She chuckled "FYI Romance ke bina bhi insan zinda reh sakta hai" she winked.

"Woh tum jaise aliens rehte honge. Mai nahi reh sakta. Isliye ab time waste mat karo and give me a kiss" he pulled her closer and closed his eyes in anticipation.

"Hmmmm....maanoge nahi aap" she sighed and leaned to kiss him ON HIS CHEEK.

"Ab hogaya. Jaane do" she said pushing him away.

"Cheee... Ye kya tha? Ye pados ke bachhewali type kiss nahi chahye mujhe" he cried.

"Pados ke bachhewali kiss? Woh kya hota hai bhala?" She wondered.

"Woh jo tum karti ho har padosi ke bachhe ko dekh kar 'Aww sho cute! Come here baby....ummuah'" he imitated her actions.

"Kuch bhi" she laughed aloud.

"Ab bas bhi karo yaar! Aur kitna tadpaaogi. Come on baby, give me a kiss" he leaned to meet her lips.

Jo teri khatir tadpe
Pehle se hi
Kya usey tadpana

She placed her palm in between blocking his path.

Urghhhh....He was annoyed. "Yahi..... yahi harkaton ki wajah se mai tumhe Zaalima bulata hoon"

O Zaalima, O Zaalima

"Aur mai kya karun Raman? Aap ki shuruat hamesha 'ek kiss' se hoti hai. Lekin phir aap behek jaate ho aur phir....." she flushed unable to complete the sentence.

"Mai toh usi din behek gaya tha jab tumhe pehli baar dekha tha. Aur ab har us pal behekta hoon jab tum shadi ke itnd saalon baad bhi nayi naveli dulhan ki tarah sharmaati ho" he lifted her chin with his right index finger.

Jo tere ishq mein behka
Pehle se hi
Kya usey behkana

"Aap na...." she blushed.

"Mai kya?" He raised his brows.

"Kuch nahi" she bit her lips. He winked.

Before he could plan his next move, she quickly went on her toes pecked his lips and fled from the washroom.

"Hasrat kuch is tarah se poori kargaye woh hamari
Ke aur zyada ki chahat dil me paida hogayi" he exclaimed placing his palm above his heart "Haaye meri Zaalima! Aur kitna zulm dhayegi" he exclaimed.

O Zaalima, O Zaalima

When she stepped out of the washroom, she found Mihika's daughter sitting on her bed lost in deep thought.

"Arey Avni! Aap yahan akele kyun baithe ho?" She asked sitting beside her.

"IshiMaa bas ek aap hi ho jo mere dard ko samajhti ho. Baki saare toh matlabi log hain" Avni spoke like a mature person.

Ishita controlled her laugh "Baap re! Is nanhi si jaan pe dukh ka itna bada bojh? So unfair" Ishita said.

"Haan zara dekho toh! Log samajhte hi nahi hain. Ab aap hi batao IshiMaa ye vacations hote kyun hain?" She asked.

"Taaki hum relax karein, ghoome phirein, khelein koodein aur....." Ishita was thinking of reasons when Avni interrupted her saying "bas bas....yahi sunna tha mujhe"

O Zaalima! (IshRa OS) #Completed Where stories live. Discover now