9- Kya Pyaar Kaafi Hai

2.3K 120 26
                                    

KYA PYAAR KAAFI HAI:

Her lips touched his cheek, before she pulled away, smiling at him.

"Good night", she said. "I hope tum sapnon mein aao."

He couldn't help but smile a little. "Good night." He sighed a little, tilting his head and watching her walk away, back to her dorm.

He pushed the door open to his room, raising an eyebrow at Faizi. "Tu soya nahi?" He asked.

"Kaam, Janaab", he muttered, typing something on his laptop. He flicked his eyebrows up at Karan. "Date kaisi thi?"

"Uske saath thi toh achhi hi hogi", he said, shrugging. His best friend stared at him. "Kya?"

"Nahi, soch rahe hain ki hospital mein admit karein ya goli maarein?"

"Huh?"

"Tum romantic baat kar rahe ho, toh pakka tabiyat kharaab hai. Toh hospital. Aur date par se waapas aakar itni si bhi smile nahi toh uske liye goli maarni chahiye, shayad akal aa jaaye."

He hit his arm, and his best friend laughed, rubbing it. "Bakwaas kara lo tujhse bas."

"Arey, tum bandi ke saath date par jao, bandi ko girlfriend banao, bandi ke saath full on romance karo, aur hum bakwaas bhi naa karein?"

"Ho gaya?" He asked.

"Karan?" Faizi said, and he sighed, giving him a questioning look. "Tum dono ka jhagdha hua hai kya?"

"Nahi. Humaara jhagdha kyun hoga?" He said, plopping down on his bed. He pulled his phone out, unlocking it.

A picture of Monami and him stared back. Diwali selfie. She had asked him how she looked. What could he have said to that? Beautiful was too short of a word for how she looked. He didn't even think before blurting a word out. Better.

He had wanted to hit himself. Better? She hadn't liked his response, and he had walked away before he could physically hit himself. What sort of response was that?

"Janaab?" Faizi said, and he glanced up. "Kya hua hai?"

"Faizi, relationship mein... pyaar kaafi hota hai kya?"

His eyebrows furrowed. "Matlab?"

"Matlab... main usse pyaar karta hoon. Wo kaafi hai?"

"Karan, kis cheez ke liye kaafi hai? Tum kya baat kar rahe ho?"

He sighed. "Yaar, use hamesha pata hota ki kya bolna hai, kya karna hai. Main kya sunna chahta hoon, kya sunne ki zaroorat hai. Sab kuch. Aur mujhe kuch nahi pata hota. Use kya chahiye, kya achha lagega. I don't know." He paused, trying to think of a way to phrase his feelings. "Faizi... I love her. I really, really do." He sighed, rubbing his face as he tried to make sense of his feelings.

"Hum samajh rahe hain, Janaab." He kept his laptop aside, sitting down next to him and keeping a hand on his shoulder.

He sighed. "Kya samajh raha hai?"

"Yeh toh aisi baat ho gayi ki ladki ko noodles chahiye aur chef ne ek dum achhe se, first class, five star noodles banaaye, aur phir ro raha hai ki upar patte nahi hai, daalne ke liye."

Karan stared at him in disbelief, blinking. He held up a finger. "Tu mere pyaar ko noodles keh raha hai?" He twisted his hand back and Faizi laughed, groaning a little as Karan twisted it a little more.

"Achha, sorry, Janaab", he said, laughing. "Chodho."

He let go of his arm, hitting his shoulder. "Tujhse kuch nahi hoga. Bas bakwaas karta rehta hai."

"Karan, jataane ka tareeka alag hai tum dono ka. Par pyaar toh dono karte ho, na? Aur dono yeh jaante ho ki doosra pyaar karta hai."

"Par Faizi..."

He sighed. "Achha suno. Sanju aur Siddharth ek doosre se pyaar karte hain. Siddharth uske liye badhi badhi dates plan karta hai, restaurants, over the top cheezen. Par Sanju use street food khilaane lekar jaati hai, use boxing sikhaati hai, use bike ride par lekar jaati hai. Par dono khush hain, na? Siddharth street food khaakar bhi khush hai jab tak Sanju uske saath hai, aur Sanju restaurant ka khaana khaakar khush hai jab tak Siddharth uske saath hai. Samajh rahe ho?"

He nodded. "Koshish kar raha hoon."

"Janaab, aapki khushi ke liye usne aapko apne pyaar se azaad kar diya tha. Aapki zindagi ke liye apni dreams sacrifice kar di thi. Aur tumne kitni baar uski jaan bachai hai, apni jaan risk par daalkar. Uske dreams ke liye apna career line par laga diya tha. Toh yeh choti choti baaton se kya farak padta hai?"

"Thanks, Faizi."

"Ab hume kaam karne do", he said, patting his shoulder and moving back to his own bed.

Karan fiddled with his phone absentmindedly, thinking his words over again. It vibrated in his hands, and he clicked it open, opening up Monami's message.

'Agent Shergill, next date kal? Wo jo kulfi stand tha, na, wahan par chalenge, okay?'

He smiled a little. 'Jo hukum, Rani Sahiba.'

'Kaash kal aur jaldi aaye... I love you.'


Note- I'd love to hear your thoughts, so if you have the time and will, consider dropping a comment below. If you like my work, considering checking out my other works too. Thank you!

Kahaaniyan: Moran OS CollectionWhere stories live. Discover now