Nafrat

11 0 0
                                    

Kyu naa thi Meri bhi kahaani aam Oro ki tarah,
Balaye chapi thi qismat me kaagaz pr mohro ki tarah,
Ek ek aansu se, ishq ko Dil ki zameen par hissa dila Diya
Kya khaas tha Meri kahaani me Jo sab ne ise kissa bana diya
Pyaar ko taraaju par tol Maine Kya mol laga Diya,
Khuli aankho se tujhe dekh ek sapna saja Diya
Aaj naraazagi kuch khud se hain Jo tujhe khush kabhi na Kar saka
Are usi Khushi ke liye to jiya tha ab Kya khaak daga Kar Chala
Nazre na Mila paaya to naa sahi,Dil tujhse joda tha
yadi kasame m bhoola ,to waada tune bhi toda tha
Ab ek ek ki gayi galti ka asar tujhe khud me mehsoos hoga
Meri nafrat dikhegi or pyar kahi mehfoos hoga
Ek karz Kar de or, sun le Meri bhi ye baat
Dhoondhne par bhi tu na mila chal ja kuch is qdar chura Kar haath!

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 04, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

नाटकWhere stories live. Discover now