My Little World

By NoumanReader

7.6K 305 130

Overview- Farjaad and umeed are poles apart..Farjaad is calm,serious and a passionate business man jiske liye... More

Part 1
Part 2
Part -3
Part -4
Part-5
Part -6
Part -7
Part -8
Part-10
Part-11
Part-12
Part-13
Part-14
Part-15

Part -9

518 22 15
By NoumanReader

My little world

Part -9

Bahadur House

Niggo thinking about umeed's positive energy in the house
This girl really changed the vibe of the house
Earlier bahadur villa was  just a house  with people living a monotonous and boring life but with umeed's presence everything has changed

Mimi came and sat beside niggo

Mimi- kya soch rahi hai maa

Niggo- umeed ke baarein mei

Mimi- umeed ke baarei mei??

Niggo- mimi tum sach kehti thi
Farjaad ki zindagi mei umeed jaisi ladki ki hi zaroorat thi
Umeed ke aane se hum sabki life mei kitna fark aaya hai
Pehle hum sab ek dusre ke mobiles mei busy rehte they but ab
Umeed ke aane ke baadh
Hum ek dusre ke saath quality time spend karrahe hai
Baatein karrahe hai
Games khel rahe hai

Mimi smiles and said

Mimi- kaha tha na apse ke umeed bahot acchi ladki hai
Dekha usne proof kardiya na
Aur aap uss boring reena ko bhai ke saath fix karne ka soch rahi thi

Niggo smiles and said

Niggo- haan farz karo agar reena farjaad ki partner hoti toh hamari aur Farjaad ki life waise ke waise hi rehti
Boring aur monotonous

Mimi- haan maa
Shukar hai Allah ka ke hamari life mei umeed aayi hai

They both smiles when all of a sudden umeed came and said

Umeed- aap dono yaha hai mai kabse aap dono ko lawn mei dhundrahi thi

She was marching towards them but her hand hit the vase and it broke right on her foot making that glass piece piercing through her skin

Umeed- ahhh

Niggo and mimi got up abruptly

Niggo- oh my god baby
Niaz anthony
Jaldi se doctor ko phone lagao

Mimi held umeed's hand where as niggo was stressed out

Umeed was crying in pain while her feet started bleeding heavily

Anthony called the doctor whereas niaz cleaned the broken glass pieces from the floor

Umeed was crying inconsolably when the doctor was cleaning the wound and niggo held her from the shoulders while sitting besides her

Umeed- mama mujhe bahot dard horaha hai

Niggo- its ok baby
Abhi kam hojayega
Relax

Doctor-waise zakhm gehra hai
Maine patti baand di hai par aap zyaada walk na karey
2 din tak bistar se utre bhi na

Doctor looked at niggo and said

Doc- apni beti ka khayaal rakhiyega
Iss umar mei bacche kheltey koodtey hai par aap zara khaas tawajju dein in par

Doctor took umeed as a teenager and niggo ji's daughter

Niggo- ji doctor i will keep that in my mind

Doctor left with anthony escorting him while mimi messaged farjaad about umeed's condition

Umeed- mama mujhe farjaad chahiye

Niggo ji and mimi smiles

Niggo- baby woh aajayega
Mimi ne usey msg kardiya hai
Ok

Mimi- haan umeed  bhai aajayenge
Tum pareshaan na ho
Accha tum ye batao
Kuch khaogi?

Umeed shook her head and said

Umeed- nai
Mujhe kuch nahi chahiye
Mere pair mei bahot dard horaha hai
Mujhe farjaad chahiye

Niggo- Awww my baby
Mama hai na apke pass
Accha bass
rotey nahi

She wiped umeeds tears and umeed hugged niggo ji while niggo trying to put her to sleep

Mimi went out and dialled farjaad's number but he wasn't picking up the call

Mimi- ye bhai phone kyu nahi utha rahe
Voice message drop kardeti hun

"Bhai aap please ghar aajayein
Umeed ke pair mei chot lagi hai aur woh bahot rorahi hai
Aap please jaldi se ghar aajaye"

She drops a voice message and went back to the room

Mimi- maa woh bhai

Niggo- shhhhhhh

Mimi looked at umeed who slept in niggo's arms
Mimi kept a finger on her lips and sat on the chair whereas niggo ji was still patting umeed's hair

Pasha house

Sameer was walking in the lawn while thinking about umeed
haya came n stood near him

Haya- kya hua sameer
Kya soch rahe ho?

Sameer- umeed ke baarei mei sochraha tha
Pata hai haya umeed upar se kitni bhi strong lagti ho but andar se she is just a baby
Mama ke saath toh meri bahot saari memories hai but umeed ke pass woh bhi nahi hai
Kabhi kabhi mujhe ye lagta hai ke agar umeed ke pass aghujaan chachu aur tum nahi hotey toh pata nahi uska kya hota

Haya- sameer
Umeed ke pass taiji nahi hai toh kya hua
hum sab toh hai na
Aur abtoh farjaad bhai niggo aunty aur mimi bhi hai
Tumhe pata hai woh sab umeed ka kitna khayaal rakhtey hai
Farjaad bhai toh usey princess ki tarah treat karte hai
Aur niggo aunty umeed ko apni beti ki tarah pyaar karti hai
Mimi ke roop mei umeed ko ek behen milgai hai
Umeed bahot lucky hai sameer
Maine kal apni aankho se sab dekha hai
Wahan usey sab apni palko par bitha kar rakhtey hai
Aur tumhe pata hai
Kal umeed khaana khaane se manaa karrahi thi aur
Farjaad bhai usey apne haatho se khaana khila rahe they
Tum toh Jaantey ho na umeed ko
Woh agar zidd par aajaye toh kisiki nahi sunti
Par farjaad bhai uski har zidd har khwaish poori karrahe hai
Tum zyaada pareshaan na ho
Umeed bahot khush hai

Sameer smiles and pasha saab overheard their conversation

He felt so happy hearing about umeed getting all the love and affection from her in laws and husband

Farjaad is in office busy with work deep till the neck
So he didn't got time to check his phone which was lying infront of him being silent

Reena entered in the cabin with a motive to spend time with him in pretext of doing work
She thought if she can't be his wife atleast she can spend more time with him because farjaad spend more of his time in the office rather than his home
So she thought to enjoy his presence while his wife will be sulking in the house waiting for him

Reena stood besides him and gave him a file

Reena- farjaad
Isey ek baar check karlo
I made sure ke isme koi loopholes nahi hai
Aur Maine isey cross checking bhi ki hai
Everything is perfect

Farjaad took the file and reena bent towards him to show him the file

He very well understood her motive and said while closing the file

Farjaad- miss reena i will check it by myself
Aap apne cabin mei jaasakti hai
Agar koi baat hai toh mai apko bulalunga
Filhaal you can proceed with your work

Reena fake a smile and stomps out of the cabin
Whereas Farjaad rolled his eyes at her

Meanwhile he called mehek in her cabin with his telecom

Farjaad- mehek mere cabin mei aaye

Mehek- yes boss

Bahadur house

Umeed was sleeping meanwhile niggo and mimi were keeping a check on her

Mimi- maa ye bhai bhi na
Calls hi pick nahi karrahe
Dekhein na subah se calls aur msgs karrahi hu
Koi jawab hi nahi derahe

Niggo- ye ladka bhi na
Ek baar kaam mei busy hojaye  toh koi dhunn nahi hoti isey
Ghar aane par uski class zaroor lagaungi

Mimi- haan maa aap bhai ko bahot daantey
Bichaari umeed kabse bhai ko yaad karrahi hai
Agar ab woh jaag jaayegi toh hum kaise usey handle karenge
Bahot mushkil se usey sulaya hai

Niggo- haan mujhe bhi wahi tension horahi hai

Umeed- mamaa mimiii

Umeed called them from her room and they both rushed towards her room

Niggo- kya hua baby
Dard horaha hai

She nods and shed few tears

Umeed- mama farjaad kaha hai

Mimi and niggo looked at eachother n mimi said

Mimi- bhai aatey hi honge
Tum batao mai tumhare liye kuch laun
Kya khaogi??

Umeed felt disappointed not finding Farjaad besides her when she needed him the most
Farjaad always said that umeed is his priority but never made her one
She thought whenever she needs him he will always be there with her
But farjaad's love towards his work made umeed heartbroken

Tears were flowing down her face and niggo and mimi felt bad for her

Niggo- mimi tum umeed ke pass baitho
Mai apni baby ka fav white pasta banakar laati hu

Umeed- nahi mama mujhe nahi khaana

She wiped her tears and niggo said

Niggo- arey aise kaise nahi khaana
I will go and get it fast
Ok

Umeed nods and niggo went to the kitchen to make umeed's fav pasta

Whereas mimi sat beside umeed and umeed hugged mimi and cries more

Umeed- mimi farjaad bahot burey hai
Unhe meri zari bhi parwa nahi hai

Mimi calms her while patting her back

Mimi- aisa nahi hai umeed
Bhai shayad busy hongey
Isliye unhone mere msgs ya calls ka reply nahi kiya
Agar dekh letey toh abtak ghar aachuke hotey
Tum zyaada ro mat
Subah se rorahi ho
Tabiyat bigad jaayegi umeed

Umeed- toh bigadne do
Waise bhi mai jeekar kya karungi
Farjaad toh mujhse mohabbat hi nahi kartey

Mimi smiles and hits her playfully on her head

Mimi- baatei karwaalo tumse
Ya kaisi baat hui umeed
Bhai tumse bahot mohabbat kartey hai
Par apne kaam ko lekar thode se serious hai
Dekhna jaise woh apna phone check karenge na daudey chale aayenge tumhare pass

Umeed- mai unse baat hi nahi karungi

Mimi- accha baba na karna baat
Filhaal ye aansu poocho

She wipes her tears and umeed looked at her leg

Umeed-  mimi mai kabtak aise hi bistar pe padi hui rahungi
Mujhe bahar jaana hai

Niggo- bilkul nahi

She placed the tray on the bedside table and sat infront of umeed

Niggo- doctor ne kaha hai na ke do din tak  bed se neechey utarna nahi hai

Umeed- mama mai do din toh kya do ghante bhi aise nahi rehsakti

Mimi- umeed tumhe jaldi theek hona hai ya nahi

Umeed- hona hai

Mimi- toh chup chap hamari baat maanlo

Umeed made a face and niggo took hot bowl of white pasta

Niggo- ye raha meri umeed ka white pasta

Umeed smiles bright and said

Umeed-thank you mama
Laayei mujhe dein

Niggo - nahi
Mai apni beti ko apne haatho se  khilaungi

Umeed smiles with few tears in her eyes

Niggo blows on the spoon and fed her lovingly
While mimi admired their bond

After sometime
Mimi and niggo left the room meanwhile Haya and umeed were talking on the phone

Haya- kya?
Tumhe chot laggayi
Kaise???

Umeed- haan
Mera haath ghalti se vase se takra gaya tha aur pair mei chot laggayi
Bahot khoon baha hai pata hai
Doctor ne toh kaha hai ke 2 din mujhe bistar se neeche nahi utarna hai

Haya- uff Allah umeed
Theek se nahi chal sakti tum
Zyaada dard toh nahi horaha hai?

Umeed- bahot dard horaha hai
Par tumhe pata hai
Niggo mama aur mimi mera bahot zyaada khayaal rakh rahe hai
Mama ne toh mere liye white pasta banaya aur apne haatho se khilaya
Mujhe aisa laga ke mai apni khudki mama ke pass hun

Haya smiles and said

Haya- aur farjaad bhai toh tumse apni nazar bhi nahi hatarahe honge na
Bilkul princess ki tarah treat karrahe honge

Umeed- naam mat lo uss halaku khan ka mere saamne

Haya- arey
Kya hua

Umeed- haya dekho na
Subah ki shaam hogai aur unka abtak koi ata pata nahi hai
Mimi ne subah se hazaar martaba unko calls aur msgs kiye hai
Par majaal hai unki ke woh apne busy schedule mei se thoda sa waqt nikaal kar apna mobile check karlein

Haya- haan toh aajayenge na
Shayad busy honge

Umeed- pata hai
mujhe Aisa Lagta Hai ki Farjaad ko sirf apne office aur meetings se hi mohabbat hai
Unke liye unka kaam hi important hai
Mai nahi

Haya- aisa toh na kaho umeed
Farjaad bhai tumse bahot mohabbat kartey hai

Umeed- haan dikh raha hai ke kitni mohabbat kartey hai
Biwi ko itna bada zakhm hogaya aur janaab toh apni duniya mei masroof hai
Mujhe toh lagta hai ke unhone jaan boochke ye sab kiya hai

Haya- accha
Ek baar apne dil par haath rakh kar batana
Kya tumhe waqai lagta hai ke farjaad bhai tumhe ignore karrahe hai
Jaan boochkar ghar nahi aaye ye jaan kar bhi ke tumhe chot laggayi??

Umeed pouts and shook her head

Umeed- nahi

Haya- toh phir kyu aisi bakwaas karrahi ho

Umeed- kyuki main unhe bahot miss karrahi hun
Mere har dard ki dawa hai farjaad
Unke pass rehkar mera saara dard kam hojata hai

She felt a lump in her throat and haya smiles

Haya- accha tum zyaada pareshaan na ho
Farjaad bhai aajayenge tumhare pass

After a busy day in the office farjaad finally sat in the car and was about to start but his gaze fell on the mobile phone

He took the phone and opened it to see 25 misscalls and 5 messages from mimi

Farjaad- mimi ke itne calls aur messages
Sab khairiyat toh hai?

He opened the voice note and heard

"Bhai aap please ghar aajayein
Umeed ke pair mei chot lagi hai aur woh bahot rorahi hai
Aap please jaldi se ghar aajaye"

Farjaad- what???

He checked the time of the voice note which shows 12 PM
Almost 6 hours before

He cursed himself under the breath for getting so busy in the work and without even thinking more he started his car

He have to reach home as soon as he can because he knows how umeed must be crying all day for him in pain

He reached the house and went inside soon

Mimi and niggo were sitting in the hall
And mimi saw farjaad coming in

Farjaad- maa umeed ko chot kaise laggayi
kya hua usey

Niggo- aagaya khayaal biwi ka??
Farjaad tumhe andaaza bhi hai
Tum kitne careless hotey jaarahe ho
Subah se mimi ne tumhe kitni dafa calls aur msgs kiye
Ek baar bhi tumne apna phone check karna munasib nahi samjha?

Farjaad- maa i am sorry
Mera phone silent mode mei tha
Aur mera bilkul bhi dhyaan nahi gaya tha phone par

Mimi- bhai apko pata hai umeed kitna rorahi thi
Subah se aapka pooch rahi thi

Farjaad- mimi beta
Maine kaha na maine phone check nahi kiya tha
Mai umeed ko dekhta hu

Niggo- koi zaroorat nahi hai
Mimi anthony se jaakar kehdo ke farjaad ka saara saaman guest room mei shift kardey
Mai Umeed ko farjaad ki wajah se aur pareshaan nahi dekh sakti
Farjaad umeed ke  saath nahi rahega

Farjaad- what???
Maa apko kya hogaya hai
Aap bhi umeed ki tarah baatei karne laggayi

Niggo- haan toh usme bura hi kya hai
Atleast mai tumhari tarah insensitive toh nahi banrahi

Mimi giggles and farjaad sighed n said

Farjaad- maa mai apne room mei jaraha hun apni biwi se milne
Aap apni daant ka quota baadh mei poora karleinnn

He went inside his room whereas mimi and niggo shared a laugh

Umeed was fidgeting her index fingers with a pout on her face missing farjaad like hell

Just then farjaad entered the room n saw umeed's feet which has a big bandage and her face had a pout

He rushed towards her n sat infront of her while cupping her face in his palms

Farjaad- umeed
Ye chot kaise laggayi
Aap theek hai??

Umeed looked at him with a frown on her face n jerked his hand away while crossing her arms against her chest

Farjaad- i am sorry baba
Maine phone check nahi kiya tha
Please mujhe maaf kardeinn

Umeed turned her face away and farjaad sighed  while getting close to her

Farjaad- umeed
Yaha dekho

She shook her head and farjaad smiles

Farjaad-naraaz ho mujhse

She flared her nose and he said while holding her hands

Farjaad- i am sorry baby
Please look at me

She looked at him and her eyes started leaking

Umeed- aap bahot burey hai
Mujhe aapse koi baat nahi karni
Apko meri parwa hi nahi hai farjaad
Aapke liye sirf apka kaam important hai
Meri koi ehmiyat nahi hai apki zindagi mei

He wiped her tears and kissed her on her forehead

Farjaad- i know mai bahot bura hun
But aisa nahi hai umeed
Aap mere liye mere kaam se bhi zyaada important hai
Mera dhyaan hi nahi gaya phone par
Agar check karleta toh saara kaam chodkar apni umeed ke pass aajata
iss baar maaf kardo
I promise agli baar se aisa bilkul nahi hoga

Her heart melted by his genuine apology

She hugged him tight while crying like a baby and he pats her back while hugging her tightly

Umeed- apko pata hai mujhe kitna dard horaha tha kitni takleef horahi thi
Aur aapki yaad bhi aarahi thi farjaad

Farjaad- i know meri jaan
I am sorry
Mai aapke dard mei aapke saath nahi tha
I am really very sorry

He kissed her head and she hits him on his chest

He rested his back to the bed post while making her sit on his lap still hugging her

She calms down n started playing with his tie whereas he gently caresses her hairs n drop a kiss every second on her hairs

She hugged him like a second skin n don't want to leave him  even for a second

Farjaad- umeeddd

Umeed- hmmm

Farjaad- ye chot kaise lagi?

She told him about how she got hurt and how doctor told her to stay in bed for 2 days

He looked down at her who was busy playing with his shirt buttons

Farjaad-meri jaan apko khayaal rakhna chahiye tha na
Aaram se bhi chala jaa sakta hai na umeed
Maa aur mimi ghar par hi toh they

Umeed- haan par mai bore horahi thi
Mujhe unse baatein karni thi
Jaldbaazi mei chalne ki wajah se ye haadsaa  hogaya

She looked at him and he kissed on her nose

Farjaad- ainda se khayaal rakhna
Ok

She nods n he asked

Farjaad- subah se saara waqt rone mei hi zaaya kardiya aapne ya phir kuch khaaya bhi hai??

Umeed- khaaya hai
mama ne mere liye white pasta banaya tha
Aur apne haatho se mujhe khilaya
Bahot tasty tha

Farjaad- kya baat hai
Ye aapki aur apke mama ki bonding kuch zyaada hi gehri hote jaarahi hai

Umeed- kyun
Apko jalan horahi hai?

He laughed and said

Farjaad- nahi bilkul nahi
Khushi horahi hai  aap dono ko aise saath dekh kar

She smiles and he kissed her on her temple

Farjaad- accha aap yaha aaram
Karein mai change karke aaya

He placed her on the bed and about to move away but she held his shirt tight in her fist n shook her head

Umeed- farjaaadddddd
Na jaayein

Farjaad- umeed mai sirf change karne jaaraha hu baby
2 minute mei wapas aajaunga
Ok

She pouts and whines but he pecked her lips and said

Farjaad- mera pyaara baccha
I will be back soon
Ok

Umeed left his shirt and he quickly moved away whereas umeed frowns more while crossing her arms against her chest

Farjaad came outside in his comfortable clothes and looked at umeed who was trying to remove bandage from the leg to see her wound

Farjaad- umeed kya karrahi ho

She flinched when he came and sat infront of her taking her hand away from her leg while straightening her leg

Farjaad- kya karrahi ho ??
Zakhm taaza hojayega na baby

Umeed- haan mujhe dekhna hai na ke kitna deep cut hai

Farjaad- accha aur dekh kar kya karogi

Umeed- khush hojaungi ke maine ye deep cut bhi bardash kiya hai

He laughed and scooped her in his arms

Farjaad- meri nanhi si jaan
Aap kabhi bade hone ka naam bhi lengi??

Umeed- kyu
Badi hi toh hoon na

Farjaad- mujhe toh nahi lagta

He looked at her who was looking up at him with her wide big innocent eyes

He kissed her on her lips and then kissed all her face and she smiles wide feeling his lips all over her face

She giggled and shifted herself to his lap

Farjaad- ab dard kam hai

Umeed- bahot kam hai
Aap aise hi mere saath rahoge toh meri saari takleef kam hojayegi

He smiles and said

Farjaad- jee madam pata hai mujhe

He rests his back to the bed post and she rest her back to his chest

He switched on the tv and they both enjoyed her fav movie together with umeed in his lap

They laughed whenever there is a funny scene in the movie and farjaad was checking upon her closely and umeed was enjoying both the movie and farjaad's closeness
She took his hand and was playing with his fingers
Kissing them
Biting them
And  farjaad kissed her hairs and admired his goofball for her adultery innocence (🤭)finally umeed felt asleep in his arms while clutching his tshirt in her fist

Farjaad placed her on the bed
Covered her with a quilt and went outside to have dinner with mimi and niggo

He quickly ate his dinner and came back to the room and found her asleep

He sat besides her and admired her lovingly while caressing her hairs

Umeed- i love you(in a sleepy state)

Farjaad-  i love you too jaan

He admired his tiny little adorable wife and smiles wide while thinking about her

Next morning

Umeed is sleeping peacefully in her room whereas farjaad mimi and niggo were chitchatting sitting in the hall

Niggo- farjaad aaj tumne office se chutti lekar accha kiya
Umeed bahot khush hojayegi

Farjaad smiles and mimi said

Mimi-haan maa
Warna kal jiss tarah umeed bhai ke liye rorahi thi
Mujhe bahot bura lagraha tha

Farjaad- mimi beta
Kal ki baat kal mei hi rehne detey hai

Mimi smiles and niggo said

Niggo- par mimi theek kehrahi hai farjaad
Umeed ko agar koi sambhal sakta hai toh woh ho tum
She is a baby by heart toh uska khaas khayaal rakha karo

Farjaad smiles

Farjaad- jaanta hun maa
Umeed ko handle karna kisi bacche ko handle karne se kam nahi hai
Specially tab jab woh hurt hoti hai
Par aap fikr na kareyyyy
Mai uska khaas khayaal rakhunga

Niggo- good
Accha suno
Mera aur mimi ka aaj dayout plan hai
Toh ghar mei aaram se rehna aur umeed ka bahot khayaal rakhna
Maine anthony and niaz ko bhi chutti dedi hai

Farjaad understood his mother's intentions and smiles brightly

Mimi giggled and farjaad ruffled her hair

Mimi- bhai
Baal na kharaab karein

She got up from the sofa and sets her hair while going out whereas niggo ji and farjaad smiles more

After seeing off mimi and niggo farjaad went back to his room to wake his sleeping beauty

Farjaad- umeed
Uthjao
Subah hogai hai

Umeed stirs in her sleep and rubs her eyes
While unconsciously moves her leg

Umeed- ahhhh

Farjaad- umeed kya karrahi ho
Aaram se

He made her sit while keeping few pillows behind her back

She sits and opens her eyes completely

Umeed- aap abhi tak taiyyar nahi hue

She looks at the clock which shows 9 AM

Umeed- 9 bajgaye hai farjaad

Farjaad sat infront of her
Placed few trendils of her hairs behind her ear

Farjaad- kyuki aaj mai office nahi jaraha
Banda apni begum ki qidmad mei haazir hai

Umeed smiles brightly

Umeed- sacch
Aapne aaj office se chutti karli?

Farjaad- haan baba

Umeed squealed in joy and hugged farjaad

Farjaad smiles and hugged her back

Farjaad- accha ab aap freshup hojayeinn
Aur ye bataye ke breakfast mei apko kya khaana hai

Umeed- jo bhi aap banaoge

He smiles and she giggles while he pinched her nose

He picked her in his arms and took her to the washroom and gently made her stand

Umeed held the wall for the support and he said while going out

Farjaad- jab freshup hojaogi toh awaaz lagana
Mai bahar khada hun

Umeed nods and farjaad stood outside waiting for her

After freshening up umeed called farjaad and farjaad took her in his arms and placed her on the bed

Farjaad- aap yaha baithkar aaram farmaayei
Mai aapke liye breakfast leke aata hun

Umeed- mujhe bhi apne saath lejaaye na pleaseee
Mai yaha baithey baithey bore horahi hun

Farjaad smiles and took her in his arms again

Farjaad- acchi khaasi qidmad karwa rahi hai aap apne shauhar se

Umeed- haan karwaungi
Kyuki mere shauhar mujhse bahot mohabbat kartey hai

Farjaad smiles and umeed kisses him on his cheek

He placed her on the chair whereas he started making breakfast for her in the kitchen

She admired him lovingly whereas he keeps on doing his work while checking upon her for every 2 minutes

Farjaad- kya hua
Aise kya dekh rahi ho

Umeed- dekh rahi hun ke Mr oh so busy Farjaad khan bahadur apni shauhar duties bahot acche se nibha rahe hai

Farjaad- hmmm
Well ye toh sirf shuruat hai madam
Aapne aagey bhi dekhna hai ke ye mr farjaad khan bahadur apni begum ki mohabbat mei kya kya karne waala hai

Umeed- hayeeeeeee
Kitna cute hai mera shauhar

She giggled and he smiles while shooking his head at her

Farjaad- ye leinnn
Apka chicken grill sandwich ready hai

Her eyes shine bright and she opened her mouth

Umeed- aaaaa
Khilayeinnn na

He laughed and said

Farjaad- garam hai meri jaan
Rukjao

They both fed eachother lovingly and after completing the breakfast
Farjaad took umeed to the hall and umeed looked at the empty house

Umeed- mama aur mimi nazar nahi aarahe
Aur ye anthony aur niaz kaha hai
Kaha chale gaye sab farjaad?

Farjaad- sab bahar gaye hai
Taake hum dono akele ghar mei time spend karsakey
You know

He winked at her and she blushed

She hits him on his chest whereas he laughed while taking her in his arms

Throughout the day farjaad treated umeed like a baby and followed her every command

He played domino's with her making her win and accepting his defeat
That makes umeed proud of her gaming skills

When she said she is bored he picked her up  in his arms and danced while playing her favourite romantic songs smiling whole heartedly

She laughed and enjoyed every second with him
Umeed thought in her mind If getting hurt can transform farjaad from a workaholic to a dutiful shauhoroholic then umeed wont mind getting hurt every single day or once in a week to get farjaad's undivided attention...

They both rested their back to the bedpost after a dance when umeed said

Umeed- farjaad apko pata hai
Aap mere liye ek fairytale ke prince charming ki tarah hai
Jo apni princess ki saari demand poori karta hai

He smiles wide and said

Farjaad- accha
Aur kya karta hai apka imaginary prince charming apni princess ke liye

Umeed- usey saari mushkilo se bachaata hai
Jaise aap mujhe bacchate hai
Jaise uss din lift mei meri jaan bachayi thi

Farjaad- hmmm
Aur

Umeed- aur usey paaney ke liye saari  duniya se ladta hai
Jaisa aapne niggo mama ke saamne hamare liye stand liya tha

His smiles getting deeper

Farjaad- aur

Umeed- aur uske saari zidd aur khwaishei poori karta hai
Jaise aap abtak mere liye kartey aaye hain
Aur
Ussey bahot mohabbat karta hai
Jaise aap mujhse kartey hai

He took her hand and kissed it while she continued

Umeed- aur apko pata hai aap bilkul ek prince charming ke animated character ki tarah dikhtey ho
Jiska naam hai flynn rider

Farjaad- What???

Umeed- haan
Apko yaqeen nahi aaraha na
Mai dikhati hun

She took her phone and searched for tangled movie pictures on her phone and showed him the picture of flynn rider

Umeed- dekheinn
Hai na bilkul same same

He took the phone and looked closely

Umeed- flynn rider mera fav disney Prince Charming hai
Aur aap hoo ba hoo usiki tarah lagtey hai
Looks mei bhi aur personality mei bhi
Egoistic
Full of attitude for the world
But a heart of gold for his princess

Farjaad looks her in disbelief and she took her mobile and showed him the edit she made of both

Umeed- ye dekhein
Maine banaya tha hamari mangni ke baadh

She giggles and he looked at the edit and facepalm himself

Farjaad- seriously umeed
Aapka koi haal nahi hai

She laughed and he pinched her cheeks


( i have made this edit particularly for this scene 😬😬and this is the closest similar pose picture i could get of them
how do you find this??
Good/bad??
Lemme know in the comments)

Farjaad- ok my fairytale princess
Aapki saari khwaishei poori hogai ho toh thoda sa aaram karleinnn
Bila wajah pair mei strain padjaana hai

Umeed- naiiiiiiiii
Kitna mazaa aaraha hai
Aur kuch activities kartey hai na please

Farjaad- umeed saara din pada hai Hamare pass
Kuch der rest karlo na

Umeed- nahi nahi nahi
Hum kuch aur kartey hai

He smirks and said

Farjaad- kuch aur???
Theek hai phir
How about this

He smacked his lips on hers and her eyes gets wide

He give her a passionate kiss making her numb and parted away once they both got breathless

Umeed blushed and farjaad said

Farjaad- itna adventure kaafi hai ya shall we proceed further?

She hits him on the chest and hide herself under the blanket

Umeed- aap jaayein yahan se aap bahot gandey hai
Gandey admi

He laughed and said

Farjaad- arey kya hua?

Umeed- aap jaayei  yaha se mujhe nahi karni apse baat

He laughed and pulled out the comforter from her and sets her messy hair

He laughed when she hide her face with her palms

Farjaad- accha theek hai
Sharmao nahi
Come here

He took her in his arms and she digged her head in his chest

Umeed- sonei dey mujhe ab

Farjaad- ok(while laughing)
Sojao

Umeed- farjaaadddd chup kareinnnn

Umeed whines and farjaad thought to let her sleep for a while

He laughed and kissed her hairs and umeed smiles and closes her eyes to sleep

To be continued

Hello people
I hope everyone is fine
I haven't proofread this part
So please ignore the mistakes and please do tell me in the comments if you like this or not
Thank you so much for the votes and your feedback
With regards
Humera❤️

Continue Reading

You'll Also Like

7.6K 382 19
Hi guys! This is me trying to pen down my ideas related to these two hope you like it!
411K 20.9K 37
"𝘕𝘰, 𝘥𝘰𝘯'𝘵 𝘥𝘰 𝘵𝘩𝘪𝘴. 𝘔𝘢𝘪𝘯 𝘵𝘶𝘮𝘴𝘦 𝘱𝘺𝘢𝘢𝘳 𝘯𝘢𝘩𝘪 𝘬𝘢𝘳𝘵𝘪 𝘍𝘢𝘩𝘢𝘥. 𝘔𝘦𝘳𝘢𝘺 𝘥𝘪𝘭 𝘮𝘦𝘪𝘯 𝘵𝘶𝘮𝘩𝘢𝘢𝘳𝘦 𝘭𝘪𝘺𝘦...
72.5K 6.8K 93
" Murtsim , Me firse bta rhi hu , meri galti nhi thi.. me bs milne gyi thi.. usee.." Before she completes sentence he cuts her.. " Mere mna krne ke b...
6.2K 420 9
An alternative universe where Umeed Pasha, the chai cafe owner, is trapped in an arranged engagement with Waleed, courtesy of her father who has give...