Rohit's Warning

1.3K 173 30
                                    

The reception went well.

Manish and swarna had attended the reception but ignored ruhi and gave their blessings to rohit and abhira.

Amidst the guests, many of them were talking about armaan and abhira which made abhira upset but rohit consoled her.

Today she has to go for pagphera to the goenka house,

Everyone were sat for breakfast, abhira and ruhi served everyone.

vidya - abhira jaane ki taiyari ho gayi beta sab pack kar liya na kuch reh toh nahi gaya.

abhira - nahi maa.

rohit - maa aap toh aise keh rahe ho jaise hafto ke liye jaa rahi hai shaam ko wapas aa jayegi.

manisha - haa pagphera toh ek din ka hi hota hai par manish ji ne humse request ki thi ki abhira waha 3 din reh sake toh maa sa ne haa kar di.

rohit - kya tin din, I mean 3 din konsa pagphera hota hai aur mujhe toh kisi ne bataya bhi nahi abhira tumne bhi nahi bataya?

everyone giggled.

kiara - kyu bhaiya aap bhabhi ke bina ek din bhi nahi reh sakte.

abhira looked down blushingly.

rohit - chup kar.

vidya - baad mein abhira bhi kaam mein busy ho jayegi phir unhe waqt nahi milega isiliye aaj office jaane se pehle abhira ko uske ghar chod dena.

he nodded.

In the room,

rohit was reading his file but his whole concentration was on abhira who was packing her stuff.

abhira looked at him and he quickly looked down.

abhira - rohit tum naraz ho?

he smirked.

rohit - hu toh?

abhira - par kyu maine tumhe bataya tha main pagphera ke liye jaa rahi hu.

she pouted.

he kept the file and pulled her into his arms wrapping his hand around her waist shocking her, she shivered at his touch.

rohit - lekin yeh nahi bataya tha ki tum 3 dino ke liye jaa rahi hu.

abhira - mujhe bhi aaj subah hi maa se pata chala.

rohit - okay fine then toh mat jao shaam ko lene aa jaunga tumhe.

he was teasing her, he was controlling his laughter seeing her face.

abhira - lekin b nanu chahte hai na toh main kaise mana karu.

rohit - toh unse main baat kar lunga its okay.

she looked down.

he laughed seeing her face, she understood he is teasing her.

abhira - rohit..!!!

rohit - sorry I was just teasing you, I know ek ladki ke liye yeh sab kitna difficult hota hai achanak apna ghar chod kar kisi aur ghar mein jaana, aur waha ek pal mein sabko apna bana lena, go and enjoy.

she smiled.

rohit - but haa,

he pulled her closer making her heartbeats faster,

rohit - 3 din se zyada nahi please jaldi aa jaana 2 dino mein aadat ho gayi hai aapki vakil sahiba ab toh neend bhi nahi aati jab tak aap na ho.

he said tenderly making her blush like hell.

he kissed her forehead. she blushed hard and hugged him tightly.

Ruhi was passing through their room when she was them in that position and clenched her fist.

ruhi(mind) - yeh ladki itni lucky kaise ho jaati hai harr baar, mujhe toh laga tha yeh log ek dusre se baat tak nahi karte honge thik se lekin yaha toh romance chal raha hai khule aam, aur ek armaan jisse kaam aur apne pariwar ke alawa kuch aur nahi sujta, b nanu nani bhi mujhse naraz hai, sab iss abhira ki wajah se pata nahi kab peecha chutega isse.

rohit saw ruhi, she quickly left from there.

rohit - accha tum packing karo lo main aata hu.

she nodded.

he went out.

ruhi was going to room,

"ruhi"

she turned and saw rohit.

ruhi - kya hua jijaji.

she taunted him, he clenched his fist.

rohit - kuch baat karni hai aapse saali sahiba kar sakte hai.

she rolled her eyes.

rohit - keep your fucking attitude to yourself, yeh attitude mujhe mat dikhana ruhi warna 2 minute nahi lagenge mujhe iss attitude ko todne mein.

she gulped listening him.

rohit - agar tumhe lagta hai ki armaan poddar ki biwi bann gayi toh sab par apna raub jama sakti ho toh yeh sapna dekhna chod do, armaan bhaiya iss ghar ke bade bete hai isiliye unhe itni respect nahi di jaati thi woh respect unhone kamai thi lekin tumahri wajah se aaj sab unse bhi naraz hai, khair yeh saari baatein main tumhe samjha kar apna time waste kar raha hu, main bass ek baat kehna chahta hu meri biwi se durr rehna.

ruhi - mujhe bhi koi shauk nahi hai tumhari biwi se muh lagne ka aur....

rohit - meri baat puri nahi hui hai, I know tumhe abhira se koi matlab nahi hai tum toh bass mauke dhundti hu usse hurt karne ke, pehli rasoi wale din tumahri aur abhira ki baatein suni thi maine ussi waqt tumhe jawab dena chahta tha lekin woh kaam meri sherni ne kar liya, baat baat par tum usse neecha dikhati ho dekha tha main reception mein tumne hi kai logo ke muh khulwaye the taaki abhira ko humiliate kar sako par ruhi sapno ki duniya se bahar aao aur dekho yeh sab jo tum kar rahi ho na usse abhira ki nahi tumahari hi beizatti ho rahi hai, tumhe kya lagta hai loh abhirake baare mein baat kar rahe hai, zara bahar nikal ke dekho, log hasi udaa rahe hai tumhari ki kaise apni hi behan ko diye hue dhoke ka dhindora tum kaise besharmo ki tarah peet rahi ho.

she clenched her fist.

rohit - waise ek baat hai tumhe jitna thank you kahu kam hai, agar tum yeh sab nahi karti toh mujhe kabhi abhira jaisi biwi nahi milti, so thankyou, aur haa isse meri warning samajhna, khao piyo aish karo, jo karna hai karo lekin agar ab tumahri wajah se meri biwi ke aankhon mein ek bhi aansu aaya na ruhi toh main bhul jaunga ki tum ek aurat ho aur mere bade bhai ki biwi ho, main harr rishte ka lihaaz bhul jaunga ruhi, ab soch lo tumhe kya karna hai, iss ghar mein rehna hai na bahu bann kar toh apni hadd mein rehna warna iss ghar se humesha humesha ke liye nikal dunga aur yakin karo armaan bhaiya bhi mujhe rok nahi payenge, kyuki agar unme itni himmat hoti toh woh tumahre aur apne rishte ke baare mein pehle hi sabko bata chuke hote aur tumhari insult hote hue dekhte nahi rehte, pehle din jo thappad pade the bhul gayi toh yaad kar lo, warning hai yeh ROHIT PODDAR ki...!!!!!

she gulped and got scared listening him. she was really shocked looking at him, he was not looking like that chirpy and happening rohit, it was something else.

Bounded by Heaven Where stories live. Discover now