ishq ka rang (ROMAN URDU/HIND...

By vardahhniz

1K 62 17

"Ishq Ka Rang" is not just a tale of romance; it's a testament to the enduring power of love and friendship... More

character aesthetics
synopsis
chapter 1
chapter 2
chapter 3
Chapter 5
chapter 6
chapter 7
chapter 8
chapter 9
chapter 10
chapter 11

chapter 4

40 4 1
By vardahhniz

Sayah raat apni manzilo se safar karti, subah ki jamni se mizaj mei dakhil ho Rahi thi. Raat aur subah ka gehra neela rang sarii kainat ko apne sehar mei Liye hue tha. Khirkiyo se chan kar aati Roshni uski aankho par pari toh usne jazbazaz hokar aankhein kholne ki koshish ki. Woh apni aankhein malne lagi. Or phir khudko darwaze ka Saath Laga zameen-bos paya. Uski aankho mei raat ka manzar chahne Laga. Woh apna sar pichei devar se lagati apni aankhei minch gayi.
Uske kamre mei dastak hui. Usne aankhein kholi. uski aankhein sujii hui thi. woh khari hoti thakei thakei qadam uthati darwaze ka pass phonchti or kholti toh samne peeley rang ka jorei mei ek aurat khari hoti.

"amairah beta tum puri rat jagi rahi thi kya?" unki aankho mei beyhadh fikar thi

"nhi maa, mei soo gayi thi" usne unki janib dekh kr muskura kar kaha aur aenei ka samne aa khari hui phir apne lambe baalo ka jura bananei lagi

"acha chtoh phir aankhein kyu suji hui hai tumhari itni" amairah ka jurei banatei hath lamhe ko rukei usne aenei mei apni aankho ko dekha.

"woh maa shayad thakan ki wajah se sujh rahi hai, mei dair raat tak jagei hue thi nah toh shayad is wajah se nind puri nhi hui hai" usne bat ko talne jese andaz mei jhut kehdia. woh amairah siddiqui thi, apni taqleefe apne tak hi mehdud rakhti thi. woh apne dukho ka roona kisi ka samne nhi rooya karti thi chahey woh uski maa hi kyu nah ho. rabia siddiqui ko apni beti ki har bat par beyhadh naaz tha. unki beti waqai bhot sabar or himmat wali thi. woh janti thi amairah unse jhut keh rahi hai aur kyu keh rhi hai woh yeh bhi janti thi. isi liye woh khamosh hogayi. woh apni beti ka zakham nhi khuraidna chahti thi.

"acha chalo ab jaldi fresh hokar aajao breakfast tayar hai" unhonei kaha aur phir kamre se chali gayi aur amairah bhi baalo ka jura bana kar washroom bandh hogayi.

chand lamho bad woh bilkul fresh sa tayar hue dining room mei aayi or apni ami ka sath beith kar nashta karne lagi. nashte ka doran dono ki halki phulki batei hui phir rabiya ko kuch yad aaya toh unhone kaha

"amairah shaam mei jaldi ghar aajana nazli ki call aayi thi keh rahi thi ka aj aaygi woh"

"KYAAAA??? NAZLIII AUNTYY AA RAHI HAI AJ" amairah ko jese apne kaano par yakin nhi hua tha woh heirat aur sadme se chilla kar boli

rabia has di "han... ab jaldi aajana"

"ok mei aajau gi ap parishan nah hona aur ab mujhe ijazat dei wese bhi bhot late hogaya hai aj" kehti uth gayi or allah hafiz karti bahir nikal gayi. uske chehre par ab kahi bhi raat ki thakan ka ehsas nhi hota tha. woh ab waqai bhot fresh mehsoos kar rahi thi. woh apni gari ka darwaza kholti beith gayi aur apne aj ka din ka safar ka agaz kiya.

______________________________________

"mama please mama uth jai" ek nanne bache ki awaz uski samato se takrai

"baba dekhe nah mama bhi nahi uth rahi hai or ap bhi nhi uth rahe" us bachei ki aankho mei aansuo ka tailab tha

"dadu mama papa kyu nhi uth rahe" woh nanna sa baccha ab apne dada se mukhatib tha. jinhonei us nanni si jaan ko apni bheegi aankho se dekha. aur phir usko apni goud mei utha liya. woh bacha hichkiyo ka sath roone laga unhone us bache ka chehra saaf kiya phir mathe par girei baal pichei kiye "nah bache roona nhi hai, apke mama papa bhot khubsurat jagah gai hai aur woh wahan se apko dekh rahe ha"

"dadu woh dono mujhe chor kar chale gai" us nanni si jaan ka seene mei dard sa mehsoos honei laga

uski aankho ka pardo mei ab khoon se lat pat hue do wajud nazar aanei lagei

phir woh dono wajud safaid rang ka kafan pehne nazar aay

phir unka janaza uthta nazar aaya

woh nanna bacha ab tak roo raha tha.

uska wajud thanda par raha tha

"woh dono chale gai" uske lab hilei

"woh chale gai" dil kharash chinkh ka sath iski aankhei ek jhatkei se khul gayi. bed crown ka sath laga apna sar uthate hue woh har bara kar sidha ho beitha. bhari tanaffus, khusq halak, maof dimagh. uska wajud thandei pasinei se sharabur ho raha tha. usne apni aankhein mali aur ird gird dekha, kamre mei gupt andhera tha.

andhera.

han andhera hi tha.

kamre mei bhi.

aur uski zindagi mei bhi.

har raat usko woh khuwab aaya karte the. aur woh har raat woh aesey hi jagah karta tha. uska wajud bhi apne khuwab mei dikhei bache ki tarha thanda hua karta tha. woh bacha kon tha, woh murda log kon the woh nhi pehchanta tha, usko chehre yad nhi the, lekin ehsas tha ka woh inhe janta hai. usnne hamesha ki tarah aj bhi is khuwab ko apna vaham samjha or bed side pe rakha table lamp jalaya. kamre mei madham si roshni pheili toh woh bed se uthta washroom ki janib barh gaya. woh apne chehre par thande pani ka chintei marne laga ka usko ajeeb aawazei aanei lagi. woh towel se apna chehra saaf karta bahir nikla. koi beyhad zor se darwaze ko mar raha tha sath bahir se khusar phusar ki awazei bhi aa rahi thi

"mei toh kehta hun darwaza hi tor do, nah rahega darwaza nah karna parega intizar" bahir khare ali ne beyhadh ukhsahat ka alam mei kaha

"han ta ka phir yeh meri haddiya tor dei" azan ne apne chote bhai ki aqalmandi ko salami paish ki aur phir wapis chillane laga "zainnnnnnnn......... darwaza kholoooooo"

ek hi jhatke se darwaza khula aur woh jo darwaza se apni pucht tikai khara tha, yun achanak darwaza khulne ki wajah se kamre ka andar jaa gira. Ali ki hasii besakta thi.
Zain ne bigrei tavaro ka sath in dono ko dekha
"Ahhh konsa badla Liya hai yar Tumne" azan karah kar bola
"Tum dono ko konse murgi ka dorei pare hai Jo chilla rahe the" lehje mei saf nagawari zahir thi
"Time Dekho 11 baj Rahe hai, aj se pehle toh itni dair tak nhi sooye tum. Kheir abhi jaldi se aajao mummy wait kar Rahi hai tumhara" kehta wapis Jane laga...
Zain bhi apne kamre ka andar jaata almari se Apne kapre nikalta washroom bandh hogia...

Chand mintoo bad woh surmai suit mei baloo ko set kiye hue dining area mei aaya toh samne hi Apne maa ko beitha paya...
"Assalamualaikum" muskura kar Salam karta unke samne jaa beitha
"Walaikumsalam, aj itni dair kyu hogayi uthne mei" unhone bete ka matha chumte hue muhabbat aur shafqat se kaha
"Rat dair se sooya tha is Liye" usne talne jese Andaz mei kaha
"Acha chalo nashta kro"
Chand dair halki phulki batei chalti Rahi phir unhone kaha "mujhe Azan ne bataya hai ka Tum unke Sath trip par Jana nhi chahtei" zain ka harqat karta hath ruk gaya..
"Mummy mei nhi jauga" do-tok lehja tha
"Lekin kyu bachey" aankho mei sawal tha
Zain khamosh raha. Woh kuch nhi bola.
"Zainnn...." Unhone zain ka hath ka oper hath rakh kar usey pukara
"Mummy" uski awaz mei taqleef sa tha
"Beta mei janti hun taqleef hogi Lekin yeh moqa Tumhe Allah ne dia hai toh kuch soch kr hi diya Hoga nah. Tumhe Jana chahiye beta" unke lehje mei bhot muhabbat thi.
Zain Chand lamha unki aankho ko dekhta raha aur phir nazre jhuka gaya "wahan woh bhi Hogi mummy" bhot dheema lehja tha lekin barabar mei beithi uski maa sun chuki thi
"Toh beta yehi moqa hai sab thik karne ka. Aj nhi toh kal. Kabhi nah kabhi toh samna hoga hi Tum dono ka. Toh kyu nah aj hi karlo"
"Lekin mummy woh mujhe maaf nhi karegi...." awaz mei dard tha
"Kya pata kar dei" unhone bete ko yakin dihasi ka tasar diya
"Nhi karegi, mei Janta Hun usey"
"Insan badal bhi toh jata hai nah beta, Kya pata woh bhi badal gayi ho"
"Apko itna yakin kese hai"
"Kyu kei mujhe Allah par yakin hai, Tum bhi Allah par yakin kro, usse Milo, apni Galat fehmiya dur karo"
"Yeh sab itna asan nhi hai mummy"
"Yeh tumhari azmaish hai Zain. Aur azmaishei kabhi asan nhi hua karti"
"Azmaishei Kyu aasan nhi ho sakti?"
"Azmaisho se insan mazbut banta hai. Jitni bari azmaish utna mazbut insan. Aur agar azmaishei asan hone lag gai toh hum insan bhi kabhi itne mazbut nhi ho sakege ka dunya ki talakh haqeeqatoo ko qubul kar sake"
Usne samajh kar sar asbab mei hilaya
"Phir tum jaa Rahe ho" muskura kar pucha toh Zain ne unki janib dekha. Chand lamhe khamosh Raha phir dheema sa muskuraya aur asbab mei sar hilaya jese keh raha ho "jii mei jauga"
Phir thori halki phulki guftugu ka bad Zain bhi Apne din ka agaz karta hua Nikal gaya.
"Woah mujhe pata nhi tha ka yeh itni aasani se bhi man Sakta hai" pichei khara Azan Jo na-janei kabse maa bete ki batei sun Raha tha ab unke pass aakar kursi khinchta beith gaya
"Hmm aur ab barii hai plan B ki"
Kehne ka Andaz aesa tha ka dono hi has diye....
____________________

Parinde apni azaadi ka izhaar karte hue, aasman mein apni udaan bhar Rahe the. Khilkhilaahatei aur parindo ki cheekhein, jaise ki ek khushi ka pegam suna rahi thi. Shaam ka nazare ne apni shakhon mein jadoo ki chhaon bikhair di thi. Bachon ki masoom khilkhilahat galiyon mein gunj rahi, jaise ki zindagi ne khud hi unhein apni baahon mein liya ho.
Yeh nazara behad dilkash tha jab aasman ne apni sabse khoobsurat libas orhein. Rang birangi shaam ki roshni ne har ek ka chehra khushnuma bana diya, aur sannate mein bhi zindagi ki muskurahat mehsoos hone lagi thi. Aasmaan ka rang badalte hue, suraj alvida kehne ke liye tayyar ho gaya tha.

Bar-amde mei ek garii ruki or driving seat ka darwaza khula. Ek larki Apne hatho mei phulo ka gulgasta pakre hue bahir nikli or sidha Chali aqbii darwaze ka pass aayi. Phir ek hath barha kar digital door lock par password Dala. Aglei hi lamhe lock khul gaya toh woh andar barh gayi. Jese hi woh living area tak phonchne lagi uski samaato mei ek beyhadh khushgawar aur naram si awaz takrai. Uske chehre ka sanjida tasur ab narmi mei badal Chuka tha aur muskurahat uske chehre par bikhar chuki tha. Woh qadmoo ki chap kiye bina dai agei barhti aur Charo taraf Nazar ghumati. Dai janib bana americi tarz kitchen ka counter ka Sath rakhi kursiyo par usei ek khatun beithi Nazar Aayi jo kisi bad par has Rahi thi. Unki pusht iske chehre ki taraf thi jiski wajah se woh unka chehra nhi dekh saki Lekin woh pehchan gayi thi ka yeh Kon hai.
Woh khamosh qadam uthati unke pichei aa phonchi or inke gird Apne baazoo ko hamail Kiya
"Assalamualaikum aunty" muhabbat bhari awaz thi
"Walaikumsalam amairah! Kesi ho bachey" unhone narmi se amairah ka bazu pakar kar usey samne Kiya or uska matha chumne lagi
"Mei bilkul thik hun ap batai apne mujhe miss nhi kiya kya? Bhaee meine toh bhot miss kiya apko" woh kehti hui inke samne kursi khinchti beith gayi
"Aesi bat nhi hai bache mei bhi bhot miss kiya hai apko bas kuch masrufiyat thi isi lie nhi aa saki" beyhad narmi se samjhaya gaya
"Acha chale think hai ap kehti hai toh maan liya meine ab batai tabyet kesi hai apki" beyhad sanjidgi se pucha or samne beithi nazlii has di "mei bilkul thik hun"
"Bhot hogayi batei ab tum Jao or change kar ka aao tumhe andaza bhi nhi hai kitni dair se nazlii ne mujhe suspense mei rakha hua hai" rabiya Jo chai cups mei undail rhi thi woh ab inke Sath as beithi or amairah se mukhatib hui toh amairah ne bhuye sukhair kar nazlii ko dekha "Kya waqai mei aunty"
"Han ab jaldi se aao" nazli ne kaha toh amairah forun uthti Apne kamre mei gayi...
Thik 10 minute bad woh bahir nikli. Nazli aur Rabia bahir garden mei beithi hui batei kar rahi thi toh woh bhi unke pass jaa beithi toh rabiya ne kehna Shuru Kiya "Lo aagayi amairah ab apna suspense khatam karo aur batao Kya bat hai"
Nazli has di phir unhone amairah ki janib dekha Jo baloo ka pony tail banai white kurti ka oper aasmani rang ka dupatta Liye hue samne beithi unhe hi sawaliya nigaho se dekh rahi thi.
"Rabia mei amairah ko apne ghar ki bahuu bnana chahti Hun, agar tumhe koi etraz nah ho toh mei amairah ka hath Apne barey bete ka lie mangna chahti Hun" akhiri jumla Rabia ko dekh kar aankho mei na-janey kirni umeedei lie kaha ...
Rabia ne jazbazaz hokar apni beti ko dekha Jo beyakin nigaho se nazli ko dekh rahi thi. Uski bhur aankhein num thi. Rabia ne apna gala khankara "nazlii mei amairah ki Marzi ka bina kuch nhi keh sakti, agar amairah razii hai toh thik hai warna I'm sorry"
Nazlii ne amairah ki janib dekha. Uski num aankhein dekh kar lamhe ka lie unhe dukh hua lekin woh janti thi ka woh jo kar rahi hai Wohi behtar hai.
Amairah beyhadh khamosh aur sard nigaho se unhe dekhti rahi...
Beyhadh sard or khamosh nigahein.
Yeh nigahei dekh kar unki aankho ka samne amairah nhi balke ek chota baccha beitha dikha.
Woh bhi esi hi sard or khamosh nigaho se unhe dekh raha tha.
Aur aj amairah siddiqui bhi unhe wesi hi sard nigaho se dekh rahi thi.
Unke seene mei jalan mehsoos honei lagi
"Amairah beta mujhe Apke jawab ka intizar rahega, apna khayal rakhna Allah Hafiz" woh kehti uth khari hui or Jane lagi ... Unse mazeed us sard nigahoo ka samna Karna mushqil horaha tha ... Unke seene mei jalan barhti hi jaa rahi thi. Unki aankhein bhi bheegne lagi thi ab. Woh berehmi se apni aankhein phochti gari ka darwaza kholti andar beith gayi or apna sar back seat se teik Laga Lia... Jabke Amairah Siddiqui ko laga ka shayad kisi ne uski saansei le li hai. Kisi ne uska sab Kuch chin Liya hai. Woh wahin beithi Rahi. Khamosh. Bilkul khamosh.

************************

Continue Reading

You'll Also Like

2.9M 75.2K 23
"Stop trying to act like my fiancée because I don't give a damn about you!" His words echoed through the room breaking my remaining hopes - Alizeh (...
19.6K 2.7K 56
What if one day you wake up and find out that the world you live in does not have the person who matter the most? What will happen when you can't fin...
1K 559 25
Denise Marie Loria a Law student na may mataas na hangarin, kinuha niya ang kursong Law para sumunod sa yapak ng kanyang ama at para rin makatulong s...
138K 5.1K 28
━ IN WHICH TWO PEOPLE CAN'T SEEM TO FIND THEIR PERFECT SOULMATE! [ highest rank: #592 in fanfiction ] © zieglerfuls 2017