Part 18

414 39 3
                                    

Is she pehley ke WO Kuch aisa kehta Jo Mano ke mzaj ke khilaf hota aur WO bilkul PML N ke wazero'n ke se andaz me is ke peechey hath dho kar padh jati  us ne wha'n se khisakney me hi aafiyat jani

Jesey hi WO wha'n se nikla samney se Jabran khan us se takratey takratey bachey

"Yar Subha se kha'n gum ho aur aisi kya khumari chai hai ke aaney Janey walo'n se takra they ho?" Jabran ne usey chedhtey hue kha

"Me ne kha'n madhosh hona hai balkey meri to Jo todha buht jwani ka khumar chadh Rha tha wo b ab utar gya hai" Aadi ne apney sir ke bal jhadhtey hue kha

"Yar har dafa ye hadsey tumharey hi sath q hotey hai'n? Ye kya halut bna rakhi hai"? Jabran ne hanstey hue poocha

"Jnab jha'n aapki wo ladli chudail jae gi hadsey to hongey hi ab Kuch dair pehley dadi Jan ne merey sir per aasman gira dia tha aur theek usi waqt aap sab ki ladli ne merey pao'n ke neechey se zameen khench li" Aadi to jesey aik dam se phat hi pda tha

"O bhai Zara sans b lo q Aaisha Gulalai ban gae ho ke  ilzam per ilzam lgae hi ja rhey ho me tmhara bhai hu'n koi Meer Shakeel nh ke tumharey lye Geo News ki transmission chla du'n" Jabran ne uska mazaq udatey hue kha

"Na me Aaisha Gulalai hu'n ke India ke dramo'n ki trha meri yadasht chali gai thi to me 4 sal tak bekhabar Rha aur achank meri yadasht wapis aa gai to me kisi per aisey ilzam lgao'n aur Allah na krey ke aap Meer Shakeel jesey ho'n aur merey pas in alzamat ka mukammal saboot hai" Aadi ne bat khtam kartey hue kha

"Kasam se Yar tumhari is bat ki aur Shahid khaqan abbasi ki as PM Pakistan ki Janey wali taqreer ki zrra brabr b smajh nh aai" Jabran ne sir khujatey hue kha

"Me ne aisi kya bat keh di Jo aap ko smajh nh aai?" Aadi ko b ab Kuch smajh nh aa Rha tha

"Yar  me tujh se ye poochney aaya tha ke Baba Jan aur Dadi Jan ki kya bat ho rhi hai'n aur tum kabi aasman gira rhey ho aur kabi zameen khiska rhey ho" Jabran ne us ke sir per chpat lgatey hue kha

"Me b to wohi bta rha hu'n ke aap ki aapi ke sath shadi ke lye manzoori ho gai hai'n Lekin...." Aadi ne bat adhuri chodh di

"Aik to jab tum jasoso'n ki tarha'n ye suspense create kartey ho to mera dil karta hai ke aik rakh ke tumharey kan ke neechey bjao'n seedi tarha'n bat nh bta saktey" Jabran ko uskey is tarha'n bat chodhney per buht ghussa aaya tha

"Wah g wah bakra Jan se gya lekin khaney waley ko maza nh aaya" Aadi ne phir aik be sar o pa chodi

"O merey khuda me aaj pagal ho jao'n Aadi ab ye bakra kha'n se aagya? Me tm se swal mashriq ka karta hu'n aur tm jwab maghrib ja detey ho" Jabran ka bus nh chal rha tha warna wo Aadi ki halut khrab kardeta

"Ab to aap mashriq ka hi pooche'n ge Aapi Jo us tarf rehti hai'n" Aadi ne Jabran ko tang kartey hue kha

"Ruk ab tum nh bacho ge aik to subha se pta nh konsey chakkar chla rhey ho aur poochney per ulti seedi chodh rhey ho" Jabran ne Aadi ko peetney ke lye koi cheez dhondhtey hue kha

"Bhai dekhye me aap ki honey wali dulhan ka iklota Dewur hu'n me aap ki shikayut aapi se kru'n ga" Aadi ne bhagtey hue Jabran ko dhamki di

Jabran ne bhagtey hue Aadi ko thodi hi door ja kar pkad lia aur uski gurden apney bghal me dba li

"Ab bta kisey shikayut karey ga?" Jabran ne dbao bhadhatey hue poocha

"Kisi ko nh lgao'n ga khuda ke lye gurden chodh de'n warna aap ke pyarey pyarey bachey apney Masoom se chucha se mehroom ho jae'n ge" Aadi b kha'n baz aaney wala tha

"Acha ab zyada bate'n na bna seedi tarha'n bta Khan begum ke kamrey me kya ho rha hai aur agar ab koi maskhari ki to merey pyarey pyarey bachey wakai apney Shaitan chucha se mehroom ho jae'n ge" Jabran usey bakhshney ke lye bilkul tyar nh tha

"Bhai aap ko aap ke pyarey pyarey bacho'n ki Amma ka wasta mujey chodh de'n ab koi shrart nh kru'n ga" Aadi ne aakhri harba aazmaya

Aakhir kar uski gurden choot hi gai ab pta nh ye bacho'n ki Amma ka kmal tha ya Jabran ko Aadi per reham aa gya tha

"Ab bta baat kha'n tak puhnchi?"Jabran ne poocha

"Wah kya bat keh di bhai aap ne wah wo kya koob kha hai parveen shakir ne

Ku ba ku phail gai baat shna sai ki

Baat to such hai per bat hai ruswai ki

Adab arz hai" Aadi gurden choottey hi phir form me aa gya

" aakhri hud tak puhanch gai bat zuban ki lambai ki

Bus aik ksar rehti hai Teri jooto'n se dhulai ki "
Jabran ne joota utartey hue jwab dia

"Wah g wah kya bat hai bhai dekhye aap b shayr ho gae hai'n" jootey se bachney ka  khushamud hi wahid zarya thi

"Zyada bate'n na bnao seedi tarha'n baat per aao" Jabran ab Kuch b aur sunney ke mood me nh tha

"Wo bhai aap ki bat to confirm ho gai hai lekin Dadi Jan ne sath meri shadi ki b shirt rakh di hai wo b eid ke for an bad" Aadi ab waqai hi preshan nazar aa rha tha

Jabran ko buht ghussa aaya ke itni si bat ke lye usney usey itna tang kia aur ab kaisey mazaq kar rha hai

"Buht bhdda mazaq hai ye Aadi bhla ye koi tmasha thodi hai ke itni jaldi ye sab ho jae?" Jabran ko buht ghussa aa rha tha

Takrar se Ikrar TakWo Geschichten leben. Entdecke jetzt