chapter 5

896 29 4
                                    

Asaalam o alaikum readers!
How are you all ?
So I am back with an update!
Guys I am so humbled that you guys are loving my work!
Love you all! ❤
_______________________________________

(At home)

Gaite foran saim ke paas chali gayee..
Jabkey Asfandyar apnay kamray mein, zubiya ka cell abhi tak uss ke paas tha..

Zubiya living room mein bethee thi,
Ussi waqt aunty ayeein..
Kia hua beta? Kisi cheez ki zaroorat ha? Mera betay ne 4 din hospital mein tumhare wajah se guzare aor ab wo ghar aya ha tou dobara aa gayee ho...

Aunty mujhe maaf kar dain.. Mein halat ke haathoon majboor thi aor ab bhi hoon, par aunty mera iss duniya mein koi bhi nahi ha..
Bass aik bhai ke jo shayad mujhay dhoond kar, ghar se nikalney ke baad , ab iss dunya se nikalna chahta
Wo ro rahi thi bohot zor se, tabhi aunty ne uss ko gale laga liya..
Wo itnay zor se ro rahi thi , ke asfandyar ko uss ke ronay ki awaz sunai de rahi thi, jo uss se bardasht nahin ho rahi thi..

Tabhi darwaze par bell hoi thi, Asfandyar kamray se nikla tha..
Aunty ne ussay jaane se mana kia tha , par phir bhi woh gaya tha..

Wo kaafi dair ke (probably after 20 mins) wo wapis aya tha, zubiya ne jaise he daikha tha, wo uth khari hoi thi...

Zubiya kisi shock mein aanay ki zaroorat nahin ha, tumhara apna bhai ha,Jo tum se maafi mangna chahta ha, Mere khatir , Mere khatir iss se baat karlo...please...!!
Aap yahan beth kar baat kar saktay hain..

(Now zubiya & her brother were sitting alone in one room)
Zubiya mujhay maaf kardo..
Zubiya shayad jo mein ne kiya ha uss ke baad mein maafi me qabil tou nahin hoon ....
Par iltijah kar raha hoon..
Mein bohut khush hua hoon dekh kar tumhare kaam ko, wohan hospital mein sab tumhare itni izzat kartay hain...
Mujhay khushi huiee ke aap ko khushi hoi, zahir hai jab mujhay ghar se nikaala gaya tha tou mien iss tarah majborron ki tarah footpath pe pari tou nahin reh sakti thi na..
Aor bhai aap KO mujh se maafi mangne ki zaroorat nahin ha, mein aap ko kaafi pehlay maaf kar chuki hoon...uss ki aankhon mein aansu thay...

Zubiya kia tum Dr. Asfandyar KO pasand karti ho?

Uss se ye  sawal pehlay kisi ne nahin poocha tha aor wo chahti thi ke koi poochay...
Taakay wo jawab de sake..

" Haan "

Zubiya mein ne inn 20 minute mein jo Dr asfandyar se baat ki ha , mujhay wo duniya ka sab se acha insaan laga ha...

Koi shaq nahin ha bhai, pata ha uss shakhs ne mera itna khayal rakha ha, jo shayad aap logon ne bhi nahin rakha...

Zubiya mein asfandyar se baat kar chuka hoon, mein tumhare liye aor tou kuch nahin kar saka par mujhay itni ijazat do ke mein tumhain asfandyar ke saath rukhsat kar sakoon.......

Wo  hansi thi..
guzray hoay  2 saalon mein wo pehle baar iss tarah hansi thi....

Journey Of Trust ✔Where stories live. Discover now