My Little World

By NoumanReader

7.7K 305 130

Overview- Farjaad and umeed are poles apart..Farjaad is calm,serious and a passionate business man jiske liye... More

Part 1
Part 2
Part -3
Part-5
Part -6
Part -7
Part -8
Part -9
Part-10
Part-11
Part-12
Part-13
Part-14
Part-15

Part -4

519 16 10
By NoumanReader

My Little World

Part -4

Mimi decided to talk to niggo ji about reena's obsession towards farjaad
So she went to niggo ji's room

Mimi- maa mujhe aapse kuch baat karni hai

Niggo ji- kya baat hai??

Mimi- maa aapko pata hai reena bhai ke office mei kitna dominate karrahi hai

Niggo ji- What??
Ye tumse kisne kaha

Mimi- That's not important maa
Agar kuch important hai toh woh bhai aur  company ki reputation
Aap jaanti hai reena apne apko bhai ki fiance batarahi hai office ki har new employee ko
Aur woh bhi female employees ko

Niggo ji- What??
Are you serious mimi
Reena aisa nahi karsakti

Mimi- toh apko kya lagta hai mai jhoot bolrahi hu

Niggo ji- nahi beta
There must be some misunderstanding na
Itni badi baat reena kar hi nahi sakti

Mimi- maa why are you not understanding
Reena fake rumours spread karke bhai ki image kharaab karrahi hai
She is obsessed with bhai
Aur bhai ki attention paane ke liye woh kisi bhi hadd tak jaasakti hai
Aap please uski side lena bandh kardein maa Khuda ka waasta

Mimi- aapne reena aur uske parents ko zubaan di hai na ke aap reena ki engagement bhai se karwaingi?

Niggo ji- zubaan nahi di thi
But ek proposal rakha tha unke saamne

Mimi- aur reena iss baat ka bahot ghalat faida utha rahi hai

Niggo ji- dekho mimi mai jo
Bhi karrahi hu farjaad ke acche ke liye karrahi hun
Reena farjaad ke liye har taraf se perfect match hai

Mimi- maa perfection ki toh baat hi na karein aap pleaseee
Reena ek self-centered  aur egoistic ladki hai
Usko bhai se koi mohabbat nahi hai
Uske liye bhai sirf uski expensive cheezo ki tarah hai jispar woh nazar rakh kar baithi hai aur maa bhai ko kisi perfect ladki ki zaroorat nahi hai
Bhai ko aisi ladki milni chahiye jo bhai ko robot se insaan banaye
Jo bhai ki life mei sukoon aur khushiya lekar aaye
Jo bhai ki iss routine ko thoda sa badley
Aur bhai ko beintehaa mohabbat karey
Aur aisi ladki shayad bhai ko mil gayi maa

For a moment niggo ji gives a second thought on mimi's words
She is right Farjaad doesn't need a perfect girl all he need is a girl who brings sunshine and happiness in his life

Niggo ji- koun milgayi?

Mimi- Umeed

Niggo ji sighs and mimi said

Mimi- umeed hi woh ladki hai jo bhai ki life mei khushiya le aasakti hai maa
Apko pata hai bhai umeed ki company kitna enjoy kartey hai
Bhai kehte hai ke umeed ko dekh kar unka saara stress door hojata hai

Niggo ji- mujhe toh kuch samaj nahi aaraha mimi
Umeed ke naam se hi mujhe migraine hone lagta hai
Mai thoda rest karna chahti hu
Tum please niaz se kehkar mere liye lemon tea banwadena
I need some rest

Mimi- ok maa
Mai bhijwadungi
Aap rest karein

Pasha house

Umeed barged into the house with full of energy and happiness on her face

She hugged aghujaan who was sitting on the couch

Umeed- aghujaannnnnnn
Aaj mai bahot bahot bahot bahot bahotttttt khushhhh hoon

Aghujaan- arey meri gudiya
Kya baat hai
Itni chehek rahi ho
Masha Allah se

Umeed- bass bahot khush hu
Accha aap pehle mujh par duaei padke dumm kardein aur dua karei ke mai hamesha aise hi khush rahun
Kareiiinnn naaaaa

Aghujaan- theek hai theek hai
Abhi kardeti hun

Aghujaan recites some dua and blow on umeed

Umeed- ab mere haqq mei dua kareinnnn
Pleaseee

Aghujaan- Ya Allah meri gudiya ki khushi yunhi barkaraar rakhna
Usko duniya jahan ki khushiyo se maala maal karna aur har buri nazar se bachana
Aaameen

Umeed- Aameen

She hugged aghujaan one more time and went upstairs to give good news to haya

Umeed- Hayaaaaaaaa

Haya looked back at umeed and umeed twirl around with haya and jumped in joy

Haya- arey umeed
Bass karo
Kyu itna uchal kood karrahi ho

Umeed- Haya he loves me

Haya - kya??
Matlab
Izhar-e-mohabbat bhi hogayi

Umeed- Haan
Mai bahot khush hun

Umeed hugged haya and haya smiles wide

Umeed - he loves me haya
He loves me

Haya- accha accha bass
Sunliya maine

Umeed giggles and lay down on the bed with a dreamy smile

Haya - acha kaise hua kab hua
Humey bhi toh batayeee

Umeed gets up straight and excitingly told everything that happened today

Haya- waah waah waah umeed
Tumhari toh nikal padi
Itne naaz nakhrein uthaa rahe hai farjaad bhai tumhare
Mujhe toh lagta hai ke woh tumhari aadatein aur bhi zyaada bigaad dengei

Umeed- haan woh toh hai
Par tumhe pata hai
Sab kuch kitna khoobsurat lagraha hai
Kitaabo ki panno se utarkar zindagi meri haqeeqat mei fairytale ki tarah bangayi hai
Itni haseen shaam thi aaj
Mera toh dil karraha tha ke waqt hi thamjaaye aur mai aur farjaad aise hi apni duniya mei masroof rahey

Haya smiles at umeed and umeed hugged her pillow thinking about farjaad

Bahadur House

After changing in his comfort wear
Farjaad went towards niggo ji's room
She was sipping her lemon tea while reading a novel

Farjaad- Maa
Aap theek hai
Mimi bata rahi thi ke aapko migraine horaha tha

Niggo ji- haan baby thoda sa sar dard horaha tha

Farjaad- theek hai aap rest karein hum phir kabhi baat karlenge

Niggo ji- nahi tum baitho

Farjaad sat infront of her and niggo ji noticed a scratch on his bicep

Niggo ji- ye kya hua baby
Ye scratch kaise laggaya

Farjaad looked at the scratch and smiles remembering the time he spend with umeed
And how she held his hand for eternity and the scratch may be a result of that

Farjaad- nothing maa
Laggaya hoga kuch
Aap batayein

Niggo ji didn't miss his blush but she kept a straight face and said

Niggo ji- baby are you really happy?
Tum uss ladki ke saath apni poori zindagi guzaar logey khushi khushi??

Farjaad- maa ap kiski baat karrahi hai

Niggo ji- umeed ki
Are you sure farjaad ke umeed is the one for you?

Farjaad smiles and said

Farjaad- Maa
Umeed aisi ladki hai jo shayad mess create karti hogi
But uske saath bitaya hua har pal mere liye khaas hota hai
Aur apko toh pata hai umeed kitna bolti hai

Niggo ji smiles and Farjaad continued

Farjaad- phir bhi uski baatein sunna mujhe accha lagta hai chaahe woh kitni bhi bachkaani kyu na ho
Sukoon mehsoos karta hun uske aas paas maa
Meri saari tensions saara stress door hojata hai umeed ki ek jhalak se
Maanta hun thodi si immature hai
Innocent hai careless hai
But maa woh sabse alag hai
Uski inn khaamiyo ke bawajood bhi woh bahot khoobsurat hai and i love her maa
She have become my little world

He chuckled while remembering her and niggo ji smiles seeing farjaad lost in love
He looked so calm and relaxed
That is what she always wanted
She wanted farjaad to live the life instead of becoming a robot and umeed has already made him a better person

Niggo ji- Awww baby
You are in love with her

Farjaad smiles and niggo ji gently caressed his face

Niggo ji- i wish ke tum hamesha aise hi khush raho

Farjaad- Ab toh apko umeed se koi shikayat nahi hai na?

Niggo Ji shook her head

Niggo ji- mujhe usey poori tarah se accept karne thoda waqt zaroor lagega
But i will try
Only for you

Farjaad held her hand and said

Farjaad- Thanks maa
Aur subah jis tarah se maine apse baat ki thi
Uske liye i am really sorry

Niggo ji smiled and said

Niggo ji- its ok baby

Farjaad smiled and niggo ji smiles too

Next day

After coming from his morning workout farjaad started to get ready but he decided to talk to umeed before leaving to the work

He picked his phone and dialled her number

She was sleeping peacefully when her phone rings making her rub her eyes and she lazily picked up the phone

Umeed- Hello

Farjaad- Assalamuallaikum Umeed

Umeed- waalaikumassalam

Farjaad- abhi tak sorahi ho

Umeed- hmmmm

Farjaad- uthjao umeed subah hogayi hai

Umeed- nahiiiiii mujhe abhi sona hai
Ek toh mujhe theek se raat bhar neend hi nahi aayi

Farjaad- kyu kya hua

Umeed- mere dil aur dimaaq ko ek pal ka bhi sukoon nahi hai
Har waqt aapke baarei mei sochey jaraaha tha
Neend kaise aayegi

Farjaad smiles and said

Farjaad- accha
Ye baat hai

Umeed- hmmmmmmm

Farjaad- theek hai phir aap sojayei
Mai baadh mei baat karta hun

Umeed- naiiiiiiii
Phone na rakheinnnn please

Farjaad- arey par apko toh sona hai aur agar mai apse yunhi baatein karta raha toh aapki neend kaisi poori hogi

Umeed- haan toh kuch der baadh sojaungi naaa

Farjaad- accha theek hai
Batao kya baatei karni hai

Umeed- mujhe kya pata
Aap hi kareinnn
Mai sirf khamosh rehkar sunungi

Farjaad- arey this is not fair
Umeed pasha khamosh toh bilkul bhi acchi nahi lagti

Umeed- Farjaadddddd
Mazaak mat udayei na

Farjaad-Accha theek hai
Actually umeed mujhe apse ye kehna tha
Aaj shayad hamari mulaqaat nahi hopayegi

Umeed instantly sat on the bed

Umeed- par kyunnnnnn

She whined and farjaad smiles and said

Farjaad- kyuki aaj mera schedule bahot tight hai umeed
Mujhe site par bhi jaana hai
Bahar majid saab se lunch par projects bhi discuss karne hai
Aur office mei team ke saath meetings bhi attend karni hai
Ye saara sab kuch hote hotey i guess shaam hojani hai
Isliye maine socha apse subah hi baat karlu
Taakey aap saara din pareshaan na rahein aur mayoos na rahei

Umeed- mayoos toh mai abhi bhi hojaungi
Aise kaise hum aaj nahi milsakte
Naiiiii mujhe kuch nahi pata mujhe apse milna hai

Farjaad- baba baat samajne ki koshish karo na

Umeed fake cries and farjaad smiles and said

Farjaad- accha theek hai mai koshish karunga shaam ko apse milne ki
Ok

Umeed- pakka
Aap bhool toh nahi jaayenge na

Farjaad- hmmm koshish karunga umeed
Vaada nahi karsakta

Umeed- matlab aap nahi milenge

Farjaad- umeed please aaj ek din ke liye maan jao
Kal pakka hum milenge
Infact ek kaam kartey hai
Ek accha sa candle light dinner karenge
Ya phir long drive par chalenge

Umeed still pouts sadly and farjaad can imagine her sulky face

Farjaad- Umeeddd

Umeed- mai apko bahot miss karungi

She merely whispered in a sad voice

Farjaad- mai toh apko aapse zyaada miss karunga

Umeed- jhoot mat bolein

Farjaad- arey sach kehraha hun
Umeed
Infact mai toh ye soch soch kar pareshaan horaha hu ke meri pyaari si umeed ki pyaari baatein suney bina aur pyaara sa masoom sa chehre dekhey bina mera din kaise katega

She giggled finally and Farjaad smiles

Umeed- hmmmm theek hai kyuki aapne itni acchi baatei ki hai na
Isliye aapko maaf kiya

He shook his head at her cuteness

Umeed- par aap mujhe miss karenge na Farjaad aur uss stupid si reena se door rahenge
Ok

Farjaad- haan na baba
Jaisa aap kahengi waisa hi karunga
Ok

Umeed- ok ab aap phone rakhein
Breakfast karlijiyega office jaane se pehle

Farjaad- jo hukum madam
And listen
Apna khayaal rakhna

Umeed- nahi rakhungi
Aap hi rakheinnnn

Farjaad-umeeddddd zidd nahi kartey

Umeed- mai karungiiiii

Farjaad smiles and said- accha theek hai apka khayaal bhi mai hi rakhunga
Bass aap ye khayaal rakhein ke aapse aaj zyaada naadaniya aur bachkaaniya na ho
Mai nahi chahta ke meri umeed ko koi baatein sunayeeee

She giggled and said

Umeed- I love you farjaad

Farjaad- Love you too Farjaad ki Jaan

She giggled and farjaad gave her a soft kiss on the call

After having their breakfast
Chachu aghujaan and umeed were chitchatting

Chachu- zeenat zara mere liye chai banakar laana
Pata nahi kal raat se migraine hue jaraha hai

Aghujaan- arey bhai ye migraine kya hai

Chachu- arey aghujaan jab sar mei shadeed dard hota hai
Jo bardasht se bahar ho usey migraine kehte hai

Aghujaan- hainnn ye aaj kal beemariyo ke bhi naam bade ajeeb se hai
Hamare zamane mei bhi shadeed sar dard hota tha
Aur gudiya tumhe pata hai
Tumhare dadajaan ko bhi aisa sar dard hota tha

Umeed- phir aap unki takleef kaise kam karti thi aghujaan

Aghujaan - Arey uss zamaane mei kaha hoti thi ye dawayi
Uss zamane mei toh hum ghar ke nukhso se hi saari beemario ke ilaaj kiya kartey they
Kya hai uss phool ka naam
Jo ke halka sa jamni( purple) rang ka hota tha
Jungli phool hua karta tha

Chachu- arey aghujaan lavender kehte hai uss phool ko

Aghujaan- haan wahi lavender phool
Gudiya jab tumhare dadajaan ko sar dard ki takleef hoti thi toh mai lavender ke dher saare phool lekar aati thi aur tumhare dadajaan ke kurte ki jeb mei ek adad phool rakhdiya karti thi
Taakey jab bhi unke sar dard hota tha toh uss phool ki khushboo se uney aaram mila karta tha

Umeed- wowwww kitna khoobsurat zamana tha apka

Aghujaan giggles and chachu was sipping his tea

Umeed remembered something and her eyes gets shined brightly

She quickly ran upstairs and searches something on her mobile

After sometime umeed sat on the floor with all of her favourite stationery items
Haya entered in the room and gets surprised watching umeed

Haya- Umeed
Ye kya karrahi ho

Umeed looked at haya

Umeed- Haya yaha aao na
Dekho mai kya karrahi hun

Haya- wahi toh mai pooch rahi hun umeed

Umeed- tumhe pata hai kuch der pehle na aghujaan mujhe unke zamane ke khisse suna rahi thi
Ke kaise aghujaan dadajaan ke migraine ka ilaaj karti thi
Aur mujhe unki baatein sunne ke baadh ek bahot hi zabardast idea mila hai

Haya- aur woh kya hai

Umeed- mimi mujhe hamesha bataya karti thi ke farjaad ko aksar kaam ki stress ki wajah se migraine hota hai
Aur woh painkillers aur black coffee se apna dard kam kartey hai
Jo ke temporary solution hai
Aur health ke liye theek bhi nahi hai
Toh maine aghujaan ki batayi hui baato  se farjaad ke migraine ka ek healthy solution dhoond nikala hai
Maine farjaad ke liye lavenders bouquet order kiya hai aur saath hi saath kuch essential oils bhi order kiye hai jo migraine ke dard ko kam karne mei bahot badiya kaam karta hai
Bass orders aatey hi hongey

Haya- wowww umeed thats a brilliant idea
But tum inn sab cheezo se kya banarahi ho

Umeed- Mai farjaad ke liye ek personalised card banarahi hun
Tumhe toh pata hai na mujhe journalling karna aur scrapbooking karna kitna pasand hai

Haya- haan tumhari scrapbooks bahot hi amazing hoti hai
Kitna waqt hogaya na tumhe scrapbook banaye hue

Umeed- haan
But ab banaungi farjaad ke liye
Par ussey pehle mujhe ek cute sa card banana hai
Toh meri help karo

Haya- umeed tum kitni pyaari ho
Inn choti choti cheezo mei kitni badi khushiya dhoond leti ho
Kitne lucky hai farjaad bhai
Sach mei tum bahot hi pyaari ho umeed

Umeed- haan woh toh mai jaanti hun

She giggled and haya playfully hit her on her forehead

Umeed- chalo na help karo na meri

Haya- Haan chalo

Umeed and haya were so engrossed in making card
Umeed chose a light purple color A4 size cardboard paper and designed it with few pearls all over with cute flower designing here and there and wrote down a beautiful message for farjaad

Umeed- Bangaya
Kaisa lagraha hai haya??

Haya- umeed ye toh kitna khoobsurat lagraha hai
Farjaad bhai ko bahot pasand aayega

Umeed- hai na
Chalo ab packing karne mei bhi meri madad karo
Ok

Haya- ok
Chalo

Farjaad was missing umeed alotttt
But as always work comes first so he decided to finish his work soon and meet umeed by the end of this night

Reena wants to accompany him in his lunch business date with majid saab but farjaad refused her and ordered her to prepare for board meetings

She made a face and obeyed his orders

Farjaad left for the restaurant to meet majid saab and  umeed came exactly when Farjaad left

She excitedly went towards farjaad cabin where mehek was arranging everything

She went inside the room without knocking on the door

Umeed- Assalamuallaikum

Mehek looked back at her and smiles

Mehek- Waalaikumassalam
Mam
Kaisi hai aap
Aaye na baithey

Umeed- Mai theek hun
Accha mehek farjaad kaha hai

Mehek- mam boss toh abhi bahar gaye hai
Majid saab ke saath business lunch date hai

Umeed- haan unhone mujhe bataya tha
Balke accha hi hua ke woh yaha nahi hai

(she placed the lavender bouquet and a gift box on the couch)

Umeed- mehek farjaad jab wapis aaye na toh ye bouquet aur ye gift unko dedena
Theek hai

Mehek- wow mam ye phool toh bahot hi khoobsurat hai

Umeed- hai na
Maine mangaye hai farjaad ke liye
Acche lagrahe hai na

Mehek- bahot pyaare lagrahe hai
Aap fikr na karein boss jab aayenge na tab mai unhe ye bouquet aur apka gift dedungi

Umeed- thank you
Inka dhyaan rakhna jabtak farjaad nahi aatey
Ok

Mehek- ok mam

Just then reena entered in the cabin

Reena- miss mehek mujhe farjaad

She stopped speaking while looking at umeed

She moved forward and placed her LV bag on the desk table

Reena- Toh tum farjaad ka peecha nahi chodogi

Umeed made a face looking at her and mehek rolled her eyes at reena

Reena- Miss mehek kya apko nahi pata ke farjaad ke cabin mei kisi outsider ko aane ki koi permission nahi hai
Kya aap rules bhool gayi
Agar bhool gayi toh mai yaad diladun

Mehek- Mam ye outsider nahi hai
Ye mimi mam ki best friend hai

Umeed smiled at mehek and rolled her eyes at reena

She doesn't wants to create any scene in farjaad's office so she simply wants to ignore reena and turned at mehek and said

Umeed- mehek maine jo apko karne ko kaha woh aap bhulega nahi
Theek hai

Mehek- yes mam sure aap fikr na karein

Umeed turned swiftly and her hand unintentionally hit at the glass filled with water that poured on reena's luxury LV bag
Mehek catched the glass before it breaks down into pieces but reena's LV bag was soaked in water

Reena eyes got widened with shock written all over her face

Umeed placed her palm on her mouth and Mehek tried to control her smile seeing Reena's bag drenched in water

Reena- you fool
Ye tumne kya kiya
Mera itna expensive bag kharaab kardiya

Umeed wanted to murder reena for calling her fool but she reminded herself that she is in farjaad's office and she cannot misbehave with his staff
It can destroy his image

Umeed- sorry woh ghalti se haath laggaya
Mai saaf kardeti hu

She picked few tissues and started wiping the water but it worsened her LV bag
The tissue chunks got sticked in her bag making the bag look more messy

Reena- ye kya kardiya pagal ladki
Tumhe andaaza bhi hai ye kitna expensive bag hai
Poore 1.5 lakhs ka hai ye bag
Jisko afford karna tum khwaab mei bhi nahi soch sakti

Umeed gets angry and said

Umeed- dekho reena tum ab badtameezi karrahi ho

Reena- aur jo tumne kiya woh badtameezi nahi hai??

Umeed- kya hogaya
Thoda sa paani hi toh gira hai
Aur maine jaan boochke nahi giraya mera haath ghalti se laggaya

Reena- whatever
Mere itne expensive bag ko toh barbaadh kardiya na tumne

Umeed- meri baat sunei
Jab itna kharch kiya hi tha toh 100 200 rupey extra kharch karleti
Plastic chada  deti bag par taaki woh waterproof rahey

Mehek had a strong urge to laugh and reena can't believe her ears

Reena- you know what
Mujhe tumhe dekh kar ye lagta tha ke tum dumb ho but i was so wrong tum toh poori ki poori jaahil ho

Umeed got tears in her eyes and she flared her nose
Never in her life anyone insulted her the way reena did

Mehek felt really bad for umeed and Umeed just left the place not wanting to create any drama in the office

Mehek quickly hide the lavender bouquet and umeed's gift from reena so that she doesn't destroy it in anger

Reena stomped out of farjaad's cabin while taking her LV bag

Bahadur house

Mimi- umeed
Bass kardo na
Chup hojao

Umeed cried her heart out while telling everything that happened in the office and mimi wants to kill reena at the moment

Umeed- mimi maine jaan booch kar toh nahi kiya tha
Mujhse ghalti se paani girgaya uss par uss chudail ne mujhe kitna sunaya

She stomped her feet in anger and gritted her teeth

Umeed- samajti kya hai khudko
Kiss baat ki akad hai usme
Agar farjaad ki image ka khayaal na aata na mujhe toh mai uska mooh wahi tod deti
Ek adad bag ke liye usne meri itni buri tarah se insult ki mimi

Mimi hugged her from behind and niggo ji looked at them while standing outside mimi's room

Mimi- umeed rona bandh kardo na
Uss reena ko toh bhai dekh lenge
Par tum toh apna mood theek karlo na please bhai ki khaatir

Umeed smiles and wiped her tears

Mimi smiles and said

Mimi- waise bhai ne tumhe bataya nahi tha ke woh lunch date par jarahe hai

Umeed- bataya toh tha
Par mai waha farjaad se milne nahi gayi thi mimi

Mimi- toh phir

Umeed- mai farjaad k liye bouquet aur gift dene gayi thi
Unke liye Surprise plan karne gayi thi

Mimi- surprise??

Umeed- haan
tumhi toh hamesha kehti thi na ke farjaad ko work stress ki wajah se migraine hota hai
Toh maine unke liye lavender bouquet aur kuch essential oils order kiye they
Mujhe research karne se pata chala ke ye do natural cheezo se migraine ka dard kaafi hadh tak kam hosakta hai
Farjaad toh painkiller aur black coffee use kartey hai na jo ke bahot hi unhealthy hai
Isliye maine unke liye natural aur healthy solution dhoond nikala taake unko thoda aaram miley

Mimi- Awwww umeed
Tum kitni pyaari ho
Aisa toh shayad kisine nahi socha hoga bhai ke liye

Niggo Ji heart melts after listening to umeed
This girl is indeed a sunshine
She did something out of the box to give comfort to farjaad

She smiles wide and left from there

Umeed- par uss chudail ne mera mood hi off kardiya
Pata nahi usey koi kaise bardasht karta hai
Itna takkabur kis baat ka mimi
Ye expensive bag kya qabr mei saath lejaayegi apne
Ghamandi ladki

Mimi- oho umeed usey tou office mei koi pasand nahi karta
Bewajah ka dominate karti hai sab par

Umeed- toh farjaad usey fire kyu nahi kardetey

Mimi- bhai toh ab pakka usey fire kardenge
Jo harkat usne ki hai aaj uske baadh toh uski shaamat aane waali hai
Dekhlena

Umeed- Allah karey aise hi ho

Mimi giggled and hugged umeed

Mimi- shukar hai tumhara mood toh theek hua
Chalo mai tumhare liye chocolate milkshake banwati hun

Umeed- nahi mimi
Mujhe ab chalna hoga
Baba ke aane ka waqt horaha hai
Agar uney mai ghar par nahi dikhi toh phirse tamasha khada kardenge
Waise bhi aaj ke liye ek beizzati kaafi hai
Mujhe mazeed beizzat nahi hona hai phirse

Mimi felt bad for her
Poor soul made lots of efforts to make farjaad happy and that good for nothing reena destroyed her happiness

Mimi- ok theek hai
Khayaal rakhna apna

Farjaad's office

After completing all of his meetings he finally moved in his cabin to wrap up for the day and take his belongings with him

Mehek quickly came inside and gave him umeed's bouquet and gift to farjaad

Mehek- sir ye miss umeed laayi thi apke liye

Farjaad- umeed office aayi thi??

Mehek- haan sir
Unhone kaha ke aap jab wapis Ayenge toh apko  ye bouquet aur gift dedun

Farjaad smiles and took the bouquet and gift from mehek

He smelled the fragrance and felt relief for a moment

Mehek- but sir miss umeed bahot hurt hokar gayi hai

Farjaad instantly looked at mehek

Farjaad- kya kehrahi hai aap??

Mehek explained everything to farjaad about how excitedly umeed came into the office and placed the bouquet and gift for him and everything that happened in between

Mehek- sir miss umeed ki toh koi ghalti nahi thi but miss reena ne unse bahot badtameezi ki
Phir bhi miss umeed ne kuch nahi kaha
Chup chap chale gayi

Farjaad clenched his fist and his jaw tightened

Mehek - Sir Miss reena apki absence mei bahot dominate karti hai
Aur unhone office mei ye rumours spread kiye ke woh apki fiancée hai

Farjaad- What??

Mehek nods and farjaad couldn't believe his ears

How dare she do something like this and how even on the earth she could insult his umeed in his office
He needs to do something about it

Farjaad- Miss reena kaha hai??

Mehek- sir woh toh ghar chali gayi

Farjaad nods and mehek left from there

Farjaad looked at the bouquet and took the card and read it

Card- Hello farjaad
Ye dekhein maine apke liye ye card banaya hai
Apko pasand aaya na?

He smiles and continue to read

Card- mujhe pata chala hai ke apko migraine bahot hota hai
Aur aap usko kam karne ke bajaye usey badate rehte hai painkillers aur black coffee istemaal karke
Par aaj se aap aisa nahi karenge
Kyuki maine iska permanent solution nikaala hai
Ye jo aap khoobsurat phool dekh rahe hai na ye apke migraine ka dard kam karsakti hai
Aur agar apne gift khol liya toh apko kuch essential oils nazar aarahe honge
Uske regular use se apka migraine bilkul hi kam hojayega
Kyuki apki health hum sabke liye important hai toh iska khayaak rakha karey
I love you farjaad

Farjaad smiles brightly and opened the gift box and found few essential oils in it

He kissed the card and said

Farjaad- Thank you meri jaan
I love you

He sighed and went from there taking the bouquet and gift with him

Farjaad sat in the car and decided to meet umeed

So hé quickly dialled umeed's number while driving the car

After having dinner everyone retired to their rooms
Umeed was still hurt with reena's words and missed farjaad alot
She just wanted to hug him and forget everything that happened today

Her phone rings and she quickly took the call

Umeed- hello farjaad

She excitingly said

Farjaad- umeed neeche aayei
Mai apke ghar k bahar khada hun

Umeed- hawwwww aap jaayei
Pasha saab ne dekhliya toh bahot badi problem hojayegi

Farjaad- kuch nahi hoga
Aap neechey aarahi hai ya mai upar aaun

Umeed- nai nai nai
Aap upar mat aayein mai hi neechey aajaungi

Farjaad- mai intezaar karunga

Umeed- haya utho

Haya- kya hua hai umeed

Umeed- haya farjaad bahar khadey hai
Mujhe neeche bula rahe hai

Haya- kya???

She jerked up from her sleep and umeed gets tensed too

Umeed- kya karein

Haya- unhe mana kardo

Umeed- nahi agar mai nahi gayi toh woh upar aajayenge

Haya- Uff Allah
Ye mohabbat bhi insaan se kya kya karwaata hai

Umeed- mai kya karun haya
Pasha saab sorahe honge na

Haya- haan so hi rahe honge waise bhi woh agar ek baar sojaye toh unki aankh subah hi khulti hai

Umeed- haan ye toh hai
Mai jaakar farjaad se milleti hun
Jaldi aajaungi

Haya- theek hai jao
Jabtak mai dekhti hu koi neend se na jaagey

Umeed- haan
Agar koi jaag jaaye toh mujhe phone kardena
Mai fauran aajaungi

Haya- ok
Jao

Umeed went to meet farjaad who was waiting in the car

Umeed came and sat in the car

Umeed- farjaad aap ye kya karrahe hai
Marwayenge mujhe

Farjaad- seatbelt lagao apni

Umeed- hum kaha jaarahe hai farjaad

Farjaad- umeed please koi sawaal nahi karo
Zyaada door nahi jarahe hai

Umeed cries fakely

Umeed- pasha saab jaag jayenge aur meri khair nahi bachegi
Aisa na karey

He sighed and  adjusted her seat belt

Umeed heart beats increased seeing farjaad so close to her heart

He sat back in his seat and started the car

Umeed blinked her eyes and made a sad pout

Farjaad looked at her and parked his car near a park

She looked at him with a pout and farjaad got down from the car

She looked at him in confusion and he opened the door for her
She got down and farjaad shuts the door

Umeed- farjaad
Hum yaha kyu aaye hai??

She asked innocently and farjaad opened his arms to her and said

Farjaad- yaha aao

She smiles and jumped into his arms while hugging him tight
Farjaad hugged her back and kissed on her hairs

She smiles while playing with his shirt button

Farjaad- i love you umeed

Umeed- i love you too

Farjaad- Jo apne aaj mere liye itne efforts kiye hai na
Woh kisine mere liye nahi kiya

He kissed her head once again

Umeed giggled silently

Umeed- aapko mera gift pasand aaya?

Farjaad- bahot pasand aaya
Aur Aapne Card khudse design kiya tha?

Umeed- Haan
Kaisa laga

Farjaad- Behadh pyaara
Hamesha saja kar rakhunga usey

Umeed came out of the hug and farjad held her from her tiny waist

Farjaad- office mei aj jo kuch bhi hua uske liye i am really sorry

Umeed- aap kyu sorry kehrahe hai
Aapki kya ghalti thi
Ghalti toh uss chudail ki thi
Usko toh maine ek din jaan se maar dena hai

Farjaad- uski aap fikr na karein
Uss reena ko toh mai bataunga ke meri umeed se badtameezi karne ka anjaam kya hota hai

Umeed- haan aap usey khoob daantei

Farjaad-bilkul daatunga

Umeed poked his dimples and farjaad caressed her face and kept few strands of her hair behind her ear

Farjaad- aap duniya ki sabse khoobsurat aur sabse khaas ladki hai

She smiles and said

Umeed- aur aap mere Hero hai

He laughed and she giggled

Farjaad- ji madam sirf aapka hun

Umeed hugged him back and farjaad hold her close to his heart

Farjaad- accha ye bataye mujhe
Apko ye flowers aur gift ka idea kaha se mila

She smiles bright and told him how Aghujaan told her about these flowers and everything right from ordering flowers and essential oils to coming to his office to give him a surprise

Farjaad smile gets deeper

Farjaad- meri jaan aap toh waqai mei genius hai

She giggled and farjaad kisses on the tip of her nose

Umeed- farjaddddddd

Farjaad- ji farjaad ki jaan

Umeed- aap abse na koi painkillers use nahi karenge
Maine jo diya hai wahi use karenge
Ok

Farjaad- Ji madam
Aapka hukhum  saraankho par

Umeed smiles and farjaad smiles seeing her smiling brightly

Umeed- accha ab mujhe ghar drop kardeinnnn na
Pasha saab jaag gaye toh problem hojayegi

Farjaad- mera toh bilkul bhi dil nahi karraha aapko apne se door karne ka

Umeed- toh phir mujhse shaadi karlein na
Mai bhi apke saath poore 24 ghante saath rahungi
Aap jahan jaayenge wahan aaungi aapke peeche peeche
Aapka sukoon ujaadne

She laughed childishly and he shook his head

Farjaad- waise idea utna bura bhi nahi hai
Ek kaam kartey hai
Maa ko le aaunga apke ghar
Aapka haath maangne

Umeed eyes got widened

Umeed- pakki baat hai?

Farjaad kissed on her forehead

Farjaad- bilkul pakki baat hai

She jumped in joy and Farjaad couldn't stop admiring her

Umeed- I love you farjaad

Farjaad- Love you too

Umeed- accha ab chaleinn na pleaseeee

Farjaad- theek hai
chalo

They both sat in the car and droved back home

Farjaad held umeed's hand when she was about to go

Farjaad- umeed
Ek second rukein

Umeed- ji farjaad

He took a box of gift and gave it to her

Farjaad- ye aapke liye hai

Umeed eyes shined bright seeing a gift for her

Umeed- mere liye hai??

Farjaad- haan baba

Umeed- khol lun??

Farjaad blinked his eyes and umeed opened the box to find a beautiful pearl bracelet and few chocolates around it

Umeed- ye kitna khoobsurat hai farjaad

Farjaad- bilkul meri umeed ki tarah

Umeed eyes gets moist

Umeed- par ye bahot expensive hoga na

Farjaad pulled her in a hug and caressed her hairs

Farjaad- aapke aagey iski koi kheemat nahi hai umeed
You are the most priceless person to me

She cries and hits him on his chest

Umeed- meri aadatein kyu bigaad rahei hai
Mujhse itni mohabbat na kareinnn

Farjaad smiled and said

Farjaad- meri jaan
apse mohabbat nahi karunga toh jeeyunga kaise
Aur aap befikr rahe hum aapki aadatein bigaadne ke saath saath aapko sudaarenge bhi

Umeed giggled and gets away from him

Farjaad- pehnaun??

Umeed nods and he helped her wear the bracelet in her hand

Umeed admired her wrist and farjaad caressed her hairs

Umeed- Thank you farjaad

Farjaad- you're welcome sweetheart

Umeed- aur ye itne saare chocolates bhi mere liye hai??

Farjaad- haan apke liye hi hai

Umeed- aapne ye gift kab liya farjaad

Farjaad- bass abhi apke ghar aate waqt
Maine socha ke meri pyaari si jaan thodi si khafaa hogi
Aise khaali haath toh nahi mana sakta tha apko
Isliye ye raha apka gift

Umeed smiles like a kid showing her full teeth

Farjaad- ab meri baat suno
Jo kuch bhi reena ne apke saath kiya aur kaha hai usko dil se lagaane ki bilkul bhi zaroorat nahi hai
Aap jaisi bhi hai bahot khoobsurat aur bahot pyaari hai
Kisi aur ki baatein dil se lagakar na baitheyyy
Mai nahi chahta ke meri umeed udaas rahey
Aap mujhe aise hasti khelti hi pyaari lagti hai
Hmmmm

She nods and said

Umeed- par apko pata hai usne kitni badtameezi ki mujhse

She played with his fingers and pouts

Farjaad- pata hai mujhe aur uska anjaam toh usey bhukatna padega
Par aap toh udaas na hoyei

Umeed - theek hai nahi hoti udaas

She whispered and farjaad smiles bright

Farjaad- That's like my girl

She smiles and blinked her eyes

Umeed- ab mai jaun??

Farjaad- hmmm
Khayaal rakhein apna

Umeed- aap bhi
Aur dinner karke sojaye

Farjaad- ok baba

Umeed gets down from the car and gave a flying kiss to farjaad
Farjaad smiles and gave her flying kiss too

She went inside her house and farjaad droves away to his house

To be continued

Hello everyone
Hope you all like this part
Please vote aur comment karein
Your feedback is important to me so please don't forget to drop a comment
See ya

Continue Reading

You'll Also Like

2.6K 187 11
Everyone is going to hurt you. You just need to find the ones worth suffering for. A farmeed Au
375K 22.3K 47
❝I Don't Know What This Is But, Kuch To Hai Tere Mere Darmiyan.❞ ⁠♡♡ ⁠♡♡ ♡ᴛᴇʀᴇ ᴍᴇʀᴇ ᴅᴀʀᴍɪʏᴀɴ♡ ...
251K 10.9K 46
Abir Rajvansh a Business tycoon. Fun loving, shayar, best photographer of the city and comedian of the house. His life changed after his father's dea...
15.6K 808 31
"She fell first, He fell harder❤️" I am going to write the emotional and beautiful love story on Farjaad and Umeed which make you fall in love with t...