13. Uljhe Rishton ka Manjha!

2.1K 118 31
                                    

(7 am in the morning)

Its been half and hour since Rishita and Dev have been ranting about each other regarding the fight that took an ugly turn last night. 

Kirti room:

Rishita:  Kal pehli baar Mom ne samne se mujhe call kiya , Bhauji ne achnak se phone chin liya aur mujhe datne lagi aur Dev ne bina kuch soche samjhe unse batameezi kar di.Ab  Mujhe defend karne ka matlab ye nahi hai na ki vo meri family ki insult karde. Dev ko lagta hai ki hum shayad iss shaadi ke liye prepared nahi hai, humne jaldbaazi kar li.

Raavi: Rishita, abhi donno families ko thoda waqt lagega ek dusare ko samajhne me lekin agar tum donno hi ladne lage toh apni families ko kesse samjhoge. 

Krish Room: 

Dev: Rishita khud apni family ko chodkar aayi thi, aur ab unke liye mujhse jhagda kar rahi hai. Esse toh bolti hai ki me kabhi stand nahi leta aur kal uske liye uski bhua ko jawaab diya toh bolti hai ki me uski family ko apanana nahi chahta. Usse lagta hai ki mene usse rishta toda tha kyuki me iss shaadi ko lekar serious nahi tha. 

Shiva: Dev, shayad tu sahi hai lekin kal bhabhi ne tum donno ke liye kitne taam jham kiye, gusse me jhagda toh kar liya lekin ab unko maneyga kesse? 

Dev/ Rishita: Mujhe iss waqt kuch samjah nahi raha hai, mujhe kuch waqt ke liye akela chod do. 

Shiva Krish walked out of their Room at met Kirti and Raavi in the lobby. 

Kirti: Meri family ke wajah se Di aur Jiju ki anniversary kharab ho gayi. I so wish ki hum sab kuch thik kar pate. 

Krish: Ha yaar, kal kitne khush the aur aaj dekho kesse muh lakta kar bethe hai donno. 

Raavi: Haa, aur agar Gaumbi aur Di ko pata chala toh unki trip bhi karab ho jayegi, saalo baad unko iss tarah time spend karne mila hai. 

Shiva: Nahi, unko pata lagne se pehle ye raita sametna padega. Lekin karege kya?

Raavi: Idea! Return me Dev - Rishita ke liye car book karte hai, thoda alone time milega toh shayad baat karke sort out kar le. Humari taraf ek anniversary gift bhi ho jayega. 

An hour later: 

As planned, a car was booked for Dev and Rishita who were rather frustrated than surprised by this plan. Others moved to settle down in the bus. 

Dev: Shiva, tu please drive kar le, meri nind poori nahi huyi hai, drive karna risky hoga. 

Shiva: Pan me bhi thik se soya nahi tha, me drive nahi kar sakta. 

Rishita: Haaw jhutha, Dekha tha mene kesse tum aur Raavi gardern me cuddle karke sukoon se soo rahe the. Aur Raavi tum bhi sath chalo na, mujhe online shopping me tumhari suggestions chahiye. 

Shiva and Raavi looked down awkwardly while others gave them a teasing look. 

Krish: Acha toh issiliye kal raat tu kamre me vapas nahi aaya. He whispered to Shiva.

Shiva: Ae piddi apna muh band rakh varna dobara kholne layak nahi chodunga. 

Raavi: Lekin humne ye drive toh tum donno ke liye arrange ki thi, tum log yahan kuch der araam karke fir return aa jaana. She smiled nervously. 

Rishita: Nahi, mere dost ko kal yahan ek party host karni hai toh humme 12 baje se pehle Somnath jaa kar usse keys return karni hogi. 

Gaumbi: Thik hai, Shiva Raavi tum donno inke sath chale jao, nind me drive karna inke liye risky hai. Hum fir kabhi inhe long drive pe bhej denge. 

Shiva: Thik hai Gaumbi, aap log nikalo, hum log piche se sab sametkar aate hai. 

The bus left for Somnath. Rishita excused to use the washroom and Dev went ahead to cross-check everything before their final departure.

Shivi: Shubh Mangal Savdhan.Where stories live. Discover now