1. Meri Maa...❤️❤️

124 11 11
                                    

Jiske paas paisa ho...
Vo naseebwala ni hota....
Magar jiske sar par maa ka haath ho...
Usse bada koi kismatwala ni hota....

Maa ki aehemiyat...
Tab tak nahi samajh aati hai....
Jab tak maa humse....
Dur nahi jaati hai...

Unn maasoomon se jaa kar poocho...
Maa ki paribhasha....
Jinke mann mein Maa se dur hokar...
Chhayi hai nirasha....

Khushnaseeb hoon main ki...
Tumne mujhe janm hai diya....
Aur apni muskaan ke peeche...
Mera sara dukh bhi pee liya....

Aaj bhi yaad hai mujhe vo chehra ...
Aur vo peheli muskaan tere chehre par....
Jab peheli baar Kholi thi akhiyan maine...
Apha janm hone par....

Mujhe girkar uthna sikhaya...
Mujhe sahi rasta dikhaya....
Ungli pakad kar chalna sikhaya...
Daudkar Oochaiyon ko choona sikhaya....

Raat-raat bhar Mone par...
Mujhe sehelati-thapthapati thi....
Ek baar bhi mukh se magar...
Daant na sunati thi....

Har raah mein mera sehra bani ...
Har mushkil mein mera pehera bani ....
Waqt nahi kabhi thehera hai...
Maa awe mera rishta ban gaya gehera hai....

Har khayal mein hota hai mera zikr...
Par Kabhi kam nahi hoti hai meri fikr....
Tum meri taareefon ke pul baandhte thakti nahi...
Aur Kabhi uske beeche ka apna Saath baya karti nahi....

Aasha hai mujhe ki tera saath...
Kabhi chootega nahi....
Kabhi na chodna mera haath...
Aasha hai yahi ....

Maafi maangti hoon...
Agar kabhi maine aapka dil dukhaya....
Kyonki Maa ki kami ka matlab...
Thodi der mein samajh aaya....

Kehna toh main bahut kuch chahti hoon...
Par kar nahi sakti hoon baya....
Jaanti hoon kyon ki...
Duniya ke saare "Shabd" milkar bhi...
Nahi kar sakte tere guno ko baya....

Aisi hain MERI MAA....
Aisi hain MERI MAA....

____________________________________________________________________________

I hope u all liked this poem...
"Maa" ek bahut hi chhota shabd hai... Par phir bhi jab kabhi pareshani hoti hai ya chot lagti hai na... Toh sabse pehle yahi shabd zubaan par aata hai...

Yeh thi meri iss book ki aur meri Peheli poem...
Socha ki iss book ki starting kyu na uss shakhs ki kavita ke saath hi kyu na ki jaaye jisne mujhe yeh sab likhne ke kaabil banaya...

Isiliye pehli poem is dedicated to My Mom...

Please do VOTE ⭐ and COMMENT...

I'll be really grateful...

Do FOLLOW me for more...

Ho sake toh please tag as many as u can if u liked it...

See u soon...
Tc...
Stay Healthy Stay Safe...

Yours Pyaari Shayar...
Priya💕💞


AADAAB ARZ HAI: A Collection Of Shayaris And Poems...Where stories live. Discover now