aur tu apne saheli ko bheje hai, are thoda sa ghum awegi to ke ho jawega.

Naira - Bua dadi mere pass bahut kaam hai.

Bua dadi - Are to chora kaun sa roj free howe hai, abhi waqt mila hai to ja kyu nhi rahi.

Devyani - Naira chali jao na, thoda time lagega fir wapas aa jana.

Naira agrees and goes with prerna.

Naira - Kaha hai wo ladka?

Prerna - kaun ladka?

Naira - wahi jo aane wala hai.

Prerna - Naira wo koi ladka nahi, tera to be husband hai aur uska naam anurag hai.

Naira - Actually mujhe uska naam nahi yaad hai na...

Prerna - Us se teri shaadi hone wali hai aur tujhe uska naam bhi nahi yaad. 🤯

Naira - Ha to Maine kabhi dhyan nahi diya.

Anurag comes there.

Prerna - Wo raha anurag, ab chal jaldi.

Anurag - Hi (shaking hands with prerna)

Anurag - Hello (Forwarding his hands to naira)

Naira - Namaste 🙏 (Joining her hands)

She goes and sits on back seat of car.
Prerna also sits on back seat.

Anurag - Mai kya tum dono ka driver hu?

Prerna - Matlab

Anurag - Matlab mai gaadi chalau aur tum dono malik ki tarah piche baitho?

Naira - Ha to driver ko saath lana chahiye tha na.

Prerna - Tu aage baith ja na.

Naira - Mai nahi jaungi, Tu jake baith ja. Aur agar jidd ki to mai nahi aa rahi kisi shopping pe.

Prerna goes and sits on front seat.
They leaves for shopping.

Hope you like it....

play by destinyWhere stories live. Discover now