Akhiri Udan

1 0 0
                                    


Jaisa ki hamari hadison me likha hai agar tum kisi Ko ek(1) doge to khuda tumhe egyarah(11) dega bas tumhre dene ki niyat  zakaat or pakiza hona chahiye, to bas khuda ke usi egyarah(11) se maine Apne Walid ki madad ki apni bahno ki shadi me , usi egyarah se maine Apne chune ke paint wale ghar Ko behad Kashish wale ghar ke tabdil kar diya, usi egyarah se maine Apne Walid ke liye taumar aram ka bistar banaa diya , usi egyarah se aj mere Walid apna har khab pura kar rhe jise unhone salon pahle apni ankhon me dekha tha, or unko khush dekh maine bhi kamiyabi ki wo shaohrat hasil kar rha jaha mere ek hath me mere Walid or walida hai to dusre hath me wo shaks jo mujhe khuda se egyarah dilwa deta hai.
       
‌                 Mai Indian Air Force ka ek figher pilot jisne transport se zingadi shuru ki or aj Apne Azad Samrath Vatan ke Wazir-e-Azam Ko leke udhan bharta hu.
‌      is bar chutti Milne se pahle ek behad karibi kalig ne kaha ki apki chutti khatam hone ke bad apko lahro me udhan bharna hai.
‌waisa hi hua, chutti ke akhiri hafte me khat aya ki hme INS ke kisi Bede pe bheja ja rha jo ki Indian Ocean me tainat hoga,
‌ham bhi khush the kyuki Samandar ki machli ka swad hi lajawab hota hai to bas Ammi ne aetal kursi padh ke dam Kiya or ham sabki Duaen lete hue Nikal pda ,
‌aj pahla din tha INS pe udhan bharne ka to zaruri baton ko gaor-talab karte hue behad excitement ke saath hmne F-35  Ko shuru kiya jo us suppreser lge sniper ki tarah hai jo awaz to nahi karta Lekin ek bar me Dushman ki ghopdi se guda Nikal deta hai, to jhatke ke saath hamara F-35 Nikal pda or ham Chand palon me 45° ke angle ke saath ham asman me the, take off ke waqt mere samne asman ke alawa kuch nahi dikh rha tha or wo bhi shayad is liye kyuki satwe asman ki us taakat Ko shayad kuch or hi manzur tha, shayad wo hme kuch or hi dikhane ke liye zamin se itna dur leke aya tha
      Hazaron feet ki uchayi pe jaise hi maine Apne jahaj Ko sidha Kiya hme wo Kona dikhayi Diya duniya ka Jahan Pani or asman mil rhe the, maine apni har udhan me zamin or asman Ko milte dekha tha Lekin ye pahla nazara tha jab maine Nile Samandar or Nile ambar Ko ek dusre Ko gale lagate dekha tha ,
Apni har udhan pe Mai behad khush hota tha nazara dekh ke Lekin is waqt mere Dil me shayad kuch or hi tha, shayad Mera Dil kuch or hi dekhna chah rha tha, or wahi hua, radio me bar-bar control room me awaz arhi thi jo ki mere Kan me to ja rhi thi lekin dimag tak nahi pahuch rhi thi kyuki dimag to kahi or hi tha,
                              Mai us yaad me ja Chuka tha jo maine kabhi Apne khabon me dekha tha, wo yaad meri or mere us Sathi ki thi jo asman se kudna chahte the ek dusre Ko pakad ke , ye yaad mere pyar ki thi,
Ye us waqt ki bat thi jab Mai sabse alag apni duniya me khush rahta tha or meri duniya me ek insan or tha jo ki hmse hmse kayi Guna zada pyar karta tha jitna ki Mai usse karta tha, ye wo Insan tha jiske sath Mai apni puri zindagi bitana chahta tha use hmesha khush rakhna chahta tha Lekin sirf pyar karna hi sab kuch nhi hota apka pyar tabhi Kam karega jab apke Ander understanding hogi warna waqt se sath Sacha pyar bhi khatam ho Jata hai or yhi hua , Mai uske karib ata gya or wo hmse dur Hoti gyi or ek waqt aya jab uske pas mere saath khush rahne ki wajah bhi khatam ho gayi , usne kayi dafaa hme batane ki koshish Kiya Lekin Mai hi nahi samjhta  paya or ye man ke tha ki jab pyar understanding ki  wajah se hua hai to kabhi khatam nahi hoga , Lekin  jab uske man me khatam ho gya to  hme aesa lga ki jaise  hme kabhi pyar mil hi nahi Sakta , fir bhi Mai kayi dafaa koshish Kiya uske man me mere liye pyar jagane ka Lekin har dafaa Mai use taqlif de deta, usne bhi Apni khahish khud se puri karni shuru kar di to hme samjh aya ki wo mere saath kabhi khush nhi rah paegi kyuki mujhme wo bat nhi hai , or mere samjh me aya ki pyar mere liye nahi bna hai , ki kuch chize har Insan ke liye nahi Hoti nd jaise ki pyar or un insano me ek Mai bhi tha or Maine deside Kiya ki usse itna dur chala jaunga taki use kabhi meri yaad Na aye or wo apni nayi zindagi kisi or ke saath behad Kushi se shuru kare jisme aesi taqlif na ho jo Mai use diya tha,
Mai bhul gya tha ki Mai ek F-35 me hu kyuki jab samdar Ko dekha to hme wo Sapna yaad Agya jo Mai uske sath pura karna chahta tha,  mere ankhon ke samne Mai khud Ko Apne pyar ke saath paragliding karte hue dekh rha tha, mera jahaj awaz ki raftar se niche gir rha tha or Mai khud Ko Apne pyar ke saath parasuit leke niche girte mahsus kar rha tha, mera jahaj Samandar me ja girta hai or Mai khud Ko Apne pyar ke saath Pani me girta hua mahsus karta hu, mujhe tairna ata tha Lekin shayad khuda Ko kuch or hi manzur tha
‌Hmare yaha kaha jata hai ki akhiri waqt me hmari rooh pairo se nikalna shuru Karti hai or sir se Nikal ke chali jati hai, AJ maine wo mahsus kar liya, bas fark itna tha ki jab rooh bhi hamse rishta tod ke ja rhi thi to usne hme dikhaya wo pal jab mere pyar ne Apne paidaish ke din meri ghadi Ko dekh ke musukurayi thi jo ki maine use tohfe me Diya tha or shayad wo hi uski akhiri muskurahat thi mere wajah se, ham ek dusre se milon ki duri pe rahte the ek dusre Ko dekhe bhi salon ho gye the ya ye kahun ki dekha hi nhi tha , ham dono ke rishte ki  wajah Hamri ek dusre Ko samjhne ki kuwat thi.
ham dono ne ek dusre ke saath zindagi ke har pal ko Apne sapno ke mahsus jiya tha jo ham sath me karna chahte the jisme ek wajah ki yaad hi aj mere saath maut ka Farishta ban ke agyi, meri rooh mere jisme se taluq khatam kar rhi thi or Mai Samandar me dubta hua Apne pyar Ko 'qubul hai' kahta hua Sun rha tha jo ki Mai chahta to Apne liye tha bas fark itna tha ki usne use qubul Kiya tha jo use puri Umar Khushi dene wala tha or wo shaks Mai nahi tha kyuki us ghadi ke tohfe ke bad Mai uski Khushi nahi balki dukh ki wajah ban gya tha kyuki pyar karna asan hota hai Lekin use sahi tarike se Zaahir karna zarur hota hai tabhi ap Apne pyar ke saath puri Umar rah sakte hai or mere Zaahir karne ki isi kami ki wajah se usne kisi Ko qubul Kiya tha, Lekin use na paake bhi Mai khush tha kyuki aj wo kisi or ke saath khush hai kyuki shayad ye meri hi dua thi jo maine uske liye manga tha, Mai Samandar ki gahrayi me dubta ja rha tha or meri ankhon me uski shadi ki pahli rat thi jab uske shaohar ne kamre me Dakhil hoke use Salam Kiya tha , salon intezar Kiya tha maine is waqt ke liye jab Mai kamre me Dakhil hounga or wo mujhe Salam karegi or ek dusre Ko dekh ke ham behad khush honge kyuki un sapno me ye bhi ek Sapna tha , Lekin khuda Ko kuch or hi manzur tha jo ki shayad ham dono ke liye behtar tha isi liye aj first night me kamre me Dakhil to hua Lekin Mai nhi koi or tha wo , Mai fir bhi khush tha use kisi or ke saath dekh ke kyu ki wo khush thi, tab us shaks ne uske Salam ka intezar na karte hue khud Salam Kiya to use ehsaas hua ki ye hme hmesha pyar dega or wo muskurate hua uske salam ka jawab di, uska shaohar ghunghat uthata hai or dono ek dusre se batein karte hai ek dusre Ko samjhte hai or wo shukun se soti ek muskan ke saath ki uska life partner me sahi understanding hai wo use kabhi taqlif nahi deha ,
            mere sapno me se ek Sapna ye bhi tha ki jab Mai Base pe jaunga souty complete karne ke liye to meri 37 inch ke tyre wali suv Ko wo drive karke le jaegi or Mai bagal me baitha rahunga Lekin aj bandargah ate waqt jab Mai apni suv start Kiya to maine use imagine kiye mere samne ek safed lambi car me Apne husband ke saath or uske chehre pe behad khubsurat hasi thi jo ki uske husband ki wajah se thi or jo ki kahin zada thi us muskurahat se jo kabhi meri ghadi Ko pake use hui thi meri zindagi ke ye akhiri pal me maine use pahli bar inta khush dekha tha apni imagination me bhale hi uske sath koi or tha ,  hme shayad chahiye bhi yhi tha isi liye use kisi or ka hone Diya taki wo sari zindagi khush rhe kyuki Mai ek acha Insan to ban Sakta hu Lekin kisi Ko pyar kaise karte hai ye hme nahi aata, Apne sare karz Ko pura karke or mera jism Samandar ke gahrayi me ja Mila

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 16, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Akhiri UdanWhere stories live. Discover now