Fir dono ne haath dhoye or table pe aa gaye
" teri bibi tujhse bahut khus hogi" ritwik ne bread muh main thuste hue kaha
"Dheere kha dheere warna wo khusi tu dekh nahe payega" ritwik ne firse masti karte hue kaha.
Aachanak se uske chehre ka rang ud gaya.
"Abe teri"
Ritwik- "Kya hua tu ruk kyu gaya kha na "
Sandeep-" are nahe yaar meri copies or pen to maine dale he nahe bag main or na jane kaha rakha hua hai" usne jhatke se table choda
"Baitho " ritwik ne uska hath pakadte hue kaha .
"Tune kar diya hai na" sandeep ne baithte hue ritwik ki aankhon main jhanka lekin ritwik ne koi jabab nahe diya.
"Bol na tune kar diya na" sandeep ne fir pucha.
"Haan kar diya " ritwik muskuraya
"Per tune kiya kab " sandeep ne pucha
"Rat main sone se pehle" ritwik ne apna breakfast finish karte hue kaha.
"Are waah saandh mere saath rehkar to tu samajhdar ho gaya"
Sandeep ne plates uthate hue kaha.
"Chal late ho jayenge " ritwik ne dkno ke bag utjate hue kaha.
"Pehele plates dho lun fir" sandeep ne kaha.
"Abe perfect man aaker karenge" chal abhe.
Or dono bahar nikal jate hain sandeep bahar se gate lock karta hai.
...............................................
Ritwik or sandeep dono childhood friend hain . ek sath khele pale bade hue
Dono ne intermidiate ki exam paas ki or fir usi college main admission karwa liya .karan ritwik ke number kaam aaye the. Sandeep ka kafi achee namber the lekin wo kahe or nahe ja sakta tha kyunki usko padhne ke liye jo bhe paise milte the wo ritwik ke ghar se milte the
Ya yun kahe ritwik se milte the per usne kabhe iska ehsaas na to sandeep ko hone or na he apne ghar per hone diya. Jo bhe milta tha dono milkar gujara karte the.
Per ye baat dono main se kisi ke ghar walo ko nahe pata thi.
Kuch jhut the or kuch batten jo aage aage kahani ke sath chalti jayengi.
............................................................
Keep reading and voting share your valuable opinions and comments.

Deewaneyजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें