anuseena (agar kismat ne chah...

By MarthaMehra

11.4K 694 529

So story is about our beloved couple anuseena,this is my very first story so plz co- operate agar koi glti ho... More

Introduction
The meeting
new entry in mpt
Their first meet or something else
Commissioner Sir and Anuseena
The Dinner
MPT in singh Mansion
New Case In MPT
Only asking
Informing u
Agent Land mine
ek aur story
Case Discussion
Jealous Preetakshya/Anuseena
Strying Operation
Rastogi Brothers
Case solved (finally)
to inform
Anu ki Chanda
Dil Se Dil Tak
karishma's past
Do Gallan kariye pyaar diya
Preetakshya's first meet
Preeta, Lakshya aur Urvashi
After Their Marriage
Naughty Preeta and Confused laksh
Their friendship
Teaser
Haseena ki date
They got caught
Pacifying My Angry Bird
Atrangi Case
you, me and our love angel(novel)
next part
Anu bhaiya ki chanda on moon - 1

Part 28

253 29 63
By MarthaMehra

Recap - mahila police thane mein aaya tha ek atrangi bhains se shaadi wala case, vyom aur haseena ko cafe mein dekhne ke baad karishma hain unn dono se naraz... Haseena aur anubhav bhi filhaal vyom se hain naraz.. Vyom dene wale hain karishma ko ek surprise

Continue...

Karishma - aapko hum bas ek hi shart par maaf kar sakte hain

Haseena (immediately without wasting a second) - konsi shart.. Aap bataiye hum aapki saari sharte maan ne ko tyaar hain aap bas ek baar bolkar toh dekhiye

Karishma - toh shart ee hain ki aap ab se lekar agle chobis ghanta tak ke liye Jo hum bolege uu karegi uu bhi bina kisi sawal jawab ke, agar hum aapko bolege eeha uthho toh aap uthhegi agar hum bolege eeha baitho toh aap baithhegi. Fir chahe Ghar ho ja thana aap bas humara order bajayegi.. boliye manjoor hain

Itna sunte hi haseena soch mein pad jati hain, usko kuch samajh nahi aata ki vo kya kare.. vo karishma ko samjhane ke liye bolti hain, "karu ye kuch jyada nahi ho jayega..."

Karishma - 25 ghanta

Haseena - ek baar soch...

Karishma (folding her hands on her chest) - 26 ghanta

Haseena (in requesting tone) - hume thoda time....

Karishma - 27 ghanta

Haseena (finally gave up) - ok fine 27 ghanton ke liye hum bilkul vahi karege jo aap chahegi vo bhi bina kisi sawal jawab ke.. bas aap hume ab maaf kar dijiye aur Maan jaiye

Karishma apni jagah se uthhkar darwaje ke bahar jate hue bolti hain, "kal shaam Tak aapko maafi mil jayegi, filhaal aaram kijiye hum chai pikar aate hain.."

Haseena (from behind) - arre suno toh humari baat...(ks left) chali gyi yaar ye Singh Bhai behen bhi na, kya kare hum inka.. ek ke aage kisi ki chal nahi paati aur dusri ke aage hum apni ab chala nahi payege.. lanat hain humare inke senior hone par.. vaise jo bhi ho filhaal toh inki sabhi baate hi Manni padegi, uske alawa toh  kuch kar bhi nahi payege hum..

Tabhi unka phone bajta hain.. haseena phone par naam dekhti hain toh uss par Mr. chakri likha hota hain..

"Lo Shaitan ka naam liya aur call aa bhi gya inka"

Haseena (after picking up the call) - ji kahiye

Anubhav (with a smile) - hum nahi aap kahiye

Haseena (rolling her eyes) - hum kya kahe phone toh aapne Kiya hain

Anubhav (with a smirk) - vo toh aap hume samarn kar Rahi thi.. isliye socha phone karke puchh lete hain ki vaha sab khairiyat toh hain

Unki baat sunne ki deri thi ki haseena ne andar bahar sab jagah dekhna suru kar diya par vaha toh koi nahi tha

Haseena (suspiciously) - aap kaha hain? Aap kahi se sun ya dekh rahe hain kya hume?

Anubhav (with a smirk) - aapke aas paas toh nahi hain hum haseena ji par lagta hain ki aap sach mein Hume hi yaad kar rahi thi.. vaise kya soch Rahi thi aap humare vishey mein

Unki baat sun kar haseena ko samajh aata hain ki anubhav ne bas aise hi usko call Kiya tha, unko ye pehle se pata nahi tha ki haseena unko yaad kar rahi thi ya nahi

Haseena (in irritated tone) - aap apni skills na hum par try mat Kara kijiye varna kisi din hum apni skills try karne par aa gye na toh achha nahi hoga aapke liye

Anubhav (in flirtatious tone) - achha ji.. hum toh chahte hi hain ki aap apni kala ko hum par saara jeevan ajmaati rahe, vaise bhi patni ke taane sunna toh har pati ka sobhagya hota hain(bechare flirt karne ke chakkar mein kuch jyada hi bol gye)

Haseena (angrily) - kya matlab.. aapko ye lagta hain ki hum taane dete hain.. hum mein bas taane Dene ki hi skill hain uske siwa aapko hum mein aur koi talent, koi khubi nazar nahi aati?

Anubhav (trying to cover up) - arre aise humne kab kaha, hum toh bas...(she cut him off)

Haseena - bas bas ab Hume maskha mat maariye kyuki uska koi fayda nahi hoga hum par.. kaam ki baat kijiye jiske liye aapne hume phone Kiya hain

Anubhav (coming to the point) - haan vo humne aapse do baatein puchhne hetu aapko durbhash Kiya tha

Haseena (ask raising her brows) - achha aur vo do baate konsi hain jiske liye aapne apne iss durbhash yantra ko kasht diya.. vo baatein official toh nahi lag rahi

Anubhav - haan haseena ji vo baatein official nahi hain.. darasal hume aapse puchhna tha ki kya aap jija shree duwara aayojit samaroh mein Jane wali hain? Kya pata hain aapko ki unhone vo samaroh kis sandarbh mein rakha hai?

Haseena (lil straight tone) - pehli baat toh Hume nahi pata ki Vani ne vo party kyu rakhi hain aur na Hume uske baare mein janna hain aur dusri baat ki hum uss party mein nahi Jane Wale isliye aap uss party ke baare mein sochiye hi mat..

Anubhav (ask in confuse tone) - ek kshan aap uss samagam mein nahi Jane wali toh aapko uske baare mein nahi sochna chahiye par Hume toh sochna padega na uske baare mein, Hume toh nyota bhi aa chuka hain unki taraf se

Haseena (with a tight lipped smile) - hum se humara matlab hum aur aap se tha.. baaki rahi baat nyote ki toh usko faad fud kar jala dijiye aur uski raakh ko Pani mein baha dijiye par aap uss party mein nahi jayege toh matlab nahi jayege

Anubhav - arre par kyu haseena ji?

Haseena (in lil ziddi tone) - kyuki hum aapse keh rahe hain itna kaafi nahi hain kya aapke liye?

Anubhav (smirked) - nahi humare liye itna kaafi nahi hain.. Hume ye janna hain ki aap ye hume kis haq se keh Rahi hain, humari junior hone ke haq se, sakhi hone ke haq se ya fir humari pat...

Haseena (immediately cutting him off) - sakhi.. aapki sakhi hone ke nate hum aapse ye keh rahe hain aur aapko apni iss param sakhi ki baat manni padegi.. (in soft and cute tone) vo bhi bina kintu parantu kiye

Anubhav (smiling of her cuteness) - achha thik hain haseena ji agar aap kehti hain toh hum vaha nahi jayege.. Maan Li humne aapki baat ab prasanya hain aap?

Haseena (smilingly) - haan... vaise aapko humse aur kya puchhna tha?

Anubhav - yahi ki chanda maani ya nahi.. prantu ab Hume aapse baat karke iss prasan ka utar bhi gyaat ho hi gya hain.. aap chintit mat hoiye vo shigra hi Maan jayegi vo aapse jyada samein tak rusht reh hi nahi sakti

Haseena (said after taking a deep breath) - hmm Maan toh vo jayegi par uske liye unhone humare samne Jo shart rakhi hain agar vo aap sunege toh aap bhi chintit ho jayege prabhu

Anubhav (asked raising his eyebrow) - achha Aisi kya shart rakhi hain unhone?

Haseena (about to speak) - vo actually... (that's when her phone beeps) ek minute anubhav hume case se related phone aa raha hain.. aap ek minute hold par rahiyega

As soon as she picks up the second call while trying to put the first one on hold, both calls accidentally merge.(vo kareenav ka phone merge wala scene yaad kar lo aap readers)

Haseena - hello..

From other side - hello haseena ji mujhe bacha lijiye please.. ek aap hi ho jo meri madad kar sakti ho please mujhe bacha liye haseena ji.. varna meri family Wale meri shaadi uss bhains se karwa denge

Haseena was about to speak when dusri side se anubhav bol padte hain...

Anubhav (strictly) - shree Maan prabhat pehle toh aap haseena ji ko baar baar haseena ji bolna band kijiye aur dusra jara Shanti se bataiye ki aakhir samasya kya hain?

Prabhat (in confusion) - ye aawaz.. ye aawaz toh kuch jaani pehchani lag rahi hain aur ye dialogue bhi kuch suna suna sa lagta hain

Anubhav (with a fake smile) - arre shreemaan aap hume bhul gye?

Prabhat (in shocking tone) - DSP sir?

Anubhav (said with a smirk) - ji hum hi hain

Prabhat - aap haseena ji... mera matlab hain SHO maddam ke saath hi hain abhi tak?

Haseena - arre nahi..(interrupted by as)

Anubhav (stopping her) - nahi kya haan haseena ji hum aapke saath hi toh hain.. shreemaan prabhat aap ye sab chhodiye aur apni samasya hume bataiye aakhir hua kya hain?

Prabhav (dramatically) - sir kya bataye hum aapko.. mere pariwaar walo ne thhan liya hain ki vo toh ab meri shaadi bhains se karwakar hi chhodege iske liye vo log ladki.. I mean bhains dekhne Jane Wale hain kal.. agar kal unko bhains pasand aa gyi toh vo log meri chat mangni par byah kar denge.. fir hum kya muh dikhayege duniya walon ko.. log mujh par hasege bolege ki dudh ka kharcha bachane ke liye bhains ko hi biwi bana laya.. aur toh aur mera apni shaadi se pehle apni dulhan ko ghutne par baithkar propose karne wala sapna bhi Tut jayega.. ab aap hi koi solution bataiye maddam main kya karu?

Anubhav (before haseena can say something he speaks) - iss samasya ke toh Hume do hi upaye nazar aa rahe hain prabhu

Prabhat (immediately) - achha toh fir jaldi bataiye na sir main toh dono upaye ek saath kar dunga bas mujhe aap iss shaadi se bacha lijiye bas

Anubhav - nahi dono upaye ek saath nahi ho sakte aapko pehle pehla upaye karna hoga uske baad dusra dono ek saath sambhav hi nahi hain...

Prabhat (noddingly) - ok sir main ek ek karke kar lunga aap bas upaye bataiye

Anubhav (apni dengerous smile ke saath) - toh fir pehla upaye ye hain ki aapki samasya ye hain na ki aapke dost, gali muhale Wale aapko bolege ki aapne dudh ke paise bachane ke chakkar mein vo shaadi ki hain toh aap ek kaam karna ek Dugdh sanyantr arthat dudh ki dairy hi khol lijiyega aur shaadi ke baad sabko Kam kimat par dudh Dena suru kar dijiyega.. usse do paise bhi Ghar mein aayege aur log chaar baate bhi nahi karege aur saath mein aapki bhains arthat aapki dharm patni ji ka dudh dena bhi sabke kaam aa jayega

Prabhat - kaisi baat kar rahe ho aap sir aise thodi hota hain isse toh log jyada baate banayege bolege ki dairy bhi uss bhains ke free dudh se hi chal Rahi hain aur bhi pata nahi kya kya sunayenge vo mujhe.. iss upaye ko rehne dete hain aap ek kaam karo mujhe dusra upaye bata dijiye main vahi kar lunga

Anubhav - achha toh dusra upaye ye hain ki vivah se purv wala swapan vivah pachhchat pura kar lijiyega... aap Jo ghutno par baith kar karne Wale the usko apni priye dharm patni ji ki pithh par baithkar kar Lena isse aapka sapna bhi nahi tutega aur aapka kaam bhi ho jayega
(haseena was like.. Mr chakkari kisi ko toh bakas diya kijiye)

Prabhat (fearfully) - sir agar main ye upaye karne gya aur bhains ko hi achha na laga toh meri kamar toh gyi fir main toh bistar se uthhne ke layak nahi rahuga sir.. ek kaam kijiye aap rehne dijiye main khud hi koi upaye dhundh lunga ya fir madam ke kuch karne Tak intezaar karuga

Anubhav (said controling his laugh) - par prabhu abhi toh dusra upaye batana shesh Hain vo toh sun lijiye ho sakta hain vo achha ho

Prabhat (immediately in fear) - nahi nahi sir meharbaani kijiye mujh par mujhe aur koi upaye nahi chahiye thank you, have a nice day bye.. bye haseena ji

And he cut the call.. after he cuts the call haseena starts laughing hard

Anubhav (to haseena) - lagta Hain humne bohot hi asaan upaye bata diye shreemaan ko, thode aur jatil upaye batate toh unko humari kahi Hui baat yaad rehti ki vo aapko aise nahi bula sakte

Haseena (said rolling her eyes) - uff ye jealousy... khair Hume filhaal Amar sir ko ye batana hoga ki iss case par vo bhi apna kaam suru kar den

Anubhav - ek Shan apna kaam arthat?

Haseena - vo hum aapko mil kar bata denge filhaal rakhte Hain... bye

Anubhav - ji.. khayal rakhiyega apna

Haseena - hmm aap bhi (saying this she cut the call with a smile)

On badnaam tea stall,

Pushpa ji (to Karishma) - maan jao na Karishma kyu itni zidd kar Rahi ho Bahu Rani, lalla ke business partner ke yaha party mein Jana Hain Hume aur vaha bhi aise kapdon mein jaogi toh achha thodi lagega, (with over acting) vaha toh ek dum ban than ke Jana chahiye tumhe.. bilkul humari tarah Sundar banke Jana chahiye

Karishma - amma vo business party hain vaha sab business ke log aaye honge vaha par simple kapde bhi chalege toh fir chamak dhamak Wale kapde pehanane ki kaa jaroorat?

Pushpa ji - jaroorat hain.. lalla ne khaas tumhare liye videsh se ye kapde banwakar bhijwaye hain ab agar tum nahi pehnogi toh use kitna bura lagega, pehen lo na ek baar humare kehne par

Santu - karishma madam pehen lijiye na agar pushpa ji itna keh rahi hain toh

Karishma (rolling her eyes) - achha thik hain pehen lenge hum.. bas khush ab sab

Pushpa ji and all others - haan bohot(karishma left from there)

This is for today..

Up coming
Party and Anu bhaiya ki chanda on moon

Finally...

Continue Reading

You'll Also Like

231K 11.6K 91
Being flat broke is hard. To overcome these hardships sometimes take extreme measures, such as choosing to become a manager for the worst team in Blu...
197K 4.5K 67
imagines as taylor swift as your mom and travis kelce as your dad
90K 2.3K 33
A little AU where Lucifer and Alastor secretly loves eachother and doesn't tell anyone about it, and also Alastor has a secret identity no one else k...