ANUSEENA- A Marriage Of Conve...

By Aliferous_24

21.9K 3.1K 2.3K

She was the fierce,bold, breathtakingly beautiful warrior princess of Vidarbha,an epitome of kindness who pos... More

Character Sketch
Prologue
First Meet
Prediction
Misunderstanding
The Unwanted Alliance
Fight Night
Chaotic Couple
His shield
Changing Feelings
Truth
Care
Saviour
Closer
Punishment
Love
True Man
Winner
New Story
Battle
Conspiracy
King and his Queen
Epilogue
Thank You Note
Attention

Haseena leaves Kausambhi

882 145 154
By Aliferous_24

Long Chapter ahead...
Also I know sabko lagraha hoga ki Anuseena k beech bas jhagde horahe hain but this is kinda enemies to lovers trope toh ekdum se pyar karwa Diya toh odd lagega but iss chapter k baad se Anuseena romance and sweet moments milega aap sabko.I'm trying hard to make this story a good one that's why I'm not rushing with anything so please cooperate.Thank You.😊



FEW WEEKS LATER

It was the night before Anandi's wedding with Gagandeep,everyone in the palace was busy preparing for the big day,after all the depart princess was being married off the next day.

It was past midnight Haseena was still awake not able to choose Jwelleries for herself.After half and hours of thinking she decided to ask Anandi for help as she must be awake as no one can sleep properly knowing it's her last day at her home where she has grown up.She excitedly went to Anandi's room and entered inside pushing open the door.

"Anandi!!!"Haseena screamed as she found her standing on the edge of the window ready to jump outside.Anandi who had her eyes closed was startled too and turned back to look at Haseena.

"Bhabhi?!"

"Anandi waha upar kya karrahi ho tum...niche utro abhi."Haseena said panicking.

"Nahi bhabhi... main aur yeh sab nahi kar sakti,Gagandeep se main shaadi nahi kar sakti aur iss shaadi ko rokne ka sirf ek hi tareeka hain meri maut."Anandi said crying.

"Anandi naadani mat karo...accha tumhe nahi karni na shaadi....hum vachan dete hain tumhare iccha k viruddh kuch nahi hoga...niche aajao Anandi."Haseena pleaded.

Anandi carefully inside the room carefully and Haseena immediately ran to her embracing her tightly.

"Yeh kya pagalpan karne Jaarahi thi?!"She asked sternly."Pani piyo aur shaanti se baithkar batao kya baat hain?"She asked gently.

"Bhabhi..bhabhi main Gagandeep se vivah nahi karna chahti...mujhe woh pasand nahi hain."Anandi said.

"Parantu kyun Anandi?Aur yeh baat tumne abb tak kyun nahi bataya kisiko?Jisdin Rajkumar Gagandeep tumhe dekhne aaye the ussdin toh bohot Sharma rahi thi tum?"

"Dhong tha woh sab...maine maa se kaha tha ki mujhe vivah nahi karna par unhone kaha ki Gagandeep se accha ladka mujhe nahi milega issliye unhone mujhe chup rahene ko kaha."Anandi said.

"Tumhe Gagandeep pasand nahi hain?"Haseena asked.

"Nahi.Bhabhi ussdin jab main aur Gagandeep mere kaksh mein aaye,hum dono ne baat ki tab woh mujhe bilkul accha nahi laga...uski soch bohot nich hain bhabhi aur ussne...ussne mujhe galat tareeke se chhune ki koshish bhi ki."Anandi said broke into tears again.

"Kya?!Yeh baat tumne kisiko kyun nhi bataya Anandi?"Haseena asked.

"Maa ko bataya tha par unhone kaha ki Gagandeep se vivah hone jaaraha hain humara agar ussne sparsh bhi kiya humein toh ussmein kuch galat nahi hain."Anandi said.

"Rani Maya aisa kaise kahe sakti hain?Tumhe Pita Maharaj se baat karni chahiye thi."Haseena said.

"Main Darr gayi thi bhabhi."Anandi said.

"Kuch aur hain jo tum humse chhupa rahi ho Anandi...Satya bolo."Haseena said suspiciously.

"Vachan dijiye aap kisiko yeh baat nahi batayenge."Anandi said.

"Nahi batayenge...batao kya baat hain."

"Main kisi aur se Prem karti hoon bhabhi aur ussi k saath apna samagra jeevan vyatit karna chahti hoon."Anandi said slightly hesitating.

"Kon hain woh?"Haseena asked calmly.

"Aap janti hain usse.."Anandi said and at the same time there was a knock on the door and Anandi got visibily worried.

"Baitho yahi."Haseena said plainly and went to open the door.As she opened the door both she and that person got shocked to see each other.

"Bhabhi?!"

"Andar aao Anshuman."Haseena said and let him enter the room and she locked the door.

Anshuman and Anandi stood infront of Haseena bowing their heads.

"Kabse chal raha hain yeh sab?"Haseena asked sternly.

"Ek..ek varsh se bhabhi."Anandi said fumbling.

"Anandi tumhara vivah hua hain ek mahina pahele aur abb tak yeh baat chhupa rahi thi tum.Kya karne ka socha tha tum dono ne?"Haseena asked angrily.

"Bhabhi humne bhagya k bharose sab chhod diya tha...humdono ko pata hain ki humara Milan asambhav hain."Anshuman said controlling his tears.

"Accha...koushish kiye Bina hi haar maan li aur bhagya k bharose tumne chhoda hoga Anshuman par Anandi ne nahi... aatmahatya karne Jaarahi thi yeh...yadi hum samay par iss kaksh mein naa pohunchte toh abbtak iss mahel mein maatam manana shuru ho jata."Haseena said glaring at Anandi.

"Anandi,bhabhi yeh kya kaherahi hain?"Anshuman asked stunned.

"Main tumhare sivah kisi ko apna var nahi Maan sakti Anshuman."Anandi said crying.

"Anshuman tum toh Anubhav k param Mitra ho na...phir usse baat kyun nahi ki?"

"Bhabhi...bhalei main Anubhav ka param Mitra hoon,bhai jaise hain hum dono...parantu main Rajkumar nahi hoon,mere pita Mantri hain iss Rajya k aur Anandi Rajkumari hain,Anubhav kabhi sahemat nhi hoga.

"Bhabhi aap mere dono bhaiyon mein se kisi ko kuch mat batana woh log kabhi mere aur Anshuman k vivah k liye haan nahi karenge..."Anandi pleaded.

"Thik hain...tum dono chinta mat karo,hum kal yeh vivah nahi hone denge,vachan dete hain...abhi Anshuman tum apne kaksh mein wapas jao,kisine dekh liya tumhe yaha toh anarth hojayega."Haseena said worriedly.
"Aur Anandi tum bhi sojao aur kuch Aisa waisa karne ka nahi sochna...humpar bharosa rakhna."

"Par Bhabhi kal hi vivah hain...aap kya karengi?"Anshuman asked.

"Agar hum dono yaha se bhaag Jaye toh?"Anandi asked.

"Nahi Anandi...apne pita k samman ka khyal karo.Bhaagne ki avashyakta nahi hain...hum karte hain kuch."Haseena said and left the room not before warning Anshuman to leave early.

Anubhav's sleep broke due to thirst when he found the door of his room ajar and his wife wasn't anywhere to be seen.
He quickly went out of the room to look for her when she saw her coming from the side.

Haseena was startled seeing Anubhav  standing infront of her folding his hands on his chest.

"Tum yaha?"Haseena asked nervously.

"Hum tumse pucchte hain tum itni raat ko kaha gayi thi?Uss taraf kaha se aarahi ho?"Anubhav asked with furrowed brows.

"Hum snanghar mein Gaye the....garmi lagrahi thi humein."Haseena lied and tried to walk past him.

"Accha?!Snanghar uss disha mein kab se hogaya?" Anubhav asked and Haseena closed her eyes in frustration."Mokshith se milne gayi thi tum?"He asked plainly.

"Kya?!"Haseena exclaimed."Maddhya Ratri ko hum unse Milne kyun jayenge?"She asked turning towards him.

"Humein kya pata...aajkal toh usike saath dikhti ho tum."Anubhav said plainly but Haseena missed to notice the hurt in his eyes.

"Kuch bhi mat bolo tum."Haseena said annoyed and went inside the room leaving a frustrated Anubhav outside.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
NEXT DAY

After Anandi's Haldi Haseena came back to her room and sat on the bed tiredly,not physically but mentally.She was really worried if she would be able to stop Anandi's wedding with Gagandeep.She had tried to talk to Amarendra in the morning but couldn't as he was busy.

"Rajkumari aapke liye sandesh aaya hain."A guard said knocking at the room's door.Haseena took the rolled palm leaf from him and the guard left.She opened the letter curiously and as she kept on reading her eyes turned red and tears started falling.She sat on the floor and started crying clutching it close to her chest.

EVENING

The wedding altar was decorated,every individual were waiting for the bride and groom to arrive.Maharaj Amarendra was sitting in his throne with his two queens sitting on either sides,Acharya Chandrabhan was sitting on his seat too.

Soon the groom came and the rituals started and now it was time for the bride to arrive but even after waiting for more than half an hour Anandi didn't arrive.

"Rajkumari Anandi kaha hain?"Charulata asked.

"Anandi mandap par nahi aayegi."Haseena's voice caught everyone's attention.They looked at her,she was standing  with three maids standing beside her.

"Mandap par nahi aayegi se aapka kya tatparya hain Rajkumari?"Charulata asked frowning.

"Matlab yahi hain Maharani Charulata ki Anandi yeh vivah nahi karegi."Haseena said firmly.

"Putri yeh kya bolrahi ho tum?"Amarendra asked calmly.

"Pita Maharaj...Anandi yeh vivah nahi karna chahti hain.Kal raat usne aatmahatya karne ki koshish ki thi,woh khush nahi hain Pita Maharaj."Haseena said.

"Haseena yeh kya bolrahi ho tum?Dulha mandap par baitha hua hain...agar Anandi ko apatti tha toh usne pahele kyun nahi bola?"Anubhav asked coming near Haseena.

"Aaplogo k darr ki wajah se kuch nahi bol payi bechari.Rani Maya aap toh maa hain Anandi ki aapne bhi nahi unsuni kardi apni beti ki baat ko?"Haseena asked.

"Maya kya Haseena sach kaherahi hain?"Amarendra asked Maya.

"Maharaj woh...Anandi ne kaha tha par mujhe laga jaise har ladki ko vivah se purv 100 khayal aate hain waisa hi hoga."Maya said.

"Pita Maharaj..jisdin Gagandeep aur unka parivar Anandi ko dekhne aaye the ussidin Gagandeep ne Anandi ko galat tareeke se chhune ki koshish ki thi aur yeh baat usne Rani Maya ko bataya bhi tha."Haseena said.

"Kya bakwas hain yeh!!"Gagandeep roared standing up.
"Humein kya iss mandap par apmanit hone k liye bulaya gaya hain?!"

"Apmanit hone jaisa karm karenge toh avashya hi apmanit hona padega Rajkumar.Pita Maharaj yeh Jo teen daasiyan khadi hain humare saath yeh gawahi dengi kaise Gagandeep chhupke inhe snaan karta hua dekhte the."

"Sarasar jhooth hain...mera beta aisa kabhi nahi kar sakta,tumne inn dasiyon ko dhan diya hoga jhooti gawahi k liye."Charulata said.

"Aur issmein humara laabh Rani Charulata?"Haseena asked.

"Shaant!!"Amarendra said loudly.
"Anandi kaha hain Haseena?"He asked.

"Anandi humare kaksh mein hain."Haseena replied.

"Anandi ko bulaya Jaye.."Amarendra said and two guards ran inside the palace.

Few minutes later,Anandi came out dressed in red bridal attire and gold jwelleries but her face was tear stricken.

"Anandi kya yeh sach hain ki tum yeh vivah nahi karna chahti ho?"Amarendra asked calmly.

"Jii pita Maharaj main yeh vivah nahi karna chahti."Anandi said.

"Anandi...aaj yaha yeh sab kahene ka kya matlab hain...chup chap mandap mein baitho."Maya scolded her.

"Nahi maa...aaj main khudke liye nahi khadi Hui toh Puri zindagi roti rahungi bas...Gagandeep jaise neech insaan se main vivah nahi kar sakti."Anandi said boldly.

"Maharaj Amarendra aapki putri aise humare Putra ka apmaan nahi kar sakti."Gaganendra spoke.

"Pita Maharaj,main ek charitraheen vyakti k saath apna jeevan vyatit nahi kar sakti...main Anshuman se Prem karti hoon aur ussi se vivah karna chahti hoon."Anandi said shocking everyone present there.Anshuman who was present there too now came and stood beside Anandi.

"Kya mazak hain yeh?!"Maya shouted."Ek mantri k bete se shaadi karna chahti ho tum Anandi....vikshipt hogayi ho?"Maya shouted angrily.

"Anshuman,Mitra mana tha tumhe aur tumne Aisa Kiya?"Anubhav charged towards Anshuman along with Mokshith.

"Wah Maharaj Amarendra!!Charitra mein dosh apki beti ka hain aur dosh humare Putra k saar pe diya Jaa Raha hain."Charulata said angering Amarendra.

"Shaant!!!"Amarendra shouted.
"Anandi tum issi waqt Gagandeep k saath vivah k mandap mein baithogi."He instructed silencing everyone.
Anandi cried and hugged Haseena.

"Anandi yeh vivah nahi karegi!"Haseena spoke shocking everyone as no one has ever dared to speak again the king.
"Pita Maharaj aap ek Raja k bhaati nahi ek pita k bhaati sochiye.Kal Anadi apne kaksh ki khidki se kudke jaan Dene wali thi,yahi humein ek aur kshan der hoti toh apki putri aaj jeevit nahi hoti.Kya aapke liye apki putri se badhkar aapka ahem hain.Bhagwan na karein agar agey bhi Anandi ne kabhi Aisa Kiya toh kya hoga?Isske pran se bhadkar toh kuch nahi.Prem karte hain Anshuman aur Anandi ek dusre se...ek sukhi jeevan k liye dhan Aishwarya se adhik zaroori hota hain Prem,khushiyan.Maharaj krodh k vash mein aakar koi bhi nirnay mat lijiye."Haseena requested.

"Chup raho tum!!"Maya shouted."Khud ek garib rajya ki Rajkumari hokar Kausambhi mein shaadi karke aagayi aur meri beti k samay Prem k paath padha Rahi ho."Maya said bitterly.

"Amarendra."Chandrabhan stood up from his place and walked towards Haseena.
"Kal raatri Haseena mere paas aayi thi aur usne mujhe sab bataya tha aur aaj subha bhi usne tumse iss vishay mein baat karne ki cheshta ki thi."He said calmly.

"Acharya!Aapko sab pata hain?"Amarendra asked shocked.

"Haan.Haseena mujhse sujhav maangne aayi thi aur maine hi usse kaha ki iss ghatna mein Satya hi ek maatra hal hain."Chandrabhan said.
"Prem karne se koi charitraheen nahi hota Rani Charulata,Bhooliye mat ki Radha Krishn ne bhi prem kiya tha.Sansar ka sabse pravitra bandhan hota hain Prem ka bandhan jo jaat-paat, dhan-baivab,roop-rang kuch nahi dekhta.Hriday se hriday ka rishta hota hain Prem.Amarendra,tum Raja ho aakhri nirnay tumhara hoga,soch samajhkar apna faisla sunao."Chandrabhan said with his usual calmness.

Silence prevailed for the next few minutes before Amarendra spoke.
"Main Amarendra bhalei Kausambhi ka Raja hoon parantu usse pahele main apni Pran Priya putri Anandi ka pita hoon.Anandi meri ek matra Kanya santan hain,meri ghar ki lakshmi jiske netro mein maine aajtak kabhi ashru nahi aane diye toh aaj aisa kaise hone desakta hoon.Aaj iss mandap mein vivah hoga parantu Anandi aur Gagandeep ka nahi balki Anandi aur Anshuman ka.Meri putri ki Khushi mein hi meri Khushi hain.Anshuman vachan do mujhe ki meri putri k netro mein kabhi ashru nahi aane doge."

"Vachan dete hain Maharaj.Anandi ko sadev apne sheesh ka taj banakar rakhenge."Anshuman said with a huge grin.

"Yeh sab kya horaha hain?Maharaj Amarendra aap aise humara apman nahi kar sakte."Gaganendra said furiously.

"Yadi aapko koi apatti hain Raja Gaganendra toh aap yudh ki taiyyar kar sakte hain apne rajya lautkar."Amarendra said leaving Gaganendra tongue tied because he knew he didn't stood a chance before Kausambhi's power.
Gagandeep and his family left not before passing a death glare to Haseena.

"Acharya dhanyawad aapne humari aankhein khol di warna Aaj hum ek galat nirnay lekar apni hi putri ka jeevan barbad kar dete."Amarendra said.

"Dhanyawa Mera nahi Rajkumari Haseena ka karo...agar woh himmat nahi dikhati toh yeh sba sambhav nahi hota aur tumhari putri tumhare samaksh jeevit nahi khadi hoti."Chandrabhan said.

"Haseena humein garv hain putri ki tum humari Putra Vadhu ho,hum atyant prasann hain tumse...mango kya maangna chahti ho humse,tum Jo mangogi hum wahi denge tumhe."Amarendra said.

"Dhanyawad Pita Maharaj parantu hum iss samay kuch nahi mangna chahte...Anandi ki vidai k baad humein jo maangna hoga hum maang lenge aapse."Haseena said with a small smile.

Soon the wedding rituals started and everyone got busy among themselves and Haseena walked off to a lonely corner of the palace noticed by both Anubhav and Mokshith who decided to follow her but Anubhav couldn't as Maharani Sadhika stopped him for some work.

Haseena was silently sitting on a swing gazing at the night sky when she heard Mokshith's voice.

"Rajkumari"

Haseena turned back and stood up seeing him.
"Aap yaha akele kya karrahi hain Rajkumari aur yeh aansoo aap ro rahi hain?"He asked.

"Nahi...hum hum thik hain."Haseena replied controlling her tears.

"Aapki aankhein laal ho chuki hain Rajkumari.Mitra samajhkar hi bata dijiye kya hua hain...shayad hum kuch madat kar paye aapki."Mokshsith said.

"Nahi Rajkumar aap chintit mat hoiyye."

"Rajkumari aapne humari bahen k pran bachaye hain uske badle mein agar hum aapki thodi si bhi madat kar sakte hain toh humein Khushi hogi."Mokshith said softly.

"Humare pita ka swath thik nahi hain...vaidji ne jawab de Diya hain ki kuch nahi hosakta abb.Hum shayad ek aakhri baar apne pita ko nahi dekh payenge."She sobbed.

Mokshith held her hand and said
"Aapka dukh hum samajh sakte hain Rajkumari hum kal hi pita Maharaj se kahekar aapke Vidarbh jaane ki vyavastha karwa denge.

In the meantime Anubhav arrived there and his blood boiled seeing Mokshith holding Haseena's hand and her crying before him.

"Mokshith!!"Tumhari himmat kaise Hui humari patni ko haath lagane ki.He charged towards him and punched him hard on his face.

"Anubhav mat maaro unhe."Haseena held his hand as he was about to hit Mokshith again.

"Kyun peedha horahi hain apne premik ka rakt bahete huye dekhkar?"Anubhav asked bitterly."Chalo tum humare sath."He said and picked Haseena on his shoulder and walked towards their room.

Upon reaching their room Anubhav dropped her down and pinned her to the door.

"Bahar sabke samaksh Devi bankar andar apne pati k Bhai se hi Prem prasang chalate huye sharam nahi aati tumhe Haseena?"Anubhav asked.

"Zuban par lagam lagao Anubhav!"Haseena said angrily.

"Nahi lagayenge lagam hum....tum na Haseena duniya ki sabse badi swarthi ladki ho!Jisse sirf khud se matlab hain.Tumhe koi parwa nahi ki samne Wale k Dil mein kya chal raha hain,tum sirf apne swarth k liye kaam karti ho bhalei usse saamne Wale k Dil k tukre tukre kyun na hojaye."He said,his eyes red and tears threatening to fall.
"Ek vivahit stree hokar dusre purush ka haath pakad kar roti ho,ek baar bhi nahi socha apne pati k samman k baare mein,sabki parwah hain tumhe Rajkumari siway humare.Zabardasti humari bhi shaadi Hui hain,tumhare Karan hum bhi Abhilasha se dur huye hain parantu uska haath pakadkar rote nahi hain hum."Anubhav shouted.

"Toh jao na Abhilasha k paas,humne kab roka hain....chahe toh vivah karlo usse humein koi antar nahi padhta."Haseena said breathing heavily.

"Jaante hain tumhe koi antar nahi padhta kyunki tumhara hriday toh uss Mokshith k paas hain.Hain na?"Anubhav asked pulling her face dangerously close to his.

"Haan hain humara hriday unke paas,kya karloge tum."Haseena asked meeting his gaze.
"Agar hum apne praan bhi de denge na tabbhi tumhare liye hum swarthi hi rahenge.Tumhe kuch bhi saabit karna hum zaroori nahi samajhte.Tum apna jeevan apne hisaab se jiyo aur humein apne haal par chhod do."She said and left  the room pushing Anubhav away.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
NEXT DAY

After Anandi's Vidaai,the Royal family had gathered in the living area,the atmosphere was slightly gloomy as the princess had left.Chandrabhan was present there too.

"Rajkumari Haseena kal humne tumhe  vachan Diya tha ki tum Jo mangogi hum tumhe denge,abb Anandi bhi apne sasural chali gayi hain...abb batao putri kya chahiye tumhe?"Amarendra asked.

Haseena stood before the king and folded her hands.
"Maharaj kal subha Vidarbha se humare liye ek sandesh aaya hain usmein likha hain ki humare pita ka swath atyant kharab hain,vaidya ji jawab dechuke hain...hum apne Rajya wapas lautna chahte hain....humesha k liye."She said the last part looking at Anubhav.Her demand shocked everyone present there.

"Putri yeh kya kaherahi ho tum?"Sadhika asked.

"Haan Maa.Hum jaante hain humare iss nirnay se aap sab aahath honge parantu hum apne rajya lautna chahte hain Maharaj."Haseena said.

"Putri tum soch samjhkar bolrahi ho na?"Amarendra asked."Vivah ka sammand aise hi nahi Tut ta."

"Humein pata hain Maharaj...aisi bohot si Rajkumariyan hoti hain jo vivah k pashchat bhi apne pita k mahel mein raheti hain hum bhi unhi mein se ek honge.Hum yaha se Jana chahte hain Maharaj aur yaha se jaane k pashchat Anubhav k jeevan mein humara koi adhikar nahi hoga woh chahe toh dusra vivah bhi kar sakta hain apni pasand ki ladki se humein koi apatti nahi hogi."She said.

All the time Anubhav was looking at her blankly,how could she so easily leave him?Leave all her rights on him?She doesn't even have any problem if he gets married to someone else.He felt his throat going dry and as if someone had put a stone on his heart.
Amarendra looked at Chandrabhan who blinked at him to grant Haseena's wish.

"Jaisa tum chahti ho waisa hi hoga putri... Kausambhi ka dwar sadev tumhare liye khule rahenge."Amarendra said.

"Maharaj aap Anubhav se toh pucchiye...uski patni hain Haseena."Sadhika said hoping her son would stop his wife.

"Humein koi apatti nahi hain...Haseena jaisa chahti hain waisa hi hoga."Anubhav said and Abhilasha's eyes sparkled.On the other hand Mokshith was disappointed he didn't want to let Haseena go.

"Thik hain Haseena hum tumhare jaane k liye Palki ka prabandh karte hain."Amarendra said.

"Nahi Maharaj humein ghode par Jana chahte hain phir saanjh dhalne se purv hum Vidarbha pohunch jayenge."Haseena said.

"Thik hain Putri.Aur hum tumhe ek aur vachan dete hain bhalein tum yaha iss mahel mein naa raho tum sadev hi humari putravadhu rahogi.Kausambhi aur Vidarbha ka sambandh aaj jaisa hain sadev hi Aisa rahega."Amarendra said.

"Dhanyawad Maharaj."Haseena said and glanced at Anubhav for one last time before leaving the living room.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Haseena was ready to leave,she hugged Sadhika tightly and said "apna khyal rakhna Maa."

"Kaise khayal rakkhu apna...tum Jo Jaarahi ho chhodke."Maa said crying.

"Isske liye ashru mat bahaiyye Maa...dil todne k alawa aata hi kya hain isse."Anubhav said hugging his mother.

Anuseena's eyes met,today there was pain and anguish in them.

"Alvida.."Haseena said to Anubhav before climbing up her horse.She pulled the rein and the horse started moving and a few guards followed her too.Anubhav turned his back towards her,his face devoid of any expression.Haseena looked back to find his back facing her,she slightly smiled and turned back and that's when Anubhav turned back to get a glimpse of her going away and unknowingly a tear drop escaped his eyes.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

PRECAP

Haseena in Danger.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿
Do vote and comment if you liked the chapter.
🪴Thank You🪴







Continue Reading

You'll Also Like

26.2K 1K 37
"I won't let him look at you, touch you, feel you. Because you're mine and I don't like others touching and stealing what's mine," he whispered in my...
1.2K 192 11
An untimely tale surrounding the Kingdom of Kapila. Caught between myriad of emotions, battles, jealously, betrayals, the royal family battles their...
126K 4.8K 36
Love has different shades Love can be soft or hard Cold or hot Wild or mild Shocking or Protecting Love is eclectic or electric. F...
20.9K 1.5K 10
(Short FF) Anubhav left Haseena on day of sagai. Everyone thought he betrayed her again, except Karishma. Haseena is heartbroken. She tries to forge...