Baazi Ishq Di [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙...

By ItsButterstar_

203K 12.8K 22.3K

Yeh nikkah deal hai yaad rahey! Iss baazi mein koi ek bhi haar gya toh? Game over ! ══════•❁❀❁•══════ Tumh... More

Author's Note
Let's Meet Them.
Chapter 1| Yeh mera aaj hai
Chapter 2| Manjdhaar
Chapter 3| Rivayaat
Chapter 4| Intizaar
Chapter 5| Ek kal raakh hua, Ek kal maloom nahi
Chapter 6| Deal
Chapter 7| Sangemarmar Ka Dil
Chapter 8| Aatish
Chapter 9| Khwaabo kay Musafir
Chapter 11| Raaz e Rang
Chapter 12| Husn e Nazar
Chapter 13| Dastak
Chapter 14| Sard Bahaar
Chapter 15| Barf sa sard
Chapter 16| Dil se nikley hain yeh Lafz
Chapter 17| Bss itna hai tumse kehna..
Chapter 18| Dil sambhal jaa zara
Chapter 19| Dhalti Shaamein
Chapter 20| Alvida! Ay Dil
Chapter 21| Sawaal zehar ka nahi tha woh toh mein pee gya
Chapter 22| Ab kay hum bicharey toh shayad Khwaabon mein milein
Chapter 23| Bin Roye
Chapter 24| Waqt ne kiye kia Haseen Sittam
Chapter 25| Aghaaz e Anjaam
Chapter 26| Faasley
Chapter 27| Broken and Burnt
Chapter 28| Tu Dard bhi, Tu Dawa bhi
Chapter 29| Mumkin hai
Chapter 30| Aşk
Chapter 31| Baaran
Chapter 32| Charha Dey Rang
Chapter 33| Tere Haatho ki tarf Mere Haatho ka Safar
Chapter 34| Poori Hui Dua
Chapter 35| Baa yakjaa mann o tu
Chapter 36| Tu saabit e hassti Ashq e mn
♡ Author's ending note ♡
Chpater 38| A Whole New World 🦋
MY MOTHER! ♡
Chapter 39| Girtey Sambhaltey yunhi Chaltey
Chapter 37| At Last I see the lights

Chapter 10| Parwaaz e Nahumwaar

3.4K 280 163
By ItsButterstar_

"Khuda Hafiz Daadi ashqem!"

Dono shehzaadey ek sath galley miley thaiy.
.خداوند از شما محافظت کند "

" وقتی به آنجا رسیدید، مرا صدا بزن

(Allah kay amaan mein raho! Puhnch kay phone karna!)

Woh muskura rahi thei mgr chehrey par fikarmandi saaf zaahir thi. Woh Ruhaan se kayi baar puch chuki thi kay woh khush hai na? Sab theik hai na? Aur woh in sab sawaalo ka jawaab ussi tehrey huey lehjey aur sard si awaaz se haan mein de deta. Unho ne kayi baar Aarish se puchney ki bhi koshish ki lekin woh mauzoo badal kar saaf keh daita kay Ru ki dangerous baatein mujh se na pucha karein.
Iss baar Ruhaan keh kar ja raha tha kay woh Law complete honay se pehle Pakistan nai aye ga. Iska matlb hai woh dono 3 saal baad hi dobara Pakistan ki shakal daikhney aye gai. Daadi jaan buht Pareshaan hui thi aur unkay israar par bas ek baar chakar lganey par raazi hua tha. Woh jaanti thi kay woh bhaag raha hai lekin kab tak?
Insaan aksar apni zindagi mein aaney wali har dastak ko mauqa diye beghair thukra daita hai. Yeh samjhna asaan nai hota kay har dastak pichli dastak jesi nai ho gi. Lekin Insaan to insaan hai. Har ek ka alag defense mechanism. Kuch apne darwazey itne zor se band kar lete hain kay andr na roshni askey aur na hawa aur kuch har cheez ko khud se guzar jaaney dete hain. Lekin koi koi bas yeh jaanta hai kay khud se guzar jaaney deney kay liye zarf buht barra karna parta hai. Har baar dhoka kha kay phir bhi muhabat karney se na darna, har baar takleef puhnchney kay bawjood sabr kr jana, Rishto se thokar kha kar bhi akhri dm tak unhey nibhaaney ki koshish karna,
Majaazi ho ya Haqeeqi,
Ishq ki baazi khel jana har ek kay bass ki baat nai.

"Allah Hafiz Baba!" Aarish, Zafar Khan kay galey lga tha aur woh bhi khushdili se miley thai. Jb kay Shaista fiqarmnd chehrey se sirf Ruhaan ko daikhey ja rahi thi.

"Khuda Hafiz!" Ruhaan buland awaaz mein akhri baar keh kar garage ki trf barh gya tha.
Zafar aur Shaista jaantey thai woh kbhi unse galey nai miley ga. Kabhi nai.
Unki aankho mein har baar ek umeed aati jo toot jaati. Zafar Khan uss raat se le kar aaj tak iss sawaal ka jawaab talaash krney mein nakaam rahey thai kay unho ney yeh nikaah karwa kay sahi kia hai ya ghalat? Nationality blackmailing krna theik tha? Ruhaan Safoorah kabhi sath chal paayein gai?

Inn sab sawalo kay jawaab wahan mujood 5 logo mein se kisi kay paas bhi nai tha.
Kon keh skta hai aagey kia ho?
Apni trf se sb ne samjhdaari ka muzahira kar lia tha jitna kar saktey thai ab qismat ki baari thi.

_________________________________

"Assalam'uAlaikum baba!" Safoorah chehak kar boli thi.

"Shukar hai bachey. Sim to daali. Mein kb se İntizar kar raha tha. Sab theik raha koi mushkil to nai hui?"

"Absolutely not baba. Ahmad uncle buht achey thai unho ne hi sim di . Airport bhi wohi aye thai. Tasty sa khaana khilaya. Unki wife buht achi hain baba. Pata hai woh hum sab ko jaanti hain. Aur unki Beti mere jitni hai. She's too pretty. Aur beta unka London parhta hai. Waooww baba. Apkay itney achey dost hain yeh kabhi hum se milney kyoun nai aye. Aur wait a second baba inko yeh pata tha kay mere nikaah ho gya hai. Sab kuch acha tha siwaye iskay kay waha mein Safoorah Aurangzeb ki trhan nai Mrs. Ruhaan ki trhan treat kar rahey thai. Uff. baba you know what Woh to Zafar Uncle aur unki family ko bhi buht achey se jaantey hain and......"

"Betey pehle ek minute saans le lo!"
Woh waqqi ek saans mein sab bol gyi thi.

"Oops Sorry!" Woh sharminda si hansi thi.

"Ghr kesa hai?"

"Ghar? O my God baba! Yeh to mansion hai. Yeh kaha se flat hai. Humari haveli se thori si choti ho gi bas. Glass doors hain. Neechey wala ghr alag lagta hai aur opr wala alag. Dono ki parking aur entrance bhi different hain. It's such a unique construction. Zaira tb se pictures le rahi hai aur mein uski har picture kharab kar rahi hun!"
Aurangzeb Sahab apni beti ki khushi daikh kar khush to huey thai par mutmayeen nai.

"Achi baat hai. Caretaker se meri baat hui thi aaj subah? Ghr tumharey mutabiq hai na?"

"Best hai baba. She's very sweet. Woh Christian hai. Unki ek chotu si, cute si baiti bhi hai. Woh humarey sath hi rahein gi. Baba yhaan sb apko aur Zafar uncle ko jaantey hain. Apne kabhi humey btaya hi nahi !"
Safoorah Aurangzeb aisi hi thi. Jb Khush hoti thi to dil khol kar har cheez ka izhaar kar daalti thi.

"Achi baat hai na!" Aurangzeb har baat ka khamosh sa jawaab de rahey thai.

"Baba kia hua hai sab theik hai? Ap itney chup kyoun hai? Ghr mein sb theik hai?"

"Sab theik hai puttar! Neechey walo se mili nai tum?" Woh muhtaat sa puch rahey thai.

"Waha to koi nai rehta baba! Andhera tha. na koi car. Full blinds. Neechey wala ghar to horror house lgta hai. Acha yeh lein Zaira se baat karein kb se mere baal noch rahi hai. "

"Astaghfirullah baba yeh jhoot bol rahein hain. Mein apko billi lgti hun?"

"Han to aur kia. Meri maano billi."

"Ahhh mujhe billi achi ni lgti please mujhe billi mt bola karein."

"Assalam'uAlaikum baba!"

Zaira aur Safoorah ko aisey daikh kar Aurangzeb Shah waqqi muskuraye thai. Inki betiyaan masoom thei. har jga dil lga lene wali Allah ki pyaari si makhlooq.

Woh inhey kitna yaad kar rahey hain yeh to shayad hi bta paatey. Lekin uss se zada unhey aaney waley andaishey khaa rahey thai. Agr Safoorah aur Zaira ki zidd na hoti to kabhi apni aulaad ko pardaiys na bhejtey woh bhi jb sara khaandan iss baat kay khilaaf tha. Lekin kam az kam unko ek tassali to thi kay Safoorah ka nikkah ho gya hai aur Zaira ki mangni. Woh kisi se munsalik hain. Woh koi ghalat qadam nai uthayein gi. Unhey apni betiyo ki parwarish par bharosa hai, pehle bhi tha, lekin apne bhai kay sath huey waqiyey ko woh nazarandaaz nai kar saktey thai.

Daikha jaye to Ruhaan bhi baahir pala barha hai lekin Daadi jaan ki zaban par bharosa woh aankh band kar kay bhi kar sktey thai. Unko Ruhaan ki ikhlaaqiyaat ya kirdaar par kbhi koi aitaraaz nai hua kyoun kay woh Daadi jaan ki parwarish pe bharosa rakhtey thai. Aur Faheem to unka kaafi farmaabardaar baitha tha.
Pr Nikkah kay baad Safoorah aur Ruhaan dono kay andaaz se unhey ajeeb gumaan laahaq thai.

"Yeh tang to nai kar rahi sb ko?" Woh muskuraye thai.

"Naa puchain airport se poora America sar pe uthaya hua hai. Inka bas nai chal raha abhi raat kay 12 bajey hi poorey Connecticut mein elaan kar dein kay mein aagyi hun!"
Zaira lounge mein chali gyi thi aur Safoorah apne kaprey set karne mein masroof ho gyi thi.

Unki caretaker kitchen mein thi. Zruri saaman rakh bhi rahi thi aur saaf bhi kar rahi thi.
Kal unki University ka pehla din tha.

______________________________

"Uthooo fiaaaa Khuda ka waasta hai!!!"
Zaira 10 baar ussey utha chuki thi aur ab uska kambal kheench dia tha.

"Kia msla hai Zarii! Sonay dey yar!"

"Meri baat suno 7:30 ho rahey hain. 8:00 bje University start hai. Humey woh Redbus bhi pakarni jo kal Ahmad uncle ne baty thi. Woh 7:40 pe ajati hai Safoorah!"
Zaira ko jb bhi tension hoti thi uska poora naam leti thi.

"Kiaaaaaaaa!"
Finally Safoorah Shehzaadi ko yaad agya woh apni haveli mein nai America mein hain. Aur bas dhor lga di.

Shukar hai kaprey dono kay press thai.
Naashta , caretaker pehle hi lga chuki thei. Safoorah ne 5 min mein brush kia. Mun pe thandey cheetey maarey. Jeans aur long yellow Sweater shirt pehni. Bhoorey baalon mein hath phaira. Wool scarf orha aur nashta kiye beghair bag kandhey par daalti Zaira kay sath bahir dhor lga di. Zaira qadrey saleekey se kurta jeans aur Long coat pehne huey thi. Usne adhey baal catcher mein baand rakhey tha aur kaaley frame ka Chashma pehn rakha tha. Waqqi dono apne apne profession ki lg rahi thein.
Ek art lg rahi thi aur dusri bussiness girl.

Bus ko bamuskil pakar paayi thien mgr shukar hai 20 min baad dono College campus kay gate par khari thein.

Woh dono nervous thi. Bilkul nai.

Woh dono toh shadeed nervous thi. Zaira yaqeenan ro parti agr Safoorah sath na hoti toh.

Yeh ek alag hi duniya thi. Mausam aur hawayein mukhtalif. Tarz e zindagi mukhtalif. Whaan khoobsurti thi par ajnabiyat bhi. Students ki chehal pehal zoro par thein. Campus kay jamm e ghafeer mein woh dono hawaas bakhta si apni jga pichle 15 min se jmi thi.

Khoobsurat aur asmaan ko chootey uskay minaar , waseeh ehaato wala courtyard, unka wajood iss aali shaan university mein maroob maloom ho raha tha.

"Excuse me?"
Woh dono kisi aur duniya mein safar kar rahi thein jb kisi ki awaaz ne unhey mutwaju kia.

"Excuse me?"
Safoorah kay bayein taraf ek purple shirt me larki khari thi.

"You are a fresher right?"
Dono wapis zameen par ayein thi aur ahista ahista apne hawaaso mein bhi. Safoorah ne dimagh ko kaam pe lagana shuru kia.

"Nope!" Usne confidence se jawaab dena chaha.

"Don't worry! We are here for help. See!"
Larki ne apna tag dikhaya aur Safoorah ne sukoon ka saan lia.

"Thank you so much. Mein to darr hi gyi thi!"

"Your Department?"

"Amm I'm here for school of arts and she's here for school of management!"
Safoorah ab kuch behtar lg rahi thei.

"aa. Okay actually, due to various schools in yales, all are located at different place but don't worry they are at walking distances. All departments have different gates. For example school of arts is located one kilometre away from here and school of management is just next door but in a different buildings. Got it?"

"Aaaaaaaa okay!" Woh dono kuch confuse ho gyi thie.

"Okay but what's with this campus?"
Ajeeb ghuman ghair university hai.

"Oh this is Law school!"

Halkey golden baal aur buht meethi awaaz wali woh larki buht pyaari thi aur akhri jumla muskura kar bolney pe aur ziada pyaari lg rahi thi.

"Oh Okay!"

"Woh jaaney lgi thi to Safoorah ne ek dm rok kay pucha.

"how will I find the exact location?"
Ussey sahi trhan samajh nai aya tha.

"Don't worry, these purple shirts won't rag you. They are volunteers for guiding freshers and they are everywhere. Start walking and you'll find many of us!"
Woh muskura kar aagey barh gyi thi.

"Ab yeh kia nayi musibat hai ?" Zaira ki awaaz bilaakhir nikli thi.

"Yeh perks of being foreign students hain beta!"
Safoorah chalney ka ishara krti hui gate se baahir nikal gyi aur Zaira bhi.
Safoorah Zaira ka hath nai chorr rahi thi kyoun kay woh jaanti thi kay Zaira ziada rash se ghabraati hai.

Woh university nai koi lineage system lagta tha. Har waqfey waqfey se koi na koi yale department, school ya libraries thei.
Poorey shehar mein ghr km aur yeh university ziada phaili lgti thi.

Dono kay paoun takreebn jawaab deney ko thai jb Bahir Glass wall pe bara bara school of Arts likha nazar aya.

"Ya Allah Tera Shukar!" Safoorah aur Zaira dono saans humvaar krti bolein thie. 8:40 ho rahey thai aur classes ka aj koi mahol nazar nai arha tha.

" Aap ka to aagya ab mein kia karun?" Zaira ro deney waley andaaz mein boli thi.

"Zarri! Safoorah pehle tumhey chorr kay aye gi phir khud jaye gi. Ab please pareshaan nai hona! Tum ne confidence se class mein baithna hai!"

Woh uska hath thaamey apni building se aagey barh gyi thi.
Kuch faasley par door se buht waziya hindso mein School of Management likha nazar arha tha.
Yeh campus universities kay baqi campuses se buht alag tha. Woh sab old architects lgti thi jb kay yeh high tech architect designed lgta tha. Glass walls, main ground sb jadeed aur shaandaar tha.


"Bs ab aap jayein!" Zaira ne kuch qadam kay faasley pr hi Safoorah ko rok dia.

"Paagl ho. Tumhey andr chorey beghair nai jaoun gi!"

"Please fia. Ap already apne department se double chal kay ayi hain aur ab wapis bhi jayein gi. Ab thora sa rasta hai, class mein khud dhoond lun gi!"

"Ek to inka next gate bhi poora km dur hota hai... Lekin nai zaira.."

"Fia.. ab barra honay ka time hai!" Zaira ne uska hath narmi se dabaya.

"Theik hai. Khyaal rakhein. Phone check kar ley. Koi msla ho pehle number mein ne apna hi save kia hai. Purple shirta kay ilawa kisi se baat nai krni. İn case koi rag karney ki koshish karey, foran mujhe call krni hai ya wahan se bahir nikal ana hai!"
Woh hidayat de kar zor se galley mili thi aur uski gaal pe pyaar kia tha.

"Ab yhaan to bass karein. Har jga shuru ho jati hain!" Zaira hans kar peechey hati thi.

"Hum to aisey hi hain bhaiii!" Safoorah ussey ab jaaney ka ishara kar rahi thi.

Zaira ki taangein kaanp rahi thi par woh apni behan ko mazeed latkaana nai chahti thi. Woh bhi strong hai yeh ussey khud ko prove krna hai.

Woh gate par puhnch kar peechey murri thi toh Safoorah abhi tak wohi khari thi.
Usne hath se jaaney ka ishaara kia to woh nafi mein sar hila kar muskura di.
Zaira murr kar andar daakhil ho chuki thi aur ab ek purple shirt ko rok kar kuch puch rahi thi.

"Excuse me?"
"Yes?"
"MBA class for first semester!"
"Go straight, there's an admin office. Turn left. Take stairs. First floor. Second room. M 2!"

Woh khush dili se bta kar chali gyi aur Zaira ne ek nazar murr kay daikha to Safoorah ab wapis apne campus jaa rahi thi.
Usne ne ek lamba saans kheencha.
'you can do it Zarri!' woh khud se mukhatib thi.

"Excuse me?"
Admin office kay right side pe teen mukhatalif stairs thi aur ab uss jgah koi purple shirt bhi nazar nai arhi thi.
woh admin Office tha aur whaan sara staff mujood tha.

Ek larki file pakrey kuch check kar rahi thi jb Zaira uskay paas ayi.

"Excuse me ma'am, first floor, M2?"
Woh muhtaat sa puch rahi thi.

"Fresher?" Woh hairaan hui thi.

Zaira ne seham kay sar hila dia.

"Sorry I don't know the fresher's information. May be he caan help you!"

Usne ek larkey ki trf isharaa kiya jo kisi group mein khara kuch discuss kar raha tha.

Zaira sambhalti hui kuch qadam chali aur uskay paas ruk gyi.

"Excuse me?"

"Yes?" Woh kaafi khush ikhlaaq lgta tha.

"Fresher's class? First floor?"

"Pakistani here?" Woh jese khush hua tha.
Zaira pehli dafa halka sa muskurayi thi. Usne asbaat mein sar hila dia.

"Phir toh apko urdu bhi aati ho gi!"
Woh angraizi lehjey ki urdu mein bola tha.
Zaira ne sar hila dia.

"Chalein phir ek gaana to suna dein!"
"Gee?" Zaira ki aankhain baahir agyi thei.
"Nai?"
"Acha chalein ek cup coffee. Aap aur mein! Yhaan ki winter's delight best hai!" Woh dil phaink andaaz mein muskura raha tha.

Zaira palat kar jaaney lgi thi kay woh foran bhaag kar saamney aya tha.

"Whoa wait! Why so fast? Okay? Ek aur offer hai, ek competition lgaatey hain...."
Woh abhi bol hi raha tha kay ek larka zaira kay peechey se aya aur saamney kharey larkey kay pait mein chaakun de maara.
Uss larkey ki safaid T shirt khoon se bharr rahi aur woh zakhmi sa neechey gir gya.

Zaira ne halak phaar kar cheekh maari thi. Itni oonchi kay shayad Safoorah tak bhi puhnch jaati. Poora Department jamghata bna kar khara ho gya tha.
Zaira ko ahista ahista panic attack shuru ho gya. Woh larka adhmua zameen par khoon mein laita tha aur Zaira buri trhan mun pe hath rakhey saans kheench rahi thi.

"Koi ambulance bulao, uthao. Iss larki ne mere dost par hamla kr dia!"

Woh chaaku wala larka ab baihosh larkey ko uthaaney ki koshish kar raha tha aur sari nazrein foran Zaira ki trf mutawajo ho gyi thein.

"Na.. na.. nai. Nai. Mein janti..nai..janti bhi nai!"
Zaira ko saans nai arha tha. Woh bamuskil bol pa rahi thi.

"Jhoot. Police ko phone karo!" Uss larkey ne chilla kar kaha aur Zaira ki aankhain doob rahi thi. Uss ka sarr phatt raha tha. Yeh sab kia ho raha hai.

"Bass Kar rish uth ja! Uss bichari ki halat kharab ho gyi hai!"
Peechey se Arsh ki awaaz ayi thi. Aur Zaira ko jese current lga tha. Uss ney baiyaqeeni se peechey daikha toh poora group khara hans hans kar paagl ho raha tha.

Saamney daikha to kuch dair pehle zameen par baihosh para Aarish ab uth khara hua tha.

"Seriously mahn? Itni si baat pe kon rota hai?" Aarish ki hansi choot gyi thi.

"Khair itni si baat nai thi, uss bichari ko qaatil bna dia tum ne!"
Maryam Arsh kay sath khari hansi rokney ki koshish kar rahi thi aur Zaira... Woh bichari ghussa to dur ki baat hai saans bhi na le saki.
Uski aankhon mein khoon aur paani dono utar raha tha aur woh chakar kha kar girri thi.
Ek lamhey ko sab kay chehrey ki hawaiyaan urri thi kyoun kay prank ab serious ho raha tha. Sb se pehle Aarish aagey barha kyoun woh qareeb khara tha. magr usne hath kay Isharey se ussey wohi rok dia aur khud office ki glass wall se takra kay sambhali thi.

Sab ussey pareshaani se ghoor rahey thai aur woh ahista ahista seedhi chal kay baahir ayi aur phir dhor lga di. Woh itna taiz dhor rahi thi Kay agr ussey koi gaari a kar lag jati to bhi ussey parwah nai thi.
Woh bhaagti rahi yhaan tak kay Safoorah ka campus aagya. Andar dakhil hui air chup chaap ground mein mujood ek bench par Khamoshi se ja kar baith gyi.
9:30 ho rahey thai aur woh har cheez se baikhabar sunn si udhr baith gyi.

"10 missed calls!" Bilaakhir uss ki hissiyaat bahaal hui toh usne mobile ki vibration par ussey bahir nikaala.

Dopehr ka 3 bj raha tha aur woh tb se wohi par baithi thi.
Usne Safoorah ka number dobara milaya.
"Zaira? Kidr ho yar? Mera dil pareshaani se pagal ho raha tha. Mein tumharey campus kay 2 baar chakar lga chuki hun. Shukar hai Khuda ka tum ne phone to uthaya! Kahan ho?"

"Apkay department?" Mukhtasir jawab aya tha.

"Kiaa? Kyoun? Acha ruko mein arhi hun!"
Safoorah ghabrayi hui thi.
10 minute mein woh apne gate par puhnchi thi.
Usne dobara call milaayi.

"Kis taraf ho?"

"Ground kay bench pe!" Aur Safoorah ne bayein taraf daikha. Whaan ek taraf konay mein khamosh si sar jhukaye zaira baithi thi. Woh bhaagi thi.

"Zaira Meri jaan opr daikho. Kia hua hai? Tumhey to bukhaar hai Zaira. Kb se yhaan ho?" Safoorah burri trha ghabra gyi thi.

Zaira ne uskay galley lg kay rona shuru kr dia. Burri trhan.

"Zaira hua kia hai btao to!"

"Inho ne... Inho ne. Mere sath buht bdtameezi ki hai . Mujhe... Mujhe..."
Zaira hichkiyaan le rahi thi aur Safoorah hakka bakka si usey daikh kay reh gyi.

___________________________

"Excuse me?"

"Yes?"

"Who's Rish here?"
Safoorah ki shakal se lg raha tha woh aj faheem ka ghussa bhi iss bicharey par nikaal kar iska bhurkas bna dey gi. Ek anjaan shehar mein itni himmat aur ghudsa ussey sirf Zaira kay aansu dila saktey thai. Kehtey hain na ALLAH Tallah ne insaan kay jazbaat mein woh taqat rakhi hai jo duniya ki kisi aur makhlooq mein nai.

"amm.. sorry? You mean Ru-Rish? They are .... Oh that group, standing outside the lecture theatre. You can.. !" Uss larki ne muskura kar ek group ki trf isharaa kia. Woh sb shayad ek semester senior thai aur apni class kay baahir kharey thai.

"Who's Ru-Rish?" Safoorah kharrak se boli thi. Woh sb ajeeb nazro se daikh rahey thai.

"Who are you?" Ek larki buht itraa kay boli thi.

"Tumhari maa, miss plastic surgery!
Ru-Rish kon hai?"

Safoorah chabba kay boli thi. Aur whan par mujood kisi ko kuch samjah nai aya tha siwaye Ru-rish aur Iss larki kay ghussey kay.

"What?"
Woh angraizi mein na samjhi se boli jb kay ek larkey ne theatre kay andr kharrey ek shaks ki trf isharaa kia.

Woh law dress code waali white shirt, black coat aur loose tie mein phone par kisi se baat kar raha tha jb kay Ird gird kharey chand larkey larkiyan uss sey maroob nighaao se ghoor rahei thai.

"Excuse me Mister! How dare you?" Uski Safoorah ki taraf pusht thi aur woh buland awaaz mein uskay qareeb ja cheekhi thi.

Poori class mein ek dm sanatta chaa gya. Sab hairat se inn dono ki taraf mutwaju huey.

Woh larka jo ek hath jaib mein daaley aur dussrey hath se phone kaan pe lagaye tha,

chaunk kay murra jese yeh dhaikna chahta ho kay kis ki majaal hai jo ussey iss trha mukhatib karey.

Aur iss ek lamhey dono kay chehrey apney kapron kay rang se ja miley thai. Safoorah ka chehra zard para tha aur samney kharey larkey ka safaid.

"Tum?" Safoorah ki awaaz bamuskil halak se nikal paayi thi.

"Tum?" Woh Safoorah ki nisbat composed aur confident thai lekin shock mein tha.

"Tum yhaan kia kar rahey ho?"

"Yeh sawal mujhe tum se puchna chahiye? Aur koi jga nai mili tumhey?"

"Excuse me! Ye meri university hai. !"

"Madame yeh university hai apka castle nai hai!" Woh ab sard se lehjey mein bola tha.

"Tum dono ek dusrey ko jaantey ho?" Selena ne hairat se Ruhaan ko daikha tha.

"Ofcourse not! Baahir mili thei. Tb se jaan nai chor rahie!" Ruhaan ne jhunjla kar phone kaat dia aur lataluq sa jawaab paish kia.

"Astaghfirullah! Kis qadar jhootey aur doghley insaan ho tum?"

Safoorah uska yeh roop daikh kar hairaan reh gyi thi. Agr shakal kuch jaani pehchaani na hoti to woh yaqeen se keh skti thi kay yeh woh Ruhaan nai jo Pakistan mein mila tha.

"Yeh kia bol rahi hai?" Selena chirr kay Ruhaan se mukhatib hui.

"Ek to tum larkiyaan sawaal itney krti ho kay....."
Ruhaan ka dil chah raha dono ko ek sath utha kay baahir phaink dey.

"Tumhari himmat kese hui Zaira kay sath prank karney ki!"
Safoorah paagl ho rahi thi.

"Kon zaira?"
Ruhaan ne tajub se daikha.

"Memory loss ho gya hai kia? " Safoorah ka bass nai chal raha tha ussey bhi utha kay baahir phaink dey.

"Ek to tum tameez se baat karo. Yeh tumhara pakistan nai mera America hai dusra mein kisi zaira aur prank ko nai jaanta!"
Ruhaan ko ab ghussa arha tha.

"Tum ek number kay jhootey, bdtameez, badtehzeeb, bdlehaaz insaan ho!"
Safoorah ko bhi uspe aur shadeed ghussa arha tha.

"Arsh inhey roko yar yeh kyoun larr rahey hain. Ruhaan ki to pehli dafa mein ne itni awaaz sunni hai mein baihosh ho jaoun gi!"
Selena draamayi andaaz mein Arsh ko dhoondney kay liye baahir nikal gyi.

"Mujhe urdu tum se ziada aati hai. Bolun?"

Waha mujood har koi Ruhaan ko mun kholey hakka bakka daikh raha tha.
Ruhaan Zafar Khan, ek khudpasand maghroor vakeel aur nihayat sard insaan jo kisi larki se 2 min ruk kay baat krna pasand nai krta aur aam halaat mein mock trials kay ilawa kahi nahi bolta, jo chess trophies ka ghamand jatata hai, jo poorey batch ko bairehmi se har baar top kar kay distinction leta hai woh aaj poorey 15 minute kisi larki se kisi aur zubaan mein ghussa kar raha tha.

"I'm warning you. Ainda meri behen ko harrass karne ki koshish ki toh..."

"What the f***? Harass?"
Woh baiyaqeen sa hansa tha.

"Harass?" Sb ek bar phir hairat se girney waaley thai.

Ruhaan ko ab paani sar se opar mehsoos ho raha tha. Ek to Khuda jaaney kahan se yeh galey mein para dhol uski university bajj para hai.

"Mein yhaan mazeed koi scene create nai krna chahta. Jao yhaan se !"
Ruhaan buht zabt krta hua bola tha.

"Mujhe koi shauq nai hai tumse baat krne ka! Ainda mujh se aur meri behen se dur rehna!"

Woh ungli utha kar ussey tanbeeh krti chali gyi aur Ruhaan ne zabt se muthiya bheench rakhein thi.

Woh ghussa karna chorr chuka tha par yeh larki. Yeh larki jb bhi milti thi usska dimagh kharab kar kay jaati thi.

______________________

"Uski himmat to daikho meri behen kay sath prank kia hai. Shukar hai mun nai toota! Opr se puchta hai Zaira kon?"

Safoorah khaaney ki maiz par caretaker aur Zaira ko saari rudaad suna rahi thi.

"Aaj kal to logo ka koi bharosa nai. Naam badal letey hain. Bhais badal lete hain. "
Safoorah ne sarr pakra hua tha.
Caretaker aur uski baiti bhi sath baithay thai aur sb us ki kahani ki trf hi mutwaju thai.

"Aap ne sb bta dia. Par yeh nai bta rahi woh tha kon? Mujhe kun jaanta ho ga? Konsa naam badla hai? Aap jaanti thi ussey?"
Safoorah ne sb bta dia siwaye iskay kay woh Ruhaan tha. Zaira ne Ruhaan ko ek do baar daikha hai lekin shayad iss dafa woh ussey aisey pehchaan nai payi. Hoskta yeh prank usney kisi aur se krwaya ho ya phir bhais badal kr kia ho. Jb mujhe yaqeen krney mein pooray 5 minute lg gye to Zaira to yaqeenan ghabrayi hui ho gi islye pehchaan nai saki.

Safoorah nahi chahti thi yhaan koi bhi jaaney kay Ruhaan aur uska kia rishta hai. Waqt aaney pr Zaira ko khud hi pata chal jaye ga apr aaj woh buht pareshaan hai mazeed pareshaan krna munaasib nai tha .

"Dafa karo yar! Ainda kay baad tumhey koi whan kuch kahey na uskay mun par yeh pepper spray maar dena. Aaj jaldi mein hum yeh rakhna bhool gye thai. Ainda kaam aye ga!"

______________________

A/N

All the places, schools and degree programs mentioned are absolutely real except their residence (pent house) and time spans. Distances between schools are also hypothetical. Ignore the typos please c'z I'm stuck in uniworsty and lectures are postponed.

* I edited it to 4000 words because it went to 6000 in a flow :D.
Happy reading.
Do tell me how much you like it.
Don't forget to press 🌟.
Love.
Nawaal.

Continue Reading

You'll Also Like

30.4K 1.3K 9
یہ کہانی ایک ایسی لڑکی کی جسے محبت،وفا اور نفرت کے معنی نھیں پتہ اور جسکی زندگی میں سکون نہیں ہے۔وہ اپنی زندگی میں روشنی کیسے لاتی ہے۔۔یہ کہانی حقیقی...
20.7K 1.7K 55
#1 in Spiritual 12 times, and still counting. . "Among the things that people have found from the words of the previous prophets was:'If you feel no...
34.8K 1.3K 20
کچھ کہانیاں لوحِ محفوظ کے کورے اوراق پر سیاہی کے خطوں کو کھنچ کر یوں جنم لیتی ہیں کہ تقدیر بھی اس انوکھے کھیل کی تماشائی بننے سے پہلے ہی آنسو بہاتی ہ...
Ashq By HAXXII

Fanfiction

13.3K 701 22
Ashqon ki siaahi se likh daali hain mene tehreeren buhat si Har ik lafz men izterab hai hijr ka aur dastaan hai ajab si