ANUSEENA- A Marriage Of Conve...

By Aliferous_24

21K 3K 2.3K

She was the fierce,bold, breathtakingly beautiful warrior princess of Vidarbha,an epitome of kindness who pos... More

Character Sketch
Prologue
First Meet
Prediction
Misunderstanding
The Unwanted Alliance
Fight Night
Chaotic Couple
His shield
Changing Feelings
Truth
Care
Haseena leaves Kausambhi
Saviour
Closer
Love
True Man
Winner
New Story
Battle
Conspiracy
King and his Queen
Epilogue
Thank You Note
Attention

Punishment

908 142 120
By Aliferous_24


(Not Proofread)
Kausambhi

A month has passed by,Anubhav and Haseena's bond had improved significantly irking many in the palace,
Abhilasha was burning in jealousy as Anubhav had stopped noticing her completely while Mokshith was envious of Anubhav as he got the best girl for himself.

"Anubhav tum taiyyar nahi huye abhi tak,Sabha shuru ho chuki hogi."Haseena said while combing her hairs.

"Dekho na yeh angavastra..."Anubhav whined.

"Kya dekhe?"Haseena asked without looking at him.

"Faans gaya hain haar k saath."Anubhav said."Humein pahenna hi nahi."He said irritated.

"Bina angvastra k gaye na...toh Yuvraj pad k liye pratiyogita chhodo...aise hi PitaMaharaj tumhe bhaga denge....hum madat karte hain."Haseena said walking towards him.

She carefully started seperating the tangled threads of the cloth.Anubhav felt her warm breathe on his chest,his hands automatically got wrapped around her petite figure and pulled her closer.

"Anubhav tang na Karo humein...aise kaise uljah liya!"She said focusing on her work.

"Wahi toh prashn hain aise kaise ulajh gaya?"Anubhav said adoring his wife.

"Hogaya!"Haseena exclaimed after detangling the cloth from his necklace.

"Abb pahena bhi do."Anubhav said with a naughty grin.Haseena squinted her eyes at him and then tucked one end of the angavastra in his gold waist band and took the other end across his back and left it free on his left shoulder.

"Abb chalo...bohot der hogai!"She nudged him and they went out of the room.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

The Royal court was functioning in full swing,the king was meeting the commoners and listening to their complaints trying his best to provide justice to them when two men,one seemingly from a well to do household and the other extremely poor wearing a dirty torn dhoti entered.

"Maharaj iss aadmi ne mere dukan se aanaj aur 5 chandi k sikke churaye hain...isko kadi se kadi saza dijiye."The rich looking man said.

"Maharaj Main majboor tha Maharaj."The poor man cried.

"Shaant!Shaanti se bataiyye kya samasyya hain."Amarendra said.

"Maharaj main Dhananjay,meri ek kirane ki dukaan hain aur yeh Haripada meri dukan mein kaam karta tha aur issne chori ki hain."Dhananjay said.

"Kya yeh baat Satya hain ki tumne chori ki hain?"Amarendra asked the poor man.

"Yeh Satya hain Maharaj ki maine chori ki hain par main kuch galat nhi Kiya hain."Haripada said folding his hands.

"Chori ki hain tumne aur kahe rahe ho kuch galat nahi Kiya?!Pita Maharaj isse issi kshan karagar mein daal Dena chahiye."Mokshith said.

"Hmmm...Mokshith k hisaab se Haripada ko issi kshan karagar mein daal Dena chahiye.Anubhav tumhe kuch kahena hain?"The king asked.

"Humein ek baar Haripada ka paksh bhi sunn Lena chahiye pita Maharaj."Anubhav said and Amarendra smiled a little unnoticed by all.

"Tumhe kuch kahena hain Haripada?"Amarendra asked.

"Maharaj ghar par meri bimar maa hain,sethji ne mujhe achanak naukri se nikal diya,meri zameen girwi hain inke paas woh bhi hadap liya mujhse...main sadak pe aagaya Maharaj...meri maa khoon ki ultiyan karrahi hain aur Ghar pe ek dana nahi hain ann ka...kya karta main."Haripada said.

"Aur tumhe achanak kyun kaam se nikal diya?"Mokshith asked.

"Kyunki yeh thik se kaam nahi karta tha rajkumar."Dhananjay spoke."Kaam k samay sota raheta tha,hisab se gadbad karta tha isaliye nikal diya maine."Dhananjay said.
"Aur Hari tu bata tujhe nikalte waqt teri tankhwa puri nahi de di thi Maine?"

"Diya tha tankhwa...par Maharaj main anpadh hoon mujhe hisaab samajh nahi aata...meri zameen jo inke paas girwi hain woh bhi inhone le liya...har mahine 2 chandi k sikke deta hoon unhe...par do saal se inka wrin khatam hi nahi horaha."Haripada said helplessly.

"Parantu jo bhi ho...chori karna uchit nahi hain,tum kisi dusri jagah par kaam karte...jaha chah hoti hain wahi rah bhi hoti hain."Anubhav said.

"Rajkumar bolna bohot saral hota hain...koushish ki thi Maine,ek mahina kaam bhi Kiya ek sethji k yaha naukar ka,unke Ghar ki saaf safai karta tha par ek sikke k badle unhone itna kaam karwaya ki main bimar padh Gaya aur vaid ne kaha hain agle do mahine tak main koi bhaari kaam nahi kar sakta."Haripada replied.

"Yeh toh bahana bana rahe ho tum,yeh samassya tumhari hain, Dhananjay k yaha chori karke galti ki hain tumne."Mokshith said.

"Dekho Haripada chahe kuch bhi ho chori karna paap hain...aakhir tumhari maa k liye tumhe hi mahenat karni padegi."Anubhav said.

"Aap sab bas mujhe hi samjhaye jaa rahe hain."Haripada shouted frustrated."Maharaj aap bhi chup hain,kya yahi hain nyay aapka.Main gareeb hoon toh sab mujhe hi samajhyenge...arey mahelo mein rahene Wale Rajkumar aaplog kabhi ek gareeb ki zindagi ki dukh aur takleefein nahi samajh sakte.Jaise Raja waise unke bete."Haripada said angrily.

"Pita Maharaj k viruddh ek shabd bhi nahi."Anubhav roared but Amarendra gestured him to stop.

"Dhananjay aur Haripada..abhi aap dono Jaa sakte hain,kal hum iss samassya ka nishkarsh karenge."Amarendra said plainly and the duo had to leave unwantedly.

"Pita Maharaj yeh aapne kya Kiya?Haripada so dand kyun nahi diya?"Mokshith asked confused.

"Hum tum dono se hi aprassna hain Mokshith aur Anubhav."Amarendra said shocking both Mokshith and Anubhav.

"Kyun pita Maharaj?"Anubhav asked.

"Raja banne ki chah rakhte ho dono parantu ek raja ka sabse ahem aur Mahetvapurn gunn hota hain uska dhirya aur kisi bhi nishkarsh Tak pohunche se purv uss vishay par vichar karna jo aaj humein tum dono mein nahi dikha."Amarendra said strictly.

"Parantu pita Maharaj,uss sheth ne Haripada ko uski tankhwa de di thi Haripada ne swayam kaha,ussne chori ki hain yeh bhi usne khud swikar Kiya."Anubhav said.

"Anubhav iss liye hum sadev tumse kahte hain apne dimaag ko shaant rakkha Karo,har sikke k do pahelu hote hain Anubhav.Kya tumhe pata hain ki Dhananjay se usse sahi tankhwa di hogi ya nahi?Kyun Jo aadmi itne varsho se uske paas kaam karraha hain usse ek jhatke mein nikal diya?"Amarendra asked and Anubhav bowed his head down.

"Pita Maharaj Haripada ek samanya naukar hain aur Aisa naukar,daas toh Seth k yaha chori chakari karte rahete hain, aise chhote mote vishay par humlog samay vyarth karenge toh kaise chalega."Mokshith said.

"Jo samassya tumhare liye Chhota hain woh kisi aur k liye uske sampurn jeevan ka prashn ho sakta hain.Aaj tum dono mein humne dhairya k saath saath Sahanubhuti aur samvedna ki bhi Kami hain.Apna sampurn jeevan mahel k sukh aur aishwarya mein bitane k karan tum dono ko hi koi Gyan nahi ki sadharan praja k jeevan mein kitni kathinaiyaan  hoti hain.Aur ek raja tabhi accha Raja hota hain jab apne praja k vyatha mein woh khud vyatit ho.Iss abb hum bhi wahi karenge Jo humare pita ne kiya tha."Amarendra said.

"Aap kya karne Wale Hain Maharaj?"Maya asked.

"Anubhav aur Mokshith do ko hi samvedna ka path padhana avashyak hain issliye humne faisla kiya hain ki kal se yeh dono iss mahel mein nahi rahenge balki bahar ek aam rajyavasi ki tarah jeevan vyatit karenge jabtak hum inhe Mahel wapas nahi bulate."He said shocking everyone.

"Kya?!!Pita Maharaj yeh naamumkin hain,main Rajkumar hoon main kaise.??!!"Mokshith interrupted.

"Agar nahi kar sakte toh yuvraj padh ka sapna bhi chhod do."Amarendra said calmly.

"Maharaj yeh dono kaise rahenge akele?Bahar kitni kathinaiyon ka Saamna karna padega inhe."Sadhika said."Kripya aisi saza na dijiye indono ko."She pleaded.

"Saza nahi Sikh hogi yeh inke liye."Amarendra said sternly.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Anubhav was unhappy about his father's decision but he also didn't want him to question his ability of being a great king in future so he accepted his punishment or lesson whatever you call it.

"Mera Putra...Maharaj itne kathor kaise ho sakte hain?!"Maa Sadhika cried hugging Anubhav who was about to leave the palace with only the piece of cotton clothing he was wearing.

"Maa aap roiyye mat,hum bilkul thik rahenge....itna bharosa toh hain na aapko apne Anubhav par?"Anubhav asked gently but Maa kept sobbing.

"Anubhav Mokshith tum dono ki suvidha k liye humne do ghar sajj rakkhe hain ek Dakshin ki disha mein aur ek uttar k.Dono alag alag rahoge aur iss dauran ek dusre ki koi madat bhi nahi karoge."Amarendra said.

"Chalte hain maa...khyal rakhiyega apna."Anubhav said and touched his mother's feet.He looked around one last time to get a glimpse of his wife but she was nowhere to be seen.He turned to leave but her voice stopped him.

"Ruk jao...hum bhi chalenge tumhare saath."Haseena said running towards him carrying a small cloth potli in her hand.

"Haseena tum.."

"Haan Anubhav hum chalenge tumhare saath.."She said.

"Nahi Haseena...tum Rajkumari ho,bachpan se mahel mein badi Hui ho kaise rahogi tum bahar..Hum aayenge na wapas kuch dino mein."Anubhav said softly.

"Anubhav sahi kaheraha hain putri tum kyun jaogi?Tum Lakshmi ho humare ghar ki tumhe hum takleef nahi de sakte."Amarendra said.

"Agar humare Narayan hi humare saath nahi honge toh hum bhi kya karenge yaha.Hum Anubhav ko akele nahi jaane denge hum chalenge unke saath."She said determined.

"Nahi putri tumhe koi kasht ho aisa hum nahi hone de sakte..paap lagega humein."Amarendra said.

"Pita Maharaj,aap kaha humein sadev k liye Mahel se bhej rahe hain...bas kuch hi dino ki baat hain na...Anubhav k bagair humein nahi rahena...jaha humare pati hain wahi humare liye mahel hain.Humein kripaya mat rokiye."Haseena said folding her hands.

"Haseena hatt chhod do...tumhe kasht sahene ki aadat nahi hain."Anubhav said holding her shoulders.

"Toh hone hi mat Dena humein koi kasht.Hum chalenge tumhare saath aur yeh tum acche se jaante ho hum nahi sunne Wale hain tumhari."Haseena said frowning.Anubhav sighed and nodded knowing how stubborn his wife can be.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Haseena and Anubhav sat on the floor tired after cleaning their new little home for the last three hours.

(Imagine this cottage without the furnitures)

"Kitni dhool mitti thi baap re!"Haseena exclaimed coughing.Anubhav noticed her hands which had turned red probably due to dust and all the work she had done.

"Hathon ki halat dekho apni...aaraha hain Anand ab?"Anubhav asked sarcastically wiping her hands with a wet cotton cloth.
"Hum nahi chahte Haseena ki humare Karan tum itne kasht saho."Anubhav said without looking at her.

"Kya subha se ek hi baat ki pipudi Baja rahe ho....nahi rakhna chahte humein apne saath,?Toh thik hain hum chale jaate hain...iss ghar se kyun Kausambhi se hi chale jaate hain..."She said angrily and tried to get up but he held her hand.

"Dur jaane ki baat mat karo...nahi kahenge abb tumhe jaane ko."He said pulling her closer.

"Kaksh nahi hain yeh humara."Haseena hissed as they were sitting in the yard.

"Toh kaksh mein chale?"Anubhav said naughtily.

"Dhyat,nirlajj!!"Haseena said shyly hitting his chest.

The last rays of the setting sun fell on the couple sitting in the yard hugging each other.The birds were flying back to their nests and the atmosphere was filled with their tired chirpings..

"Anubhav dekho na yeh pakshiyan apne Ghar laute rahe hain woh Ghar Jo in logone apni mahenat se banaya hain,hum bhi banayenge is chhoti si kutiya ko humara aashiyana,jabtak Pita Maharaj wapas nahi bulate tabtak yahi humara mahel."Haseena said leaning on his chest.

"Avashya..tum saath ho na toh yeh kathin Safar bhi saral hoga."Anubhav said hugging her tighter.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
PRECAP

Love under moonlight

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
Do vote and comment if you liked the chapter.
🪴Thank You🪴










Continue Reading

You'll Also Like

15.1K 2K 32
A story of revenge love and Reincarnation as it is said in the title...... the story will have KarEena love story and , If there are any Anuseena fan...
118K 6.5K 40
Dedication To all the girls who want to get Chocked on his dick ~ Prologue ~ " make me yours reyansh"...
49K 3.2K 29
Hm is the SHO of mpt and is married to anubhav singh, DSP of lucknow.. all mpt members and family misunderstand her and she is accused of a crime.. a...
46.8K 5.9K 43
Born in the rich and royal family of Avantipur,Anubhav Singh has never heard no,he gets what he wants.He is ruthless,stubborn,cold blooded beast,runs...