Part 21

408 30 3
                                    

"Ae sun zara mujey ye bta

Tujey Aaj ye hua hai kya?

Meri minnate'n merey wo wastey

Un ka b nhi'n hua asar zara?

Aisey Taney Tashney de ke b

Kya tera nh hai abi tak dil bhra?"

Mahzaib ne jaisey hi mobile uthaya us ki nigah Jabran ke  message per padi

Aik bharpoor si muskrahut Mahzaib ke labo'n per aa gai

Ab is swal ka jwab to dena banta hi tha to Mahzaib ne likha

"Me ne sun lia chalo Tu bta

Mujey Aaj aisa hua hai kya?

konsi minnate'n kya wastey?

Tu ne ye sab, kia hai kya?

Terey in be tukey se dramo'n se

Mujey ho sakta hai asar kya?

Rahi bat merey is dil ki jo

Wo b kan khol ke sun zara

Tu wo kar jo tera dil kahey

Mujey tujh se saro kar kya?"

Ye to Sara sar cheating hai aik skhayut b khud karo aur agley bandey ko yaktarfa faisla b suna do

Ehtjaj to banta hi tha lekin ye wo wala Ehtjaj nh ke wo b GT Road per nikal jae

Us ne to Kuch is andaz se Ehtjaj kia

"Tu ne ye kha Mujey saro kar kya?

Teri bat se mujey hai dukh hua

Meri har sans hai terey nam ki

Kya meri is bat per b Tujey shak hua

Tuney Khudgarz kha me chup rha

Teri badgumanio'n ko me ne saha

Tujey lakh sfaiya'n di'n magar

Tu ne phir b Aakhir wo sab kha

Me'n wo kru'n jo mera dil kahey

Mujey ho sakta hai tujh se saro kar kya?

Ye sun le ye aaj jan le mera dil tujh se ye khey

Terey hath pe hai khinchi lakeer merey nam ki

Rhi jo bat ke tujh se mera saro kar kya

Tu ab mujh ko lgey dori merey sans ki

Hai taqdeer ka faisla ab tu b sun le

Ke Mahzaib bney gi dulhan Jabran ki "

Jabran ke jo dil me aaya us ne likh dia us ko saro kar wali bat buht zyada hi lag gai thi

Dosri tarf jab Mahzaib ne PML N ke wazero'n ki press conferences ki tarha'n aik ke bad aik aatey hue shyro'n ko dekha to us ke dmagh ne to kha ke tension leney ki zaroorat nh hai chalo entertainment hi sahi  lekin dil dar gya aur us ne kha ke har bar damagh ki nh sunni chahye kabi kabi dil ki bat b sunni chahye warna ye dimagh b Nawaz Sharif ke Mashiro'n ki tarha'n game se out karwa dega

"Sorry mera wo matlab nh tha" Aakhir Mahzaib ne sfai di us ko b ab andaza ho rha tha ke Kuch zyada hi us ne keh dia tha

"Jo tum ne kehna tha wo keh dia aur me ne sab padh b lia ab jo Kuch kehna sunna hai wo me 10 din bad tum se kahu'n ga wo b aankho'n me aankhe'n dal kar phir me poochu'n ga "Mujey Sarokar kya?" Tab tak ke lye Allah Nigehban "
Ye likh kar Jabran ne message bheja dia

Mahzaib ne jab message pdha to us ka dil buht tezi se dhadkney lga pta nh ab Jabran kya karney wala hai

Is se pehley ke wo Jabran ko phir se message karti Mano ne bhook bhook ki rut lga di

"Aapi jaldi se Kuch khaney ko dijye mera to bhook ke marey bura hal ho rha hai subha se Kuch nh khaya" Mano ki shkal se hi sab pta chal rha tha

"Aapi jaldi se isey Kuch khaney ko dijye warna ye mujey kat khaney ko dodhey gi"  Aadi  ne usey chaidha

Aadi ki is bat per to jaisey Mano ko aag hi lag gai wo pehley hi us se khar kae bhethi thi

"Kya kaha me kat khaney ko dodhu'n gi?kya apni aadte'n tumhe'n dosro'n me dikhti hai'n?"

"Acha bus ab tum dono'n phir se na Shuru na ho Jan kabi to aram se rha karo" Mahzaib waqai tang aa gai thi aik to Jabran ke wo zoomani  alfaz aur ooper se ye chik chik

Abi Mahzaib khaney pkaney ka intzam kar hi Rahi thi to Mishal b wha'n aa gai

"Aapi eid Mubarak wao Aap aa kitni pyari lag Rahi hai'n"
Mishal ne Mahzaib ke gley miltey hue kha

"Khair Mubarak Aap b buht pyari lag rhi ho akeli aai ho? Mamu'n Mumani nh aae" Mahzaib neuski tareef usko wapis kartey hue poocha

"Aapi wo sham ko aae'n ge aur is bar wo khali hath nh jae'n gi balkey Aap ko b apni bahu bna le jae gi" Mishal ne to jaisey Mahzaib ke asab per bomb gira dia tha

Pichley kai sal se Mumani ka buht zor tha lekin har martba koi na koi cheez aadey aa jati thi lekin is martba pta nh q Mahzaib ka dil buri tarha se ghabra rha tha bar bar ye bat dil me aa rhi thi ke.
.
.
.
.
.
.
.

Takrar se Ikrar TakWhere stories live. Discover now