Now shravan was feeling her pain...he was feeling those tears in her eyes which she was hiding that day...he was regretting for his every single word which he spoke her that day...he was unable to believe that he himself said these hurtful words to his sumo...

Sumo said "mai ye sab is DVD me isliye keh rahi hun kyoki aaj bhi aap sabke ehsaan mujh par hai...or is naate mai aap sab ki izzat bhi karti hun or pyaar bhi or aap sab ke samne ye sab bolte hue shayad kamzor pad jaati yaa apne mnn ki baat keh he nahi paati...par kehna zaroori tha kyoki dusre ke bojh tale dabi anaath he Sahi par insaan mai bhi hun or hurt mai bhi hoti hun....par mai apna dard batati nahi kyoki koi apna hai nahi naa Jo samajh sake....sabko khushi dene ki koshish karti rahi ki shayad iske sahare he Sahi ehsaano ka bojh kam kar pau....par shayad is sab me apni khushi ki parwaah he nahi ki or isliye log hurt karte gaye...

Nanu aap humesha mujhe pyaar se apni bacchi kaha karte the...aap humesha meri shadi kisi acchi jagah karana chahte the aap kehte the mai aapki zimmedari hun or aapki chinta apni zimmedari poori karne ke baad he khatam hogi...to kya nanu aap mujhse pyaar nahi karte the?? Kyoki jaha pyaar ho waha zimmedari shabd ki koi jagah he nahi...apni zimmedari poori karne ki chaah me apne meri khushiyo par dhyaan he nahi diya....aap meri shadi isliye nahi karana chahte the ki mujhe zindgi acche se jeene ke liye ek accha jeevansathi mile ek accha dost mile...Jo mujhe pyaar de meri care kare... aap meri shadi isliye karana chahte the kyoki aap apni zimmedari poori karna chahte the...aapne aditya se shadi ke liye mujh par dabaw dala...or mai ne aapki jaan bachane ke liye haan kar Di kyoki aapse pyaar karti hun aapko khona nahi chahti thi...par aapne mujhse jabardasti emotional blackmail karke haan karai kyoki aap apni zimmedari se chutkara paana chahte the...nirmala aunty ne ek bar kaha ki aditya ko mai pasand hun or shayad mujhe bhi aditya pasand hai...par aapne ek bar bhi ye nahi Janna chaha ki Mai Kya chaahti hun....shadi ke samay bhi aapko meri udaasi nahi dikhi...kaise dikhti apni zimmedari poori hone ki khushi Jo itni thi aapko....aaj bhi itna sab kuch ho gya tab bhi aap purani baato ko le kar baith gaye ki pehli shadi toot gai...kya aapko ek pal ke liye bhi aisa nahi laga ki us insaan se meri shadi ho jaati to kya hota mera???...accha hua Jo shadi ke pehle such samne aa gya or meri zindgi barbaad hone se Bach gai...nahi laga naa kyoki aapki zimmedari phir aapke sir aa gai thi...or aaj jab shravan ne nikala tab bhi aapne aisa he socha...kya such me nanu mai ne aap logo ke liye kuch nahi kiya...kya such me mai aapki Zara bhi apni nahi..kya such me aapne mujhse kabhi pyaar nahi kiya???"

Voice Of Her SoulWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu