ANUSEENA- A Marriage Of Conve...

By Aliferous_24

26.1K 3.1K 2.3K

She was the fierce,bold, breathtakingly beautiful warrior princess of Vidarbha,an epitome of kindness who pos... More

Character Sketch
Prologue
First Meet
Prediction
Misunderstanding
The Unwanted Alliance
Fight Night
Chaotic Couple
His shield
Changing Feelings
Truth
Care
Haseena leaves Kausambhi
Saviour
Closer
Punishment
Love
True Man
Winner
New Story
Battle
Conspiracy
Epilogue
Thank You Note
Attention

King and his Queen

1K 136 137
By Aliferous_24

Bonus Update!!Raat k dhai baje.😅
(Not Proofread)

"Acharya hum jaante hain aap humse rushth hain,humein kshama kar dijiye Acharya...humein sach mein gyat nahi tha Maya ne Haseena ko itni badi saza di hain."Amarendra asked for forgiveness sitting near Chandrabhan's feet.

"Humse kshama maangne ka koi matlab nahi hain Amarendra.Rajkumari Haseena ne apne prano ki parwah na karte huye apne pati ko bachaya hain aur uske badle unhe kya Mila...Dand? Samajh ki stree o ko kya Sikh milegi isse..yahi ki kisi k prano se adhik niyam aur bandhan mahetvapurn hain?Sab suna hain humne Amarendra,Haseena ne Anubhav ki raksha karke uske samarthya ka apmaan Kiya hain kyunki woh ek stree hain?Phir jab wahi stree har roz unke liye bhojan banakar unka pet bharti hain,aswasth hone par seva karke unhe thik karti hain tab unke samarthya ko thes nahi pohunchta?Stree jab pati k Maan k liye apne gahene utarkar bhi bech deti hain tab unke maan ko aaghath nahi lagta?"Chandrabhan question but Amarendra had no answer.

"Acharya hum aapki baat samajh rahe hain,hum khud Haseena ko dand dena nahi chahte the."

"Parantu tumne roka bhi nahi,Vidroh k Bhay se chale Gaye tum waha se.Raja ho tum,tumhara kartavya hain chahe Jo bhi ho..sahi ka saath Dena.Abb toh sab yahi sochenge ki vidroh karenge toh Maharaj bhaybhit hokar galat maange bhi puri kar denge."Chandrabhan said.
"Aur Rani Maya ko daitwa saunp diya Haseena ko dand dene ka?Dekho Amarendra main tumhara guru hoon, isliye Rajpath k vishay mein tumhe mashwara deta hoon aur sadev hi tumhare niji jeevan k vishay se dur rakhta hoon khudko parantu aaj bolna padh Raha hain mujhe...Sadev hi tumne apni dono Raniyo mein bhedbhav kiya hain.."

"Nahi Acharya hum apni dono patniyo se saman prem karte hain."Amarendra said.

"Shayd.Parantu lagav tumhe avashya hi Rani Maya se adhik hain.Main uss vishay mein kuch nahi kahunga.Parantu Amarendra kisi k aakarshan mein itna bhi andha nahi hona chahiye ki sahi aur galat ka antar hi na samajh aaye.Apne ghar mein chal rahe kalesh yadi tum nahi dekh paye,sacche jhootein ki parakh nahi kar paye phir bhavishya k Raja ka chayan bhi kaise karoge tum thik se?Abhi bhi samay hain Amarendra,aankhein kholo apni...shayad Raj Singhasan ka sahi uttaradhikari ka chayan karna aasan ho jaye tumhare liye."Chandrabhan said.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Anubhav came back to his room to find his mother and Anandi sitting on both sides of Haseena and they were casually chatting,they noticed him and Maa and Anandi got up.Maa went to Anubhav and cupped his cheeks and kissed his forehead and said "khyal rakhna humari putri ka" before leaving the room with Anandi leaving Anubhav all confused.He looked at his wife who was looking at him only but immediately casted her eyes down as he looked at her.He went and sat beside her.

"Thik ho tum?"He asked her softly.

"Hmm.."She hummed nodding her head without looking at him.

"Kyun chhupaya humse ki dand mila hain tumhe...teen din kya ek kshan k liye bhi tumhe dand bhogne nahi dete hum.Himmat kaise Hui Rani Maya ki tumhare saath aisa karne ki."He said getting angry again.

"Tum pita banne Wale ho."Haseena said at once closing her eyes.

"Haan wahi...pita Maharaj woh kaise...ek kshan..kya kaha tumne?"He aske looking at her.

"Tum pita banne Wale ho."Haseena said again but still without looking at him,she was all shy today.

"Tum satya kahe rahi ho?"Anubhav asked holding her by her shoulders and made her look at him.

"Jhoot kyun bolenge hum?"She frowned.

"Issliye Acharya kahe rahe the naye adhyay k baare mein."Anubhav said happily and hugged Haseena as tight as he could.After a few good minutes he broke the hug.
"Tumhe pata thi yeh baat phele?"He asked getting serious all of a sudden.

"Nahi.Yadi hota toh kya teen din hum bhooke rahete?Vaidji ne jab humare spandan dar janache tab unhe woh uncha mila isliye unhone maa se kaha ki Dai Maa ko bulaya Jaye aur unhone iss baat ki pushti ki..k hum garbhvati hain."Haseena said with reddened cheeks.

Anubhav was overwhelmed.He still couldn't believe that he was going to be a father.He kept his palm on Haseena's stomach trying to feel his baby which is when he noticed her tiny baby bump,it was still not properly grown which is why both of them failed to notice it initially.
Anubhav hugged her once again and Haseena wrapped her arms around his back when she felt something wet on her shoulder,she broke the hug to find him crying.

"Anubhav!Kya hua?Tum ro kyun rahe ho?Khush nahi ho tum?"Haseena asked.

"Hum itne khush hain ki shabd kam padh rahe hain Haseena.Humari Santaan,hum..hum pita banne Wale hain."He fumbled touching her stomach once again.Haseena chuckled through her tears seeing him so happy.

"Rajkumar Anubhav ko kisi ne aise rote huye dekh liya toh chhavi kharab ho jayegi tumhari."Haseena joked wiping his tears but Anubhav still was too overwhelmed to react.

"Hum na duniya k sabse acche pita banenge...apne pran dekar bhi iski raksha karenge hum.Har dukh dard peedha se dur rakhenge isse."He said.

"Avashya hi ek bohot acche pita banoge tum."Haseena said smiling.Anubhav cupped her face and gently kissed her lips pouring his love and gratitude towards her for giving him the biggest happiness of his life.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

The whole palace was celebrating the news of Haseena's pregnancy,the king had announced to feed the whole kingdom give everyone a gold coin.The whole kingdom was joyous at the good news except for three people.

"Huh!!Aisa kabhi nahi hone denge hum...Haseena Anubhav k santan ki maa nahi bann sakti!!!Anubhav sirf mera hain"Abhilasha shouted like a maniac throwing everything here and there.

"Anubhav tha tumhara....apni murkhta k Karan aaj tumhe yeh din dekhna padh Raha hain Abhilasha!Pahele hi humari baat Maan jati toh yeh sab nahi hota."Maya said.

"Anubhav!!Anubhav!!Haseena uske santan ki maa banne wali hain....ughhhhh!! "Mokshith punched on the wall in anger.

"Anubhav k santan ko hum Janam nahi lene de sakte."Maya said and Mokshith and Abhilasha looked at her.
"Uska santaan bhumisht hua toh Maharaj uske prati durbal hojayenge,kuch adhik hi khush hain woh aur ho sakta hain woh Anubhav ko yuvraj bhi ghoshit kar de...nahi nahi apne itne dino ki yojna par main aise paani nahi pherne dungi."

"Kya karengi aap Rani Maya?"Abhilasha asked.

"Maar dalungi...Anubhav k santaan ko aur santaan k maa ko bhi...taaki bhavishya mein bhi aisa kuch kabhi na ho."Maya said.

"Aur Aisa hua toh Anubhav kamzor padh Jayega aur main usse Sahara dungi aur usse apne sath apne Rajya le jaungi,Haseena nahi hogi toh avashya hi Abhilasha k Prem k jaal mein Anubhav phansega."Abhilasha said with an evil smirk.

"Haseena ko maarna avshyak hain kya maa?"Mokshith asked.

"Haan avashyak hain....tum abb bhool jao usse Mokshith,tumhare Raja banne k raaste ka sabse bada kaanta abhi wahi hain."Maya said with greeted teeth.

"Kya yojna hain Rani Maya?"Abhilasha asked.

"Yojna saral hain...aaj raat Haseena k bhojan mein vish mila denge,Haseena aur uske kokh mein pal Raha Anubhav ka santaan dono khatam."Maya said.

"Pakde gaye toh?"Mokshith asked.

"Hum swayam thodi yeh kaam karnege...humari vishwasniya daasi se karwayenge aur mudraon se uska mukh bandh rakhwane ka daitwa Abhilasha ka."Maya said smirking."Ek baar Haseena marr gayi phir dhunte rahenge sab kisne milaya vish,tab phansa denge kisi bhi daas ya daasi ko...woh humare liye koi kathin karya toh nahi.Maharaj netra bandh karke mujhpar bharosa karte hain."

"Kamal hain aap Rani Maya.."Abhilasha praised her.

Unknown to them someone had heard the whole planning and escaped from there quickly.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

The royal family had gathered around the dinner table.Saadhika herself served Haseena a huge portion of her favourite foods.

"Maa itna sab hum kaise khayenge?"Haseena exclaimed seeing the amount of food.There was rice,roti,daal,green veggies,kheer,gulabjamun and what not.

"Sab khana hain...abhi tum do insaan k liye kha Rahi ho samjhi.Dheere dheere Khao."Maa said with fake sternness.Anubhav chuckled seeing Haseena's helpless face.
"Pahele daal chawal se shuru Karo."Maa instructed and Haseena mixed a little bit of daal in rice and was about to put the morsel in her mouth when a hand pushed her hand away from her mouth and threw the plate of food on the floor startling everyone there.

"Anandi yeh kya Kiya tumne putri?"Amarendra asked.

"Bhabhi aap yeh khana nahi kha sakti."She said.

"Kyun Anandi?"Haseena asked calmly.

"Anandi yeh kya kiya...koi kisike muh se aise niwala chhinta hain kya?"Saadhika reprimanded.

"Iss khane mein Vish hain."Anandi said shocking everyone and scaring the evil trio.

"Yeh kya kahe rahi ho Anandi?Bhojan mein vish?Yeh dekho main bhi kharahi hoon yeh."Abhilasha said with a fake smile and ate a spoonful of kheer."Dekha kuch nahi hua mujhe."

"Kyunki aapke khane mein nahi hain kuch...vish sirf bhabhi k bhojan mein milaya gaya hain taaki unhe aur unke garbh mein pal rahe shishu ko mara Jaa sake."Anandi said.

"Kya bakwas karrahi ho?Pagal hogayi hain yeh ladki!"Maya shouted angrily.

"Haan pagal hogayi hoon...meri apni maa ko itna niche girte huye dekhkar pagal hi ho gayi hoon main."Anandi screamed.

"Anandi saaf saaf bolo kya baat hain?"Anubhav asked.

"Bhaiyya...Maa,Abhilasha aur Mokshith bhai ne apne yojna k tahet Bhabhi k bhojan mein vish milaya hain taaki woh unhe aur aapdono k santaan ko maar sake."Anandi spilled the truth.

"Kya anab shanab bakk rahi ho tum Anandi!!Maharaj yeh kadapi jhoot hain,main kyun maarna chahungi Haseena ko?"Maya asked with feigned innocence.

"Kyunki aapko Bhay hain ki Anubhav Bhai k santaan k Janam ka baad pita Maharaj unke prati durbal ho jayenge aur shayad unhe Yuvraj ghoshith kar de.Aur Abhilasha ne aapka saath diya kyunki Haseena Bhabhi se jalti hain woh aur unhe raaste se hatakar woh bhaiyya ko apna banana chahti hain."Anandi said.

Haseena clutched Anubhav's arm tightly.Pregnacy has made her a little sensitive.Anubhav took her in a protective hug and glared at Maya and Abhilasha.

"Anandi kuch bhi mat bolo."Abhilasha said with gritted teeth.

"Maharaj yeh sab jhooth hain...Anandi jhooth bol rahi hain."Maya said.

"Anandi apni hi Maa aur Bhai k khilaf jhooth kyun bolengi Maya?"Amrendra questioned blankly.

"Main jhooth nahi bolrahi Pitamaharaj...maine khud inn teeno ko sadyantra rachte huye suna aur dekha hain.Bhalei yeh mere sage bhai aur meri apni maa hain par agar aaj main chup raheti toh bhagwan kabhi mujhe kshama nahi karte.Main khud bhi ek ajanme shishu ki hatyara ban jaati."Anandi said crying.

"Bohot adhik bol rahi ho tum Anandi!!"Mokshith angrily took long strides towards Haseena and was about to slap her but Anshuman's voice stopped him.

"Yadi apne ek ungli se bhi sparsh kiya tumne Anandi ko toh hum bhul Jayenge ki tum Kausambhi k Rajkumar ho Mokshith."He said.

Everyone looked at him and at Acharya Chandrabhan standing beside him along with two guards who were holding a maid servant captive.

"Maharaj yahi hain Rani Maya ki khaas daasi...yahi Satya se avgat karayegi aapko."Anshuman said.

The maid servant looked at Maya and trembled in fear as she glared at her.

"Daasi ko toh tumlog dara dhamkakar bhi laa sakte ho...praman kya hain ki iss khane mein vish hain."Mokshith said.

Chandrabhan smiled and pulled out a green plate from his cloth bag.

"Iss thal ko toh aap sab pahechante honge aur khasiyat bhi jaante honge isski"Chandrabhan said with a smile while Mokshith started sweating.
"Iss thal se k sampark mein yadi vish ka ek boond bhi aata hain toh yeh ussi samay so hisso mein toot jata hain.Toh Mokshith,vish hain ya nahi abhi jaanch lete hain."He said placing the plate on the table and bent down to get a pinchful of the mixed veg and placed it on the plate and it immediately broke into two pieces causing everyone to gasp.
"Abb tum satya bataogi ya nahi?"He asked the maid sternly.

"Maharaj mujhe kuch nahi pata...Yeh log kya kahe rahe hain mujhe kuch samajh nahi aaraha."She lied and glanced at Maya.

"Dekha Maharaj...Anandi kuch bhi bol rahi hain.Mujhe toh lagta hain koi galat faimi hui hogi isse."Maya said.

Anubhav walked up to the maid and held his dagger at her throat.

"Yadi abb bhi satya nahi bola toh agle hi kshan yeh khanjar tumhare kanthnaali ko chirte huye jayega."Anubhav warned coldly.

"Dekha Pita Maharaj Anubhav kaise vivash karne ki cheshta karraha hain."Moskshith tried to instigate Amarendra.

"Maun raho Mokshith."Amarendra said sternly.
"Daasi yadi apna Priya hain tumhe toh Satya bologi tum."He warned the maid but she remained silent.

"Hmm toh Maya ne kuch nahi Kiya..."Amarendra said and Maya smirked haughtily.
"Par iss daasi pe sandeh hain toh phir isse karagar mein daal Diya jaaye."He added.

"Rani Maya?"The maid looked at her but Maya turned her face.Chandrabhan smiled understanding what Amarendra was doing.

"Dhokebaaz!"The maid growled."Maine tumhara sath diya aur abb mujhse hi muh pher rahi ho?!Maharaj Rani Maya ne hi mujhse kaha tha Rajkumari Haseena k bhojan mein vish milane k liye aur Abhilasha ne uske badle mujhe 500 swarn mudrayein aur ek sone ka haar Diya tha."The maid spilled everything out.

Haseena sobbed at the thought of losing her child.Maa Sadhika hugged her tightly..

"Sainiko bandi bana lo inn teeno ko!"Amarendra ordered coldly.

"Maharaj?Main aapki Maya hoon..aap mujhe karagar mein daalenge?"

"Bohot hogaya tumhara khel Maya...abb humare aankhon  se tumhari maya ki patti hat chuki hain.Main soch bhi nahi sakta tha ki tum aise niklogi."Amarendra said.

The guards held the trio captive...

"Anandi tujh jaisi santan hone se accha hain insaan bina santan k rahe....tere Janam k sath hi tujhe maar Dena chahiye tha mujhe!!"Maya screamed.

"Jis santan ka aapke jaisi maa ho uska Satya mein marr Jana hi uchit hain.Aaj main sharam se marr rahi hoon maa ki aap k kokh se Janam liya hain maine."Anandi cried while speaking,Anshuman covered her in his embrace.

"Anubhav itna prem Kiya Maine tumse parantu tumne kabhi mere prem ka mol nahi diya mujhe.Chhodungi nahi main tum dono ko."Abhilasha threatened.

"Prem mein jab mol ki baat aajaye  Abhilasha tab woh Prem nahi raheta...aur bhagwan ka dhanyawad karo ki tum iss samay jeevit khadi ho,warna tumne Jo kiya hain uske liye mrityu se bhi bhayankar saza hum tumhe Dena chahte hain."Anubhav said agitated.

"Lekar jao inhe!"Amarendra instructed and the guards dragged them away.
"Jate jate ek ghoshna sunte jao tum teeno."Amarendra said and the guards stopped dragging them.
"Main Maharaj Amarendra Singh,Kausambhi k RajSinghasan k uttaradhikari k roop mein Apne jeshth Putra Anubhav ko chunta hoon."He announced.
"Aur meri abb Umar horahi hain,issliye Anubhav ko hum yuvraj nahi balki Raja ghoshit karte hain...kal samgra sabha k samaksh hogi Anubhav ki Tajposhi."He added making everyone happy except the trio who were burning with rage and jealousy.
Haseena tiredly hugged Anubhav forgetting about everyone's presence while her kissed her head feeling exhausted after all the chaos that just happened.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

The Royal palace was decorated with flower garlands and diyas.There was music playing and dancers performing ready to graciously welcome their new king.
Anubhav was sitting on his throne with Haseena by his side.His face held a stoic expression just like a king should have while Haseena was having a small smile on her face.

Amarendra and Saadhika together climbed up the steps and Amarendra removed his crown and placed it on Anubhav's head while Sadhika removed her's and put it on Haseena.The intensity of music increased and the court members stood up bowing before their new king and queen.

"Maharaj Anubhav ki Jai Ho....Maharani Haseena ki Jai Ho..."Reverberated in the palace.

"Hum Kausambhi k Maharaj Anubhav Singh vachan dete hain apne PitaMaharaj Amarendra Singh k parampara ko agey badhate huye Kausambhi ko Bharatvarsh ka sabse saktishali aur parakkrami rajya banayenge.Humare raaj mein hum kisi bhi asahay par atyachar evam streeon ka apman sahan nahi karenge.Humara laksh hain Kausambhi ko ek khushal aur samriddh rajya banane ka aur woh hum avashya karenge."Anubhav took his pledge.

"Maharaj Anubhav ki jai Ho..."Everyone hailed their new king and showered flowers on him.

Anubhav held Haseena's hand and held it high and spoke again..
"Hum Kausambhi Raja avashya hain parantu humare hriday par jo raaj karti hain woh hain humari Maharani,humari Haseena.Aur hum ailan karte hain aajse aur abhi se iss Rajya mein jitna kshamta ek Raja ka hota hain utna hi Rani ka bhi hoga.Humare aur Haseena k adesh k beech koi antar nahi hoga.Jitna samman humare faislo ka hoga utna hi Haseena k faislo ka hoga.Kyunki iss Rajya ko chalane k liye jitne saksham aur yogya hum hain utni hi humari Maharani Haseena bhi hain.Yadi kisiko bhi humare nirnay se aapatti hain toh woh issi kshan iss sabha ka tyag kar sakta hain."Anubhav said.Haseena looked at him emotionally,she felt blessed to have him as her life partner.

"Maharani Haseena ki Jai.."

"Maharaj Anubhav aur Maharani Haseena ki Jai.
Rajpita Amarendra aur Rajmata Saadhika ki Jai."

"Abhi ek aur karya shesh hain Maharaj Anubhav."Chandrabhan said with a small smile and Anubhav nodded understanding what it was.He clapped and the guards brought the trio tied in shackles.

"Bataiyye Maharaj Anubhav kya dand milna chahiye inhe?"Chandrabhan asked.

"Anubhav Putra humein kshama kar do..bhool hogai,kshama kardo Putra."Maya pleaded for forgiveness.

"Rani Maya ek baar ko baat humari hoti toh hum aapko kshama kar bhi dete parantu aapne..humari patni aur humare ajanme shishu ko haani pohunchne ki cheshta ki hain,aapke liye sirf ek hi dand hain....Mrityu dand!"Anubhav said sternly.

"Nahi nahi Putra...aisa mat karo!"Maya cried.Amarendra closed his eyes and nodded to himself cause he knew Anubhav had taken the right decision.

"Mokshith ne saath diya hain aapka issliye woh aajeevan kalkothri mein rahega."Anubhav added.
"Aur Abhilasha atyant guroor hain na tumhe,sab kuch haasil karna chahti ho tum.Toh sunlo,tumhare pita ne yuddh ka ailan kiya hain humare saath...parinam toh tum jaanti hi ho,Vidarbha aur Kausambhi ki Sena saath ladenge.Sabkuch chhin lenge hum tumse Abhilasha,tumhara rajya,sampatti,dhan daulat sab kuch....thik usi prakar jaise tumne humara sab kuch chhinne ka prayas kiya tha.Aur jabtak tum humare mahel k karagar ki vishesh atithi ban kar rahogi."Anubhav said with a sly smile.

"Anubhav aisa mat karo...Anubhav aisa mat kro.."Abhilasha shouted as she was dragged away by the guards along with Maya and Mokshith.

Anubhav sat back on his throne and gestured Haseena to sit beside him.He smiled looking at her and gestured her to smile too knowing she was a little disturbed by facing those inhumans once again.This was the beginning of a new chapter of their lives and they were yet anticipating  the best phase to begin.Anubhav secretly wrapped his hand around her waist and placed his palm on her stomach which was hidden under her dupatta.They smiled as their eyes locked.Chandrabhan's prediction came true she became his shield and paved his way to become the king.She transformed the hot headed prince to the worthy and mighty king of the kingdom.
The courtesans presented their best performance infront of their king and queen who were busy looking  in each other's eyes.Anandi and Anshuman smiled seeing them and started showering flowers on them followed by everyone else present there while our Royal couple remained lost in their own world.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
PRECAP

Epilogue.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
Do vote and comment if you liked the chapter.
🪴Thank You🪴




Continue Reading

You'll Also Like

17.7K 2.2K 35
A story of revenge love and Reincarnation as it is said in the title...... the story will have KarEena love story and , If there are any Anuseena fan...
14.2K 2K 15
I was cursed by a curse that was difficult to break... Then one day, she entered my life, and what seemed impossible happened, and thus began our 'A...
74.1K 7.7K 50
A Typical Wattpad Story... GrumpyXSunshine Anubhav is another name of darkness and cruelty. Haseena is a sunshine girl filled with kindness and love...
28.8K 3.2K 20
𝐀𝐧𝐮𝐛𝐡𝐚𝐯 is the cold blooded multi millionaire businessman who under a circumstance marries the sweet,innocent, introverted,college going 𝐇𝐚�...