8. Green Card.

1.7K 122 16
                                    

The day started pretty normally, with the Pandya brothers getting ready for the store, their wife doing the morning chores and Krish preparing for college.

Guambi: Dhara, hum log Dukan ke liye nikal rahe hai. Jai Somnath.

Rishita: Ruko Gaumbi, vo kal jab me aur Raavi market gaye the, tab mene aap sab ke liye kuch gifts khareede the, actually last-minute Shaadi hui na toh aap sab ke kuch kar hi nahi payi, toh socha ab kuch kar lu.

Gaumbi smiles and waits in the Aangan as Rishita brings out Shopping bags. She gifts Designer outfits to Dhara, Gaumbi and Suman to wear in the evening and hands over the latest Airpods to Krish. She had bought a Smartwatch for Dev, a small treasure box for Shiva and a beautiful Dreamcatcher for Raavi. Everyone was overjoyed with their gifts as they genuinely appreciated her efforts, except Shiva. He quietly came back to his room. Raavi noticed this and followed him as well.

Raavi: Tu esse bina bole room kyu aa gaya? Dekh na bhahar sab kitna khush hai! Tu bhi chal na,  varna Rishita ko Bura lagega.

Shiva: Tum sab na bhot bhole ho, tum logo ko dikhai nahi de raha ki vo Janarshan ki beti humare liye jaan bhujkar mahenge gifts laayi hai, taaki hume nicha dikha sake. Arey mujhe toh pehle hi pata tha, vo ameer ghar ki ladki, humari family me adjust nahi kar payegi, dekha nai kesse aate hi apne baap ki pesse ko ghamand jhadne lag gayi ! 

Raavi: Ha thik vesse hi jesse tune Pandya store pe, itne saal se kaam karhe Kaka ke liye, unka ghar ka deposite bharke ghamand jhada tha. Kyu sahi kaha na? 

Shiva: Tu pagal hai kya, Kaka ne sirif Pandya store nahi, hum sabko bhi bohot sambhala hai. Unke ghar ka deposite mene Janmashtmi aur Shiv yatra par kamaye huye pesso se bhara tha, dukaan ke pesso se nahi. Jab Gaumbi ki shaadi nahi huyi thi, toh Kaka hi har diwali apne pesso se hum sab ke liye naye kapde aur khilone laate the. Apne gaon se aayi mithai aur namkeen, khud na kha kar hume khilate hai. Arey mene unke liye jo kiya dil se kiya, unko nicha dikhane ke liye nahi kiya. Aur tu mujhe Rishita se compare kesse kar sakti hai?

Raavi: Me tujhe kissi se compare nahi kar rahi, bas ye samjhane ki kaushish kar rahi hu ki tere tarah Rishita ne bhi apne Papa ke pesse nahi use kiye, balki vo apne job ki savings ke pesso se sab ke liye gifts lekar aayi hai. Tujhe kya lagta hai, Dhara di, Gaumbi aur Kaaki designer kapde pehena deserve nahi karte? Aur kya tune notice kiya, Krish ke headphones kharab ho gaye the, nahi na, lekin Rishita ne notice kiya, aur issi liye vo uske liye Airpods lekar aayi. Vo kissi ko nicha nahi dekha rahi thi, vo bas sabko apna banana chahti hai. 

Shiva: Haa aur lagta hai, baki sabke branded gifts lene me uski savings bhi khatam ho gayi tabhi usne mujhe ye khali dabba aur tujhe ye raste ka sasta jhallar padka diya!

Raavi facepalmed herself, annoyed by his arrogance.

Raavi: Arey ghadere, vo khalli dabba nahi hai, treasure box hai, usme log apna kimti samaan rakhte hai. Rishita ko tere liye koi gift samajh nahi aa raha tha, toh mene hi usko ye suggest kiya tha. Mene socha tujhe apne Kanche rakhne me kaam ayega. Aur usne mujhe jhallar nahi, dream Catcher diya hai,jisko lagane se humme bure samne nahi aate, vo bhi khud apne hathso se banakar. Kal vo material khareed rahi thi, shayad raat bhar jaagkar usne vo banaya hai, toh mera gift to extra special hua na !

Shiva: Toh tu sidha -sidha nahi bol sakti thi, ki vo khudke pesso se gifts laayi hai. Aur Kaka ke ghar ki baat tujhe kesse pata chali, ye baat toh Gaumbi ko bhi nahi pata hai?

Raavi: Kyuki har Diwali par Kaka mujhe bhi Chudiyaan dilate the! Jab tune unke ghar ka deposite bhara tha, tab unhone apne ka ghar par kalaash mere hatho hi rakhawaya tha,  aur uss din mujhe tera sach pata chala. Kaka ne mujhse promise liya tha, ki ye baat me kissi se na kahu, issiliye tera raaz mere pass mehfoos tha. Ab agar tera KBC ho gaya ho toh bahar chale, Gaumbi dukaan jaane ke liye tera wait kar rahe hai. Aur haa, Rishita ab teri bhabhi hai, kam se kam usko toh ' Janardhan-ki-beti' mat bulane lag jana. 

Shivi: Shubh Mangal Savdhan.Where stories live. Discover now