Har saal iss din mujhe le jata hai terrace pe aur achanak se bolta "see your Amma" pointing at a star. And when I ask "what",toh  bolta hai "it's shining the brightest so has to be my brightest star's mumma" Usko aap already zyada pasand ho.

Aapse woh darta hai appa,
Humesha bolta hai "appa khush honge na tumhare mere saath hone se"

Usse aake bolona appa ki aap kitne khush ho! Sab mein hi kyun bolu usse appa! Aap aake batao na meri childhood embarrassing stories usse jaise Manik ke dad abhi mujhe batate hai.

Aapko pata hai Manik aaplogo ko Amma Appa hi bolta hai. Maine abhi abhi hi notice Kiya aaplogo ne toh kabse kiya hoga na!💛

College se late aane pe sab bolte the ki "Dad's given me limit..gotta be home by 11" par mere paas toh koi limit hi nahi thi.

Sabki mumma unke liye naye naye dishes banati thi par mere liye koi nahi thi.

Chacha-Chachi mere parents jaise hi hai abbtoh!

Rishu abb bolne laga hai aur usko attacks bhi nahi aate!
Par aapne socha nahi ki Nandu aur Rishu kaise rahenge aapke bina.

Amma-Abba!
This pain is not lessening,
It's just increasing.

Wapas aa jao na,
Please.🤞

View all 9938 comments.

alyasaxena Man!!!💔 We don't appreciate our parents enough 😭

dhruvvedant So beautifully written Nandini! We're all here for you❤️

navyanaveli underrated blessings of our lives!!!💛🌅

Nandu, rula diya tumne!

manikmalhotra 💔
______________________________________

manikmalhotra 💔______________________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

manikmalhotra
Namaste Amma-Abba!💕

Mein Manik Malhotra.
Aapki beti ka husband!

Aapse kabhi mulaqat nahi ho payi!
Kaash ho pati!

Kaash mein dekh paata unko jinhone mujhe meri life di!
Jinki beti iss duniya ko behtar bana rahi hai,
Jinki beti ne mujh jaise monster ko insaan bana Diya.

Uss beti ke parents toh kya kamaal hi honge na?❤️

Mujhe mere dad humesha bolte hai ki "tu lucky hai ki Nandini ke mom dad ko manana nahi pada,warna mein toh unke hi team mein hota ki mat do aapki beti isse"

Amma,
Aapke payasam ki itni tarif suni hai ki abb khaye bina raha nahi ja rha.
Aapki beti ki complain karni hai mujhe kyunki mujhe pata hai aap aur mein ek team mein hoye jaise mein aur Chachi hai.

Appa,
Aapse thoda darta huh, Nandini sahi kehti hai. I don't deserve your daughter so now that I've her,
Yeh darr laga rehta ki ache se nahi rakha toh aap durr kar doge usse mujhse.

Agar Nandini jaisi beti meri hoti toh mein nahi chodta usse,
Toh aap bhi Galat nahi hote aesa feel karne ke liye.

Aapka pen bhi toh tod diya tha maine,Abba! Kaash aap hote yahan mujhe thappad maarne ke liye because kitna rulaya hoga aapki beti ko maine uss din.

Par thodi galti toh aap dono ki bhi hai.
Aapko pata hai woh aapki birthdays pe kitna roti hai?
Ek bhi parent related baat se relate nai Kar pati aur saare grief related quotes pe aakhein bhar aati hai uski.

Kabhi bhi apne aap ko room mein bandh kar deti hai aur rone lagti hai because she misses you.

Jab bhi mein apni Mom ke saath hota huh toh khud do kadam piche leke,
Hume dekh ke aakho mein nami aa jati hai par her lips form a smile💛

Itna selfless kyun banaya aapne apni beti ko?
Kyun usse nahi sikhaya ki duniya mein sablogo se achai se bartav nahi hota?
Kyun usse bataya nahi ki duniya itni achi nahi hai jitni woh hai?

Pata nahi kahan se itni strength le aati hai woh Roz ki 16 saal se reh rahi hai aapke bina,
Mere parents ke bina mein toh pagal ho jata huh.

Kabhi kabhi lagta hai shayad woh share nahi karti sab. Kabhi kabhi akele mein hi ro leti hai.
Iss baat ki shikayat kisse karu mein abb?

Kisse bolu ki unki beti humesha girti padti rehti hai aur apne aap ko chot lagwati rehti hai?

Samajh sakta huh aaplog kyun chale gaye,
Duniya aapki beti ko deserve nahi karti toh aapko toh definitely nahi karti hogi! Tabhi Nandini ke aaiyappa ne bula liya aapko!

Jab Jab mein uske saath nahi hota,
Tab tab uska khayal rakhne ki zimmedari aapki!💜

Humesha aapse shikayat rahegi ki mil nahi paye hum.

Aap toh parents ho,
Aapko 100 khoon maaf hai,
Don't worry!❤️

See you on the other side,
Amma Abba!
Haven't even met you once,
But there still is a sense of loss.

Ho sake toh aa jaiye wapas,
Aapki Nandini puchti rehti hai ke "kyun chale gaye mom dad" jawab dene ki himmat nahi hai abb.

Itna bura bhi nahi hai yahan ka mahaul sasurji,
Aaiya kabhi!
Drink piyenge saath mein ek!
(Agar aapki beti allow kare😄💜)

Aapki Nandini,
Meri bhi hai...Try karunga utni hi khush rahe jitni aapke saath hoti hai!✨🤞

Mujhse koi galti ho jaye toh maaf kar dena, aapki beti ke layak banne ki poori koshish karunga🤞

I hope you're in peace wherever you are! Take care of you daughter from up there! That's all I want💛

Aapka damaad,
Manik Malhotra.
______________________________________

"Life is a cakewalk;if with parents"

I had to take a moment while writing this!
We're really nothing without our parents!🌅💛

And the ones who've lost any of their parent,
You guys are strong as hell,
Okay?! You can do this!❤️

MaNan-Instagram!♡Where stories live. Discover now