Talk For Love

75 0 0
                                    

Ek ladka aage aate hue.  Hey aman kya hua tune mujhe yaha milne bulaya .?

Aman utte hue are kucch nahi mujhe tujhse kucch bat karni thi

Ladka : ha bol na .

Aman uske hath me chaku dete hue. 

Ladka a kya hai ?

A chaku hai.

Ladka kyu ?

Kyuki mai tujhse jo bat bolne wala hu tujhe bura lagega . Tujhe gussa lagega tu mujhe marna chahega . To a chaku hai. Mere pet me maar dena..

Ladka : are yar aisa Kucch nahi hoga. Bol tu..

Aman : mai teri bahan se pyar karta hu sadi karna chahta hu uske sath..

Ladka : kya ?

Aman : o bhi mujhse pyar karti hai .

Ladka :- gusse se ushko dekhte hue .

Aman: i know tujhe gussa araha hai .par mai usse pyar karta hu .

Ladka : apne hath ka chaku ghuma leta hai or aman ke pet me mar deta hai .

Aman ki ankhe badi ho jati hai or bolti band ho jati hai.

Wah niche apne pet ki taraf dekhne lagta hai.

Ladka use chaku mara hota hai par chaku pet me nahi ghusa nahi hota hai ..

Ladka bhi shocked ho jata hai.

Tabhi aman jor jor se hasne lagta hai . Or apne kapde ke piche se tawa nikalta hai . Or bolta hai mai kya tujhe gadha dikhta hu jo. Khud marne tere shamne khada ho jaunga.

Fir serious hokar bolta hai . Mai to sirf dekhna chahta tha. Ki meri bat sunkar tu kya karta hai. ? Agar maine tawa nahi rakha hota to tu mujhe mar hi deta.

Or ha teri bahan se to mai pyar karta hu sadi bhi karna chahta hu.

Ladka :- aman apni aukat me rah . Teri aukat nahi hai usse sadi karne ka.

Aman are ha mai to bhul gaya tha. Tumhari aukat mujhse badi hai .

Accha tujhe pata hai boyfriend kya hota hai ? Or ladkiya boyfriend kyu banati hai ?

Ladka use dekhta rahta hai.

Jab ladki ko koi taklif hoti hai. Dard hota hai. Uska man tuta hota hai ya o himmat harti hai to use kisika sahara chahiye hota hai jo na use uske ghar wale de shakte hai na koi or uski o bat sunta hai uska boyfriend.

Jab ladki akele raste me jati hai or kucch log use chodte hai to uska sath deta hai uska boyfriend.

Jab 1 ladka baar baar use propose karta hai. Pareshan karta hai to use bachata hai uska boyfriend.

Har pal har ham dur rahkar bhi pass hone ka ahsas dilata hai uska boyfriend. Jo ki mai hu teri bahan ka.

     Jab 1 bahan apne bhai ko rakhi bandhti hai to ushka matlab tum sirf ushki rakhsha karo a nahi hota.  Tum uski khusi ka khyal rakho uske pasand ka khyal karo .

    Or tu to Mujhe acchi tarah janta bhi hai. Tujhe to khus hona chahiye na ki teri bahan Mujhse sadi karke bhi hardum tum logo se judi rahegi .

    Ladka : ha tujhe acchi tarah janta hu ladkiyo ki jism se khelta hai tu ..

Aman ; ha khelta hu. Par har kisike bhai se uski bahan ka sath mangne nahi jata. Or tu konsa doodh ka dhula hai. Manisha ke bare sab janta hu mai . Or uske pahle kiran uske pahle sonam . Or kitno ka naam batau.  ?

   Mujhe laga tha yah sunkar tu bolega ha kar dega but nahi sale tum sab bhai apni bahano ke liye sabse badi mushibat ho . Jo bhai apne bahan ko khus nahi dekhna chahta o bhai kabhi  Kucch kya karega.

     Chore chalta hu . Tujhe pata hai. Maine usse picha kya choos karegi agar tujhe bhai or mujhme se choos karna hua tujhe pata hai usne kya kaha bhai . Kyuki mai apne bhaiyo se bahut pyar karti hu.

Usne kaha. Hum tab tak sadi nahi karenge jab tak mera parivar khusi khusi is riste ke liye maan nahi jata. 

     Mujhe laga tu sath dega to mai sayad himmat bana pau.  Par chord mai jata hai . Thanks mere bulane par tu yaha tak aaya .

Aman jane lagta hai .

Tabhi ladka piche de awaj deta hai.

Oye ruk.

Aman ruk jata hai.

Sale agar meri bahan ko kabhi taklif diya to agli baar pet me nahi sine me marunga.. or dono gale mil jate hai ..

Ladka mai to maan gaya par papa ko kaise manayega .

O idea hai mere pass.

Cut......

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 24, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Talk For LoveWhere stories live. Discover now