दोस्ती और प्यार .....!

By Veer90s

23.9K 817 552

"yar ye ladkiyo ka panga hi yahi hai, ek or to hasmesha bolti hai we are just friends or doosari taraf girlfr... More

दोस्ती और प्यार ....!
Part one
Part two
Part three
part four
Part five
Part six
Part #7
Part#8
Part #9
Part#10
Part #11
Part #12
Part #13
Part #14
Part #16
Part #17

Part #15

987 37 38
By Veer90s

Sadi se aane ke bad apni normal life suru ho gyi thi 9 se 5 job or fir dosto ke sath timepass, per in sabke beech mai Gunjan ko bahut miss karta tha.

Tabhi ek din Mukesh ne mujhe Gunjan ki details la kar di, actually jisne Mukesh ko number diya usne use bataya tha ki Gunjan ki bahan Almora mai rahti hai, uska husband sarabi hai, issi ka fayda utha kar usne Gunjan ka number liya tha but kuch ho nhi paya kyuki Gunjan ne kabhi bat hi nhi ki. Maine Gunjan ki bahan ka address liya or milne ki sochi.

Per ye soch jab tak soch thi tab tak sab tha.,per sachai ye thi ki ye risky bahut tha ek chhote se hill station Almora mai ladies ko anjaan aadmi se milne ki permission nhi thi or ghar mai Jake sirf pit sakta tha.

But mai aise hi nhi rah sakta.

Next Sunday mai Almora gya but ghar ke ander jane ki himmat nhi hui, aakhir kuch bhi ho mai kisi film ka hero nhi tha waha pitna tay tha.

Issi tarah kayi din gujar gye, finally ek din mere dimag mai aaya kyu na mai bhi Gunjan ki bahan ke husband ki sarabi aadat ka fayda utha lu.

Bus mai pahuch gya Sunday ko, uske ghar ke Jake darwaje ko khatkhataya mujhe uska husband mila abhi bhi muh se sarab ki boo aa rahi thi khair maine apna kaam suru kiya.

Aashu -"ye Madhav kandpaal ji ka ghar yahi hai kya..? "

Sarabi -"Kon, wo jinki kapde ki dukaan hai..?

Aashu -"ha ha wahi.. "

Mai to kisi kandpaal ji ko janta bhi nhi tha Almora mai, fir bhi apna kaam ban raha tha.

Sarabi -"wo to peechhe rahte hai, baju se neeche uter jao hare rang ka makaan hai "

Wo darwaja band karne laga to maine fir rok liya.

Aashu -"bhai sahab ek min.. "

Sarabi -"ab kya hai,..?

Aashu -"yaha koi bar hai kya aas pass, time ho gya hai thakan bhi bahut hai "

Uski aankho mai chamak aa gyi, mujhe Gunjan ki bat yad aayi insaan sarab pike janwer ban jata hai, mujhe ye sarabi laar tapkate kutte jaisa lag raha tha.

Sarabi -"ha hai to, Chalo mai aapko chhod deta hu "

Aashu -"dhanywad bhai sahab, per aapko mere sath peeni padegi mujhe akele peene mai maza nhi aata "

Uski jaise muh mangi murad poori ho gyi,

Sarabi -"hahaha bhai ye bhi koi bat hai daru ke liye Kon mana karega wo bhi free ki"

Aashu -"to chale..?

Sarabi -"ha Chalo, usne palat ke kisi ko bola sayad Gunjan ki bahan ko "khana mat banana mera der se aaunga "

Hum Chal diye, Gunjan ki bahan darwaja band karne aayi maine mudkar dekha wo bahut khubsoorat thi per thodi kamjor lag rahi thi bimaar jaisi.

Hum der tak peete rahe, actually maine sirf teen peg piye bas use pilata raha.

Maine use bola mai hotel le raha hu to wo jid karne laga ki mere ghar pe Chalo wahi ruko, hahaha mera to yahi plan tha.

Raat ko hum ghar pahuche to waha ek or adhed aadmi tha uska bda bhai wo 2nd floor pe rahta tha wo apne kamre mai chala gya neeche hi ek room mai soya Subah mai jaldi uth gya sarabi abhi bhi soya tha uska bhai bahar ja chuka tha.

Gunjan ki bahan bahar safai kar rahi thi.

Aashu -"namskaar, bhabhi ji sorry aapko paresaan karne ke liye .?

Bhabhi -"namskaar, koi bat nhi, maine aapko pahchana nhi aap inke dost to nhi ho sayad..?

Aashu -"ha kal hi bane dost, actually mujhe aapse kuch bat karni thi "

Uske chehre pe ek bhaw aake chala gya.

Bhabhi -"ha bolo..!?

Aashu -"please gussa mat hona, ye mere or Gunjan ke bare mai hai "

Or maine unko poori bat bata di.

Aashu -"please meri help Karo mujhe ek bar usse milna hai please chahe wo Jo saja de bas ek bar... "

Bhabhi -"tumne. bahut galat kiya bachhi ke sath tum jante ho hum kis musibat mai hai..?

Unki aankh se ek aanshu nikal aaya aawaz bhari ho gyi.

Aashu -"please, aap meri aankhri ummid ho please "

Sala samjh nhi aa raha tha, poori duniya mai ye do bahane hi dukhi kyu hai..?

Unhone mujhe wo story sunai jaha Gunjan ne adhoori chhod di thi.

Bhai ki death ke bad Gunjan ke papa ne bahut jyada peena start kar diya,do saal bad unka lever damage ho gya doosra lever lagane ka kharcha bahut tha Gunjan ke papa ke do makaan the lohaghat market mai, unme se ek bech di or kuch Gunjan ki bahan ke husband ke bade bhai ne udhar diye, tab kahi unka ilaaz ho paya, ab sirf ek makaan ka kiraya tha jisse Gunjan ke papa ki dawa or ghar chalte the idher Gunjan ki bahan ko uske pati or uske pati ke bhai ne pressure karna start kar diya ki doosra makaan unko dene ko bole per uski bahan janti thi Gunjan ke papa ye nhi de sakte warna poori family bhookhi maregi, isliye sab chupchap sah leti per din per din ye badta hi chala gya ab to dono milkar usko pitne bhi lage the, udher Gunjan ki padai bhi band ho gyi. Gunjan bhi halat janti thi usne bhi chupchap ise maan liya.

Gunjan ki bahan bas issi ummid mai jee rahi thi ki Gunjan ki sadi achhe ghar mai ho jaye wo kisi tarah aise sab jhanjhat se bahar ho jaye.

Wo chup ho gyi, mai janta tha wo bimaar nhi thi sirf din raat hone wali maar peet se aisi ho gyi thi, sab kuch sunkar bhi mai kuch nhi kar sakta tha.

Maine hamesa Suna tha ki saraab, dahej garibi sab bahut badi bimaari hai, per kabhi samjha nhi tha her roj akhbaar mai bahut kuch padta tha bhul jata tha, aaj jab Gunjan ki bahan ki sachai suni samne baitha tha per muh se aawaz nhi nikal rahi thi, sarabi Jo her roj Gunjan ki bahan ko marta tha wo ander so raha tha per mai kuch nhi kar pa raha tha.

Bhabhi -"ab tum hi bolo, Gunjan ko pahle hi Kitni taqleef thi Jo tumne uske dil se khela jhuth bolkar..? "

Mere pass koi jabab nhi tha, Gunjan ki bahan ne mujhe chai di.

Aashu -"aap to graduate hai kisi school mai bachho ko pada sakti ho ya tuition wagaira karke paise wapas kar do thode thode karke kyu ek sarabi ki maar jhel rahi ho..? "

Bhabhi -"hahaha, itna aasaan nhi hota Aashu, ager ye sab aise hi hota to yu kisi ki jaan nhi jati koi ladki yu maar nhi kha rahi hoti, meri kismet ab yahi hai yu hi sab sahte rahna ya ho sakta hai kabhi mere achhe din aa jaye "

Aashu -"ye aapki soch hai, aap sahte rahogi to ye kabhi nhi rukkenge "

Bhabhi -"meri chhodo, jab aapki sadi hogi sab samjh jaoge,tum batao tum Gunjan ke bare mai kya sochate ho..? "

Aashu -"matlb...?

Bhabhi -"matlb tum kaha tak jaoge Gunjan ke sath, sadi karke poori jindagi sath doge uska..?

Aashu -"maine ab tak itna kabhi socha hi nhi,per sach mai use mai bahut chahta hu, ek sec bhi bhul nhi pa raha hu "

Bhabhi -"bas ab koi jarurat nhi uske sath timepass karne ki, please humari jindagi mai pahle hi bahut bawal hai tum or kuch nautanki mat karna "

Unhone mere aage hath jod diye, mai saram se doob gya ek timepass ke liye kya kar baitha tha mai.

Aashu -"please aap ye mat kijiye, bas mujhe ek bar maafi mangni hai usse fir wo Jo bolegi wo karunga please "

Bhabhi -"Aashu is umer mai dil bahut kamjor hota hai bahut himmat se usne tumhe khud se door kiya hoga ab use kamjor mat banao,tum abhi bachhe ho tum nhi samjhoge, tumhara kuch nhi hoga wo badnaam ho jayegi "

Aashu -"per mai to....... "

Bhabhi -"tum achhe ghar ke achhe ladke lagte ho, please samjho na or jindagi kharab mat Karo bachhi ki "

Mai kuch bolne wala hi tha, ki unhone mujhe chup Kara diya.

Bhabhi -"tumhe Geeta ki kasam, ager aaj ke bad tumne use call ya message kiya ya milne ki kosis ki to "

Mai azeeb halat mai tha, kisi poorani film ki tragedy wali story ho chuki thi meri. Gunjan ke parivaar ki story usse bhi buri thi meri himmat toot si rahi thi pahli bar samjh aaya tha duniyadaari kya hoti hai..?

Jindagi kitni kameeni hai...?

Or Gunjan ki bahan ki kasam or aanshu bhari aankhe mai or nhi dekh sakta tha mai wapas chala aaya, aate aate Gunjan ki bahan ko kasam deke aaya ki Gunjan ko sorry bolna meri or se, or aaj se apne pati ki maar sahan nhi karegi

Mujhe nhi pta aage kya hoga, per mere liye sirf ek hi target bacha tha or wo tha ki mai apne career pe dhan du bas apni job karu.

        ¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥

Continue Reading

You'll Also Like

1.7K 10 1
लड़की के मोबाइल नम्बर के लिये पागल लड़के कि कहानी
29.8K 1K 20
" यार ये लड़को का प्रोब्लम क्या हैं प्यार प्यार वरना कुछ नही अरे फ्रेंड्शिप जैसी चीज़ इनको समझ ही नही आती,चाहिये तो बस एक ही चीज़,दोस्ती विश्वास की को...
2M 83.8K 65
#5 in fanfiction 01/10/16 #12 in fanfiction 28/10/16 Written By Mawara Ejaz
286K 12.4K 65
Love, Friendship, Action, Fun, Fight. 'SOULMATES' The word in itself describes the meaning. This story is about a college couple, who love each othe...