woh kaun deshbakt hai

9 3 0
                                    

Jo lafzoh mein na hui bayan,
Yeh desh wo kahani hai,
Jab maine mummy se pucha
Woh kaun deshbakt hai?(x2)

Meri mummy ne kahan-
Jo dhoop mein jale,
Jo barish mein bheege,
Jo bhooke rehkr pura din dhoop mein hal chale,
Woh sacha deshbakt hai!(x2)

Jo lafzoh mein na hui bayan,
Yeh desh wo kahani hai,
Jab maine papa se yeh puch,
Woh kaun deshbakt hai!(x2)

Mere papa ne yeh bola,
Jisne apna sab kuch choda,
Jisne raat aur din ko joda,
Jisne mitti ko oda aur
Jo goli khakr na roya,
Woh sacha deshbakt hai!(x2)

Jo lafzoh mein na hui bayan,
Yeh desh wo kahani hai,
Jab maine bhaiya se yeh puch,
Woh kaun deshbakt hai!(x2)

Mere bhaiya phir yeh bola
Jo bimari se lade,
Jo zindagi or maut ko smajhe,
Jo haste haste bimaroh ko thik kare,
woh sacha deshbakt hai!(x2)

Jab mein kamre mein roya,
Yeh meri kya zindagani hai!
Jab meri didi ne yh pucha,
Yeh kaunsi yeh diwaangi hai,
Tab lafzoh mein maine ki bayan apni yeh kahani hai,

Na khetoh mein tapa,
Na kabhi seema pr lada,
Na kabhi aspatalo khada,
Kya mein sacha deshbakt hu (x2)

Meri didi yuh hasi,
Phir muskarakr yuh boli,
Jo roote hua ko chup kare,
Jo bhooke ko khilayeh,
Jo batke ko raasta dikhaye,
Jo kare sabki madad.
Woh sacha insaan h,
woh sacha deshbakt hai!


My emotionsWhere stories live. Discover now