ONE SHOT

544 46 104
                                    

Sakoon chayein toh apne rab ke pass jao. Uske samne ro, ussey madat mango kyunke insaan chor dete hai per Allah nahi chorta. Woh sab kuch janta hai phir bhi woh apke mou se sunana chahta hai. Woh Bakshish wala bhi hai or Saza dene wala bhi hai! ‬

woh larki jiski umer kuch 20 saal hogi us ghar ko dekh rahi thi, kitni yaadein juri thi uski us ghar se! per woh to un yaadon se bhagti hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

woh larki jiski umer kuch 20 saal hogi us ghar ko dekh rahi thi, kitni yaadein juri thi uski us ghar se! per woh to un yaadon se bhagti hai. humesha. woh andhera kab uska peecha choray ga woh nahi janti thi. uska dimagh in sab baaton me uljha huwa tha jab uski ankh se ek ansu beh ker uske baazu per jaa gira.

"mujhe yeh bacha nahi chaye, tumhe samjh kyun nahi ata. humare do bachay hain humare family complete hai to ek or bacha kyun" woh apne shohar per cheekh rahi thi
"toh jao khatam kardo isko" woh yeh kehte huwe kamre se bahar chala gaya. Or woh 28 saal ki larki wahan bhet kar rone lagi. Akhiri kyun ro rahi thi woh. yahi to chahti hai woh per kyun!

woh yunhi ghar me dhakil huwi yeh awaazein uske maa baap ki larai ke awaazein uske kaano me ghunj rahi thi. Uska wajood woh toh is duniya me marzi se nahi laya hi nahi gaya tha. Usey kabhi apne ghar me apno jesa mehsus na huwa, per maa toh maa hoti hai uski maa ne na chahte huwe usko apnaya usko pyar diya usko pala.

woh yaadon ke mele se wapis aye the jab usey wahan parey apne kuch purane khelone nazar aye, Woh aj yeh sab kyun yaad karri thi, kyun woh apne ap ko us andhere me wapis phenk rahi thi. Koi nahi janta tha, woh khud bhi.

"aray meri jaan chalo mere saath main tumhare liye kuch laya hun" kisi larke ki awaaz thi. woh 3 saal ki bachi ka haath thame usko kahin le ker ja raha tha.
"bhai aap mujhe taha le kel ja le ho ammi mela intejal kalli hai, mujhe chor dein" woh masoom jaan us larke se iltija karri thi per wahan koi ni tha jo uski sune, woh ro rahi thi woh cheekh rahi thi per kisi ne uski nahi suni.

Uska dum ghut raha tha. woh rona chah rahi thi per ansu the ke uske halk pe phas kar reh gaye. Kyun nahi ro pati thi woh. Uske maazi me bas andhera tha sirf andhera kese nikal payegi woh us andhere se bahar. Kuch nahi kar payi, nahi bacha payi woh khud ko, us daldal se us ghatiya shaqs ki nazron se woh toh sirf 3 saal ki bachi thi us waqt. woh darinda usko kha gaya, woh din ba din is bojh ke saath jee jee ker thak chuki thi. Usne har cheez ka faisla apne RAB per chor diya tha, woh duniya ke samne nahi ro pati thi woh apne khuda ke samne roti thi har roz roti thi.. Phir kyun nahi milta tha usko sakoon. uska dimagh usi uljhaan me tha jab uska paon zameen per pare ek dabe se takraya woh bhet gaye or us dabbe me pari har ik cheez ko gor se dekhne lagi jab uski nazar ek laal rang ke jore per pari thi woh jora jo uski marhoom khala ne uske liye bnaya tha. Shayad apni maa ke baad woh usi se sabse zayada mohabbat karti thi. Per usne toh jisse mohabbat ki woh us se cheen gaya. Usko toh kabhi kuch mukamal mila hi nahi. Khushiyan milti thi toh aadhori, Bachpan mila toh woh bhi cheen liya gaya, Pyaar mila toh woh bhi bat gaya, Jis kisi se mohabbat ki ya toh woh usey chor kar chala jata ya log cheen letey.
"Yeh Duniya itni zaalim kyun hai, woh cheekhi thi. Humesha woh hi kayoon yeh sansein bhi puri kyun. Yeh bhi kyun cheen lete." 

woh apne aap ko sambhal nahi pa rahi thi rone ki koshish karri thi jab us ke kaano me azaan ki awaaz ayei

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

woh apne aap ko sambhal nahi pa rahi thi rone ki koshish karri thi jab us ke kaano me azaan ki awaaz ayei. Usne wuzu kiya or apne Rab ke samne ja khari huwi. Woh ro rahi thi phirse ro rahi thi apne khuda ke samne girgirrah thi. Woh aaj akhiri bar in sab yaadon ko yaad karna chahti thi akhiri bar is andhere me aye the woh nayi aaghaaz karna chahti thi. Woh zaalimo ki saza toh dilana chahti thi per is duniya me nahi us duniya me Kyunke woh janti thi is duniya me ungliyaan us per uthe gi per Us duniya me uska RAB gunghagaron ko saza dega. Woh hi uske saath huwe har ek zulm ka hisaab le ga.

Woh phir khari huwe the or is bar muskurahat ke saath, Naye umeed ke saath, dobara zindagi ko jeenay ki umeed ke saath.

‪Honestly i didnt wanted to post it, per mere bachay itne supportive hai😭😂

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

‪Honestly i didnt wanted to post it, per mere bachay itne supportive hai😭😂. Well im not a writer and TBVH This happened all of a sudden. Do tell me how's it cause its my first attempt 😳 i hope you all liked it. ‬

SazaWhere stories live. Discover now