Discovering the Bonds!

By withtherains

33.5K 2.9K 1.7K

The Story describes the bonds of Mahila Police Thana team (MPT) As well as it discovers few, which we all onc... More

Babita Sarkar Returns!
The Arrival
Inspection!
Humare Ghar!
Lag Gayi!
Jaise School ke Yaar...
Santosh-'The Saviour'
Moments of Love & Care!
A Happiee Morning!
New Task!
Woh Wala Kissa...
The Broken Glass
Haseena ka Kissa...
Karishma's Wisdom!
Babita Sarkar's Denial
Haseena's Confession!
The Story Continues...
Haseena's Punishment!
Lamhe!
A Day Well Spent...
Vikas Gupta Enters!
Ladai!
Plan goes wrong?
Sorted.
Karishma's Flashback!
Wada!
Karishma's Tantrums
Will Karishma disclose the truth?
Karishma's Brave Move!
Saviour...
Hospital Diaries!
Understanding.
The Story Ends!
Shivani's Case!
ShivEena!
Chaos!
Satpaal's Iniquity!
Line Hazir!
Misri Pandey is Back!
Santu's Perception!
Lalla to Karishma's Aid!
New Day, New Suspense!
Karishma Meets Shivani!
Cheetah's Mistake.
Will Amar Come?
Mysterious Lady!?
Unveiled!
Amar Vidrohi meets KarEena!
Babita ji's Disappointment!
Cheetah's Misunderstanding.
Who's Coming?
'The Tug of Bag!'
Suspicion!!
Karishma's Apology
Farewell Party?!
Haseena Recalls...
The Dances!
Twist!!
KarEena Reinstated
Santu to know about Cheetah-Binni?!
ONE YEAR !! ๐Ÿงฟโค

Officer's Name Revealed!

471 43 22
By withtherains

Gym room

Cheetah was searching details from Shivani's case file and Santu was trying to get the same from online, official case study report they collected in October.
.
.
SS: Itna mat soch Cheete. (Still working on laptop)

Cheetah looks at her in amazement.

CC: Aap ko kaise...

SS: Kab se dekh rahi hoon, haath mein file hain lekin dhyan kahi aur.
Misri madam ki baat se hurt hain na? (Softly)

CC: (stealing glances) Na...nahi Santu ji. Hum oo sab thodi soch rahe hain.

SS: Accha matlab koi aur mil gayi! (Pretending to be serious)

He immediately looks at her.

CC: Kya kaha aapne?

SS: Maine kaha kuch kaha. Tu hi toh keh raha hain, ki Misri madam ya woh camera wali baat ke baare mein nahi soch raha.

CC: Nahi, aapne kuch aur kaha tha. (Raising his eyebrows)

SS: Abb duty ke time, tu aise khayalon mein khoyega toh koi bhi yahi kahega na, ki koi ladki ka chakkar hain. (Playfully)

CC: Aap ke siwa kisi ke baare mein nahi sochte hum. (Said slowly and blushes)

...
Santu chuckles and takes a sigh of relief to see him smiling back.

Before Cheetah could notice, Santu quickly turned her expressions to normal.
...

SS: Cheete, sabse peheli baat Misri madam ki baaton ko kabhi seriously mat lena, aur dusri, kya pata woh chor hi tujhse electrician banke baat kar raha ho.
Yeh sab hota reheta hain.
(Smiled assuring him)

He nods.

CC: Santu ji iss file mein hume nahi lagta kuch milega. Naa online! Hume ussi thane jaake pata karna hoga.

SS: Haan, inhone unn officer ka naam include hi nahi kiya.

CC: Koi bhi lead, aise hi thodi available chhodenge yeh log. Hum vaha jaake aate hain Santu ji. (Keeping the file in rack)

SS: Main bhi chalungi. (Closing her laptop)

CC: Par...

SS: Par var kuch nahi...maine keh diya toh keh diya.
(Adamantly)
.
.
Saying this, she was keeping stool back on its place whereas Cheetah's happiness knew no bounds as he was slowly getting his old Santu ji back.

SS: Misri madam se kya kahenge? (Coming back)

CC: Badnaam ki chai ka bahana dete hain.

They did as planned and went to the police station.

...

Police Station

100 metres away.

SS: Kya soch raha hain?

CC: Santu ji, Ajay ke aadmi abhi bhi uss thane mein hue toh. Hum kaise vaha se file maange?

SS: Yeh toh maine socha hi nahi. (Holding her head)
Risk nahi le sakte. Unko bhanak bhi lag gayi toh humara poora plan fail ho jaayega.

They looked at each other in tension.

.....

Market

HM: Sir, please isski forensic report chahiye. Aap yeh sab unofficially karenge na?

Officer: Bilkul Maddam sir. Hum samajh sakte hain, aap fikr mat kijiye.

HM: Thank you so much. (Smiles)

He nods and left

HM: Yeh kaam toh ho gaya. I hope Cheetah uss officer ka naam dundh laaye bas. (Thinks)

And leaves for her traffic duty.

.....

MPT

MP: Files sab ho gayi hain. (Checking the last file on desk)

KS: Ji, toh ab aap case discuss kar lijiye. Thoda sensitive hain voh.

MP: Bulaiye humari gol gappa queen ko. Pushpa jiiii! (Shouts)

PJ ran and came...

PJ: Kya hua...kya hua Karishma madam. Aap theek toh hain?

KS: Hume kaa hua? (Frowns)
Misri madam ne aapko case discuss karne bulaya hain.

PJ: Aise chilla kar?

(Misri glares)

PJ: Hehe, koi baat nahi.
Aapki marzi jaise aap bulaye. Hum aise aa rahe the. (Gesturing in her style)

MP: Bataiye case ab.

PJ tells her everything and shows the FIR.
.
.
.
MP: Bhaag gayi hogi kahi. Aree aaj kal ki ladkiya yahi toh aata hain unhe.

Karishma clenched her fist in anger.

BS: Aap bhi aaj ki hi hain madam. (Entering the cabin)

...

BS: Aap bhi itni khoobsurat hain, samajhdaar hain aap thodi bhaagi. Dekhiye apni mehnat aur samajhdari se yaha baithi hain.

MP: (Happily) Ek saccha guru hi ek kaabil shishya ko pehchaan sakta hain. (Adjusting her collar proudly)

BS: Dhanyawad madam. Aap Karishma madam ko pucch taach karne dijiye na. Kya pata kuch pata chale.

PJ and KS were impressed by Babita Ji's smartness.

MP: Lekin yeh toh...

BS: Ab aap inki senior hain. Karne dijiye inhe kaam, credit toh aap hi ko milega na, agar case solve hua. Sochiye kitna sensitive case hain.

Misri (thinks): Baat toh sahi hain. Hum aaram karte hain, aise bhi cases solve karne thodi aaye hain.
Issi bahane yeh Satpaal ji ke kaam mein dakhal bhi nahi dengi.

MP: Sahi kaha aapne. Humne kaha tha na, fan ho rahe hain hum aapke...kaise aapki baat taal sakte hain.

BS: Shukriya madam. (Fake smile)

MP: Karishma Singh jaaiye kariye pucch taach. (Sitting comfortably)

KS: Lekin hum toh line haziri mein hain na madam.
Aur kaha dekhenge hum uss ladki ko, bhare shehar mein.
(She didn't agree immediately to make it look real and not planned)

MP: Order hain humara. Voh sab aapki chinta...hume toh bas result se matlab hain. Kyun Babita ji?

BS: Sahi kaha aapne.

KS: Ji. (Pretending to be angry)

MP: Jaa sakte hain aap sab. (Opening movie on her phone)

Trio stamped their feet and went.

...

Outside

PJ: Kya idea lagaya hain Babita ji. Aur aap samajh bhi gayi. (To KS)

KS: Yahi toh baat hain Guru Shishya ka. Bohot acche se jaante hain inko aur inke tareekon ko.

BS: Chalo ab jaaiye aap. Case jaldhi solve karna hain.

Karishma nods and went.

...

Police Station

SS: Abb?

They were thinking of some way, when they heard Billu's voice.

BJ: Why fear, when Billu the Spy is here! (Wearing goggles)

They turned to find Billu standing with a officer, who was in his late 40's. The duo went near them.
They were so tensed hence didn't notice his rank.
.
.
CC: Billota tu?

BJ: Tum dono plan bana kar nikal gaye aur mujhe bataya tak nahi?
Mujhe paraya kar diya. Huh!

SS: Sorry Billu ji. Hume yaad hi nahi aaya ki aapko bula le. Lekin aapko kaise pata hum yaha hain?

BJ: Maine gym room mein saari baatein sunn li thi...fir yaha aa gaya.

CC: Aur yaha aake kya kiya tu sasta James Bond?

BJ: Main jab yaha aaya toh socha chor banke thane ke andar jaaunga aur original files chura lunga.

Cheetah-Santu angrily glared at him.

CC: Kya re Tenali Rama ke bhagaye hue naukar, itna akkal humko bhi tha. (Gritting his teeth)

The officer giggled silently.

CC: Lekin Original files mein bhi unhone case ki poori report nahi likhi hain.

SS: Haan Billu ji, Last time Maddam sir ne original file ki hi study ki thi.

CC: Issiliye toh hum yaha aaye, taaki pucch taach kar sake. Lekin ab yeh sambhav nahi lag raha. (Looks at Santu)

BJ: Yeh hain na humari madad karne. (Pointing towards the officer)

...

Santu noticed 1 star shining on his uniform.

SS: Aa..Jai Hind sir. (Salutes)
Aap?

"Jai Hind! ASI Raman."

CC: Jai Hind sir. (Salutes)
Aap ko kaise pata chala Billa kya karne aaya hain?

Raman: Bees (20) saal se naukri kar raha hoon, aankhon se pata chal jaata hain, kiske dimag mein kya chal raha hain.
Filhaal yaha se chaliye, thodi dur jaake baat karte hain.

They nod and went towards a deserted road.
.
.
.
Raman: Aap log Shivani case ke silsile mein aaye hain na?

SS: Ji. Aap jaante hain iss baare mein kuch?

Raman: Iss thane mein Ajay ke bohot contacts hain, khaskar uss case ke baad. Jab isse (Billu) Shivani ka naam lete sunna toh samajh gaya kya baat hogi.
Bohot pyaari bitiya hain voh, lekin zindagi ne bohot galat kiya usske saath.

Cheetah and Santu sadly gave each other a look.

SS: Aap humara saath kyun dena chahte hain?

Raman: Corrupt officers bohot hain, lekin aise bhi log hain jo apni Vardi se pyaar karte hain, isski garima ka khayal rakhte hain.
Maine apna imaan nahi becha hain.

They proudly looked at him.

Raman: Aap log kis thane mein posted hain?

CC: Mahila Police Thana Janpad.

Raman: Bohot sunna hain yeh thane aur isski jaadu ki chhadi ke baare mein. Umeed karta hoon,

"Jo kaam Amar sir adhoora chhodke gaye, usse aap log poora karenge."

Trio (CC-SS-BILLU) looked at him shockingly!

...

BJ: Kahi yeh apne wale Amar sir toh nahi? (Whispered)

SS: Amar naam ke aur bhi kitne log hain Billu ji.

CC: Poora naam bataiye sir unka.

Raman: PI Amar Vidrohi!

Trio: KYAAA!!!!???

Raman: Chilla kyun rahe ho aap sab? (Touching his ears)
Amar sir ko jaante hain kya?

CC: Ji sir. Amar sir ka kaunsa kaam adhura reh gaya? Vistar mein samjhaiye. (Eagerly)
.
.
.
Raman: PI Amar Vidrohi. Inke baare mein jitna kaha jaaye utna kam hoga. Sir ke under kaam karke bohot kuch sikha maine.

Trio smiled remembering their days with Amar.

Raman: Paanch saal pehele...
Shivani ka case thane mein aaya aur Sir uss case ko poori shiddat se investigate kar rahe the.
Jab unhone Shivani ke phone se bheji hui video ke mb mein chhed chhad dikhi, unhe yakeen ho gaya ki Shivani nirdosh hain aur video edited.

...
Santu immediately recalls telling exact same thing to Haseena. (Episode- 643)
...

Raman: Voh Ajay ke khilaaf Arrest warrant ki taiyari kar rahe the, tabhi unn logo ne nakli gawah laa kar sir ko rishvat ke mamle mein fhasa diya.
Fir unhe case se nikala gaya aur karywahi hone tak department ne sir ko suspend kar diya.
Usske baad Ajay ke liye kaam karne wala ek officer ko case handover kiya gaya.

SS: Amar sir ne kuch nahi kaha, apne aap ko nirdosh prove karne ki koshish nahi ki?

Raman: Unhone samjhdaari se apne ooper lage corruption ke charges galat prove karwa diye lekin tab tak Ajay case jeet chuka tha aur Shivani ko issi thane mein jail hui.

Pauses

Raman: Amar sir ka suspension redeem toh hua lekin unka Demotion SHO ki post pe karke unhe Ghaziabad transfer kar diya.

CC: Par kyun sir? Jab ki unhone khudko nirdosh prove kar diya tha.

Raman: Ajay ke pita, Satpaal neta hain aap log toh jaante hi honge.

They nod.

Raman: Higher level officer ko rishwat deke, Amar sir se yeh kaha gaya ki unhone Shivani se paise liye the.
Aur Ajay ki jeet ke baad, sir ne Shivani se rishwat li yeh baat manna itna mushkil nahi tha logo ke liye.

BJ: Kyun?

CC: Ajay jeeta yani Shivani galat ho gayi duniya ki nazaron mein. Aur Billota mujrim hi toh paise de kar system kharidte hain. Issiliye yeh mushkil nahi tha.

BJ: Ohhh!

SS: Amar sir ne kabhi protest nahi kiya?

Raman: Paise ke aage kuch nahi chalta constable Santosh Sharma. (Reading her batch name)
Aur naa sir ke liye possible tha ki woh Shivani ko insaaf dila paate.

...
Trio were amazed to see Amar's struggle and even after so much he never gave up.
With his charming smile, he kept serving the country with honesty and dedication.
...

SS: Aaj Amar sir ke liye mere mann mein respect aur badh gayi Cheete. (Smiles)

BJ: Mere mann mein bhi.

CC: Sahi kaha tha Karishma Madam ne,

"Kuch logo ka kad jo hota hain na, voh mayaar hota hain jinke aage haar-jeet jo hain bohot halki ho jaati hain. Unki acchai ke aage, unki vyaktitva ki sacchai ke aage, yeh sab mayine nahi rakhta hain."
(Episode- 567)

Everyone nods.

Raman: Amar sir jaisa insaan, unke jaisa officer, dost, bohot kismat walo ko milta hain.
Bohot khush naseeb hoon jo unke under kaam karne ka mauka milla mujhe.
(His eyes expressed the respect he still has for Amar)

Trio: Hume bhi. (Proudly smiled)

Cheetah received Misri's call.

CC: Santu ji, Misri madam ka phone hain. Chaliye jaldhi.

SS: Haan. Thank you so much sir, aapne humari bohot madad ki. (Smiled gratefully)

BJ-CC: Thank you sir.

Raman: Satyameva Jayate! (Proudly)

Trio: Satyameva Jayate!

They salutes him and left.

•••

How will MPT react?

Eagerly waiting for your feedback.
Please respond.

Suggestions and ideas are welcomed.

Stay tuned

Thank you! 🦋

Continue Reading

You'll Also Like

36.1K 897 15
๐˜/๐ ๐‹/๐ โ€ขA 6'1.ft tall shy 16 year old male attends Karasuno highschool and joins the volleyball club โ€ขHim and his team attend a training camp wh...
334K 16.9K 198
Books I might write in the future
18.9K 349 15
Abigail or Abby as her friends call her is the daughter of Sleeping beauty and the sister to Audrey. Abby has always felt like an outsider especially...
1M 37.8K 89
๐—Ÿ๐—ผ๐˜ƒ๐—ถ๐—ป๐—ด ๐—ต๐—ฒ๐—ฟ ๐˜„๐—ฎ๐˜€ ๐—น๐—ถ๐—ธ๐—ฒ ๐—ฝ๐—น๐—ฎ๐˜†๐—ถ๐—ป๐—ด ๐˜„๐—ถ๐˜๐—ต ๐—ณ๐—ถ๐—ฟ๐—ฒ, ๐—น๐˜‚๐—ฐ๐—ธ๐—ถ๐—น๐˜† ๐—ณ๐—ผ๐—ฟ ๐—ต๐—ฒ๐—ฟ, ๐—”๐—ป๐˜๐—ฎ๐—ฟ๐—ฒ๐˜€ ๐—น๐—ผ๐˜ƒ๐—ฒ ๐—ฝ๐—น๐—ฎ๐˜†๐—ถ๐—ป๐—ด ๐˜„๐—ถ๐˜๐—ต ๏ฟฝ...