kaun sumo - 3

588 55 75
                                    

*I love you sumo

I love you shravan

Yahi bolna tha na bhaiya - sumo* asked pushkar who was sitting in a darkest corner of tiwari killa's terrace. By hearing that disturbing third male voice they made a safe distance between themselves. But pushkar the lawyer can't leave them easily. Mischief dancing on his face lips grinning ear to ear he came near to them so that he can see their pale face.

*Kya socha tha aap dono ne ki mujh se chhup ke ye sab kar loge or mujhe khabar takk nahi hogi par afsos chhota mota he sahi vakeel to mai bhi hun. Aur kuchh der pehle he aapne mujhe apna personal vakeel appoint kiya hai to apne wo kya kehte hai mu umm haan muvakkil apne muvakkil ke bare me information to rakhna padta hai..

*Tu yahan kya kar raha hai pushkar* asked an annoyed shravan

*Kuchh nahi bhaiya bass jab itni lambi journey ke baad party attend karne ke baad poore 10 saal baad ghar lautne ke baad wo bhi bade papa ke birthday ke din agar aap aadhi raat ko chupke se ghar se nikloge to shaq to hoga he na. To chala aaya aapka lakshman aapki raksha me waise bhi 10 saal me shahar bahut badal gaya hai kahi rasta na bhatak jao* he said winking

*Chhote you were stalking me* said shravan trying to change topic

*Koshish acchi thi par unfortunately Mera mind divert Nahi kar paye aap. Ab aap bataoge ya ye secretive girlfriend aapki. We have whole night aap log poori detail me story bata sakte ho* said pushkar taking advantage of the situation he sat on the floor folding his legs

Not having any choice they sat their ready to share their story to the person who is responsible for their togetherness.

*Bol kya janana hai tujhe* asked sumo

*Jahan takk mujhe pata hai aapke jaane ke pehle aap dono ka jhagda hua tha. Or ye sumo aai bhi to aapse milne par aapne iski baat nahi suni* said pushkar

Watching their shocked expression pushkar answered * mujhe pata hai Poorna ne sab bata diya ki school me kya hua. Such kahu to naraz tha tujhse sumo par bhaiya ke jaane ke baad teri jo halat thi us se samajh gaya tha how guilty you feel. Bhaiya ke jaane ke baad unhone tere bare me kabhi nahi puchha par jab mai unhen tere bare me batata tha to bahut dhyaan se sunte the har baat. Aur tu to bhaiya ke bare me sawal puchh puchh ke mera dimaag kha jaati thi phir achanak teri tabiyat kharab hui or uske baad tu ne bhaiya ke baare me puchhna band kar diya or ne tere bare me sunna to phir ye chamatkar hua kaise ye batao* asked pushkar.

*jab shravan gaya tab sirf guilty feel karti thi mai ki mere har mushkil samay me shravan mere pass tha usne apni dosti hamesha nibhai. Mai ne jab chaha hai bina bole he shravan ko mere sath paya hai par jab pehli bar shravan ko meri zaroorat thi koi nahi tha uske pass kitni ummeed se mere pass aaya tha or mai ne kya kiya? Sath dena to door uska mazak bana ke use akela jaane diya jab mai janti hun ma ko khone ka dukh kya hota hai phir bhi apni so called cool image ke liye* she started crying

*Oye sumo mai tere or bhaiya ki love story sunne aaya hun or tu hai ki nirupa roy banne ki practice kar rahi hai. Chal mudde pe aa or rona band kar* joked pushkar trying to lighten the atmosphere.

*Shravan gaya uske baad kisi cheez me mann nahi lagta tha humesha uska wo rota hua chehara yaad aata tha. Dheere dheere mai use miss karne lagi phir realize hona laga ki mai jo shravan ke liye feel karti hun wo dosti se zyada hai. Ek din ramnath uncle ko jab nanu ki file dene gai to ramnath uncle ki telephone dairy khuli hui thi us se shravan ka number chura liya*

*You did what* shravan asked in disbelief

*Tujhe pata bhi hai ye kitna khatarnak ho sakta tha. Bade papa ka saman unse bina puchhe chhoona or information nikalna* said pushkar still in shock

*Itni bhi koi badi baat nahi apne dost ka number he liya tha* said sumo

*Haan tere liye thodi koi badi baat hai tujhe to bade papa or lalaji ne sir chadha rakha hai na or is karan unka har baar shikar mai banta hun* said pushkar

*Sumo iski baat hatao aage batao na* said an excited shravan trying to sound innocent

*Tumko bhi bahut maza aa Raha hai na sunne me. Ruk jao aadhi kahani tum he bataoge phir dekhti hun mai* said sumo

*Arey tu bhaiya ko side kar story continue kar* said an excited pushkar

*Number to nikal liya par galti badi thi socha shravan jab Summer vacation me aayega tab maafi maang lungi par wo nahi aaya. Socha shayad nayi jagah hai isliye adjust karne me time lag raha hoga isliye winter me aayega phir bhi nahi aaya or tu or ramnath uncle wahan chale gaye tab mujhe laga ki shravan meri wajah se nahi aaya. Jab tu wapas aa gaya tab bahut himmat karke shravan ko phone kiya. Phone utthaya to par baat nahi ki mai ne sorry bhi bola par shravan ne phone rakh diya. At that time mujhe dar lagne laga meri ummeed tootne lagi phir bhi nai me try kiya. Uske baad kai bar phone kiya tab shravan ya to phone he nahi utthata ya shravan ki jagah koi or jawab deta. Jab pata chala ki shravan ne second year me top kiya hai to mai khud ko rok nahi pai or turant use phone kiya socha aaj shayad khush ho or baat kar le. Us din shravan ne mujhse pehli Baar baat ki or keh diya ki wo mujhse koi rishta nahi rakhna chahta na mera chehara dekhna chahta hai na he meri aawaz sunna mai dobara kabhi phone na karu or us din mujhe laga mai ne mere chashmish ko kho diya*

Hello beautiful people I'm here with another part. Please ignore all the mistakes because I didn't edit it. I hope this chapter have given answer of your questions. Let me know your views about this one.

I loved this new cover page given by my friend Priyashi03 . Thank you so much doctor 😘

Will try to update next chapter soon.

Love♥️
Sweksha

KAUN SUMOWhere stories live. Discover now