Book 2 chapter 33

Start from the beginning
                                    

Aur Aayat jis ka dimaag apni hi dunya main tha Mateen ke is tarhaan achaanak uthnay se ek dum se badak kar peechhay hat gayi. Lekin is se pehlay ke Aayat kuchh keh paati Mateen ne usay haath se pakar kar bathroom ke darwaazay se bahar khara kar diya .

" jis din mujhay muaaf karnay ke baad tum humaray rishtay ko dil se qabool kar lo gi..us din main tumharaay farz qabool karoon ga...aaj nahien...jub ye farz tumhain itni takleef de rahay hain... " Mateen ka lehja narm tha , lekin uski aankhon se saaf zaahir tha ke wo kis aziyat main mubtlaa ho kar ye sub keh raha hai.

Aayat khamoshi aur taajub se usay dekhti reh gayi. doosray hi lumhay Mateen ne bathroom ka darwaaza bund kar diya . Aur darwaazay ki awaaz ke saath hi Aayat ki aankhon se darya beh niklaa tha. Usay samajh nahien aa raha tha ke wo kya karay...usay mehsoos ho raha tha jesay faraar ke sub raastay uskay liye bund ho gaye hon. Naa aagay barh paa rahi hai aur naa hi peechhay hat sakti hai.

Ek taraf baaqi sub hain jo us se ye umeed baandhay bethay hain ke wo apnay farz achhi tarhaan nibhaaye gi. Wo bachi nahien thi jo Fehnida beghum ki aankhon main chhupi jhijhak dekh na sakay jub unhon ne Mateen ki zimmaydaari usay sonpi thi. Wo jaanti thi ke Fehmida beghum Mateen aur uski shadi ki asal haqeeqat se thori bohat waaqif hain . aur kahien na kahien is sub ki zimmay daar wo Aayat ko maanti hain..wo samajhti hain ke Aayat apnay maazi main itni phans chuki hai ke Mateen ko wo khushiaan nahien de paa rahi jo Mateen ka haq hain. Aur har baar jub wo usay aur Mateen ko saath main dwkhtien , us waqt unki aankhon main lehraatay pachhtaaway ke saayon ko Aayat kayi baar dekh chuki thi. Be gunaah honay ke bawajood wo har baar unkay saamnay khud ko mujrim samajhti.

Uski apni Ammi bhi usay ek baar is baat par daant chuki thien ke wo Mateen ka sahi se khayaal nahi rakhti . Sub ko lagta hai ke Aayat Mateen ke saath bilkul achha bartaao nahien karti. Lekin wo sub ko kya bataaye ke uskay is bartaao ki asal wajaah kya hai...?

Naa jaanay kab tak wo is sub main yunhi jalti karhti rahay gi.

Din isi tarhaan guzartay gaye lekin Aayat ki zindagi jesay abhi bhi wahien ruki thi. Mateen is ek mahinay main kaafi had tak behtar ho chuka tha. Is pichhlay mahinay main Aayat ne apni poori koshish ki ke wo Mateen ki har zaroorat ka achhay se khayaal rakhay. Lekin us raat ke baad Se un dono main koyi khaas baat na huwi. Lekin Aayat usi tarhaan uski baaqi zarooraton ka khayaal rakhti rahi. Haftay main do baar uskay saath dressing ke liye hospital jaati , aur ghar aakar uskay liye alag se kuchh na kuchh banaati. In sub cheezon main kisi ko shikaayat ka moqa nahien dena chaahti thi.

Rozaana Zoyan  Aayat ke mutalliq Mateen se mukhtalif sawaal karta ke jin se usay kuchh pata chalay , lekin har baar Mateen ka jawaab sun kar usay sirf maayoosi hoti. Aur aakhir main usnay ne haar maan kar apnay sawaalon ko rok diya. Lekin Zarish Zoyan se mutaffiq nahien thi , wo ab bhi yehi maanti thi ke uski Aapi main waaza tabdeeli aayi hai, aur usay poora yaqeen hai ke wo din door nahien jub Mateen bhai aur Aayat ki zindagi main bhi khushiyaan qadam rakhain gi. Un donon ke saath  betha Mateen sirf unhain khamosh dekhta hi rehta.

Wo ab bhi kisi khush fehmi ko paana nahien chaahta tha is liye usnay khamosh reh kar Aayat ka usay muaaf karnay ka intzaar karna tha. Lekin kehtay hain na ke kehnay se zyada karna mushkil hota hai ' wesay hi Mateen ka intzaar guzartay har din ke saath usay be chaini aur be sukooni hi bakhsh raha tha.

uska zakham kaafi had tak bhar chuka tha. Is liye usnay Murad sahab se office aanay ki ijaazat maangi ke wo ab ghar main beth beth ke bezaar ho gaya hai , Lekin Murad sahab ne usay saaf inkaar kar diya ke jub tak wo bilkul so feesad theek nahien ho jaata tab tak wo usay office main qadam bhi nahien rakhnay dengay. Jisay sun kar Mateen to udaas huwa hi tha , lekin us se zyada shakal Zoyan ki kharaab ho gayi . Ke usay Murad sahab ka kharaab mood kucch aur waqt bardaasht karna paray ga.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now