Rishte - Set After Mission Be...

By RahilianForever

51K 4.4K 2.1K

This story is set after Mission Beherupiya but with a Leap of one year.. More

Nayab - The Mystery
Mission Beherupiya - Unsolved
Anubhav's Entry - Truth reveled
Naraz Anubhav
Bakshi - The Suspect!!
Ruthe Ruthe piya..
Anushma - cute Bro-sis bond
Finding Bakshi's past part -1
Anu met Ammi..
Sweet lite moments ๐ŸŒธ
Team at Kuroni Gao
Haseena Anubhav Singh ๐Ÿฅบโฃ๏ธ
Mission Started!!
The Shocking Clue
A Shock : next clue to case
The Plan
Kareenav - The team work
Raka and Balwan Arrested!!
Proclamation Of The War
War - Badly Trapped!!
Kal Ho Na Ho..
Matlabi Bakshi ..
Melo Drama ๐Ÿ˜
Her trust ๐Ÿ’–
Story behind Abhinav
The Man in Hoddie
Anubhav 's Plan
The business deal
Haseena at Bakshi's place
Their biggest fear
The mysterious locked room
Anubhav's Next move
Exploring the Locked room
A Party!!
๐Ÿ’–HAPPY ENDING ๐Ÿ’–

Naraz Anubhav aur khashmakash mein Haseena

5.2K 135 26
By RahilianForever

This Story is related to Mission Beherupiya ...but here's a leap of 1 year...

After 1 year..

"Aksar jo akho se dikhaiee de zaruri nahi ki vo he sach ho,
Kaiee baar Sacchai Khamoshiyon ke dewaro mein chunva di jati hai" kahi tere saath bhi toh kuch aisa nahi hua n haseena??

She woke up with a jerk ,having her forehead drenched with sweat..she was breathing heavily..Her eyes went on her own reflection on the mirror in front of her bed ...She looked at herself in a questioning manner..

Her pov : Kyu?? Aakhir kyu Abbu baar baar humare khwabon mein aake humse ek he Sawal karte hai? Aakhir aisi konsi Khamoshi hai jo humare Kanon se unsuni reh gaiee??..kya jo ek saal pehele hua vo galat tha?? Kya Anubhav sachmein begunah the?

She remembered all the moments with Anubhav..and At last his encounter..Her facial expressions changed into seriousness...

"Nahi Haseena Mallik ..Phir se nahi .. Anubhav ek Gaddar tha..aur tumhe uss Gaadar keliye itna Pareshan hone ki zarurat nahi hai...haa..bas ab bohot hua..Usse Guzare ek Saal ho chuka hai..ab hume uska zikr apne zehen mein bhi nahi lana chahiye...lekin..Jane kyu humara dil aaj bhi nahi manta..Lagata hai jaise jo hua nahi hona chahiye tha..Kyu humara dil iss baat se sehemat nahi ki Anubhav ek Gaddar hai.."

She was lost in a deep thought went she heard a voice..

"Kya soch rahi ho Haseena Mallik? "

Her eyes se on the other side, she saw her own self standing in uniform ...

"Humari taraf gaur se dekho Haseena Mallik ..Ye ho tum SHO Haseena Mallik..tumhara har kadam tum se pehele desh keliye hota hai isiliye tumne jo kiya desh keliye kiya..Aur vaise bhi Abbu kaha karte the n...ki desh ke aage aur desh ke upar kuch nahi.."

"Or jazabaat uska kya??"

Haserna heard a familiar voice of her inner self..she saw at the direction from where the voice came...She saw another Haseena Mallik with same attier..

Haseena: Ab tum kon ho?

"hum tumhare dil ki awaz hai haseena.. Haseena tum toh un afsaron mein se jo cases dil se ladti hai, jazbaat se ladti toh phir Anubhav ka case Jazabaat ke nazariye se kyu nahi dekha tumne? "

Haseena's Brain : kyu ki unhi jazbaaton ke karan Anubhav se baar baar dhoke mile..

Haseena's heart: kis ke liye mile ?? (Looking towards haserna) Bolo Haseena Mallik har baar Vo konsi vajha thi jis ke karan Anubhav tumhe Chod kar gaye?? Bolo??

Haseena looked down with tears..

Haseena's heart: hum bataye kyu?? Kyu ki Anubhav ko tumse zyada balki khud se bhi zyada uska desh pyaara tha...uske desh ki hifazat pyaari thi...

Haseena's Brain: aur ussi Desh ke saath Anubhav ne Gaddari ki..

Haseena's heart: kya pata Anubhav ki koi majboori ho?

Haseena's Brain: Yaa Shayad uske niyat mein koi khami ho..

Haseena's heart: dekho...

Haseena : (Keeping her hands on her ears) Bas...bohot hua

She shouted closing her eyes and after a while when she saw, her both the Reflections were gone...

Here Ammi Came running..

Ammi : kya hua Haseena itne zor se kispe chilla rahi thi...

Haseena looked at her Ammi..Ammi sat besides her and softly Moved her hand upon her hair..

Ammi: kya hua beta??

Haseena : (hugged her) Ammi jo Humne kiya vo sahi toh tha n..

Ammi: matalab??

Haseena was About to say when she stopped..

Haseena: (pov) Nahi..Agar Ammi ko pata chala ki ajj bhi hum Anubhav ko bhula nahi payee hai toh vo pareshan ho jayegi...

Ammi: haseena bol beta..

Haseena: kuch..kuch nahi Ammi vo..hum Zara ek case ko lekar pareshan hai..

Ammi : Are kam ko itna bhi khud pe havi mat hone de ki vo kam teri tabiyat par havi hojaye...

Haseena nodded...

Ammi : accha mai kal tujhe batana bhul gaiee...Nayab aa rahi hai...

Haseena smiled ..

Haseena: kya ? Kab aur achanak kaise...

Ammi: teri khala bata rahi thi ki badi guzarishon ke baad usne apne kaam se chutti li hai aur ye chuttiya Nayab Apni Haseena Appi ke saath bitana chahti hai..

Haseena smiled..

Haseena: Ammi apko yaad hai ..bachpan mein sab se zyada apna waqt bekar mein zaya kar deti thi aur ap aur khala kehete the..ki Ya Allah jane iss ladki ka kya hoga..

Ammi : haa par ab Mohtarma ke paas waqt he nahi hota ..jab dekho tab kam kam kam aur sirf kam...chal ab jaldi se taiyar ho ja..varna tere kaam keliye tu der ho jayegi...

Haseena nodded with a smile...She Got up from the bed and took a quick bath and got ready ,she did her breakfast and left for MPT...

In MPT :

It was the usal scenario of MPT..
Pushpa ji was doing Puja.. Karishma Singh was sitting on the desk engrossed in her work..
Santosh was busy with her laptop and Cheeta was busy looking at his laday love...
When entered HM with the sweet smile....And her foot steps gained everyone's attention...

All : Jai Hind Maddam Sir...

HM : Jai Hind.. Santhosh sharma any updates...

Santosh: Ji Maddam sir ajj toh chamatkar hogaya mare quaters ka naal bilkul bhi leak nahi kar raha tha...

All glared at her with wide eyes while cheeta Smiled and said..

CC: uff ye masumiyat..,Santu ji Santu ji..Maddam sir naye case ke baaremein baat kar rahi hai..

SS: o sorry maddam sir ...No maddam sir ..no updates...

HM: theekh hai agar koi case ata hai toh hume itellah kar dijiye ga hum humne cabin mein hai ..

SS : ok maddam sir..

And HM went in side the cabin...

SS : Pushpee apne notice Kiya Aaj kitne waqt baad Maddam sir itni khush lag rahi thi n

PS: haa ...ajj bohot waqt baad vo thodi theekh lag rahi thi varna uss Anubhav ke hadse ke baad...

KS: Amma kitni baar bola hai apko Pushpa ji Galti se bhi Kabhi Uss Admi ka jikar mat karna..phir bhi aa jake vo he baat ched deti hai app...

PS: haa toh sare fasat ki jad bhi toh vohi baat hai...Humare Maddam Sir ke toh Bhag he fut gaye jab se vo hadsa hua...

KS: chalo ab tak ap Lalla ke  Bhag fodti thi ab apne Maddam sir ke bhi bhag fodna shuru kar diya ..

PS: hum nahi fodte hai Humare lalla ke bhag vo toh jab se ap humare lalla ke jeevan mein aaiee hai tab se fut chuke hai ...

KS: Amma apse behes karne ka koi fayda nahi Pushpa ji ...jaiye bohot kaam pada hai...

SS: Madam apko nai lagta ki hume Maddam sir se unki khushi ki wajah jan ni chahiye..

CC : santu ji Santu ji apne toh humari mu ki baat cheen li..

KS : Amma tum ka karogi jan ke..

PS: Are vo kya karegi se matalab kya hai apka?? Ha?? Usse fikr hai Maddam sir ki ...

KS: toh apke kehene ka ka matalab hai Pushpa ji hume nahi hai Maddam sir ki fikar ..

PS: nahi ..hai par hume unki khushiyon ki wajha jan kar un khushiyon ko duguna karne ki koshish karni chahiye..aur kya pata ...(doing her sharmane wala style ...Isshhh) Unke jeevan mein kisi ne dastak di ho ye khushi uski ho..

SS: haa mujhe bhi yehi lagta hai Pushpee ...

CC : haa Maddam jaiye n tanik pata kijiye na..

KS: Amma hum??

PJ : aur nahi toh kya hum..dekhiye ap senior hai ap he ko jana padega...

SS : haa madam please..

CC : Maddam humara apse ek tho personal level pe request hai ki app he Maddam sir ke pass jaiye kyu ki santu ji ka bohot maan hai...(KS glared at CC) aur hum sab ka bhi...

KS: Amma theekh hai ...hum kuch karte hai...

KS took one file from her desk and moved towards her cabin..

KS: Maddam Sir hum adar aa sakte hai ...

HM: ji Karishma Singh aieeye..

KS: Madam sir vo apke sign chahiye tha...

She said while handing over the file to her...HM started signing the pappers ..

Here PS SS and CC who were standing outside the cabin hiding behind the wall signalled her to ask ...KS nodded..

KS : Maddam Sir Ka baat hai app aj bohot khush lag rahi hai ..

HM: ji Karishma Singh baat he kuch aisi hai..Darasal humari Choti behen Nayab aaj aa rahi hai...bohot samay baat Mohotarma ko chutti mili hai isiliye vo humare saath waqt bitana chahti hai...

KS : ye toh bohot badiya baat hai Maddam sir..Vaise vo karti ka h ..

HM: Vo..ek IB agent hai...

KS : Are waah Maddam sir ye toh bohot garv ka baat hai..

HM: hume bhi humari behen par fakra hai ..

KS: ek baat kahe Maddam sir..

HM: ji kahiye ...

KS: Apko n aaj itne samay baad khush dekh kar hume bohot accha lag raha hai...ajj pura 1 saal baad apko itna khush dekha hai...

When KS said that HM remembered about her morning dream and went into a Deep thought...KS noticed her....

KS: ka baat hai Maddam Sir ap ka sooch rahi hai...

HM: Karishma Singh..Kya humne sahi kiya...

Everyone's expressions changed into seriousness

KS: haa Maddam sir apne bilkul sahi kiya...Ap ne apne pyaar ko nahi mara Maddam sir ek desh drohi ko mara hai..

HM: par Najane ajj bhi humara dil ye kyu keheta hai ki ANUBHAV ye karne ke peeche koi bohot badi wajha thi...

KS: Jane dijiye n Maddam Sir aap ...ye sab mat sochiye aaj Nayab aa rahi hai ap toh bas uske swagat kaise kare ye sochiye ..

HM smiled..But the same conversation between her heart and brain was running onto her mind..

Here at other side..

A girl was packing her stuffs when she heard the door bell...she opened the door and was surprised to see the person...she smiled..

Girl: are ap..Aiye n..

The person came inside..

Person: Jane ki sabhi taiyariyan ho gaiee ..

Girl: haa bas packing he kar rahi thi...

Person : Tumhe itna prasann dekh ke hume Bohot accha lag raha hai ..

Girl: Janab hum aur khush hote agar app humare saath ate toh..

Person: phir vohi baat..

Girl : Toh galat bhi kya keh rahe hai hum Anubhav ??

Yes the Person was none other than Anubhav Singh...and the girl was Nayab

Anubhav: Nayab ap ye puch rahi hai..apko ye baat acche se gyaat hai ki Humare waha jane se Haseena ji ko kitni peeda hogi..

Nayab: koi takleef nahi hogi appi ko ...Hum unhe sach bata denge..phir aap aur appi humesha saath rehena..

Anubhav: Saath?! Kaise??

Nayab: Nikha kar ke..

Anubhav: Hum Vivaha toh kar lenge Nayab par vo Vivah tikega nahi ...

Nayab : kyu ?

Anubhav: kyu ki Kisi bhi rishte mein Bharosa bohot avashyak. Hai... saying this he moved towards the window..

Nayab: ap Appi se aj tak kafa hai??

Anubhav: Khed (afsos) hai ..Khed iss baat ka Hai ki Humne Haseena ji se Keh diya ki Hum Deshdrohi hai aur unhone maan liya..ek baar bhi unhone saty jan ne ka prayatn nahi kiya...

Nayab kept her hand on his shoulder..

Anubhav: mante hai ..hum mante hai Nayab humne unhe Bar bar thes pohochiee parantu hum kabhi unhe tes nahi phochana chahte the ...kya tumhe gyat hai Nayab hume laga tha ki..chahe pura vishwa hume Gunhegar mane humari Haseena Ji hume samjhegi..Parantu unhone bhi nahi samjha..kya humara prem itna balhen tha ki Haseena Ji hume samajne mein Asamarth rahi?

Nayab: nahi Anubhav..Hum huamri Appi ko jante hai..vo is waqt bhi dil aur dimag ki ladaiee mein fasi hogi ...aur ap dekhna Jeet Dil ki he hogi...

Anubhav: Ab ye sab rehene dijiye...aur jaldi saman j
Bandhiye anyatha apak viman ud jayega...

Nayab nodded... Anubhav helped her in Packing and both left for Airport....

ANUBHAV: A..Nayab..

Nayab: ji..

Anubhav: Vo..

Nayab: Agent Anubhav Singh ko hichkichate hue toh peheli baar dekh rahe hai ...janb bat kya hai...Bina kisi hichkichahat ke kahiye...

Anubhav: ek baar humare ghar bhi kisi bahane se chale jana Hume Maa ki bohot yad ati hai ..ho sake toh unki Boli bhi suna dena..

Nayab: itna he yaad kar rahe hai toh phir saath kyu nahi chalte ...Aunty se bhi mil lijiye ga..

Anubhav: nahi...Humne Humari priye ke mukh se Gaddar sun liya ab humare liye humari Mata ke naino mein grina (hatred) nahi dekh payege...

Nayab: isiliye toh keh rahe hai sach bata dijiye..

Anubhav: Viman sthal agaya..

Nayab looked at him...

Nayab: Anubhav ap..

Anubhav: Nayab Phoch kar durbhash kar dijiyega...

Nayab understood that he don't wanted to talk further on this topic ...

Nayab : ap Appi se naraz hai aur Appi waha sach se anjan...wada Karte hai Anubhav ap aur appi jald he saath hoge..aur vaise bhi.. Narazgi ussi se hoti hai jis se Hum pyaar karte hai..

Saying this she left ... and Anubhav blowed sigh sadly and left...

So this is it for the chapter
I hope you like it
Next part will be updated soon
Thank you 💖




Continue Reading

You'll Also Like

929K 21.4K 49
In wich a one night stand turns out to be a lot more than that.
149K 16.8K 23
"๐™๐™ค๐™ช๐™˜๐™ ๐™ฎ๐™ค๐™ช๐™ง๐™จ๐™š๐™ก๐™›, ๐™œ๐™ž๐™ง๐™ก. ๐™„ ๐™ฌ๐™–๐™ฃ๐™ฃ๐™– ๐™จ๐™š๐™š ๐™ž๐™ฉ" Mr Jeon's word lingered on my skin and ignited me. The feeling that comes when yo...
32.4K 3.9K 41
Just her..... . . . . . . . . Love
19.7K 1.2K 20
story about our anuseena